ZAMINI NISHAN KA BAYAN AUR PAHCHAN
ZAMINI NISHAN KA BAYAN AUR PAHCHAN
1.
Paribhashayen.
(a) Madad
ka nishan.
Pahle se muqarar kiye hue woh nishan jinki madad se kisi dusre nishan ya target
ka bayan kiya jata hai. Yeh baki nishanon ke banispat zyada mashoor hona
chahiye.
(b) Zamini
nishan. Yeh
woh pahchan mein ane wale nishan hain, jinko
commander zabani hukam mein istemal karta hai.
(c) Target.
Woh nishan jahan par kisi hathiyar ka fire giraya jata
hai ya fire ke liye muqarrar kiya jata hai.
2.
Zamini Nishan Dene ki Tartib.
(a) Group. Jis tukri ko zamini nishan dikhana hai uska
dhyan akarshit karne ke liye e.g. class,
section, LMG group, ‘O’ group.
(b) Range.
Apni jagah se zamini nishan ka range gaz mein
kam se kam 50 gaz tak banta jaye.
(c) Aid
(Madad).
Zamini nishan ka bayan karne ke liye jis tarike ki madad li jaye. Jab
disha ka prayog kiya jaye to range disha ke baad diye jata hai.
(d) Description. Zamini nishan ka bayan taki dekhnewalon ko
woh samajh aa jaye e.g. “LMG group samne
dekh, 500, gaon ke bayen kinare par ek bara gol ped, jiske patte gahre hare
rang ke hain aur uske dahine ek safed makan hai, naam gol ped”.
3. Zamini nishan dikhane ke liye sabse sidha aur
sadharan tarika jisse nishan jald se jald bataya ja sake, ka proyog karna
chahiye. Zamini nishan dikhane ke alag alag tarike niche likhe gaye hain.
The Direct Method (Sidha Tarika)
4. Yeh sabse sadharan aur achha tarika hai.
Ismein disha ke alawa aur kisi madad ka sahyog nahin liya jata hai aur ye sabse
asan zamini nishan dikhane mein kaam aata hai.
The Direction Method (Disha ka Tarika)
5.
Is tarike mein zamini nishan ki disha dee
jati hai:-
(a) Aam
rukh.
(b) Madad
ka nishan.
(c) Zamini
nishan.
6. Yadi bataya na gaya ho to sabhi disha aam
rukh se hi maani jati hai. Niche likhi dishaon ka hi prayog kiya jayega :-
(a) Thoda
baen ya dahine :
Takriban 10 degree.
(b) Ek
chouthai baen ya dahine : Takriban
22 degree.
(c) Adha
baen ya dahine : Takriban 45 degree.
(d) Teen
chouthai baen ya dahine : Takriban 67
degree.
(e) Pura
baen ya dahine :
Takriban 90 degree.
7.
Aam rukh dete samay dhyan mein rakhne wali
batein niche likhi hui hain:-
(a) Ek
mashoor zamini nishan ho.
(b) Far
distance mein ho aur yadi ho sake to sky line
par ho.
(c) Yadi
chaurai mein ek degree se zyada ho to uska kinara diya jaye.
(d) Din
aur raat ke samay pehchana ja sake.
Reference Point Method
(Madad ke Nishan ka Tarika)
8. Yeh tarika tab istemal kiya jata hai jab
seedhe tarike se nishan dikhaya na ja sake. Is tarike mein nishan ki disha kisi
aur zamini nishan ya madad ki nishan se dete hain. Yeh pahle se hi chuna jata
hai aur pahle se hi bataya hota hai. Madad ka nishan chunte waqat dhyan mein
rakhne wali batein hai:-
(a) Nishan
mashoor ho.
(b) 19
degree ke fasle se adhik dur na ho (Do madad ke nishan).
(c) Nishan
bayen se dahine ko chuna jayen.
(d) Faile
hue nishan ka kinara batayein (1 degree se zyada ho tab).
(e) Madad
ke nishan ke naam pahle se muqarrar kiye gaye hon.
(f) Kitne nishan chune jayenge who zimmewari ke
ilake ki chaudai par nirbhar karega.
Nishan alag alag prakar ke chune jayein.
The Clock Ray Method (Ghari ka Tarika)
9. Yeh tarika madad ke nishan ke tarike ke saath
istemal kiya jata hai. Ghari ke beech wale hisse ko us nishan par rakho jisse
aap madad ke nishan ke taur par istemal kar rahe ho. Ghari ke jitne baje agla
nishan parta hai woh diya jaye. Is tarike ko istemal karte samay kuchh dhyan
mein rakhne wali baaten is prakar hain:-
(a) Ghari
ke 6 baje ka rukh apni taraf hota hai.
(b) Gahri
ke baje batane se pahle baen ya dahine ka prayog kiya jaye.
(c) 6
aur 12 baje ke liye niche aur upar ka prayog kiya jaye.
(d) Briefing sun ne waali tukri nazdik ho taaki
ghari ki suyion ka theek anuman laga saken.
(e) Unchi zamin se niche dekhna ho toh ghari
zamin ke saath samtal ho.
(f)
Nichi zamin se unchi zamin dekh raha ho toh
ghari khare rukh mein ho.
The Degree Method (Degree ka Tarika)
10. Agar ghari ke samay ke rukh mein ek hi tarike
ke zyada nishan hon tab target ko zaahir karne ke liye ghari ke saath degree ka
bhi istemal kiya jaata hai. Degree ko naapne ke liye hamare paas niche likhe
saadhan hain:-
(a) Baen
hath se - 1,3,5,8,12 aur 19 degree.
(b) Durbeen
se -
4 degree tak.
(c) Rifle
ki foresight, foresight protector aur backsight leaf se 3 degree tak.
(d) LMG
foresight protector - 2 degree tak.
Check back
11. Yeh yakin karne ke liye ki koi mushkil
zamini nishan jo bataya gaya ho use sab jawanon ne samajh liya hai commander
use check back karwa sakta hai. Iske liye woh check back shabd ka prayog karta
hai. Jo aadmi ‘check back’ kar raha hai woh diye hue zamini nishan se koi aur
zamini nishan ka bayan karta hai.
12. Mushkil zamini nishan dikhane ke bad
commander "seen" poochh sakta hai. Jise nishan samajh aa gaya ho woh
chup rahenge aur jinhon ne nahin dekha hai woh "not seen" ka prayog
karenge.
Charon TarafZamini Nishan Dene ka Tartib
13. Yeh
is tarteeb mein diya jaye:-
(a) Sabse
pahle aam rukh.
(b) Phir
ghari ke sidhe rukh sabhi zamini nishan diye jayen jo dikhai de rahe hon.
(c) Waapis
aam rukh.
(d) Zamini
nishanon ko dohraya jaye.
(e) Aakhir
mein jo zamini nishan dikhai na de rahe hon unhein bataya jaye.
Auto Hathiyaron ke Zimmewari ke ilake ko
Batane ki Tartib
14.
Ise
is tartib mein bataya jaye:-
(a) Aam
rukh.
(b) Bayen
hadd aur dahine hadd.
(c) Madad
ke nishan (Zimmewari ke ilake mein).
(d) Primary
Arc, secondary arc aur fixed line.
(e) Fire
kholne ki hadd din mein aur raat mein.
Zamini Nishan Dete Samay Dhyan mein Rakhne
Wali Batein
15. Yeh nimnlikhit hai:-
(a) Bayan
chhota, saada aur saaf ho.
(b) Kathin
nishan sabhi tarikon ki madad se.
(c) Disha
hamesha aam rukh se di jaye.
(d) Diye
gaye hadon mein zamini nishan bayen se dahine bayan karne chahiye.
(e) Commander
dwara diye gaye nishan ka naam badali nahin karna chahiye. (f) Jo zamini nishan dikhai na deta ho use aakhir
mein bayan karein.
(g) Agar
zamine nishan ka failao ek (1) degree se zyada hai to phir uska koi kinara diya
jaye.
(h) Unhi
zamini nishanon ka bayan karein jo aap ke zabani hukam se sambandh rakhte hon.
Pahle apne zabani hukam taiyar karein aur phir uske mutaabik zamini nishan
chunein.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know