5.56MM INSAS LMG KI SIGHTON SE WAQFIAT
5.56MM
INSAS LMG KI SIGHTON SE WAQFIAT
Parichay
1. 5.56mm
INSAS LMG lambi range tak fire karne wala bahut hi kargar automatic hathiyar
hai. LMG se dushman ko adhik se adhik barbad kiya ja sakta hai jabki firers ko
iski sights ka sahi istemal karna ata ho. Iski anya accessory sights ke istemal
karne se LMG ki accuracy badh jati hai.
Iski open iron sights ke alawa iske saath telescopic day light sight
(TDLS), aur passive night sight (PNS) ka
bhi istemal kiya jata hai.
Uddesh
2. 5.56mm
INSAS LMG ki sighton ke bare mein jankari deina hai.
Saman
3. 5.56mm INSAS LMG, telescopic day light
sight passive night sight.
Bhag
4. Yeh sabak char bhagon mein chalaya jaega.
(a) Bhag I.
Foresight aur rear sight ki jankari (iron
sights)
(b) Bhag II. Telescopic day light sight ki jankari.
(c) Bhag III. Passive night sight ki jankari.
(d) Bhag IV. Beta light ki jankari.
Bhag I. Foresight aur Rear Sight ki Jankari
5. Fore sight. Yeh pole type hoti hai. Is pole ke dono
taraf foresight protectors lage hote hain joki isko tutne se bachate hain. Yeh
gas block ke upar mein screwed hai aur lock nut ki madad se tight kiya jata
hai. Isko jiada se jiada 18 chakkar ghuma sakte hain lekin 16 chakkar hi ghumakar 100mtr par 64”
ki galti dur kar sakte hain.
6. Rear Sight. Rear sight slide type hai aur iske bed par
200 se 1000 m range tak ke liye bayen
taraf sam aur dahine taraf visham ank khude hue hain. Iske hisse purje is
prakar hain :-
(a) Slide.
(b) Bed.
(c) Plunger.
(d) Leaf.
(e) Aperture.
(f) Adjusting
Wheel.
7. Isko
ham jiada se jiada 14 Chakar de sakte
hain isko kewal 12 chakkar hi dete hain aur 100mtr par 48” ki dayen ya bayen ki
galti ko dur kar sakte hain.
Bhag II : Telescopic Day
Light Sight ki Jankari
8.
Larai ki halat aur kam roshni ke dauran jawan mansik aur sharirik
thakawat ke karan open iron sights ko kargar tarike se istemal karne ke kabil nahi
rahta. Jawan ki firing kabliyat aur accuracy badhane ke liye telescopic sights
ka istemal kiya jata hai jo ki 5.56mm INSAS LMG ke upar special mounting
bracket (Male dovetail) ki madad se fit
kiya jata hai.
9. Telescopic day light sight halka, compact aur
fixed focus telescopic sight hai.
10. Hisse
Purjeon ke Naam.
(a) Objective Glass Housing Assy Module (OG).
(b) Erector Assy.
(c) Mounting Bracket (Female Dovetail).
(d) Eye Piece (EP).
(e) Graticule Assy.
(i) Graticule
Adjustors 8 divisions hain, har ek division 200m rg par 100mm ka farak dalta
hai.
(ii) Graticule
Pattern.
(aa) Graticule
pattern mein ek vertical aur do horizontol equispaced, bore sighting lines hai. Vertical bore sighting line ke
niche 6 dots hain jo ki 200, 400,500,600, 700 aur 800m rang ko jahir karte hain (refer diagm)
Graticule Pattern
(ab) Graticule safed
rang ka hai jo ki tritium ki
madad se chamakta hai.
11. Technical
Data. Iska technical data is
prakar se hai :-
(a) Weight - 610 gm
(b) Length - 288mm
(c) Field of view - 90
(d) Magnification - 4x
(e) Engagement range - 700
m
(f) objective - Refractive
(g) Eye piece - Monocular, Fixed Focus pattern
(h) Eye clearance - 40mm
(j) Diameter - 73 mm
(k) Operating temperature - 40oC to 55oC
(l) Storage temperature - 40oC to 70oC
12. Istemal
karne ka Tariqa.
(a) Mounting. TDLS ko LMG par chadhane ke liye karwai is
prakar ki jati hai :-
(i)
TDLS ko FRP storage case se bahar nikalo aur sarsari taur par check
karo. Saath hi maunting bracket ko locking aur unlocking mechanism bhi check
kare.
(ii) Telescope mounting bracket
ke female dovetail ko LMG ke male
dovetail mein slide karo.
(iii) Telescope ko lever ki
madad se male dovetail mein diye gaye slot mein tight fit karo.
(b) Dismounting. Jab telescope istemal mein na laya ja raha ho to karwai is prakar se kare :-
(i) OG aur EP Lagao.
(ii) Lever ki madad
se telescope ko age ki aur slide karte
hue nikalo.
(iii) Telescope ko
pouch/FRP case mein rakho.
13. Boresighting. LMG ko initial boresighting factory mein kiye
jata hai. Joki prakar se kiya jata hai
:-
(a) LMG ko aiming rest par fire kar level
ground par rakhe.
(b) Barrel ke samne 10-15 m ki duri par bore sighting chart lagao.
(c) Iron sights se line of sight ko niche wale
POA par milao.
(d) TDLS mount karo aur screw driver dwara
graticule adjusters ko harkat dekar reticle pattern ka madhya upar wale POA par
milao.
BORESIGHTING CHART
14. Zeroing. Initial Boresighting kar lene ke baad zeroing
kiya jata hai.
(a) Zeroing ke liye 200m dot ka istemal kiya
jata hai.
(b) 200m range se 3 ya 5 rds ka gp fire kar
MPI nikalo.
(c) Screw driver ki madad elevation aur
azimuth knobs ko harkat dekar MPI ko POA par milao.
(d) Graticule adjuster cap mein 8 divisions hain. Har ek division 200m range par 100 mm ka fark dalta hai.
(e) TDLS mein graticule pattern upar-niche aur
dahine bayen ki 50 minute ki harkat ho sakti hai.
15. Precautions.
(a) Lense
ko hath na lagae.
(b) Lever
ko jor se istemal na kare.
16.
Accessories.
(a) FRP
carrying case.
(b) Convas myton psuch.
(c) Cleaning Brush and Lint cloth.
(d) User’s Hand Book.
Bhag III: Passive Night Sight (PNS) ki Jankari
17. Passive
Night sight 5.56mm INSAS LMG ya rifle ke saath istemal ki jati hai. Yeh ek compact, halki aur micro channel linage intensifier
system wali sight hai. Yeh
raat ke waqt sitaro aur chand ki roshni ke dauran survellance wah firing ke liye istemal mein
layi jati hai.
18. Hisse Purjon ke Naam. PNS ki teen sub assemblies hain :-
(a) Objective
Glass Module (OG).
(b) Tube
housing module. (Iske nimn hisse hain)
(i) Image intensifier fire tube.
(ii) Reticle assembly.
(iii) Power Supply unit.
(c) Eye piece module (EP)
19. Power Supply Unit. Iske nimn likhit hisse hain:-
(a) ON/OFF switch.
(b) Potentiometer.
(c) Battery
Housing. 16 Volt ke do cell ate
hain.
20. Technical
Data. Iska technical data
is prakar se hai.
(a) Field of view - 10
degree.
(b) Magnification -
4x
(c) Objective - Refractive,
F/1.5.
(d) Eye piece - Variable
focus
5D
to +5D
(e) Sensor - 18mm
proximity
focussed
micro
chanel
tube with FO twister.
(f) Power supply -
Two 1.5 volt cell, size AA/3.5 V
lithium cell with a dummy for use of low temp.
(g) Range Cognition - 200m (engagement)
(h) Detection - 300m
for human tgt under star lit and average
contrast condition.
(j) wazan - 1.065 Kg
(k) Height - 281
mm
(l) Diameter - 70mm.
(m) Operating tempature - -30 degree to
45
degree C
(n) Storage tempature - -30
degree to
65
degree C
21. Istemal
karne ka Tariqa. PNS ko nimn
likhit tarike se istemal mein laye jata hai.
(a) Mounting. Sight ko case se bahar nikale aur sarsari
taur par mulaiza karen.
(i) Battery agaen aur PNS
ke female dovetail ko LMG ke dovetail par slide kar lever ki
madad se lock karen.
(ii) Thimble ki madad se
unlock karen aur sight ko age ko slide kar ke nikalen.
(iii) Sight ko wapas case
mein rakh dein.
22.
Atyadhik sard ilake mein lithium battery ke istemal karen.
23. Boresighting
aur Zeroing. PNS ke reticle pattern mein Range Dot diye gaye hai joki LED dwara chamakta hai.
Reticle pattern mein boresighting aur zeroing dotdiye gaye hain, reticle upar niche aur dayen-bayen
ki 500 tak ki harkat kar
sakte hai.
PNS ko
boresighting aur zeroing karne ka tariqa TDLS jaisa hai aur 200m range par din
ke waqt karte hain.
24. Precautions
(a) Tej roshni ya dhoop ke
waqt O aur EP cap na nikale.
(b) Lens
ko hath na lagaen.
(c) ON/OFF
switch ko istemal karte waqt OFF position mein rakhen.
(d) Batteries
ko thick se +ve aur -ve marking dekh kar
fit kiya jae.
(e) Knobs
aur thimble par jor na lagaen.
Bhag IV : Beta Light Iron Sight ki Jankari
25. Aam
Jankari. Beta light iron
sight dwara raat ke samay shist lekar LMG ko fire kar sakte hain. Roshni deine ke liye glass tube mein bhare
tritium gas ka istemal kiya gaya hai, jo ek radio active padarth hai. Front beta light iron sight, gas block par,
foresight ke piche lagai jati hai. Ismen
ek tritum filled gas tube (TFGT) laga hai.
Rear beta light iron sight sight
leaf hai. Rear beta iron sight ke dono
TFGT ke beech ka ilaka rear sight aperture ke line mein hota hai. Donon front aur rear beta light iron sight
flip type hai aur jab inka istemal nahin ho raha ho to inhen niche gira diya
jata hai.
26. Istemal Raat ke samay istemal mein lane ke liye donon
beta light iron sight ko khara karo,
rear beta light iron sight ke do binduon ke bichon beech front beta light
iron sight ko milakar sahi sight alignment hasil karo. Tgt par shist lo aur fire karo.
27. Glass
Tube Tutne Par Savdhaniyan. BLS
ki glass tube tutne par nimn savdhaniyan honi chahiye.
(a) Tritum hanikarak radiation (Kirane) kam matra mein paida karta hai, islie firer
ki aankh ko koi khatra nahin hai. Agar
firing ke dauran TFGT tut bhi jae to firer ko nuksan nahin hoga.
(b) Agar khule ilaqe mein TFGT tuta hai to
iske hanikarak padarth kirne vatavaran mein ghul jati hai aur iska asar kam ho
jata hai.
(c) Agar TFGT kamre ke andar tuta ho to us
kamre ke sabhi vyaktion ko bahar nikal diya jae. Kamre ke sabhi khirki/darwaje khol diye jaen
kamre ke andar ek ghante tak kisi ko na ane diye jae.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know