SHOT GROUP KA VISHLESHAN AUR INSAS RIFLE FIRER KO COACH KARNA

 

SHOT GROUP KA VISHLESHAN AUR INSAS RIFLE FIRER KO COACH KARNA


 

 

SHOT GROUP KA VISHLESHAN

 

1.    Jis tarah bimar ke lakshyaan ko dekhkar bimari ka pata chalta hai usi tarah target par goliyan ki maar ya group ka vishleshan karne se hone wali galtiyon ka pata chalta hai.Group mein goliyan ki maar aur unke failao ko dekhkar firer ki kabliyat ka asani se pata lagaya ja sakta hai.

 

Shot Group Vishleshan Card

 

2.    Yeh ek aisa card hota hai jis par alag alag kisam ke group ke khake bane hote hai. Iski madad se firer khud ya coach uske banae hue group se milakar galtiyon ko samajhta hai aur unko sudharne ke liye munasib exercise karwata hai. 

 

Firing Data Card

 

3.    Shot group ke vishleshan mein firing data card bahut madad karta hai. Iske istemal se firer ke dimag mein maar ke asar aur target par hone wale maar ke asar ki tulna ki jati hai. Dhyan rahe ki iska istemal tabhi shuru kiya jaye jab ki rifle achhi tarah se zero kar li gayi ho.

 

4.    Firing Data Card ka Istemal.       Is card mein do target ke khake hote hain, Call target aur Hit target.Inka vivran iss prakar hai:-

 

(a)     Call Target.              Durust follow through karte hue firer harek goli ke baad uski maar pukarta hai. Nishan, Nishan upar, nichhe, dayen, bayen ya uska combination. Coach maar ko call target khake mein bhar deta hai.

 

(b)     Hit Target.     Target par usi goli ki sahi maar butt se darshayi jati hai. Isko coach hit target mein bhar deta hai.

 

(c)      Tulna.            Practice khatam hone par call aur hit target ki tulna ki jati hai. Agar yeh donon ek dusre se milte hai to firing durust hai. Lekin agar yeh apas mein nahi milte to ho sakta hai ki nichhe di gai galtiyan hui hon :- 

 

(i)           Galat follow through.

(ii)          Kandha marna.

(iii)         Galat trigger operation.

(iv)         Sans par kabu na rakhna.

(v)          Sir marna.

(vi)         Mazboot pakar haasil na karna.

 

Aam Galtiyan Aur Unke Sudharne Ke Tariqe

 

5.    Agar harek firer aur khas karke coach ko firing se sambandhit galtiyan aur unhen dur karne ke tariqe pata hon to firing ka star bahut achha kiya ja sakta hai. In galtiyon ko firer ya coach do tariqon se pakar sakte hai. Firer dwara ki jane wali galtiyon ko dekh kar ya tgt par golian ki mar ko dekh kar.

 

Firing Mein Galti

 

6.    Agar firing ke usulon ka sahi tariqe se paalan kiya jaye to koi wajah nahin hai ki firing unche darje ki na ho lekin aam taur par tajurbe, training ya coaching ki kami ki wajah se firer in usulon par amal nahin karta jisse firing ke star par asar parta hai udaaharan ke taur par:- 

 

(a)    Shist ki Galtiyan

 

(i)          Sighton ko tirchha rakhna.

(ii)        Fore sight back sight aperture ke madhya mein na rakhna.

(iii)       Shist ke kaide par amal na karna.

(iv)    Hawa ka haq na rakhna.

(v)     Light up sight up aur light down sight down ka tarika na apnana.

 

(b)    Trigger Operation ki Galtiyan

 

(i)         Kalme wali anguli ki position trigger par thik na hona.

(ii)        Pull haasil na karna.

 

(c) Position Mein Galtiyan

 

(i)            Badan line of fire se tirchha na hona.

(ii)          Hathon aur kohnion ki position galat  hona.

(iii)         Aar ka durust istemal na karna.

(iv)         Rest istemal karte samay kalai rest ke saath na milana.

(v)          Position aramdeh na hona.

(vi)         Fire ke dauran badan ko harkat dena.

 

(d)    Sans ki Galtiyan

 

(i)            Trigger dabate samay sans par kabu na rakhna.

(ii)          Sans ko jyada der tak rokna ya bahut pahle chorna.

 

(e)    Three Round Burst

 

(i)            Trigger control na hona.

(ii)          Tharthrahat par kabu na karna.

 

Target se Pata Chalne Wali Galtiyan

 

7.    Kaha jata hai ki firing sare weapon training ka nichor darshata hai. Usi mutabiq target par dikhne wali galtiyon ki maar se firer ki galtiyon ke bare mein bahut nishchit jankari milti hai. Galtiyan pahchanne ka yeh tariqa firer aur coach achhi tarah jante hon to target ko dekh galtiyon ko pahchan ya confirm kar sakte hain.

 

8.    Fire ki hui goliyan tgt par group banati hain. In groupon mein goliyon ke failao aur unki apasi duri, saath hi aiming mark ke banisbat MPI ki jagah se jin galtiyon ka pata chalta hai woh niche batai gai hain.

 

9.       Group ka Failao.

 

(a)     Chhota Khara Group.      Iska karan aiming point ki galti. Firer ka bhi shist aiming point ke thora upar to kabhi thora niche leta hai jisse ki goliyan thora niche ya upar lagti hain.

 

(b)     Chhota Para Group.      Ismen bhi firer kabhi shist aiming point ke thora daen to kabhi baen leta hai. Iska asar target par chhote pare khare group ki shakal mein dikhai deta hai.

 

(c)      Lamba Khara Group.   Ismen firer sight alignment ki galti karte hue fore sight ki nok ko kabhi aperture ke madhya ke upar aur kabhi niche rakhta hai yeh ek bari galti ko jahir karta hai.

 

(d)     Lamba Para Group.   Yeh bhi sight alignment ke ek bari galti hai ismen firer fore sight ki nok ko aperture ke madhya ke bayen ya daen rakhta hai.

 

(e)     Bifocal Group.     Agar baki durust firing karte hue bhi firer kabhi apna dhyan foresight ki nok aur kabhi aiming pt par jamae to uski goliyan do alag aur gorup banati hain, ise bifocal group kahte hain.

 

(f)       Bikhra Hua Group. Yeh sabse kharab firing ko jahir karta hai. Firing ke kisi bhi usul ko madhya nazar na rakhkar dhili pakar se fire karne se aisa group banta hai.

 

10. MPI ki Jagah. MPI ki jagah ko dekhkar firer dwara ki gayi galti ko samjha ja sakta hai. Ise bari bari dekhen:-

 

(a)     11 Baje ki line.      Agar MPI aiming point se lagatar 11 baje ki line mein banta hai to iska matlab hai firer goli ke dhamake se anayas darkar aankh band karke shir butt par marta hai.

 

(b)     7 Baje ki Line.  Kai firer recoil ko rokne ke liye kandha kara karte hain ya usse butt par dhakka marte hain. Isse goliyon ka MPI aiming point se 7 baje ki line mein banta hain. 

 

(c)      4 Baje ki Line.     Trigger dabate samay jhatka dene se group ka MPI aiming point se 4 baje ki line mein banta hai.

 

11. Galtiyon ke Karan.      Firing mein hone wali galtiyon ko malum karne ke saath hamen yeh bhi pata hona chahiye ki woh kis karan se ho rahi hain. Isse hum aise halat ka yakin kar sakte hain jinse galtiyan kam se kam hon.

 

(a) Firer ke Control ki Baten

 

(i)        Marksmanship ke sidhant thik se amal mein na lana.

(ii)      Rifle ki zeroing, dekh rekh, tuning/stocking aur saaf safai kharab hona.

(iii)     Ammunition ka thik saaf na hona.

(iv)     Sans ki galti.

(v)      Nishchay ki kami.

 

(b) Firer ke Control se Bahar ki Baten

 

(i)        Mausam. Light kam ya jyada, Mausami halat.

(ii)      Kharab Range ki Tartib.

(iii)     Kharab Coaching.

(iv)     Firer ki sharirik kamiyan jaise ki kamjor aankh ya kharab tabiyat.

 

Firing Sudharne ke Tariqe

 

12.    Ab tak humne dekha ki firing mein kon kon se galtiyan hoti hain aur unhen kaise pahchana ja sakta hai. Inmen se position ki galtiyan saaf dikhai deti hain aur unhen demonstration aur hidayat ke saath bakhubi sudhara ja sakta hai. Shist aur trigger operation ki galtiyon ko sudharne ke liye kuch exercises hain jinhen squad post training ke dauran ya firing ke dauran corrective stand mein firer se karwaya ja sakta hai. Inka vivran niche diya gaya hai.

 

13.    Shist Sudharne ke Liye Exs.

 

(a)     Blank Tgt Exercise.    Jaise ki pahle bataya gaya hai ki sight alignment bahut ahimiyat rakhta hai. Firer ko yeh mahsoos karane ke liye blank target exercise karwaya jata hai. Ismen firer se takriban  10 mtr  ki duri par target lagaya jata hai, jismen ek sada kagaz laga hota hai. Kyonki target par koi aiming mark nahin hota hai islie firer ka dhyan sight alignment par kendrit kiya ja sakta hai.

 

(b)     Aiming Box Ex.   Is exercise mein sight alignment aur sight picture ka talmel shist ke sahi kaide ke anusar karne ki sikhlai hoti hai. Is Exercise ko bhi squad post training ke dauran karwaya jana chahiye.

 

(i)        Tarika

 

(aa)        Firer se aiming box 10 mtr ki duri par .

(ab)        Target ek box ki shakal ka jis par 6"x6" ka sada kagaz laga ho.

(ac)        Box par coach aiming disc ke saath, firer dwara pukare gaye nishan ko mark karne ke liye.

(ad)        Rifle short rest ke upar kasi hui.

(ae)        Firer apni taraf se durust shist haasil karta hua eye disc ko sight alignment ke saath milata hai iske liye woh lying position akhtiyar karke ek hath par thori rakhta hai aur dusre se coach ko eye disc ki harkat karne ke liye ishara deta hai. Durust shist haasil karte hi woh pukarta hai "Nishan". Is pukar par coach Aiming disc ke chhed se nishan target par laga deta hai.

(af)         Firer upar wali karhwai teen bar karta hai.

(ag)        Teenon nishan ek ungarhi pencil ke daire ya 6mm dia mein ana chahiye. Yeh is liye ke 6 mm 400 mtr par ek admi ki chaurai ko cover karta hai.

(c) Aiming Corrector. Yeh device periscope ke sidhant par adharit hai jisse ki firer dwara haasil sight picture, coach sishon ki madad se dekh sakta hai:-

(i)          Firer.       Jiski sight picture durust na ho.

(ii)        Tariqa.

 

(aa)      Aiming corrector butt par fit karen.

(ab) Firer target ke aiming mark par durust shist haasil kare. (ac) Coach aiming corrector ki madad se firer dwara ki ja rahi galti ko pakere aur durust kare.

(d) Tin Disc Ex

 

(i)      Firer

Wt – 10 gm, Dia- 2.5 mm.

(aa) 

Galat sans leta hai.

(ab) 

Manspeshion ko sakht karta hai.

(ac) 

Trigger jhatke se dabata hai.

 

(iii)       Tariqa

 

(aa)      Firer position mein rifle ready kare.

(ab)      Tin disc flash hider ke upar par rakha jaye.

(ac)      Firer durust shist lekar trigger dabae.

(ad)  Agar trigger dabane par tin disc na gire to durust mana jaye warna firer ko teen mauke diye jayen.

 

 

(e)    Ball aur Dummy Ex

 

(i)        Firer.  Jo fire ke dhamake se darkar galti karte hain jisse group 11 baje ki line par banta hai.

 

(ii)       Tariqa

 

 (aa)  Range par firing ke dauran aise firer ki magzine mein bina uski jankari ke, ek do round live ke baad drill round bhar diye jayen.

 (ab)  Firing ke dauran drill round hone par firer ko apni galti ka khas taur se ahsas ho jayega.

14. SATS/ DRONA.       Yeh computer se niyantrit ek aisa ala hai jisse ki kamre ke andar bhi range par haasil sabhi halat ki nakal ki ja sakti hai. Saath hi coach halat ko apni marji se badal sakta hai aur use firer dwara ki ja rahi galtiyan computer ke screen par ya print out per dikh jati hain.  

 

Coaching Ke Tariqe

 

15. Firing ka star tabhi sudhara ja sakta hai jab firing mein hone wali galtiyon ko sahi tarike se samajhkar unhen sudharne ke munasib upai kiye jayen yeh ek achhe coach ki visheshta hoti hai. Coach banne ke liye tajurbe ki zarurat hoti hai, lekin agar ham coaching ke tariqon ko samajh le to thore samay mein ham iske mahir ho sakte hain.

 

16.    Coach ke Liye Dhyan Mein Rakhne Wali Baten.

 

(a)      Coach ki Khubian

 

(i)            Khud achha firer.

(ii)          Galti pakarne mein mahir ho.

(iii)         Sahanshil aur badhawa dene wala ho .

(iv)         Jankar ho.

 

     (aa)     Theory of small arms.

     (ab)     Hathiyar aur ammunition ke bare mein.

     (ac)     Group ke sidhant.

     (ad)     Shot group analysis.

     (ae)     SATS ki handling.

 

(b)      Coach ke Liye Hidayaten

 

(i)            Coaching zarurat ke mutabiq.

(ii)          Firer ke star ka dhyan rakhe.

(iii)         Firer ko badhawa den.

(iv)         Galti ko saath saath batayen.

 

 

Coaching ke tarike

 

17. Coaching ek lagatar ki karhwai hai yani ki squad post training se shuru hokar, firing ke dauran aur firing ke baad tak. Islie sab se behtar yeh hoga ki sectioncommander khud jawan ka coach bhi ho. Phir bhi zarurat parne par coach mukarar kiye jate hai ya firer khud apas mein ek dusre ki coaching kar sakte hain. Coaching jin darjon mein ki jati hai woh niche bataye gaye hain. 

 

18.    Firing se Pahle.

 

(a)     Firer ka star pahchanana.   Firer ke firing data card aur record card se uski khas dhyan dene yogya kamjorion ka andaza lagaya ja sakta hai .

(b)      Firer ki position aur shist durust ho.

(c)      Khud firer ke nazdik munasib position le jisse woh galtiyon ko asani se pakar sake.

 

19.    Firing ke Dauran.

 

(a)     Dhyan firer par, halanki, kuch dhyan tgt par hone wale asar par bhi hona chahiye.

(b)      Call tgt aur hit tgt ka dhyan rakhe.

(c)      Niche diye gaye aam galtiyon ko pakaren:-

 

(i)           Hathiyar ki kamiyan maslan, stocking/tuning up, tut fut, galat size ka butt.

(ii)          Shist mein jyada der rahna.

(iii)         Goliyon ke bich harkat dena, khas kar shir aur bayen kohni ko.

(iv)         Dhili pakar.

(v)          Trigger jhatke se dabana, kandha marna, sans ki galti ya galat follow through. 

 

20.    Firing ke Baad.

 

(a)      Call aur hit target ki tulna.

(b)      Group ka size aur MPI ki jagah firing record card mein bharna.

(c)      Agar hathiyar ki kami lage to check fire karna.

(d)      Firer ko uski achhaiyan aur kamjorion ki jankari dena.

टिप्पणियाँ