RANGE CARD BANANA
RANGE CARD BANANA
Paribhashayein
1.
Is lecture ke dauran kaam ane wali
paribhashayein is prakar se hai:-
(a) Aam
Rukh. Dur
ek mashur nishan, jo ki samanewale zimmewari ke
ilaqe ko (General line of direction) do barabar bhagon
mein banta hai use aam rukh kehte hain.
(b) Setting
Ray. Defence
position ke aghe aur piche woh do mashoor nishan
jo ki range card ko set karne ke kaam aate hain usse setting ray kehte hain.
(c) Fixed
Line. Primary
arc mein chuni gai woh fire ki line jis par raat ya kharab mausam mein LMG ko
fix kiya jata hai. Is line par dushman ke ane ka andesha hota hai.
(d) Arc
of Fire. Kisi
bhi hathiyar ya fire unit ka woh ilaka jisme aane wale target ko engage karna
us hathiyar ya fire unit ki jimmewari hoti hai.
(e) Primary
Arc of Fire. Yeh arc hathiyar ya fire unit ki pehli
jimmewari hoti hai. Yahan se dushman aane ka jyada andhesha hota hai. Hathiyar
ka fixed line bhi primary arc ke andar hota hai.
(f) Secondary
Arc. Yeh arc hathiyar ya fire unit ki dusri
jimmewari hoti hai, is area mein tabhi fire kiya jayega jab hathiyar ya fire
unit primary arc mein fire na kar raha ho.
(g) Madad
ka Nishan. Yeh woh nishan hota hai jis ki madad se tgt
ka bayan kiya jata hai use madad ka nishan kha jata hai.
Range Card banate samay zaruri batein aur
iske faide
2.
Zaruri batein.
(a) Range
card sahi jagah se banaya jaye (firing position se).
(b) Range
sahi napa hona chahiye.
(c) Aam
rukh aur setting ray ko moti rekha se banaye.
(d) Zamin
par nishan nazar ane chahiye aur alag-alag range par hon aur ek hi naam ke na
ho.
(e) Zamini
nishan ka conventional sign banao.
(f) Fixed
line ke liye gahre rang se line khincho.
(g) Primary
aur secondary arc over lap honi chaye.
(h) Dahine
aur bayein had ka dusre morche se safety angle hona chahiye.
3.
Range Card Banane ke faide.
(a) Range
card se pure zemmewari ke ilaqe ke bare mein tafsil se jankari mil jati hai.
(b) Madad
ke nishnon se aas pass ke nishnon ka sahi range milta hai.
(c) Tgt
par sahi aur kargar fire dala ja sakta hai.
(d) Det
ki badli hone par (unit ke andar) ya nayi unit position take over karte waqt
bhi yeh bahut madad deta hai.
(e) Agar
kisi karan se handing/ taking over thik na ho sake tab bhi range card ki madad
se naye det ko apne ilaqe aur task ke bare mein puri jankari mil sakti hai.
(f) Kisi
Commander/ VIP ko brief karte samay bhi range card madad deta hai. (g) Range card ki jankari hone ke bad det asani
se dushman ko barbad kar sakta hai.
Range Card Banane ka Tariqa
4. Defence mein rahte hue hame charon taraf ka
bachav karna parta hai. Is liye zaruri hai ki charon taraf ka bachao haasil
karne ke liye charon taraf ke nishano ka range card banaya jaye. Range card
banate samay tafsil se task aur zimmewari ke ilaqe ka soch vichar kiya jaye.
Har ek mukhya hathiyar ke har ek position ke liye range card banaya jaye.
(a) Sab
se pahle range card ka khaka banao.
(b) Samne
aur dur ek mashur nishan chuno jo ki is position ka general line of direction
(GLD) ya aam rukh hoga. Is nishan ko range card mein darz karo.
(c) Do
setting ray banayein (Ek age aur ek pichhe). Is ke liye do mashur nishan chune.
Apne position se in nishanon ka compass se bearing le aur ise range card mein
darz karen. Setting ray chunne ka yeh faida hai ki is ki madad se ham ek range
card ko zamin par set ya orient kar sakte hain.
(d) Us
ke bad position ki bayein had aur dahine had chuno aur inhen range card mein
shamil karo.
(e) Apne
ilaqe mein do ya teen madad ke nishan banton jo ki tgt ko dikhane ke kaam
ayenge. Madad ke nishan chunte samay dhyan mein rakhne wali baten :-
(i)
1 dusre se 19 degree se bahar ho.
(ii)
1 degree se bada ho to ek kinara chuna jaye.
(iii)
Har ek ko naam diya jaye.
(iv)
Ek hi naam ke na ho.
(v)
Itne chune jaye ki pure zimmewari ke ilaqe ko
cover kar sake (indication of land marks ke liye).
(vi)
Alag Alag range par ho.
(vii)
Nishan baki nishano se mashoor ho.
(f) Apke
zimmewari ke ilaqe ko primary arc aur secondary arc mein banto, dhyan rahe ke
in donon ke beech mein overlap ho. Is ke liye zimmewari ke ilaqe ke beech mein
ek nishan chuno aur is ilaqe ko do bhagon mein bant do. (g) Primary arc ke
beech mein fixed line chuno, yeh ek mashur nishan hona chahiye, is par fixed
line likho aur range bhi likho. Fixed line chunte samay dhyan mein rakhne wali
batein :-
(i)
Field of fire saf ho.
(ii)
Dushman ke mumkin ane wale raste par chuni
jaye.
(iii)
Primary arc ke andar ho.
(iv)
Range jyada se jyada 700 m tak ho.
(v)
Sighton ke upar sahi range lagaya jaye.
(vi)
Din ke samay lagai jaye.
(vii)
Fire plunging na ho.
(h) Akhir mein range card banana ki jagah, range
card banane wale ka naam, fasla napne ka tarika, date aur mausam likho. Dahine
taraf apna No, Rank, Name aur unit likho.
Range Card ka Istemal aur Abhiyas
5.
Range card ko istemal karne ka tarika, is
parkar hai:-
(a) Range
card ko setting ray ka saath zamin par set karo.
(b) Range
card set ho jane ke bad nishanon ko milao taki dekhane wala asani se pehchan
sake.
(c) Range
card ke nishnon ko ghari ke sidhe rukh padhna chahiye.
(d) Class
range card banane ka abhyas kare.
6. Range card banana aap seekh chuke hain lekin
dhyan rahe ki Range Card banate samay khas baaton ka dhyan rakha jaye tabhi aap
sahi Range Card bana kar apne defensive position ka sahi istemal kar ke dushman
ko barbad kar sakte hai. Ek Infantry ke
jawan ko apni defensive position ko majbhut banaye rakhane ke liye Range Card
banana, us ka istemal aur is se defence ke bare mein jankari haasil karna aane
chahiye, taki apne defensive position ka sahi istemal kar ke dushman ko barbad
kar sake. Aap ko Section Commander hone ke nate Range Card banana aur istemal
karna aana chahiye.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know