FIRE DISCIPLINE AUR FIRE CONTROL ORDERS
FIRE DISCIPLINE AUR FIRE CONTROL ORDERS
1.
Paribhashayen.
(a) Fire
Unit. Woh hathiyar band toli, jo ek commander ke
hukam ke nichhe fire karti hai, jaise ki
ek section.
(b) Fire
Unit Commander. Jo ohededar fire unit ke fire par hukam ya
ishare dwara control karta hai use fire unit commander kahte hain. Jaise ki ek
Section commander.
(c) Fire
Control Orders. Woh hukam jo ek fire unit
commander, target par fire karwane aur usparr kabu rakhne ke liye fire unit ko
deta hai.
(d) Fire
Direction Orders. Yeh wo hukam
hain jo ki ek Fire unit commander apne
se unche darje ke commander se leta hai, Ismen fire ki tadad, target par fire kab khola jayega, ityadi ke hukam diye jate hai. Section commander, Platoon
commander se Fire Directions Order leta hai. udhaharan,
Platoon commander ke Fire direction order 51mm Mortar det ke liye. ”Mortar det
Commander, 50, thoda bayen, spur par jhari, Platoon ka Fire base. Mortar det
platoon ko, covering fire dega”.
(e) Arc of
Fire. Yeh ek sub unit ya hathiyar
ka zimmewari ka ilaqa hai jismen ki use target engage karna hota hai. Iska
dahina aur bayan had zamini nishan ke dwara bataya jata hai. is Arc of fire,
main kuch madad ke nishan chune jate hai.
(f) Field
of Fire. Yeh woh ilaqa hai jismen ki hathiyar kargar
fire dal sakta hai. Arc of Fire , Field
of Fire ka ek hissa hota hai.
2.
Fire Control ke Usul.
(a) Fire
tabhi karen jab:-
(i)
Dushman kargar fire range mein ho.
(ii)
Surprise kho jaye.
(b) Asardar
Fire. Dushman/
target ko marne ya barbad karne ke liye, fire kiya jaye, na ki darane ke
liye.
(c) Auto hathiyar se burst fire.
(d) Ammunition ki bachat. (Sahi fire discipline)
Fire Control Orders
3.
Fire Control Orders char prakar ke hote
hain:-
(a) Full
Fire Orders.
(i)
Nukta Target Ke liye.
(ii)
Faile hue Target ke liye.
(b) Taiyari
ka Fire Order.
(c) Mauke
ka Fire Order.
(d) Achanak
ya chota Fire Orders.
4. Full
Fire Orders. Yeh Fire Orders tab diye jate hai jab fire
unit commander ke paas prayapt samay ho aur target duri par ho. Yeh tafseel
mein diye jate hain. Yeh do kism ka hota hai.
(a) Nukta
Target. Yeh us samay diye jate hai jab ki dushman ek
point (nukta) target banta hai. Jaise ki (LMG Group 500, Hulldown tree, dushman
ka sniper, ek burst fire.)
(b) Faila
hua Target. Yeh us samay diye jate hai jab ki dushman ek
ilaqa mein faila hua hota hai. Jaise ki,
(No 1 Section 300,Tuti futi zamin mein jhari ki piche aur aas-pass ke ilaqe
mein dushman ka ek section faila hua hai. LMG
Group 2 burst aur Rifle Group, 5-5 round fire.)
5. Taiyari
ka Fire Orders. Yeh fire control order us samay diye jate hai
jab ki dushman kargar range se bahar ho aur apni taraf harkat/ advance kar raha
ho, yani hukam dene aur asar mein fire kholne mein samay lagega. Jaise ki (No 1
Section 800, Lal jhari ke ilaqe se dushaman ka ek section hamari taraf advance
karta hua. Mar ke ilaqe mein ane par mere hukam se fire hoga). Fire kholne ka
initiative commander apne pass rakh sakta hai ya sub unit par chhor sakta
hai.Jaise ki mar ke ilaqe mein ane par (LMG Group 2 burst fire, Rifle Group 3
round fire).
6. Mauke
ka Fire Order. Yeh
fire order us samay diya jata hai, jab ki har ek jawan ko apne aap mauke ke
mutabik fire karna ho. Jaise ki (No-1 Section, dushman tuti futi zamin mein
chhup gaya hai najar ane par fire). Ismen har jawan apni sujh- bhuj aur fire
discipline ka khyal rakhte hue dushman par fire karta hai.
7. Achanak
aur Chhota Fire Order. Yeh fire order us samay diye jata hai
jab ki dushman achanak nazdik fasle par nikal kar surprise kar deta hai. Jaise kih (No 1
Section aim down - dahine dushman fire).
Fire Control Order ki Tartib
8.
Hukam hamesha mukarar ki hui tartib se dena
chahiye taki koi baat chhut na jaye aur samjhne mein asani ho. Tartib is prakar
hai:-
(a)
G
- GROUP - Jis unit ya sub unit dwara fire karwana ho.
(b) R - RANGE -
Apni jagah se target ka fasla.
(c) I -
INDICATION - Target ka bayan.
(d) T - TYPE -
Fire ki kism.
Dhyan Mein Rakhne Wali Baten
9. Fire
se Pahle. Fire unit Commander ko fire order dene se
pahle nimnlikhit baton ko dhyan mein rakhna chahiye.
(a) Range - Kya dushman hathiyar ki range mein hai?
(b) Surprise
- Kya surprise haasil karne ke liye
fire ko thori der roka jaye?
(c) Hathiyar -
Konse hathiyar se sabse achha natija haasil kar sakta hai?
(d) Rate
of Fire - Rapid fire aam taur par in
maukon par karwana chahiye?
(i)
Jab dushman ko Surprise karna ho.
(ii)
Assault mein covering fire dete samay.
(e) Fire par Control - Initiative khud ke paas
ya sub unit ko de diya jaye.
(f) Zimmewari.
10. Orders
ke Dauran Dhyan mein Rakhne wali Baaten.
(a) Hukam
saf, dhire aur kam lafzon mein de diye jayen.
(b) Awaj
itni unchi ho taki saf sunai den.
(i)
Jab tak surprise barkarar ho to fire control
orders ya to dhimi awaj mein ya mukarar hue
field/ sound signal se den.
(ii)
Surprise kho jane par unchi awaj mein order
den aur sunne wale jawan hukam dohrain taki sabhi ko malum chal jaye.
(c) Tamam
baten hukam ke taur par hon.
(d) Orders
mein waqfa hona chahiye taaki jawan uspar saath
saath amal kar saken.
11. Fire
ke dauran istemal kiye jane wale shabd:-
(a) Stop
aur jari kar.
(b) Dahine/
Bayen.
(c) Dhire/
Tez.
(d) Upar/
Niche.
Attack aur Defence mein Fire Discipline ko
Kayam Rakhne Wali Baten
12. Kathin se kathin paristhion mein bhi hukam
ya pahle se mukarar ishare ke bina fire na kholne ko fire
discipline kahte hain. Fire discipline kayam rakhne mein nimn baten madad karti
hai.
(a) Bagaer hukam ke fire nahin karen. Isse surprise
kho jata hai. Fire us samay kholna
chahiye jab yeh yakin ho jaye ki
dushman ka koi bhi jawan bach nahin sakta.
(b) Fire
dushman ko barbad karne ke liye dalna chahiye.
(c) Raat ke samay mein fire karte samay khas dhyan
den ki kisi bhi harkati chiz par fire khol diya jaye.
Defence.
13. Defence
ke dauran Fire Discipline is prakar kayam rakha jata hai.
(a) Hukam
saaf ho aur nimn baten shamil hon:-
(i)
Arc of fire - Primary aur secondary.
(ii)
Fixed Line.
(iii) Defensive
Fire Task.
(iv) Fire
kholne ki had.
(b) Fire
kholne aur band karne ke ishare.
(c) Illumination
ka hukam.
(d) Indirect
fire ka sahi istemal.
(e) Ammunition
ki bant.
(f)
Briefing.
14. Attack.
(a) Fire
base ke sab hukam - banawat, jagah, fire ki bant aur samay.
(b) Fire
kholne aur band karne ka ishara.
(c) Ammunition
ki baant.
(d) Indirect
fire ka sahi istemal.
(e) Detailed
briefing.
Fire Discipline ko Achha Banaye Rakhne ke
liye Dhyan dene Wali Baten
15. Fire discipline ko aacha banane ke liye
nimnlikhit baten dhyan mein rakhni chahiye.
(a) Fire
discipline ke usul training mein shamil kiya
jaye.
(b) Ek
morche mein sabhi naye jawan na ho.
(c) Fire
kholne aur band karne ke ishare mukarar hon.
(d) Sentries
jodi mein hon.
(e) Bina
dekhe fire na karen.
(f)
Faltu harkat na
karen.
(g) Ilaqe
ki jankari sabhi jawanon ko ho.
(h) Kabhi
kabhi morche mein commander ko khud jakar fire control karna par sakta hai.
16. Fire discipline aur fire control orders
tactics ke buniyadi usulon mein ek hai. Larai ke dauran ammunition, harkat,
hathiyar ka sahi istemal aur dushman ko zyada se zyada nuksan tabhi ho sakta
hai jab Officers, JCOs aur NCOs fire control orders ka istemal samajhdari se
karen.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know