5.56 MM INSAS LMG KE ZEROING KA TARIQA
5.56 MM
INSAS LMG KE ZEROING KA TARIQA
Pahunch
1. 5.56
MM INSAS LMG ek bahut hi accurate aur kargar hathiyar hai jo ek sec ko bhari
matra mein fire girane ki kabliat deta hai. Kisi bhi hathiyar ka accurate fire
girane ki kabliyat uske durust zeroing par nirbhar karta hai. LMG diye hue
range par durust fire kare iske liye zaruri hai ki uska durust zeroing kiya
gaya ho.
2. Zeroing
kisi vayurahit wale din mein kiya jana chahiye. Zeroing ki karwai sight par 200
m par sthir karen,zamin par ya 150 m ki range par karna uchit rahti hai. Aisa
karte waqt posn lying supported aur LMG bipod par honi zaruri hai.
Uddesh
3. 5.56
MM INSAS LMG ko zero karne ka tariqa sikhana hai.
Saman
4. 5.56
MM INSAS LMG, Tool adjusting,Fore sight and back sight.
Bhag
5. Yeh
sabak do bhagon mein banta jayega.
(a) Bhag I: Zeroing ki paribhasha,Faide nuksan aur
zaruri baten.
(b) Bhag II :
Zeroing ka tariqa
BHAG I : Zeroing Ki Paribhasha,Faide, Mauke Aur Zaruri
Baten
6. Paribhasha. MPI ko POA par pahle se diye gaye sthan
par lane ke liye hathiyar ki sighton par upar niche aur daye bayen ki galti ko
dur karne ke liye jo tabdiliyan ki jati hai is karwahi ko zeroing kahte hai.
Zeroing se line of sight aur trajectory ke bich ke farq ko samapat ya manjur
shuda kiya jata hai.
7. Faide.
Zeroing ke chand ek faide is
parkar se hain :-
(a) Hathiyar aur apne aap par bharosa.
(b) Shoot to kill (ek goli ek dushman ka mudda
hasil hona).
(c) Classification fire ka natija accha.
(d) Amn ki bachat.
8. Mauqe. Zeroing ke mauqe is parkar hai :-
(a) Accuracy par shak hone par.
(b) Jab LMG nai issue ho.
(c) Ek jawan se dusre jawan ko di jae ya li
jae.
(d) Classification fire karne se pahle
/Clasification fire mein jane se pahle.
(e) Larai mein jane se pahle.
(f) High altitute mein jane ke baad aur ane ke
baad.
(g) Badi repair ke baad.
9. Zeroing
Ke Waqt Zaruri Baten :- Zeroing ke waqt chand ek baton ka dhyan rakha
jata hai taki thik aur durust zeroing ho
sake :-
(a) Firer.Har ek jawan apni apni
rifle ko khud hi zero karta hai lekin LMG ek sec ka hathiyar hai. LMG NO 1 aur
NO 2 milkar handle karte hain aur isko zero karne ki zimmewari bhi NO1 aur NO2
ki hai. Aise halat mein dono acche firer hone chahiye :-
(i) NO 1 LMG ko zero karta hai aur sec ke baki
jawan isse check group fire karten hain aur apni shist mein tabdili ka andaja
laga lete hai.
(ii) Jahan tak ho sake firer
30.5 m range per group ki kabliyat 4 cm(3.8cm) aur 100 m range par 12cm
(11.4cm) rakhta ho.
(iii) Agar Rect ko fire karna ho
to ustad khud LMG ko zero kare aisa karne se amn aur samay ki bachat hoti hai.
(b) Hathiyar. Aam taur per LMG ko bipod se hi fire
kiya jata hai is liye chahiye ke :-
(i)
Hathiyar acchi tarah se
tuning up aur stocking up ho.
(ii)
LMG bipod par ho aur lying
Posn se pivot shoulder supported ho.
(iii) Zero karne se pahle 10
Rds ka burst (Auto fire ) barrel garam karne ke liye stop butt par fire kar lena chahiye.
(c) Target. Yadi aap 30.5 m se zero kar rahen hain to
target 1'x 1' aur 100 m se 4'x 4' hota hai. Is per kale rang ki chindi ka size
9''X 9'' aur uske niche wah bich mein aiming mark ka size 3''x4.5'' hoga. 1'X1'
target per aiming mark ka size 1''x .75'' hota hai.
(d) Range. LMG ki back sight par hamesha 200 m hi range
lagi honi chahiye aur ground per 30.5 m ya 100 m hi range honi chahiye.
(e) Mausam . Saaf,Hawa ke asar rahit aur prakash wala
din hona chahiye.
(f) Zeroing Tools. Tool adjusting foresight aur backsight ka
hona zaruri hai.
Bhag II : Zeroing
Ka Tariqa
10.
LMG ko zero karne ke liye aisa din anukool hai jab ke roshni acchi ho
aur hawa na chal rahi ho. Zero karne ke liye firer ko lying posn ikhtiyar karna
chahiye aur sirf upari baju ko sahara dekar fire karna chahiye. Is position
mein yakin kiya jaye ki :-
(a) Bipod zamin par majbut se jora ho.
(b) Mag zamin ke sath milap mein na ho.
11. MPI Ki Durust Jagah :-
(a) POA se MPI 30.5 m range per 1.25cm
upar aur 1.25cm dahine aur bayen banega.
(b) MPI 100 m range par POA se 5cm upar aur
10cm diameter mein banegi.(Ref
Accuracy specifications given at appx).
12. Upar
Ya Niche Ka Correction. Yeh
correction foresight ko harkat dekar MPI ki upar ya niche ki galti ko dur karne
ke liye diya jata hai :-
(a) Agar
foresight ko upar karenge to MPI niche aaegi aur forsight ko niche karenge to
MPI upar aayegi.
(b) Aisa
karne ke liye foresight adjusting tool ki madad se locking nut ko unlock karen.
(c) Foresight
ko zarurat suda upar ya niche ki harkat dein aur foresight ko tool ki madad se
usi position mein rakhte hue locking nut ko tight karen.
(d) Foresight ka ek pura chakkar se MPI 100m
range par 100mm (4”) upar ya niche harkat karta hai.
(e) Foresight par 16 chakkar dein shakten hain.aur
upar niche 64”ki galti ko dur kar sakten hain.
13. Daen
Ya Baen Ka Correction :- Yeh correction backsight ko harkat de kar MPI
ki dayen ya baen ki galti ko dur kiya jata hai :-
(a) Agar backsight dayen
karenge to MPI bhi dayen jayegi yadi backsight ko bayen karenge to MPI bhi
bayen jayegi.
(b) Tool adjusting ki madad se
wheel ke upar lagate hue chakkar de.
(c) Ek chakkar se 100mtr par
MPI 100mm(4”) dayen/bayen jati hai.
(d) Is parkar dayen/bayen 12
chakkar de kar dayen/bayen ki 48” ki galti ko dur kiya ja sakta hai.
(e) Akhir mein check group fire
karke MPI ko check kar lena chahiye.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know