TRIP FLARE
TRIP FLARE
1. Shuru Shuru ka kam.
(a) Ginti
aur group mein bant.
(b) Flare
ka mulahiza.
(c) Bandobast ki karwai.
2. Pahunch. Chhoti aur sabaq se sambandhit.
3. Uddesh. Trip flare ko lagana, arm aur disarm
karne ka tariqa sikhana hai.
4. Saman. Trip Flare.
5. Bhag.
(a) Bhag
I. Trip flare ka saman aur
hisson purzon ka nam.
(b) Bhag
II. Chal.
(c) Bhag
III. Trip flare lagana.
(d) Bhag
IV. Trip flare ko arm karna aur
urana.
6. Bhag I : Trip flare ka saman aur hisson puzon ke
nam.
(a) Picket
hisson ke nam (Main post, side prong,
side arm).
(b) Spring
arm hisse ke nam (arm, spring, link, safety pin, clamp nut).
(c) Flare
pot hisson ke nam (pot, wing nut, jaw aur safety pin).
7. Bhag II : Chal. Yeh
ek ignite hone wali kism ka flare hai. Yeh spring se kam karta hai. Is par ek
plate se control rakha jata hai. Jyon hi trip wire ko khinch diya jae ya bojh
par jae, to striker mechanism azad ho jata hai. Striker cartridge ke pende par
thokar marta hai, jisse shola nikalta hai aur flare ko aag lag jati hai.
8. Bhag
III : Trip Flare Lagana.
(a) Picket. Flare lagane ke liye ilaqa chun lene ke
bad dono taraf ek-ek picket aapas mein thik right angle par garo. Dhyan rahe side prong andar ki taraf ho. Picket side prong ki jagah tak zamin mein
garo.
(b) Spring
Arm. Spring arm ko us picket
ke main post par jis par flare pot lagana ho is tarah lagao ki main post ke
najdik harkat na ho sake aur is ka spring dushman ke ane ki tarah ho.
(c) Wire
Spool. Spool se pin ko
hatao, ring ko us picket ke main post mein lagao jis par flare pot na lagana
ho. Phir trip wire ko dusre picket ki
taraf le jao aur spring arm ke clamp ko dhila karte hue us ke gird chakkar
dedo. Yeh tasalli karne ke bad ki trip
wire itni khinchi hui hai ki spring wing pure faile hue hai clamp wing nut ko
kas do.
(d) Flare
pot. Sabse pehle safety pin ki
rassi ko wing nut se dhila karte hue isse alag karo. Ab flare pot ko us picket ke age jis par
spring upar laga hai, is tarah se main post aur side arm mein fansao. Flare pot ke niche wale wing nut ko dhila
karo. Trip wire clamp ke jaw se gujaro
aur nut ko kas do.
(e) Utarna. Utarne ki karwai lagane ki karwai ki thik
ulta karo.
9. Bhag IV : Trip Flare ko Arm Karna aur
Urana. Trip flair ko arm
karne ke liye safety pin ko is tartib se nikalo. Pehle spring wing se aur phir
flare pot se nikalo, dhyan rahe, safety pin ko nikalte samay kam karne wale ko
flare pot ke upar nahi jhukna chahiye.
(a) Disarm
karna. Flare pot ka safety
pin lagao aur bad mein wing wali safety
pin lagao.
(b) Udana.
Flare ko do tariko se udaya jata hai :-
(i) Katkar.
(ii) Chalte
hue tar ko dhakel kar ya khinchkar.
(c) Blind
par karwai. Agar flare blind
ho jae, to muh ko niche rakhte hue pot bari asani se utaro aur demolition
charge se barabad karo.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know