84 MM RL KI AAM HANDLING
84 MM RL KI AAM
HANDLING
Shuru Shuru ka Kam
1. Kisi bhi hathiyar ki handling se pahle
uska nirikshan kiya jata hai. 84mm RL ka mulahiza karne ke liye karwai is
prakar karen :-
(a) Launcher ke pichhe kneeling position lein aur
venturi ko daen haath se utha kar dekhen uske beech koi round ya anya saman na
ho.
(b) Launcher ko cock karen aur trigger dabaen.
(c) Bag No 1 aur 2 ka sarsari taur par mulahiza
karen aur saath hi container ka mulahiza karen.
Note :-
Yeh karwai har sabaq shuru hone se pahle aur bad mein ki jaegi.
Telescopic Sight ko
Utarna aur Charana
2. Telescopic sight ko RL par utarne ya
charane ke liye karwai is prakar karen :-
Utarna
(a) Dahine haath se launcher ko pakren aur baen
haath se plunger dabate hue sight ko nikale isse sight launcher se alag ho
jaegi.
Charana
(a) Yakeen karen ki open sight baithi hui hai.
Eye piece ko venturi ki taraf rakhte hue sight bar ko barrel ke upar bane hue
bracket mein fit kar den.
(b) Plunger ko dabate hue sight ko barrel ki
taraf ghumaen aur yakeen karen ki sight fit ho gaya hai.
3. 84 mm RL ke mount ki teen position hoti
hain.
(a) Uncha Mount.
(b) Nicha Mount.
(c) Tirchha Mount.
4. Mount ki position ko ‘mount catch’ ko utha
kar badli kiya ja sakta hai. Uncha ya nicha mount us halat mein lagaya jata hai
jab ki launcher ko lying position ya kisi morche se fire kiya ja raha ho.
Tirchha mount standing, kneeling aur sitting position mein lagaya jata hai.
Firing Position
5. 84 mm RL ko fire karne ke liye do admi ki
zarurat parti hai, No 1 firer aur commander aur No 2 loader. Isse ham kai
position se fire karte hain jinka bayan
age kiya gaya hai :-
(a) Standing Position. Yeh position larai mein istemal kiya jata
hai jab ki samne koi uncha arh ho ya jaldi se fire karne ki zarurat ho :-
(i) No 1 ki Position. Mount ko tirchhi position mein karta hai aur
launcher ko dahine kandhe par uthata hai. Donon pair kad ke mutabiq khule hue
body wt donon pair ke upar. Ankh sight se do inch pichhe. Baen haath front grip
par aur dahina haath pistol grip par.
Agar harkat ki zarurat ho to donon taknon se di jaye.
(ii) No 2 ki Position. No 2 RL No 1 ke dahine kandhe ke saath
launcher ki tarf munh rakhte hue itna paas rahe ki karwai kar sake aur hukam
sun sake. No 1 ke saath harkat kare.
Figure 9 Standing Position
(b) Kneeling Position. Yeh khule maidan ya unchi arh ke pichhe se fire karte samay
ikhtiyar kiya jata hai. Isse khud ka khaka chhota banta hai aur target ka
pichha asani se kiya jata hai. Iske do position hain, ek khare aur dusra
harkati target ke liye :-
(i) No 1 ki Position. Khare target ke liye yeh thik usi prakar hai
jaise ki rifle se position liya jata hai. Pakar standing position jaise.
Harkati target ke liye seat airi se upar uthain, pith sidhi ho,harkat kamar se
di jayegi.
(ii) No 2 ki Position. Donon ghutnon ke bal No 1 ke kandhe ke saath
baitha ho No 1 ke saath harkat kare.
Figure 10
Kneeling Position - Khare Target Ke Liye
(c) Sitting Position. Yeh position bhi hub-hu rifle ki
tarah hai aur pakar kneeling position jaise. Iske bhi do position hain ek khare
target aur dusra harkati target ke liye :-
(i) No 1 ki Position. Aam rifle ki position ki tarah aur donon
kohniyan ghutane par ho. Harkati tgt ke liye paon close kiye jaye.
(ii) No 2 ki Position. Hu-ba-Hu kneeling posn ki tarah.
Figure
11 Sitting Position - Khare Target Ke
Liye
Figure
12 Sitting Position - Harkati Target Ke Liye
Figure
13 Kneeling Position - Harkati Target Ke Liye
(d) Lying Position. Nazdik faasle par harkati targeton par lying
position se fire karna mushkil hai. Is liye yeh position tabhi liya jata hai
jab ki anya position se fire karna mushkil ho. Is mein No's ki position is
parkar hogi :-
(i) No 1 ki Position. Badan aur paon ko launcher ke 90 degree
angle par rakho. Mount ko uncha ya neecha rakho.
(ii) No 2 ki Position. No. 1 ke barkhilaf mount se 90 degree ke angle
par ho.
Note :- No. 1 aur 2 ke
badan ka koi bhi hissa/ back blast area mein na ho.
Figure
14 Lying Position
Bharna
6. (a) No
1 ka Kaam. Jab No. 1 ko tgt
area mein tgt
dikhai de ya hukam
mile ‘Bhar’ to woh launcher ko cock karta hai aur safety catch ko safe par
lagata hai. Kalmein wali ungli trigger guard se bahar rakhte hue No 2 ko adhesh
deta hai ‘Bhar’ saath hi round ke kism batata hai jaise ki ‘HEAT Bhar’ ya ‘HE
Bhar’.
(b) No 2 ka Kaam. No. 2 hukam dohrata hai aur venturi strap ko
muzzle ki tarf dabate hue venturi ko kholta hai. Venturi aur chamber ganda hone
par usse saaf karta hai. Container se round nikalta hai aur round ka mulahiza
karta hai. Agar round damaged ho ya
kahin se daba ho to use alag rakh kar doosra round nikalta hai. Round ko leta
hai aur baen haath ki ungli round ke recess mein rakhte hue round ko chamber
mein dakhil karta hai. Back blast area ka mulayeja karte hue venturi ko band
karta hai aur ‘UP’ pukarta hai (Dhyan rahe round ko bharte samay ghumaya na
jaye).
Figure
15 Bharna
Khali Karna
7. (a) No. 1 ka Kaam. Agar No. 1 ka fire karne ka iradana ho ya hukam
mile ‘Khali kar’ us waqt woh yeh
yakeen karega kih launcher cock ho aur safety catch ‘Safe’ par ho aur No 2 ko
hukam dega ‘Khali kar’.
(b) No. 2 ka Kaam. Pahle
No. 1 ke hukam ko dohrata hai aur phir venturi kholta hai. Venturi strap ko age
ki tarf harkat deta hai jisse round thora bahar aa jata hai. Round ko chamber
se nikalta hai venturi ko band karta hai aur round ko container mein band karta hai aur ‘UP’ pukarta hai. No 1 safety
catch ko fire parkarta hai aur trigger dabata hai aur uske baad launcher ko
niche rakhta hai. (Khali kar par venturi kab band karni hai batao).
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know