SCOUTING AUR SECTION BATTLE DRILL

 

SCOUTING AUR SECTION BATTLE DRILL

 


 

 

Scouting.

 

1.    Scout ki Paribhasha.  Scout woh hota hai jo ki dushman aur aage ke ilaqe ki zaruri jankarian, advance column ke aage chalte hue deta hai.

 

2.    Scouts ke Harkat. Scouts hamesha jorion (buddy pairs) mein rahte hue kaam karte hai. Yeh nimn is prakar se harkat karte hain:-

 

(a)     Advance by Bounds. Iska tatparya" ek paon zamin par rakhne" se hai.  Is tariqe se harkat karte waqt, scouts hamesha pahle se niyukt bounds ki madad se hi aage badhta hai. Jab ek scout harkat kar raha hota hai, to dusra scout uske advance ko cover karne ke liye covering fire deta hai aur pahle bound par pahunchne ke bad pahla  scout mukararshuda ishare se dusre scout ko aage ane ka sanket deta hai. Is prakar se advance jari rakhta hai. Is prakar ke advance ke nimnlikhit faide hain:-

 

(i)         Leading scout hamesha fire se cover rahta hai.

(ii)         Yadi leading scout kisi prakar ki pareshani mein ho to dusra scout section commander tak, bina samay gawaye suchna pahuncha sakta hai. 

 

(b)     Steady Advance.  Is tarike mein dono scouts bina ruke aur lagatar ek hi raftar se section ke aage chalte jate hain. Is prakar se harkat karte hue dono scouts ko nazar aur awaz ke milap mein rahna chahiye. Unke bich ka sahi fasla, zamin ki banawat par nirbhar karega. Tej raftar kayam rakhna, is tarike ka khas faida hai. Yeh lambe advance ke liye, ya jab dushman se lagao ki sambhavna na ho tabhi is tarike se advance karna chahiye.

 

Scouts par Niyantran

 

3.        Ek section commander ko scouts ki harkat par kara niyantran rakhna zaruri hota hai. Yadi use koi taaze aadesh scouts tak dene ho to use scouts ko ishare se rok kar, un tak age badhna chahiye.

 

4.        Savdhani scouts ki sabse bari khubi hoti hai aur scouts ka kam kafi dimagi mehnat ka hota hai. Is liye unhe samay samay par relieve karte rahna chahiye.

 

Scouts ka Kaam

 

5.         Jab bhi fire ata hai to scouts ke yeh kaam hote hain:-

 

(a)      Zamin pakar kar nazdik hi cover haasil karke fire position mein ana.

                 

                 

(b)       Jab tak sectioncommander age nahi pahunchta, scouts ko fire and move dwara, ek dusre ki madad karni chahiye, aur section ya column ki raksha karte rahna chahiye.

       

(c)       Dushman ki position aur yadi mumkin ho to inki tadad section commander ko batani chahiye. Yadi section commander age scouts ke pas tak nahi aa sakta hai to mukhya khabar field signal dwara bhejni par sakti hai.

       

(d)       Jab section commander halat par kabu pa leta hai to scouts ka age ka kam section commander ke nirdesh ke mutabik hoga.

 

Dekhbhal ki Taknik.

 

6.      Scouts hamesha jorion mein kam karte hain. Leading scout jo ki age aur bayen hota hai woh apne age aur bayen ke ilake ko dekhbhal karta hai. Dusra scout apne dahine aur age ke ilake ki dekhbhal karta hai. Lekin dono ke area of resposibility mein overlap bhi rahta hai.

 

Information Pass Karne ki Taknik.

 

7.      Aam taur par, scouts field signal ka istemal karte hain. Information (khabar) ko pichhe bhejne ke liye is ko duplicate karna zaruri hai. Short range ke radio set ke dawara. Udaaharan ke liye radio set VPS.

 

Section  Battle Drills.

 

8.       Battle Drill woh set drill hoti hai jinko sub units ya sub-sub units level par istemal karte hain aur un aam tactical situation se taluk rakhti hain jinse orders aur time dono ki bachat hoti hai. Yeh chhote tactical halaton ka hal nikalne mein kafi labhdayak sidh hota hain. Inse samay ki bachat hoti hai, karwai tej hoti hai aur koi confusion bhi nahi hota. Section aur Platoon commanders ki sabse bari mushkil wali baat yeh hoti hai ki unhen larai ki akhri stages mein teji aur durusti se chhote tactical halaton se nipatna hota hai. Iska tatparya hai ki jab leading section dushman ke effective fire ke ander aati hain. Yeh atyant awashyak hai ki saral aur lachile battle drills ka izahad kiya jaye, jisse ki junior leaders ko in halaton se nipatne mein asani ho. 

 

9.         Kisi bhi battle drill ke yeh khas tatva hote hain:-

 

(a)      Fire and move.

(b)      Appreciation  (jaiza).

(c)       Orders (hukam).

 

Fire aur Move.

 

10.      Section ya Platoon fire aur move mein mukhya vichar-yogya baten is prakar hai:-  

 

(a)      Bina covering fire ke, khule ilake mein harkat nahin karni chahiye.

(b)      Pure Rifle group ke jawan ek saath harkat nahin karni chahiye. 

(c)       Section aur Platoon commanders ka control (niyantran).

(d)     Covering fire dene ka angle (kon) jitna ho sake utna lamba (Perpendicular) ho aur ise bina samay ya control gawaye ikhtiyar karna chahiye.

(e)     Jitna bhi cover available ho uska istemal karo. Aar (cover) na hone par smoke ke istemal par vichar karna chahiye.

 

Appreciation (jaiza)

 

11.      Section commanders ko kai halaton se nipatne ki jarurat par sakti hai lekin phir bhi do mukhya situation is prakar hain:-

 

(a)     Achanak Khule Mein Dushman se Muthber.  Agar achanak khule mein dushman se muthbher ho jaye to bas ek hi tarika hota hai us halat se nipatne ka aur woh hai golion aur bayonet ke saath dushman par hamla.

 

(b)     Dushman ke Kargar Fire Dwara Rokne Par. Agar dushman ke kargar fire ke karan rukna pare to, section commander ko yah faisla karna chahiye:-

 

(i)        Hamle ki disha.

(ii)       Support group ka sthan.

 

12.     Section Commanders ke faisle aam taur par zamin par nirbhar karega. Waise bhi jab LMG ko ek flank mein lagakar rakha hoga, use dusre flank par le jana muskil hoga, kyonki dushman ka kargar fire upar aa raha hoga. Section Commander ki koshish honi chahiye ki dushman ko fire se hi barbad kar de. Yeh karne ke liye woh RL ka istemal kar sakta hai. Zamin ke mutabik woh LMG group ko assault me bhi le ja sakte hai, aur sirf RL se fire support bhi de sakta hai. Jab support group deployment hota hai to yeh zaruri nahin hai ki LMG aur RL ek hi jagah par hon. Achhi firing position ikhtiyar karne ke liye aur target ko engage karne ke liye alag location mein hona hi padega. Lekin dono dets hamesha section 2IC ke control mein hone chahiye.

 

Hukam (Orders).

 

13.     Section  ke attack (hamle) ke liye mukhya nimn baten hi hukam mein shamil ki jayengi:-

 

(a)      Supportgroup ko kis flank mein lagaya jayega.

(b)      Kaun sa group pahle move karega.

(c)       Hamla baen ya dahine se hoga, bataya jayega.

(d)      Fire ko rokne ka hukam ya signal aur ladai ke kis stage par diya jayega.

 


 

Battle Drill.

 

14.     Dushman ke kargar fire ke niche ane se lekar virodh ko samapt karne tak ki karwai ek drill ke taur par hoti hai aur ise char bhagon mein banta ja sakta hai. Yeh drill bahut lachili hoti hai. 

 

15.      Section  Battle drill in char bhagon mein pura hota hai:-  

 

(a)      Dushman ke kargar fire aane par pratikriya.

(b)      Dushman ka pata lagana aur use neutralise (Nishkriya) karna.

(c)       Hamla.

(d)      Re-organisation.

 

16. Dushman ke Kargar Fire mein Aane par Pratikriya.  Aam taur par sainikon ki pratikriya zamin pakarne ki hoti hai. Yeh galat hai, kyon ki yeh dushman ke liye achha target ban jata hai aur dushman asani se aimed fire dal sakta hai. Amuman aisi halaton mein ya to aar hogi hi nahi ya wajib nahin hoga. Sahi tarika hoga, bhago-zamin pakaro-rengo-dekho aur fire karo. Is par drill ke taur par amal karna chahiye. Bhagne se mushkil target banta hai aur zig-zag bhagna chahiye. Dhyan mein rakhne wali baat yeh hai ke dushman kafi dur se fire kar sakta hai, apne sniper rifle ko istemal karke aise halat mein lambe range ke hathiyar jaise ke RL ka istemal karke dushman ke upar fire kar sakte hain aur age ki harkat aad ko istemal karke hogi.

 

17. Dushman ko Dhundna aur Nishkriya karna.    Dushman ko dhund kar locate karna utna asan nahi hota. Dushman ko dekh kar, uske fire se ya uski harkat se dhunda ja sakta hai. 

 

18.     Dushman ka pata lagte hi Section commander ko fire control order dena chahiye aur section dwara nirdharit fire, dushman ko nishkriya karne hetu dalwana chahiye. Dhyan rahe ki initiative section commander hamesha apne hi hathon mein rakhe, jab woh dushman ke nazdik harkat kar raha ho, taki dushman par wajib hamla kiya ja sake.Amuman sniper ya eka duka dushman pakke defence mein nahin hoga, to inko barbad karne ke liye RL se air burst karne se kafi faida hoga.

 

19.      Hamla.  Section level par hamle do prakar ke hote hain:-

 

(a)      Baen se.      Is mein Rifle group, Support Group ke baen hota hai.

(b)      Dahine se.   Rifle group, SupportGroup ke dahine hota hai.

 

20.      Hamle ke dauran zaruri  baten is prakar hain:-

 

(a)      Section Commander rifle group ke aage hona chahiye.

(b)      Support group ko, ho sake to, voice control mein rakhta hai.

(c)       Sari harkaten fire se cover honi chahiye.

(d)      Covering fire ka angle lambavat (Wide)jitna ho sake hona chahiye.

(e)      Supportgroupsection ke hamle ko support karne mein ammunition/ mag ke lihaz se purnataya saksham hona chahiye.

 

 

21.      Re-organisation. Hamle ke baad nimn hona chahiye:- 

 

(a)      Support group bhi rifle group se ja milta hai.

(b)      Chhupe ya ghayal dushman ka pata lagane ke liye section commander objective ki search karta hai.

(c)       Ammunition ka bantwara/ redistribution. 

(d)      Ghayalon ki dekhbal aur evac. 

 

22.      Pradarshan.  Section battle drill ka pradarshan ayojit kiya jana chahiye.

 

23.      Battle drills ka training ke dauran abhyas karne se:-

 

(a)      Jawanon mein atma vishwas aata hai.

(b)      Indl initiative le sakta hai.

(c)       Team work paida hota hai.

(d)      Hukam lambe, dene ki zarurat nahin parti hai.

(e)      Sabko apna apna kaam malum hota hai aur safalta ke chances badh jate hain.

 

 

टिप्पणियाँ