5.56 MM INSAS LMG KI CHAL AUR ROKEN

 

5.56 MM INSAS LMG KI CHAL AUR ROKEN

 

Pahunch

 

1.      5.56 mm INSAS LMG kafi dur tak dushman ko engage aur bhari tadad mein fire karne wala automatic hathiyar hai. Lagatar fire ki dauran ismein chand ek roken par sakti hai. Sec ka har ek jawan is kabil mahir hona chahiye ki agar use LMG ki chal pata ho to usmein padne wale rokon ko bhi asani se dur kar sake.

 

Uddesh

 

2.      5.56 mm INSAS LMG ki chal parne wali roken aur unhen dur karne ka tarika sikhana hai.

 

Saman

 

3.      5.56 mm INSAS LMG, drill carts, mag, clearing plug, 1’ x 1’ tgt, sheet ground, cleaning kit box.

 

Bhag

 

4.      Yeh sabak aapko do bhagon mein sikhaya jayega.

(a)     Bhag I     :  5.56 mm INSAS  LMG ki chal

(b)     Bhag II    :  Fouri ilaj se rokon ko dur karne ka tarika.

(c)      Bhag III   :  Gas ki kami ki rok ko dur karne ka tariqa.

(d)     Bhag IV   :  Anya roken. 

 

Bhag I : 5.56 mm INSAS  LMG ki chal

 

5.      LMG ki chal mein 8 action hote hain aur iski mech safety, lock, unlock aur safety sear mein hota hai tetha applied safety change lever hai.

 

6.      LMG ke chal mein kam ane wale hisse purjon ke nam is prakar hai Hammer, firing pin, gas vent, gas plug, gas cylinder, piston head, gas fouling holes, piston extension, guide way, guide lug, barrel extension, ejector, extractor, recoil spring, feed piece, round, piston extention ka pichla, nichla aur daye wala pahlu aur safety sear.

 

7.      Chal.    Change lever ko ‘R’ ya ‘B’ par karne se aur trigger dabane se hammer azad ho kar firing pin ke piche thokar marta hai. Firing pin apne hole se nikal kar chamber wale rd ke painde par thokar marta hai  aur round fire ho jata hai. Fire hue rd se gas paida hoti hai, Jo ki bullet ko barrel mein aage dhakelti hai. Jab bullet gas vent ke pas hokar gujarta hai, to kuch gas, gas vent ke surakh se hokar gas cylinder mein dhakhil hoti hai. (Gas ki tadad gas regulater ki setting par nirbhar hai.)

 

8.      Gas cylinder mein dhakil hui gas piston head par dabav dalti hai. Jisse piston extension piche ki harkat karta hai. Jab piston extention  piche ki harkat karta hai to path way cam ke dwara rotating bolt ko dayen se bayen itna ghumata hai ki rotating bolt ko locking lug barrel extention locking surface se alag ho jata hai. Is karwai ko unlock kahte hai.

 

9.      Unlock hone ki baad rotating bolt aur piston extension ek saath pichhe ki harkat karte hain is dauran extractor fired case ko piche lata hai. Is karwai ko extraction kahte hain.

 

10.    Chal wale purzon picche ki harkat jari rahati hai. Is harkat ke dauran pistion extention ka stem shuru-shuru mein hammer ko thoda picche daba deta hai. Baad mein piston extension ka bottom surface hammer ko pura niche daba deta hai.  Jisse saafty sear ki notch hammer ke vent mein phans jata hai.  Is action ko cock ki karwai kahte hai.

 

11.    Chal wale purzon ki isi harkat ke duran fired case ejector se takaraker ejection slot ke jaryie dahine aur niche gir jata hai. Is karwai ko eject ki karwai kahate hai.

 

12.    Recoil spring apne housing mein sukar jata hai aur guide par over lap ho jate hain. Jab recoil spring apne tanav ko pura karta hai to piston extension aage ko dhakelta hai. Is dauran rotating bolt ka feed piece ke mag ke upar wale round ko chamber mein dakhil kar deta hai. Is karwai ko feed ki karwai kahte hai.

 

13.    Jab round puri tarah chamber mein baith jata hai, extractor rd ke painde par sawar ho jata hai karwai load ki hoti hai. Rotating bolt ki aage ki harkat samapt ho jati hai. Piston extension ki  aage ki harkat jari rahti hai. Is karwai ko loading kahte hai.

 

14.    Piston extension aage ki harkat ke dauran Rotating bolt cam ki madad se path way mein bayen se dayen itna ghumata hai ki rotating bolt ka locking lug barrrel extension ke locking lug ke saath lock ho jata hai. Is karwai ko lock ki karwai kahte hai.

 

15.    Lock hone ke baad bhi piston extension ka kuch harkat baki rahta hai is akhri  harkat ke dauran piston extension ka dahina, nichla aur pichla hissa safety sear ko daba deta hai. Isse safety sear ke notch aur hammer ke vent ka milap toot jata hai aur LMG dubara fire ke liye taiyaar ho jati hai.

 

Bhag II  Roken aur unhen dur karna

 

16.    Ek jawan ko is hathiyar se pura faida uthana chahiye aur yeh tabhi sambhav  hai jab use isme parne wale rokon ko theek prakar se dur kar sake.

 

17.    Fouri Ilaj.LMG shuru se hi fire na kare ya karte karte ruk jai to karwai fouri ilaj ki karen. Karne ka tariqa, kalme wali ungali ko trigger se nikalen baen hath se LMG ko cock karen holding opening device lagaye. Mag catch ko dabate hue mag ko utaren. Pouch se bhara hua mag len aur mulaiza karte hue mag way mein dakhil karen. Chal wale purzon ko aage jane dein. Is prakar LMG ko ek bar cock karne se aur mag ki badli karne se teen rokon ko door kiya jata hai. 

(a)       Khali mag.

(b)        Mis fire.

(c)        Body mein atka hua rd.

 

18.   Fouri ilaj ki karwai karne ke baad bhi agar rd fire na ho ya fire ho jaye  aur purze piche na aaye  to iske do karan ho sakte hai.

(a)       Sakhat khichao.

(b)       Gas ki kami ki rokh.

 

19.   Sakhat Khichao.   Ager goli fire hone ke bad chalwale purje peeche na aaye to trigger se ungli ko hatayen, aur lmg ko cock karen aur yadi LMG cock na ho to sakhat khicho ki rok samajh kar karwai is prakar karen. LMG ke piche kneeling posn ikhtiyar karen. Daen gutna butt ke piche layen aur daen hath ki pakar small of the butt par is prakar hon ki charon ungliyan upar se aur augutha nichhe se. Sath hi bayen hath se cock handle ko khara karen aur kisi rassi ya pull through ke cord ko handle par lapet kar jhatke se khicke. Is praker sakhat khicho ka rok door ho jayeja.  LMG ho dubara fire mein shamil karen.

 

20.  Yeh rok ganda ya maila chamber ke wajah se ho sakta hai. Agar chamber ganda hai to use saaf karen aur LMG ko fire mein shamil karen.

 

21.  Agar cock karne par LMG asani se cock ho jae  to eject hue rd ya case ko check karen. Agar rd eject hua hai to rd ke pende ko check karen. Agar primer par chot nahi ho to tuta hua firing pin  ki rok to samajh kar firing pin  ki badli karen.

 

Gas ki kami    

 

22.  Yadi fired case eject hua ho to gas ki kami ki rok samajh kar dur karen. Butt kandhe ka milap todein. Gas regulator is posn low se high par karen. Butt ko  kandhe par lejaen aur LMG ko fire mein shamil karen. Agar high par parne par bhi gas ki kami rahe to gas block aur gas plug ki khole kar saaf karen.

 

23.  Anya roken.Fauri ilaj aur gas ki kami ki rok dur karne ke bad bhi yadi rd fire na ho to  LMG ko cock karen.  Holding opening device lagaye aur ejection slot  ke jariye dekhen.  Agar bhara mag aur chamber mein rd ho to tuta hua extractor ki rok samajh kar extractor ki badli karen.

 

24.  Yadi chamber mein do round atka hua hai to mag ka lips tuta hua ho sakta hai. Is par mag ki badli karen aur LMG ko fire mein shamil karen.

 

25.  Yadi chamber mein puri tarah rd fit na ho saka ho to chamber mein kata hue case ho rakta hai. Is rok ko dur karne ke liye LMG ko cock karen aur holding opening device lagayen.

 

26.       Clearing Plug ka Istemal.   Clearing plug len. Base aur centre pin ko tight karen aur chamber mein dhakil karen purjon ko aagen jane dein LMG ko cock karen. Yakin karen ki clearing plug ke saath kata hua case bahar aa gaya hai . Samay ho to case ko clearing plug se alag karen. Chamber mein case katne ke chand ek karan hote hain.

(a)       Chamber mein jiyada gas foulling hona.

(b)       Chamber maila hona.

(c)        Chamber garam hona.

(d)       Carts ka dhatu kamjor hona.

 

Sankshep

 

27.       Ek firer ko LMG ki chal ke bare mein malum hona chahiye taki is mein parne wali roken ko samajhne mein asani hoti hai. Yadi rok parti hai to samaj se ek firer ko is kabil hone chaihye ki woh rokon ko dur karke LMG ko fire mein shamil kar sake.

 

टिप्पणियाँ