insas rifle ip
LESSON PLAN
SUBJECT: 5.56MM INSAS RIF KI CHAL, PARNE WALI
ROKEN SYLLABUS REF : INF SCHOOL, (MHOW) PRECIS
AUR UNHEN DUR KARNE KA TARIQA SIKHANA
HAI.
SYLLABUS REF : INSAS
– 5
TIME
ALLOTED: 80
MINUTES PERIOD NO: II & III
S/NO
|
TARTIB |
TEACHING POINTS
|
TRG AIDS
|
TIME
|
REMARKS
|
|
Actual |
Running |
|||||
(a) |
(b)
|
(c) |
(d) |
(e) |
(f) |
(g) |
1. |
SHURU
SHURU
KA KAAM
|
(a) Class ki ginti groupon mein bant . (b) Hathiyar
aur saman ka nirakshan. (c) Bandobast ki karwai. |
Rif, Mag,
Drill Carts, 1X1 Tgt, , Assy Bag, Black Bd, Chalk, Duster, Ground Sheet.. |
01 |
01 |
Nirikshan class se karwaya jae. |
2. |
DOHRAI
|
Q1. 300 m par tej daurte tgt ke liye kitne lead
aage shist liya jata hai? A. 9 lead aage shist liya jata hai. Q.2.
Sight allignment aur sight picture mein kiski ahmiyat jayda hai? A. Sight allignment ki ahmiyat jayda hai. |
|
01 |
02 |
Dohrai
pahle lesson se ek ya do sawal puchhkar liya jaye. |
3. |
PAHUNCH
|
5.56mm
INSAS Rif gas ke dabav aur recoil spring ki takat se kam karne wala hathiyar
hai. Isse hum single shot aur three rd cont burst fire kar sakte hain. Isliye
har firer ko bharna aur khali karne sikh lena hi kafi nahi hai balki iski
chal aur rokon ke bare mein jankari hona nihayat zaruri hai. Taki Lagatar
firing se ismein chand ek roken par sakti hain, parne wali rokon ko aasani se
door kar sakta hai. Lakin
yeh tabhi sambhav hai jab ke har ek jawan ne SQD post trg ke dauran achhi sikhlai
paya ho. Innhi baton ko maddhenazar rakhte hue sune sabak ka uddesh. |
|
01 |
03 |
Pahunch
sabaq se sambandhit ho. |
2
(a) |
(b)
|
(c) |
(d) |
(e) |
(f) |
(g) |
4. |
UDDESH
|
5.56 mm INSAS Rif ki chal , parne wali roken aur unhen door
karne ka tariqa sikhana hai. |
|
01 |
04 |
Do bar
bataya jayega. |
5. |
SAMAN
|
5.56mm
INSAS Rifle, mag drill carts, 1X1’
tgt, , accessory bag, chal ka diagram, black bd, chalk duster aur ground
sheet ya trg mattress. |
As per trg
aids. |
01 |
05 |
Saman ko point karke batayenge. |
6. |
BHAGON MEIN BANT
|
Sabak tarteebwar chale aur class ko
samajh mein aaye sabak ko char bhagon mein sikhaoonga Bhag -I INSAS Rif ki
chal. Bhag -II Fouri Ilaz ki karwai aur shakhta khichav
ki rok. Bhag-III Gas ki
Kami ki Rok. Bhag-IV Anya
Roken. Yahan tak kiye bayan aur karwai mein
kisi student ka koi sawal,sawal nahi
to bhag no 1 |
|
01 |
06 |
Sabak ko tartibwar
chalane ke liye. |
|
BHAG-I
NAMUNA |
INSAS Rif ki Chal. INSAS Rif ki chal bhi SLR ki tarah 8 action mein puri hoti hai. Isko aap metallic board par bane diagram ki madad se samjhen Fire, Unlock, Extract, Cock, Eject, Feed, Load, Lock. Chal ke diagram mein kisi bhi student ka koi sawal. Sawal nahi to chal bataoon isse pehle jaroori samjhta hoon ki chal mein kam ane wale hisse purjon ke naam bata doon. Taki aapko chal samjhane mein assani ho. Chal mein kam aane wale hisse purjon ko dekhne ke liye class ground sheet ke agle kinare par sthan lo. Change lever, Trigger, Hammer, Firing pin, Chamber wala rd, Gas vent, Gas plug, Gas cylinder, Piston extension, cam way, Locking lug, Barrel locking lug, Rotating bolt, Recoil spring, Barrel locking surface. |
|
10 |
16 |
|
3
(a) |
(b)
|
(c) |
(d) |
(e) |
(f) |
(g) |
|
|
INSAS
ki Chal. Fire. Jab ek firer change lever ki posn ‘S’ se
‘R’ ya ‘B’ par karke trigger press karta hai to hammer azad hokar firing pin
par chot marta hai jisse firing pin apne surakh se nikal kar rd ke primer par
thokar marta hai aur rd fire ho jata hai. Ise fire ka action kahte hain. Unlock. Fire hue rd se paida hui gas bullet ko aage
barrel mein dhakelti hai, jyon hi bullet gas vent ke paas se hokar gujrata
hai kuch gas, gas vent ke hole se cylinder mein dakhil ho jati hai. Cylinder mein dakhil gas piston head par
dabav dalta hai, jisse piston extension pichhe ki harkat karta hai. Piston
extension ke pichhe ki harkat ke dauran rotating bolt ka cam cam way mein
dahine se bayen itna ghumta hai ki rotating bolt ke locking lug barrel
extension locking surface se alag ho jaten hai. Is karwai ko unlock ka action
kahte hain. Extract. Unlock hone ke baad
rotating bolt aur piston extension ek sath pichhe ki harkat karte hain, isi
dauran extractor fired case ko apne munh mein pakar kar pichhe lata hai, is
karwai ko extract ki karwai kahte hain. Cock. Chal wale purjon ki harkat lagatar jari rahti hai. Isi dauran
piston extension ka stem shuru shuru mein hammer ko thora nichhe dabata hai
baad main piston extension ka bottom surface
hammer ko pura niche daba deta hai, jisse safety sear ke nose ka milap
hammer vent se ho jata hai. Is karwai
ko cock ka action kahten hai. |
|
|
|
|
4
(a) |
(b)
|
(c) |
(d) |
(e) |
(f) |
(g) |
|
|
EJECT. Chal wale purje ki isi harkat ke dauran
fired case ejector se takrakar
ejection slot ke raste dahine aur nichhe gir jata hai, Is karwai ko eject ki
karwai kahte hain. FEED. Recoil spring apne housing mein sikur jata hai.
Jab recoil spring apne tanav ko pura karta hai to piston extension ko aage
dhakelta hai. Is dauran rotating bolt ke
feed piece mag ke uppar wale rd ko chamber mein dakhil kar deta
hai. Is karwai ko Feed ki karwai kahte
hain. LOAD. Extractor
rd ke pende par sawar
ho jata hai. Is karwai ko load ka
action kahte hain. yahan par rotating
bolt ki aage ki harkat samapat ho jati hai lekin piston extension ki harkat
baki rahti hai. Lock.
Piston extension ki aage ki harkat jari rahti hai , Isi harkat ke
dauran rotating bolt cam ki madad se cam way mein bayen se dahine itna ghumta
hai ki rotating bolt ke locking lug barrel extinsion locking surface ke sath lock ho jate hain. Is karwai ko lock ka action kahte hain.
Lock hone ke baad bhi piston extension ki kuch harkat baki rahti hai. Jab piston apni aakhri harkat pura karta
hai to piston extension ka nichla, pichhla aur dahina pehlu safety sear head par
dabav dalta hai, jisse safety sear ki notch hammer vent se alag ho jati hai
aur rif dubara fire ke liye taiyar ho jata hai. (Iske bad sectionaize rif
par bayan ke sath namuna dena hai) |
|
|
|
|
|
ABHYAS
|
Yeh
tha bhag No - i ka namuna abhi hoga
issi ka abhyas , Pure class se abhyas karaya jae. |
|
10 |
26 |
Abhyas pure class se karaya jae. |
5
(a) |
(b)
|
(c) |
(d) |
(e) |
(f) |
(g) |
|
BHAG-II
NAMUNA |
Abhi sikhaunga Bhag No 2 Fauri ilaz se rokon ko dur karna Yeh karwahi kish prakar ki jati hai issi karwai numuna mein
aapko hathiyar par bayan ke sath doonga aap dekhen tatha samjhen. Fauri Ilaz ki
karwai aur Shakhta Khinchav ki Rok :- Bhar, 200, Ready, Samne Tgt fire, Sune is
prakar trigger dabane se agar rifle fire na kare ya fire karte karte ruk jaye
,to fauri ilaz ki karwai karen ,karne ka tarqa sabse pahle kalme wali unguli
ko trigger se bahar karen. Rif ko
kandhe se nichhe layen.Rif ko cock karen. holding opening device ko
lagayen. Mag catch ko dabate huye mag
ko utaren pouch mein band karen. Pouch
se bhari hui mag ko len. Mag ka mulahija
karte huye mag way mein dakhil karen.
Yakin karen ki mag thik tarah se baith gaya hai. Purjon ko aage jane den. Butt kandhe ka
milap karen. Rif ko fire mein shamil
karen. Rif thik fire karega. Is prakar ek bar rif ko cock karne aur mag
ki badli karne se teen prakar ki roken door hoti hain.Mag ki rok , Misfire
aur body mein atka hua round ya fire case.
Fori ilaz ki karwai mein kisi bhi student ka koi sawal. Shakhta Khinchav ki
Rok ko Dur Karna
:- fauri ilaz se rokon ko door karne ke bad bhi rifle
fire na kare ya fire kare aur chal wale purje aage hi ruk jaye.to rok ko
pachane .pachanne ka tariqa Kalme
wali anguli ko trigger se bahar nikalen. Rif ko kandhe se nichhe
layen aur cock karen dekhne mein aaya assani se cock nahi to Rif ko nichhe
rakhen. Dono hathon ki madad se Kneeling posn ikhtiyar karen. Rif ko uthayen. Rifle 450 ke
angle mein aasman ko point karti hui.Bayen hath ki pakar forehand guard par
charon aungliyan bhar se angutha brl ko point karta hua.Mag bayen taraf aur
ejection slot nichhe ki taraf. Dahina
ghutna poora dahine. Butt dahine
ghutne ke sath laga hua. Dahina ghutna
butt ko pichhe jane se rokta hai. Dahine
hath ke anghuthe aur aungli ki madad se Cocking handle ko khara karen. Dahine hath ki charon anguliyon ka huk
banate hue rif ko cock karen. Yakin
karen ki shakhat khinchav ki rok door ho gai hai.Rif ko nichhe rakhen. Dubara
pahle wala ikhtiyar karen. Butt kandhe
ka milap karen. Rif ko fire mein shamil
karen. Rif thik fire karegi. |
INSAS Rif,
mag, clearing plug, ground Sheet |
09 |
35 |
Ustad class
ko fouri ilaz ke bare mein tafsil mein batayega. |
6
(a) |
(b)
|
(c) |
(d) |
(e) |
(f) |
(g) |
|
|
Sakhat
khichav ki rok parne ke karan:- (a) Ganda Chamber. (b) Amn
ka maila hona. Yahan
tak ki karwai mein kisi bhi student ka koi sawal. Sawal nahi to rif thik fire
karta khali kar. |
|
|
|
|
|
ABHYAS
|
Yeh tha bhag no - ii ka namuna abhi hoga issi ka abhyas , Abhyas
ke liye addesh is prakar honge. Rif
thik fire karta rukta ke addesh par aap fouri ilaj ki karwai mein cock tak ki
karwai karenge. Mein Munasib rok ka
naam loonga. aap rok ko samajhkar usse door karenge.jaise ki Mag ki rok ke addesh par aap mag ki
badli karenge, Body mein atka hua rds
ya fired case ke addesh par aap body ko clear karenge, Eject hua rds ke addesh par aap rds
ke primer ka check karenge.Cock nahi ke addesh par shakhat
khichav ki rok samajhkar door karenge addeshon mein kisi bhi student ka koi
sawal. Pure class se abhyas karaya jae. |
|
10 |
45 |
Pure class
se. |
|
BHAG-III
NAMUNA |
Gas ki Kami
ki Rok ko Dur Karna :- Fori ilaz ki karwai aur shakhat khinchav
ke rok ko door karne ke bad bhi agar rifle fire na kare ya karte-2 ek do
rondon ke bad ruk jae to karwai Gas ki Kami ki Rok ko samajh kar karen, karne
ka tariqa sabse pahle kalme wali anguli ko trigger se bahar nikalen. Rif
ko kandhe se nichhe layen. Dahine turn karte hue rif ko cock karen. Purjon ko
aage jaane den. Change lever ki posn ‘S’ par karen. Rif ko dahine bagal mein
layen. Gas regulator ki posn ka
mulahija karen. Agar gas regulator ki
posn low par ho to kisi saaf kapre ya chindi ki madad se low se high par
karen. Yadi gas regulator ki posn
pahle hi high par ho to gren sight ko 60 degree ke angle par khara karen.
Patle wali drift ki madad se gas vent aur gas plug ke hole ki safai
karen. Gren sight ko poora nichhe
bitha den. Gas regulator ki posn ko kapre ya chindi ki madad se High se Low
par karen.High se low par kiya. Dhyan rahe hath barrel ke sath touch nahi
hona chahiye. Change lever ki posn ko pahle wali posn par karen. Rif ko kandhe par le jayen durust shist len
aur fire karen rif thik fire karega. Gas
ki kami ki rok parne ke karan. Gas ka
jaida fouling hone se gas vent ke hole ka band ho jana. Yahan tak ki karwai
mein kisi bhi student ka koi sawal. Sawal nahi to rif thik fire karta khali
kar. |
|
05 |
50 |
|
7
(a) |
(b)
|
(c) |
(d) |
(e) |
(f) |
(g) |
|
ABHYAS
|
Yeh
tha bhag no - iii ka namuna abhi hoga
issi ka abhyas , Abhyas ke liye addesh is prakar honge. Rif thik fire karta rukta, ek do round ke
bad rukta ke addesh par aap gas ki
kami ki rok samajhkar karwai karenge. addeshon mein kisi bhi student ka koi
sawal. Pure class se
abhyas karaya jae. |
|
10 |
60 |
Pure class
se. |
|
BHAG-IV
NAMUNA |
Anya Roken
Dur Karne ka Tariqa. Fori
ilaz ki karwai aur shakhat khinchav aur gas ki kami ke rok ko door karne ke bad
bhi agar rifle fire na kare ya fire to kare lekin chal wale purjon mein bhin
bhin prakar ki awajen aye to body chamber ke rokon ko samajh kar door karen,
karne ka tariqa sabse pehle
Kalme wali anguli trigger se bahar nikalen. Rif ko kandhe se nichhe layen. Mag catch ko dabate huye mag ko
utaren. Rif ko cock karen. Purjon ko aage jane den. Rif ko khol den. Firing pin aur extractor ka mulayja karen. Yadi tute hue hon to unki badli karen. Abhi ke liye firing pin extractor thik, to
ho sakta hai body chamber ki rok.Donon hathon se pistol grip se rif ko pakren
aur rifle ko jisam se aage karte hue body aur chamber ka mulayja karen. Dekhne
mein aaya body clear ,chamber mein kata hua case to rif ko jor den. Rif ko cock karen aur Holding Opening Divice
ko lagaen. Clearing plug ko len. Clearing plug ke teen bade hisse purje Base,
Sleeve aur center pin (Yahan par class
ko khol kar dikhayen). Base aur center pin ko tight karen, dahine hath ki anghuthe aur anguli ki madad
se chamber mein dakhil karen. Purjon
ko aage jane den. Rifle ko cock karen
aur Holding Opening Divice lagayen. Yakin
karen ki kata hua case clearing plug ke sath bahar aa gaya hai. Agar samay ho to unscrew karen nahi to Pehla
mauka milte hi unscrew karen. Bhari hui
mag ko len aur mag ka mulayja karte huye mag way mein fit karen. Yakin karen ki mag thik lag gaya hai. Purjon ko aage jane den. Rifle ko kandhe
mein le jayen durust shist len aur fire karen, rif thik fire karegi. Chamber mein case katne ke karan:- (a)
Chamber ka zarurat se jaida garam ho jana. (b)
Cartridge case ke metal ka kamjor hona. Anya rok dur karne mein kisi bhi student ka koi sawal nahi to rif thik fire |
|
07 |
67 |
|
8
(a) |
(b)
|
(c) |
(d) |
(e) |
(f) |
(g) |
|
|
karta khali kar. Kabhi kabhi kata hua case clearing plug ke sath bhar nahi aata iske
chand ek karan base aur centre pin ka tiet na hona, sleev head ka ghis jana,
sleev ka ulta jud jana , Ya in mein se kisi ek purje ka toot jana, |
|
|
|
|
|
ABHYAS
|
Yeh
tha bhag no - iv ka namuna abhi hoga abhyas. Abhyas ke liye addesh is prakar honge. Rif thik fire karta rukta, fire nahi ke
addesh par anya roken samajhkar dur karenge, addeshon mein kisi bhi student ka koi sawal. Pure
class se abhyas karaya jae. |
|
10 |
77 |
Pure class
se. |
7. |
SANKSHEP
|
Shuru
shuru mein class ki ginti groupon mein bant kiya gaya.Hathiyar aur saman ka
nirikshan class ke dawara kiya gaya .bandobast ki karwai mere dawara check
ki gai. Dhorai pichhle lesson se karaya
gaya. Uddesh ko dohraya Bhag -I INSAS Rif ki
chal. Q1. INSAS Rif ki chal kitne action mein puri
hoti hai ? Ans. 08 action mein. Bhag -II Fouri ilaz
se Rokon ko dur karne aur shakat khichav ki rok. Q2. Fouri ilaj se kitne prakar ki roken dur
hoti hai ? Ans. Teen prakar ki. Bhag-III Gas ki Kami ki Rok. Q3. Gas ki kami ki rok parne ke kya karan
hain ? Ans. Gas ka jayda fouling hone se gas vent ya
gas plug hole ka band ho jana. Bhag-IV Anya Roken. Q4. Chamber mein case katne ke kya karan hai
? Ans. Chamber ka jayda garam hona, rd ke metal
ka kamjor hona. Yahan par
lesson sankshep ke sath samapat hota hai abhi bhi pure lesson mein kisi bhi
student ka koi sawal, aapka aagla
lesson Insas rif ke trigger mech ke bare mein jankari dena , isse aap padkar
ayenge. |
|
03 |
80 |
|
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know