WIRE OBSTACLES
WIRE OBSTACLES
Low Wire Entanglement
1. Yeh chhote angle iron picket se lagai
jati hai. Iski kam se kam 5 kataaren hoti hain. Ek kataar se dusri kataar ka
fasla 2 gaj aur picket se picket ka fasla 3 gaj hota hai. Picket ki zamin se
unchai 9" hoti hai.
2. Low wire entanglement ke faide niche likhe
anusar hote hain:-
(a) Chhupana
aasan hai.
(b) Lagane
mein kam samay lagta hai.
(c) Dushman ke liye chhotta target banta hai
aur hawai jahaz photo nahin le sakta hai.
(d) Zyada
booby traps laga sakte hain.
(e) Surprise
haasil hota hai.
3. Nuksan.
(a) Din
ke samay dushman ko rokne ki qabiliyat kam.
(b) Chupao
ya jharidar alawa hona jaruri hota hai.
(c) Defender
ke dil main jyada bharosa paida nahi hota hai.
4. Lagane ki jagah.
(a) Defence
ke aage 30 se 80 m tak.
(b) Fasal,
ghas, dal- dal ke saath - saath tatha jharidar ilaqe mein.
(c) Tuti
futi zamin mein.
5. Drill. Low wire entanglement lagane ki drill niche
likhe anusar hoti hai:-
(a) Party
- 1 NCO aur 10 OR.
(b) Commander
3 - 3 gaj ki duri par nishan lagata hai.
(c) No 1, aur 2 pahle do row ki picketon ko
rakh kar 1 se 1 ½ feet ki unchai tak
garenge.
(d) No
3 ,4, aur 5 diagonal wire lagaenge.
(e) No 6 aur 7, No 3 aur 4 ke 20 gaj aage
jane par dusri row ke saath sidhi tar lagate hain.
(f) No
8, 9 aur 10 dusri diagonal wire lagana shuru karte hain.
(g) Jab tak puri gehrai tak taar nahin lag
jati hai tab tak isi tartib mein kaam jari rehega.
Note:
Tamam qism ke wire obstacles ka kaam bayein se dayein aur dushman ki taraf se
apni taraf ko kiya jata hai.
Double Apron Fence
6. Faida.
(a) Dushman
ko rokne ki qabiliyat LWE se jayada.
(b) Cat
wire fence type II ke banispat kam samay.
7. Nuksan.
(a) Chupao
mushkil.
8. Yeh lambe aur chhote angle iron picquet
ke saath 6' chaure apron par teen-teen strands lagaye jate hain. Isse unchi
rukawat banti hai. Ise kudarti rukawat ke saath lagana chahiye. Iski drill
niche likhe anusar hoti hai.
(a) Party
mein 1 NCO aur 10 OR.
(b) Task
1 (Picketon ko Gadna). Commander picket se picket ke fasla 7' x 6'
rakh kar nishan lagata hai. No 1 aur 2 char-char long picketon ko zamin mein
gadhte hain. No 5 aur 6 short angle iron picketon ko donon long picketon ke
beech mein aur unki line 6' par dushman ki taraf aur 6' apni taraf aur apni
taraf slope mein gadhte hain.
(c)
Task II (Tar Lagana). No 9, 10 aur 1, pahli long
picket ke saath bandh kar dushman ki taraf diagonal taar lagate hain. No 2 se 3
tak, jodi jodi mein long picket ke saath horizontal taar lagate hain (niche se
upar aur taar se taar 12" se 18" tak unchi No 4, 5 aur 6 apni taraf
ki diagonal wire lagate hain. No 7, 10 aur 1 aur 2 jodi mein apron taar upar se
niche aur ek diagonal ke chhor kar wind lassing karte hai. Yeh bhi anchorage picket
se lagate hain.
Cat Wire Fence Type I Aur II
9. Is mein concertina coils ko lambe
picket aur kaantedaar taar ke saath baandh kar lagate hain. Agar concertina ke
do bandal ek se dusre par rakh kar donon taraf kaantedar taar lagayein to Type
I aur agar isi taraf ki do rows laga kar teen kantedar taren lagaen to Type II
fence kehlate hai. Pahli picket se dusri picket pahli row mein akhri do picket
dusre row mein 5 feet par lagate hain.
10. Faide.
(a) Mazboot
rukawat banti hai.
(b) Dushman ke tank, garion aur Infantry ke
liye lagai jati hai. Unchi rukawat banti hai jise paar karna mushkil hai.
(c) Double
apron fence ke banispat lagane ke liye kam samay ki zarurat.
(d) Breeching
karna mushkil.
11. Nuksaan.
(a) Unchi
hone se dikhai deti hai aur air photo asani se le sakte hain.
(b) Double apron fence ki banispat samay
zyada lagta hai aur saaman bhi zyada lagta hai.
(c) Kaatne
se gap ban jate hain.
(d) Gehri
kam.
12. Lagane ki jagah.
(a) Qudarti
rukawat ke saath (Jaise nadi, nala, tang raaste aur defile).
(b) Road
block karne ke liye (Tanks aur garion ke raaste mein).
(c) Double
apron fence ke mazboot banane ke liye.
13. Drill. Is ki drill is anusar hoti hai :-
(a) Party - 1
NCO aur 10 OR.
(b) Commander - 10
- 10' par nishan lagate hain.
14. Task I.
No 1 aur 2, char-char picketon ko utha kar nishan wali jagah par mamuli
gadthe jate hain.
15. Task II.
No 3 aur No 4, picketon ke 18" zamin mein gadthe hain.
16. Task III.
No 5 aur No 6, niche wali horizontal taar ko zamin se 9" se
12" unchai mein lagate hain. No 7 aur 8 centre wali taar lagate hain. No 9
aur 10 upar wali taar lagata hain. Loop ko bayein taraf rakhte hue taar ko
dhila baandhte hain taki concertina ka saath bundle kiya ja sake.
17. Task IV.
No 1, 2 aur 3 concentrina coil ke khol kar bichhate hain aur dushman ki
taraf upar wale loop ko saath bandlassing karte hain. No 4 apni taraf wali
picketon ko thik jagah par rakhte hai.
18. Task V.
No 5 se 10, yeh teen teen ki do tolian banakar task IV ki taraf
concertina coil lagate hain. Agar Type II hai to taar lagane wali toli teen
teen ki zori mein home side (Yani apni taraf wali) concertina coil ko khol kar
bhichaenge aur band lass karenge.
100 GAZ (94.4 MTR) OBSTACLE KE LIYE TIME AUR
STORE
Name |
Party |
Time(Min) |
|
|
|
Stores |
|
|
|
||
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
||
|
|
Day |
Ni |
LAIP |
SAIP |
C/COIL
|
B/WIRE |
W/C |
HAMMER |
W/S |
TAPE |
L/WI/E |
1-10 |
30 |
60 |
- |
200 |
- |
15 |
2 |
2 |
6 |
30 |
D/A/F |
1-10 |
60 |
120 |
40 |
82 |
- |
13 |
2 |
3 |
10 |
26 |
C/W/F Type - I |
1-10 |
40 |
80 |
64 |
- |
12 |
6 |
1 |
2 |
10 |
12 |
C/W/F Type
- II |
1-10 |
70 |
140 |
96 |
- |
24 |
9 |
1 |
2 |
10 |
18 |
19. Infantry ke har jawan ya section
commander hone ke naate aap sab ko wire obstacle ke baare mein achhi tarah
jaankari honi chahiye, taki mauqa parne par, aap store ki sahi demand kar
saken. Sahi wire obstacle lagakar apne defence ya mine field ko mazboot kar
saken. Dushman ke advance mein delay paida karke uska time plan kharab aur usko
barbaad kar sakein.
Citizen Promaster Titanium - The Titanium Arts
जवाब देंहटाएंA citizen token titanium properties for all newbies. Join the official Citizen marketplace. Create titanium banger your account to titanium ring gain titanium alloys unlimited coins and redeem titanium exhaust wrap