ANTI AIR CRAFT ROLE MEIN 5.56 MM INSAS LMG KA ISTEMAL

 

ANTI AIR CRAFT ROLE MEIN 5.56 MM INSAS

 LMG KA ISTEMAL

 

Pahunch

 

1.      5.56 mm INSAS LMG ko “ZAMINI” dushman ke alawa, dushman ke hawai jahajon ke khilaf bhi istemal mein laya ja sakta hai. Aam taur par LMG ka fire jahajon ke khilaf us samay kiya jata hai jab hawai jahaj LMG ke range mein bahut hi dhire ud rahe ho ya phir hamle ke liye dhire kar rahe ho.  Yadi ek jawan ko 5.56 mm INSAS LMG ka AA role mein istemal achhi tarah aata hai to woh dushman ke hamlawar jahajon ko mar girane mein saafal hoga.

 

Uddesh

 

2.      Anti Aircraft Role mein 5.56 mm INSAS LMG ko istemal karne ka tariqa sikhana hai.

 

Saman

 

3.      5.56 mm INSAS LMG, 5.56 mm LMG Mount, Mag, Drill Cart, Tracer Drill cart, Spare parts Wallet.

 

Bhag

 

4.      Yeh sabak teen bhagon mein chalaya jaega :-

          (a)     Bhag I.      AA Role ke liye LMG ko taiyyar karna.

          (b)     Bhag II.    Firing posn aur fire karna.

          (c)     Bhag III.LMG No 1 aur 2 ki dutiyan.

 

Bhag I  :  AA Role Ke liye 5.56 mm INSAS LMG ko Taiyar Karna

 

5.      5.56 mm INSAS LMG ko anti aircraft role mein istemal karne se pahle ise is role ke liye acchi prakar se taiyar kar lena chahiye.  Nimn likhit baton par visesh dhyan diya jae.

 

(a)     Gas Regulator    Anti aircraft role mein istemal  karne wali LMG ke gas regulator ko High (H) position mein rakha jae.

 

(b)     AA Magazine.    Ek LMG par panch magazine AA role ke liye mukarar kiya jate hain, In par safed rang se AA likha hota hai. 5.56 mm INSAS LMG ke AA mag bhi tik usi parkar se bhare jate hai jaise ki 7.62 mm LMG mein pahle panch ball round phir ek tracer ek ball ke hisab se pura magazine bharen. Is prakar ek mag mein 30 round yani ki 17 ball aur 13 tracer round bhare jate hai.  Pahle bhare 5 ball round akhir mein fire hokar tracer round ke fouling ko saaf karne mein madad deta hai. Jab 5.56 mm INSAS LMG ke amn mein aag lagane wale amn ka ijad ho jae to AA Mag mein kuch round aag lagane wale bhi bhar deine chahiye. Dhyan rahe ki AA mag ko zamini dushman ke liye us samay tak istemal na kiya jae jab tak bahut hi zaruri na ho.

(c)      AA Mount.    5.56 mm INSAS LMG ko AA role mein istemal karne ke liye AA mount banaya ja raha hai. Front mounting pin ki madad se LMG ko AA mount ke upar fix kiya jata hai. Is ke madad se standing / Kneeling position mein charon taraf fire dala ja sakta hai.

 

Bhag II  :  Firing Position Aur Fire Karna

 

6.      5.56 mm INSAS LMG se mount ke sath ya bina mount ke do position se fire kiya jaata hai, kneeling position aur standing position. Iske alawa improvised tariqe se mount karke bhi LMG ko AA role mein fire kar sakte hain. Chunki mount ka abhi ijhad ho raha hai, bina mount ke LMG ko AA role mein kis prakar istemal karna chahiye yeh har ek firer ko achi tarah se ana chahiye.

 

7.      Kneeling Posn.Yeh anti aircraft role ke liye bina mount ke sabse achi position hai. Normal kneeling position iktiyar karen. LMG ke butt ko dahine pair tang ke rang par rakhe. Bayen hath se andar ke taraf mode LMG ke bipod ko pakare tatha dahine hath se pistol grip ko pakare.

 

8.      Standing Position.     Is posn ko us waqt iktiyar karte hai jab kneeling position iktiyar karne ke liye samay na ho ya phir slit trench se fire karna pade. Is posn ko iktiyar karte waqt bayen pair ko age karen, sharir ka pura wajan aage wale pair par rakhen, donon hathon ki position hu bahu kneeling position ki tarah honi chahiye.  LMG ke butt ko ya to dayen bagal mein ya kohni par jamaye.

 

9.      Fire Karna.      Hawai jahaj par fire karne ke liye, firing ka hose pipe tarika sabse achha tarika hai. Is tarike mein puri mag ek burst mein fire kar di jati hai.  Agar tracer jahaj ke pichhe jate dikhai parte hai to golion jahaj ke upar se ja rahi hain.  LMG ki max kargar range 700 m hai. Agar hawai jahaj sidha firer ki taraf dive kar raha hai ya dive kar ke ja raha hai to LMG ko jahaj ke taraf fire karna chahiye. Agar hawai jahaj firer ke samne dive kar raha hai ya dive karke ja raha hai to fire jahaj  ke aage karna chahiye.

 

10.    Yeh puri  karwai class ko namuna de kar samjhaya jae.

 

Bhag  III  :  LMG No 1 Aur 2 Ki Dutiyan

 

11.    Hawai jahaj ke khilaf LMG ko istemal karte waqt LMG No 1 aur No 2 ek team ke taur par kam karte hai. Hukam milne par ya jab No 1 fire karne ka nishchay karta hai to donon ki dutiyan is prakar se hongi :-

 

(a)    No 1 Ki Duty.    No 1 LMG ko cock karta hai, jahaj ki taraf rukh karta hai.  Yadi No 1 ko harkat karne ki zarurat parti hai to No 2 ki suraksha ka pura khayal rakha jaega.

 

(b)    No 2 ki Duty.     No 2 AA mag carry karta hai. Yeh No 1 ke thoda pichhe aur dahine khada /Kneeling position mein rahta hai. No 2 ki dutiyan hai :-

 

(i)     Yakin karna ki apne fire se apne troops ya hawai jahaj ko to khatra nahin hai, yadi hai to woh LMG No 1 ko STOP kare aur LMG par se mag ko utare.

(ii)    Yadi fire ke dauran LMG ruk jae to fauri ilaj ki karwai karna tatha khali magazine ki badli karna.

 

12.    Is puri karwai ka namuna class mein se studeints ko bhula kar karaya jae.

 

टिप्पणियाँ