51 MM MORTAR KA AAM JAANKARI
51 MM MORTAR
AAM JANKARI
1. 51 MM MORTAR KA AAM JAANKARI
2. 51 mm Mortar ko infantry mountain division mein istemal ke liye baanta gaya hai. Is se bombs fire karke hamle ke hathiyar ke roop mein HE bomb aur dhuen ka parda banane mein smoke bomb, ilaqe ko roshan karne ka liye para illuminating bomb istemal kiya ja sakta hai. Isse reserve fire power ke rup mein istemal karke faida liya ja sakta hai.
3. 51 mm Mortar ek smooth bore
aur muzzle se bhara jane wala kshetra marak infantry hathiyar hai. Iska istemal
bombon ko kisi chune hue ilaqe mein
girane ke liye kiya jata hai naaki kisi target ko hit karne ke liye. Mortar ki
accuracy badhane ke liye is ke saath ek dial sight bhi aata hai. Sight se badi
aasani se range hassil kar sakte hain.
4. Isse platoon commander ka
kargar topkhana maante hai. Kyonki yeh high trajectory hathiyar hai isliye
pahadi ilaqe mein karger hai jis kaaran
se mountain mein ek infantry battalion ko ek platoon mein ek mortar laagu kiya
gaya hai. Ek detatchment mein do jawan authorise hai.Do jawan milkar aasani se
mortar ko bhar, lay aur fire karte hain lekin is hathiyar ko ek jawan bhi
aasani se handle aur fire kar sakta hai. Lekin aise maukon mein rate of fire
par fark padta hai.
Takniki Jankari.
5. 51 mm Mortar ki takniki
jankari is prakaar hai :-
(a) Muzzle Velocity : 107
m/s
(b) Rate of Fire
(i) Normal : 8
rds/ minute.
(ii) Intense : 12
rds/ minute
(i) Maximum : 1080
m.
(ii) Minimum : 180
m.
(d) Barrel
ki Life : 4000 Bombs.
(e) Condemning
limit : 51.78 mm.
(f) Service
Pressure : 163.2 Kg/ Cm2.
(g) Weight
(i) Poora Mortar : 4.88
Kg.
(ii) Sight : .35 Kg.
(iii) Mortar Firing : 6.06
Kg.
Position Mein.
(h) Lambai
(i) Barrel : 540
mm.
(ii) Poora mortar : 670
mm.
(iii) Base : 130mm.
(j) Calibre
(i) Low : 51.18
mm.
(ii) High : 51.28
mm.
(k) Safety Distance : 135Mtr.
(l) Type of
Firing Pin : Pulsing Type.
(m) Mechanical
Safety : Chupa hua Firing Pin
Hathiyar ke Hisse Purze
6. 51 mm mortar ko mote taur
par nimnlikhit hisson mein baant sakte hai :-
(b) Base Assembly.
(c) Sight.
(d) Grip Handle.
(e) Muzzle Cover.
(f) Sling.
Mortar ke Mukhya
Hisse
Weight
Brl - 2.14 Kg.
Base -2.74
Kg.
Grip Handle - 280 gm.
Sling + Muzzle Cover- 300
gm.
Poora
Mortar -5.64 Kg without Dial
Sight.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know