PLATOON KE HATHIYARON KA SITING AUR EMPLOYMENT PARIBHASHA
PLATOON KE HATHIYARON KA SITING AUR
EMPLOYMENT
Paribhashayen
1. Primary
Position. Woh
position jahn se hathiyar/sub unit ka primary task poora kiya jata hai.
2. SecondaryPosition. Pahle se recce aur taiyar ki gayi woh
position hai jahan par gun/ mortar apne secondary task ko
pura karne ke liye jati hai.
3. Alternative
Position. Yeh pahle se hi recce aur
taiyar ki hui aisi position hai jahan
par koi unit ya sub-unit athwa gun ya
mortar usi task ko pura karte hain jo ki main position se kar rahe the.
4. Temporary
Position. Kisi unit
ya sub-unit dwara dushman ko dhoka dene
keliye kisi zamini ilaqe ko kuch waqt ke liye kabze mein
rakhna ya kisi hathiyar ka istemal karna
taki dushman hathiyar ka sahi location
ka pata na laga sake.
5. Field
of Fire. Yeh
who ilaqa hota hai jismen woh hathiyar apna kargar fire dal sakta hai.
6. Arc
of Fire. Kisi
hathiyar ya fire unit ka woh ilaqa hai jismen ane wale targets ko engage karna us hathiyar ya fire
unit ki zimmewari hai. Yah do hote hain:-
(a) Primary Arc of Fire. Yah arc us hathirar ya fire
unit ki pahili jimmewari hoti hai. Yahan se dushman aane ka jyada andesha hota
hai, aue hathiyar ka fixed line bhi
primary arc ke andar hota hai.
(b) Secondary
Arc of Fire. Yah arc hathiyar ya fire unit ki dusri zimmewari hoti hai. Is area mein tabhi fire kiya jayega jab
hathiyar primary arc mein koi fire na kar raha
ho.
7. Mutual
Support. Ek
defended post ya defended locality ka
dusre defended post ya locality par kiye jane wale hamle mein fire se
dakhalandazi karne ki kabiliyat ko mutual support kahte hain.
8. Defiladed
Position. Dushman ke
flat trajectory hathiyar aur dekhbhal se
kisi kudrati ya banawati rukawaten jaise pahari uthi zamin ya katav se
jo bachao mile use defiladed position kahte hain. Yeh disha par bhi nirbhar
karta hai.
9. Enfilade
Fire.
Kisi hathiyar ko flank se site karne par kiya gaya aisa fire joki target ke
lambai ke rukh ek sire se dusre sire tak fire gira sake.
10. Observed
Fire. Aisa fire jiske lagne, girne ya fatav ki jagah
ko achhi tarah se dekha ja sake aur is jagah ko dekhte hue fire par dekhbhal se
durusti dekar kabu pa sake.
11. Fire
Trench. Zamin ki satah se niche khuda hua morcha
jahan se ek ya ek se jyada jawan apne hathiyar aur LMG ka kargar fire dal sakte
hain.
12. Weapon
Pit. Zamin ki satah ke niche khoda hua morcha
jahan se automatic weapon apna task pura kar sake.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know