51 MM MORTAR KE BOMBON KI PEHCHAN, CHAAL VISHESHTAEIN AUR PACK KARNA
51 MM MORTAR KE BOMBON KI PEHCHAN, CHAAL
VISHESHTAEIN AUR PACK KARNA
Shuru-Shuru ka Kaam.
1. Durghatanaon se bachne ke
liye aam hidayatein di jayein.
Dohari.
2. Pichle lesson se liya jaye.
Pahunch.
3. Har detachment ke jawaan ko
mortar se zyada se zyada faida uthane ke liye zaroori hai ki woh bombon ke
baare mein achhi jaankari haasil kare. Numainde bombon ki pehchan karna aur
unki visheshtaon se bhali bhanti parichit ho toh woh fire se accha nateeja
haasil kar sakta hai. Har ek jawan ko bomb ki chaal ke baare mein jankari ho
toh woh haadson se bach sakhenge aur drill ki zarurat behtar samajh paayenge.
Uddesh.
4. 51 mm Mortar ke bombon ki
pehchan, chaal, visheshtaein aur pack karna sikhaana hai.
Saman.
5. Bombon ke khaake (Diagram),
kate hue bomb, drill bomb.
6. Yeh sabaq tarteebwar poora kiya jayega.
High Explosive (HE) Bomb.
Pehchan.
7. Body par kiye hue halke ya
gahare baadami rang ko dekhkar aur uske grid laal rang ki dhaariyon ko dekh kar
pehchan ki jati hai. Bomb ki body steel ki bani hoti hai jisse ander se varnish
aur bahar se ranga jata hai. HE bomb do tarah ke hote hain. HE MK I aur HE MK
II. Dekhne mein yeh ek jaise hote hain lekin Mk II bomb se jyada range haasil
hota hai. Pehchan ke liye bomb par Mk I ya Mk II likha rahta hai.
8. Jawanon se HE bomb ki
pehchan karne ke sambandh mein sawaal puchho.
51 mm Mortar High Explosive Mark I.
9. 51 mm Mortar High Explosive
Mark I ka wazan 980 + /- 25 gms hota hai. Kisi cheez se takraate hin phat jaata
hai, jiski wazah se kisi cheez ke andar surakh nahin kar sakta. Yeh bomb khule
maidan mein aadmiyon ya lohe ki patle chaadar waali garion ko sabase jyada
nuksan pahunchaata hai. 51 mm Mortar ka takniki data is prakar hai :-
(a) Mass - 1.120 Kg.
(b) Lambai - 270
mm
(c) Vishphotak - RDX
/ Wax
mishran
(d) Fuse - Fuse
Percussion
DA No 161
Mk III ( M - I)
(e) Range
(i) Minimum - 180
m.
(ii) Maximum - 850
m.
(f) Rate of
fire
(i) Normal - 8
rds / min
(ii) Intense - 12
rds / min
(g) Effective Lethal - 25 m Radius.
Area
(h) Danger Area
- 80 m Radius.
10. Vishestaein. 51 mm HE Mk I ke mukhya bhaag is prakaar
hain :-
(a) Bomb body.
(b) Fuze 161 Mk III ( M- I)
(c) Tail unit.
(d) Cartridge 51 mm Bomb.
(e) Augmenting Cartridge.
(f) ‘O’ Sealing Ring.
11. HE bomb aur Smoke bomb dono mein
augmenting cartridge aata hai. Yeh ghorey ke naal jaisa hota hai. Isse tail
unit ke fins ke upar aur lugs ke neeche
lagaate hain.
Chaal
Firing Par Karwai.
13. Discharge ke dhakke se,
detent niche harkat karta hai, jisse detent spring dabata hai aur Diagonal
channel khul jata hai. Is dhakke se striker bhi thora sa pichhe yani niche
dabata hai, jisse ball aazad ho jata hai aur bahar ki taraf diagonal channel ke
nichhle bhag mein aa jata hai. Striker apni spring ki taakat se poora piche ko
jata hai aur brass cap ke saath ja lagta hai. Isi dauran shutter jismein
detonator fit kiya hua hain, apne spring ki dabao se apne pivot par ghoom jata
hai, saath hin detonator striker ki nok ke sidh ke niche aur phatne wale
mishran ke upar aa jata hai jo ki magazine ke sire mein hota hai. Ab bomb kisi
bhi sakhht vastu se takrane par phatane ke liye taiyar hai.
Zamin par Lagne
par Karwai.
14. Jab bomb kisi cheez se takraata
hai toh brass cap niche dab jata hai aur choo-choor ho jata hai. Brass cap ke
dabne se striker bhi niche dabta hai. Striker ki nok detonator par chot lagati
hai, jis se, detonator phat kar phatne wale mishran ko aag laga deta hai aur
yeh magazine mein bhare hue HE barud ko aag lagata hai.
ON
IMPACT
HE Bomb Mk II
(a) Range - 180 m se 1080 m
(b) Wazan - 850 gm
(c)
Primary Cart - 51mm Bomb
HE
mk II ki tarah.
(d) Augmenting
cart - -do-
(e) Lethality - -do-
16. Achchha aur nicha dhuaan
deta hai jo ki lagbag 2 minutes tak rahta hai. Yeh apni fauj ki harkat ke
dauran aimed fire se bachane ke liye ya dekhbhal se bachane ke liye dhuan ke
parda banane mein istemal hota hai. Dhuan bomb dushman ke dhyan ko bhaga (Ya bivajit)
karne ke liye bhi istemal kiya jata hai. Bombon ki taadad ki avashyakta dhuan
ka parda banane ki avadhi, hawa ki takat aur disha par munasar hai. Is bomb
ka range lagbhag 850 mtrs. Yeh pichhe, se dhuan dene wala qism ka bomb hai aur
dhuan 100-150 second tak rahta hai.
17. Smoke bomb ke mukhya bhag is
prakar hai :-
(a) Nose cap.
(b) Body.
(c) Delay Holder.
(d) Adapter.
(e) Tail Unit
18. Bomb ke andar primary
mishran dhuan ka mishran hota hai. Ek delay jiske ander pyro technique delay
composition hota hai, 10 sec ka delay deta hai. Delay holder ke upar ek booster
pellet rahata hai. Jiske upar primary mishran rahta hai. Poore mishran bharne
ke baad age se nose cap lagaate hai. Conical adapter mein char surakh hote
hain. Kartoos fire hone par shola inhi surakhon se hoker mishran ko jala deta
hai.
19. 51 mm Smoke bomb ki
technical data is prakar hai :-
(a) Wazan - 935 gm.
(b) Lambai - 283 mm.
(c) Max
Dia - 50.8 mm
(d) Max
Rg - 850 m.
(e) Min
Rg - 180 m.
(f) Main
Filling - Hexachloroethane Base
(g) Main
Filling - 450 Kg.
ka Wazan
(h) Dhuan Dena ka - 2 min se jaida.
Samay
(j) Dhuan kay pardey -15 m.
ki
chaurai
(k) Rate of Fire - HE ki tarah.
(l) Max Velocity - 110 m/s
Bomb 51 mm Mortar Illuminating.
Pehchan.
19. Yeh bomb safed rang ka hota
hai. Iske upar stencil sa ‘ILLUM’ bhi likha rahta hai.
51 mm ILLUMINATING.
Visheshtaein.
20. Illuminating bomb ki
nimnlikhit visheshtayein hai :-
(a) Fuze.
(b) Fixed delay selector
mechanism.
(c) One angle firing.
(d) Char setting / position
poore range ko cover karne ke liye.
21. Bomb 51 mm Illuminating ka
technical data is prakar hai :-
(a) Bomb
ka Wazan - 925 gms.
(b) Illumination
ka samay - 35 Sec.
(c) Mean
Luminosity - 2.5 Lakh
/
Roshni Dene Candella.
ki Shakti
(d) Pt
of Burst zamin ke upar - 150 + /- 30M.
(e) Rate
of Descent - 3 m/ s.
(f) Range - 900 M.
(g) Illumination
ka tatiqa - 400 m dia.
22. Range Lagana. Poore char hisson mein baanta gaya hai.
300m, 500m, 700m aur 900m. Isse sealing ring par 3, 5, 7, aur 9 ke hissab se
mark kiya hai. 300m range lagakar yeh bomb ata hai baaki range rotaining ring
par laga sakte hain Rotating ring kisi bhi disha mein ghoom sakta hai. Click ke
awaz par ek setting zahir hota hai. Raat mein steel ball ki madad se range
pahchana jata hai. 1 ball 300m ke liye, 2 ball 500m ke liye, 3 ball 700m ke
liye aur 4 ball 900m ko zahir karta hai. Is par abhyas aage ke sabaq mein karaya jayega.
Bomb Ke Hisse.
23. Bomb 51 mm Illuminating ke hisse purze is
prakaar hai :-
(a) Body. (b) Parachute.
(c) Parachute ejection. (d) Sealing Unit.
(e) Candle. (f) Magazine.
(g) Delay Unit. (h) Tail Unit.
(j) Cartridge.
Bomb ki Packing.
24. Bomb plastic ke container
mein pack hokar aate hai 6 Bomb ke container ek canvas bag mein aate hain.
BOMB CONTAINER MEIN ULTA
RAKHA JATA HAI
CHHE CONTAINER EK CANVAS BAG
MEIN PACK HOTE HAIN
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know