RPO-A FLAME THROWER (REACTIVINI PIKHOTNI OGNEMIYOT- TYPE-A)
RPO-A FLAME THROWER
(REACTIVINI PIKHOTNI OGNEMIYOT-
TYPE-A)
1. Introduction. RPO-A- Flame thrower Russia desh dwara
banaya gaya hai. Is hathiyar ki body
majboot plastic aur dusre material se mila kar banai gai hai. Yeh hathiyar thermobaric ke sidhant par kaam
karta hai jo patrol aur watawaran ki hawa ke sath milkar kaam karta hai aur tgt
ko barbad karta hai. Is hathiyar mein thosh barood ka istemal kiya gaya hai aur
sath hi finned stabilised rocket ka istemal kiya gaya hai.
2. Is
hathiyar ka istemal dushman ke bunkers, pillboxes aur concrete ki building,
bakhtarband gadiyon, B Vehicles aur troops ke khilap kiya jata hai.
3. Visheshtaen
(a) Banane wala
desh - Russia
(b) Kutar - 93 mm
(c) Range
(i) Maximum - 1000
m
(ii) Sight
range -
600 m
(iii) Karagar range-
25 se 350 m
(d) Wazan
(i) Flame
thrower - 12 Kg
(ii) Explosive - 2.1
Kg
(iii) 2 Flame thrower- 24
Kg
(iv) Projectile
ka wazan- 4.5 Kg
(e) Lambai - 920 mm
(f) Operating temp - +500
se -500 C
(g) Dply time - 30 Sec
(h) Life - 9 Years
(j) Cost - 1.25 Lakh
(k) Back blast - Firing pt se 47 m
peeche,14 m chaura
aur 1100 ke angle mein
(l) Penetration - 9
mm
(m) Principle - Thermobaric (Fuel
air explosive)
(n) MV - 125 ± 5 Mtr/sec
(o) Killing area - 20
Mtr
(p) Danger area - 50 Mtr
BACK BLAST KA DIAGRAM
Istemal
4. RPO-A-
Flame thrower ke istemal is prakar se hain:-
(a)
Dushman ke strong firing points
jaise pakke mitti aur lakadi ke bane pillboxes, fortification aur covered
trenches aur zameen ke neeche bane concrete ke bunkers ke khilap.
(b)
Dushman ke halke armoured combat
vehicles aur B vehicle ko barbad karne ke liye.
Flame
thrower aur iske mukhya hisson ka kaam karne ka tariqa
5. Flame
thrower disposable hathiyar ke adhar par banaya gaya hai.
6. Flame thrower ke mukhya bhag.
(a) Container.
(b) Capsule.
(c) Ejection motor.
Container |
Ejection motor |
Capsule |
Container
7. Container
ek tube ke aakar ka hai aur iske upar yeh hisse lagaye gaye hain:-
(a) Firing aur trigger mechanism. RPO-A- flame thrower ko cock aur fire karne
ke liye.
(c)
Dioptre Sight. Sight ki visheshtaen is prakar se hain:-
(i)
Sight ko 180 degree tak ghumaya ja sakta hai.
(ii)
Is ke upar
10,15,20,25,30,35,40.50.55 aur 60 ke ank khude hain jo ki zameen par 10 guna
range ko jahir karte hain.
Dioptre Sight |
(d)
Sealing aur covers. Flame thrower ko carry karne aur pack karne
ke liye.
(e)
Sling aur anti noise plugs. Sling flame thrower
ko carry karne ke liye aur anti noise plugs firing ke dauran firer ke kaan ko
suraksha pradan karte hain.
(f)
Assembly bracket.Iska
kaam do flame thrower ko pack karke carry karne mein madad karna hai.
Ejection
motor
8. Iska
kaam capsule/rocket ko muzzle velocity
pradan karna hai. Isme solid propellant
type barood ka istemal kiya gaya jo ki capsule mein alag se rakha jata hai. Firing
ke dauran powder charge jalta hai aur capsule ko container se bahar
eject karta hai.
Capsule/Rocket
9. Capsule/rocket
container ko chhodne ke baad trajectory ke dauran halka spin karta hai aur isme
thermobaric (air aur fuel) ka mixture hota hai jo ki tgt ko barbad karta
hai. Iske mukhya bhag is prakar se hain:-
(a)
Fuze. Yeh fuze pyrotechnical mechanism aur remote
arming type ka hai aur iska kaam burst hone wale charge ko ignite karna hai aur
ise capsule mein fit kiya gaya hai.
(b)
Igniting bursting charge. Yeh fuze dwara
activate hone ke baad explode hokar tgt ko barbad karta hai.
Flame
thrower ko fire karne ka tariqa.
10. Flame
thrower ko fire karne ka tariqa is prakar se hai:-
(a)
Storage ki halat mein flame thrower
ka firing grip tube/container ke sath fold hota hai aur trigger mechanism lock
hota hai. Is dauran safety catch “Safe” position mein hota hai.
(b)
Flame thrower ko firing mode mein
lane ke liye dahine hath se firing grip ko dahine taraf karte huye lock ko tab
tak ghumaye jab tak woh ruk na jaye.
Iske baad safety catch ke arrow ko fire ki position par Karen.
(c)
Trigger dabane se ejection motor ko
mechanical impulse milti hai jisse capsule/rocket container se azad ho jata
hai.
(d)
Hawa mein capsule/rocket hawa ki
wazah se ghumta hai.
(e)
Rocket ke 8 se 25 m ki doori tay
karne ke baad delay mechanism ki wazah se fuze combat mode mein shift ho jata
hai.
(f)
Jyonhi capsule tgt par takrata hai
to fuze firing mechanism ki wajah se ignite ho jata hai aur bursting charge ko
activate kar deta hai aur yeh thermobaric (air-fuel) ke sidahant par explode ho
jata hai.
Firing
Positions
11. Flame
thrower ko 3 firing position se fire kiye ja sakta hai:-
(a) Lying position.
(b) Kneeling position.
(c) Standing position.
Suraksha
ke upay
12. Firing se pehle.
(a) Kewal trained
pers dwara hi handle kiya jaye.
(b) Fire se pehle
back blast area clear ho.
(c ) Agar lying position
se fire kiya ja raha ho to firer ka sharer
firing pt se 600 ke
angle se kam na ho.
(d) Shist lete
samay firer ki ankh eye guard par lagi ho.
(e) Firing ke
dauran kaan par ear plugs ka istemal Karen.
(f) Flame
thrower se phaltu chher char na karen.
(g) Cock tabhi karen
jab fire karna ho.
13. Firing ke dauran. Agar fire ke liye firing position tayar na
ho to yeh aihtiyat barti jayen:-
(a) Lying position
mein range 300 tak aur flame thrower ka elevation 60 se adhik na ho.
(b) Kneeling position
mein range 600 m tak aur flame thower ka elevation 130 se adhik na
ho.
(d) Standing position
mein elevation 450 se adhik na ho.
14. Suraksha ke liye hidayaten.
(a) Flame thrower ko goli ya splinter se
bachayen.
(b) Back blast area clear ho.
(c)
Tgt dikhai dene par hi firing
mechanism ka istemal karen.
(d) 25 m range se
kam par fire na karen.
(d)
Flame thrower ko girne se bachayen.
15. Transportation, loading, unloading aur
storage.
(a) Agar flame
thrower kisi kara. 5 m unchai se gir jaye to ise istemal kiya ja sakta hai
parantu is dauran ismein koi damage nahi hona chahiye.
(b) Agar flame
thrower .5 m se 3 m tak unchain se gir jata hai phir bhi yeh hathiyar safe hai
parantu iski kargarta prabhavit ho sakti hai.
(c) Agar flame
thrower 3 m se adhik unchain se gir jata hai to ise barbad kar diya jaye.
(d) Agar kisi
karan iska fuze goli ya splinter se hit ho jaye to yeh chal kar sakta hai.
(e) Flame thrower
par agar bullet ya splinter lag jaye to ise turant door pit ya trench mein rakh
dena chahiye.
16. Flame thrower ko barbad karna.
(a) Destruction
area abadi wale ilaqe se 1.5 Km se door hona chahiye.
(b) Flame thrower
ko charge lagakar hi barbad karna chahiye.
(c) Jab barbad
kiya ja raha ho to 100 m ke area mein koi nahi hona chahiye.
(d) Flame thrower
ko bijli ya aag se barbad kiya jaye.
(e) Flame thrower
ko double charge se barbad kiya jaye aur 1 kg barood ka istemal kiya jaye.
(f) Detonation ke
5 min ke baad hi trench se bahar aaya jaye agar misfire ho to 15 min ka intejar
kiya jaye.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know