RAID ON MILITANT HIDE OUT
RAID ON MILITANT HIDE OUT
Parichay
1. Aaj ke halaton main Jammu aur Kashmir evam poorvottar rajyon main
atakvandiyon ke hide out arthat chupane ke sthan main raid karna hamare sena ke
pramukh karyom main se ek ho chuka hain.
Yeh hide out aam taur par durgam
sthano par hote hain is liye ek raid ko safal hone ke liye, sahi khabar,
surprise, fire ki takat aur thikano ke
baron main adhik se adhik jankari hona avashyak hai.
Thikano(Hideout) ke Prakar
2. Mukhya roop se atankvadi nimna prakar
ke thikanon main rah sakte hain:-
(a) Trg
Camp.
(i)
In camps main atankvadiyon ki training uska
mukhyalay aur unit bhi ho sakte hain.
(ii) In
mein 50 se 150 tak atankvadi ho sakte hain. Jin mein 30 se 70 % hathiyarband hone ki sambhavna hain.
(iii) Aam
taur par in camps ka location durgam pani ke source ke pass syavam bane huwe
sadak aur raston se door hote hain.
(iv) In
ka pravesh dwar bahut kathin evam chupav walen rastion se banaya jata hai.
(v) Kahin
sentry jinhe look out man bhi kaha jata hain.
In thikanon se kareeb 1 km ke doori par camp ke taraf ane wale sabhi
raston par nigrani rakhte hain.
(vi) 2 se
5 vyakti ki kayi tukdiyan camp ke kareeb 200 se 500 mtr par suraksha balon ke
harkath par nazar rakhne keliye hote hain.
(b) Civil
Prashasan Camp.
(i)
Yah thikane atankvadi netaon ya unke VIP ke
liye stapit kiye jate hain.
(ii) In
mein 10 se 30 hathiyar band atankvadi hote hain.
(iii) In
mein aatankwadiyon ke parivar aur mahilayen bhi hoti hain.
(iv) Suraksha
prabandh trainingcamp ki tarah hi hote hain parantu unki tulna main kam hote
hain.
(c)
Vishram ya Trg Camp.
(i)
Yah camp mukhyata un raston ke as pas banaya
jate hai jo ki atankvadiyon dwara niyamit roop se ek sthan se doosre sthan tak
jane mein prayog main laye jate hain.
(ii) Yah
camp gaon se 3 se 5 km ki doori par hote hain.
(iii) Suraksha
praband training camp ki tarah hi hote hain.
(d) Hide
Out.
(i)
Is mein 5 se 10 atankvadi ho sakte hain jin
main se 5 se 6 ke pass hathiyar ho sakte hain.
(ii) Yah
jhum hut ya koi astai jhopdi ho sakti hain jis ka prayog atankvadi tab karte
hain jab ki suraksha balon ka khatara bade campon par pad gaya ho.
(iii) Is
mein aam tour par ek hi sentry hota hain jo ki mukhya raste ki nigrani
karta hain.
(iv) Yah
atankvadi is mein ek se 5 dinon tak rah sakte hain.
Atankvadi dwara Hideout mein Dhyan meinRakhne
wali Baten.
2.
Mukhya roop se adankvadi nimn likhit baton ka
dyan rakhte hain :-
(a) Chhupav. Yah camp ghani junglon main raste tatha
pagdandiyon se door banaya jate hain jisse hawai survekshan ya suraksha balon
ki dhoodne par na miley.
(b) Zamin. Adankvadiyon dwara mushkil se mushkil zamin
chuni jati hain jisse suraksha bal camp tak na pahunch payen.
(c)
Tactics ki zarurat. Adankvadiyon hamesha hit and run tactics ka
istemal karte hain. Isliye vo apne camps
ko defence ki larai ke liye tayar nahin karte balki vo yakeen karta hain ki camp ki aur ane wale raste
seemit sankhya main ho tatha mushkil jagaon se hokar gujare. Bhagne ke raste, pahariyon, neeche ki or,
nalon ke saath tatha ghane jungle ke andar nischit kiye jate hain.
(d) Adm
ki zarooraten.
(i)
Gaon se nazdeeki taki khane ka saman laya ja
sake.
(ii) Pani
ke srot se nazdeek.
Hideout Dhoondne ka Tariqa
3.
Suraksha balon ke pas nimn sadhan hote hain
:-
(a) Pakare
gaye ya atmasamarpan kiye huye atankvadi guide ke roop main kaam aa sakte
hain.
(b) Pakade
gaye documents camp ki location bata sakte hain.
(c)
Apne khabari dwara mili jankari.
(d) SIB
tatha police dwara mili jankari se hide out ka pata lag sakta hain kinto kabhi
kabhi inki khabar purani hosakti hain isliye usey patrol ya khabariyon se pakka
karna chahiye.
(e) Atankvadiyon
ke parivaron se kafi jankari mil sakti hain. Is prakar unke mazdooron ya porter
dwara bhi jankari prapt ki ja sakti hain.
Raid keSiddhant
4.
Raid ke nimn siddhant hote hain:-
(a) Surprise. Raid ki saflata poorn roop se surprise par
nirbhar karti hain. Kharab mausam, kharab roshni aur rat ke samai
mushkil zamin se harkat surprise kayam karne
main madadgar sabit hote hain.
(b) Gopniyata. Raid ke plan ko goopniy rakhna raid ki
saflata ke liye atyavashak hain. Iske
alawa raid ki tayari aur rehearsal chupav main karni chahiyen.
(c)
Suraksha.
Raat
main sawdhani poorvak harkat karni chahiye, gaon atankvadiyon ke rahne ke
sambhavit sthanon aur pagadandiyon se doori banay rakhne chahiye.
(d) Tezi. Surprize toot jane par ya atankvadiyon se
muthbhed ho jane par tezi se karwai
karna chahiye.
(e) Shock
Action. Atankvadiyon se muthbhed hone par sabhi
hatyaron ka bhari matra mein fire aur dhawa ki karwai unhen stabhd kar deti
hain.
(f)
Talashi.
Dhawa
ki karwai samapt hone ki baad bahar nikalne ki sabhi raston ko talash kar lena chahiye. Atanki aksar apna
hathiyar ya upkaran chhodkar bhag khade hote
hain aur kabhi kabhi unhen lene vapis ate hain iske liye vahan par ek
SBP chhod diya jate hain.
(g) Peecha
karne wali party raid ke ant main bhagte atakvadiyon ka peecha kar unhe pakarte
ya barbad karte hain.
Raid Party ki Bant Karwai.
5.
Raid party ko teen (3) bhagon main banta jata
hai.
(a) Raid
Party. Yah party raid karti hai. Iski nafri atankvadi ke sankhya par
nirbhar karti hain. Uske elawa nafri rakhte huye nimn baten bhi
dhyan main rakhna chahiye.
(i)
Surprise ke ahmiyat sabse adhik hai.
(ii) Atankvadiyon
ki bhagne ki sambhawana skheern kiya jay.
(iii) Hide
Out out ki teek teek jagah malum nahin hona.
(iv) Zamin
badey raid party ki ijadat na den.
(v) Apne
hi jawanon ke upar fire nahin kiya jay.
(b) Pursuit
ya Peecha Karne wali Party. Is party main shareerik roop se chust jawan honge. Jo vishesh roop se chunet honge. Unhen kam vazan diya jayega. Yah party bhagte huwe atankvadi ka peeche
karti hain. Arambh main yah raid party
ke reserve ka kaam karti hain. Tracker
Dog team bhi is party ka hissa hota
hain. Kabhi kabhi is party ko do ya adik
chhoti party main bant dete hain taki alag alag dishon main bhage dushman ka picha kiya ja sake.
6.
Raid ki Karwai. Yah karwai 4 bhagon main poori hoti hai:-
(a) Hissa No 1. Apna location se release point ya firm base
tak ka harkat.
(b) Hissa No 2. Bahari
aur bheetari stop lagana.
(c)
Hissa
No 3.
Raid
(d) Hissa No 4. Raid ke
bad ki karwai jaise talashi aur peecha.
7.
Dhyan mein Rakhne wali Baten.
(a) Talashi
hamesha uncha zamin se neeche zamine ki or hona chahiye.
(b) Pagadandiyon
par harkat na ho.
(c)
Samay aisa chuna jai jab atanki sab se kam
chaukannena ho.
(d) Yojna
banate samai look out man ka dhyan rakha jai.
(e) Yadi
koi chote dasten 500 se 1000m ki doori
par ho to unhein by pas kiya jai.
Yadi yah sambhav na ho to use
bina surprise tode barbad kiya jai.
(f)
Pursuit party yadi kisi atankvadi ka peeche
kar rahi hon to raid party us sambhavit raston ki taraf 51mm Mortar ya MGL fire
kar sakti hain par yah dhyan rahe apne party ya stop par fire na ho.
8. Hamare jawan shareerik aur mansik roop
se atankvadi ki tulna main adhik saksham hain.
Yadi sahi training, unche darje ka netritv aur unche morale ke saath
raid kiya jai to saflata nischit hain.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know