5.56MM INSAS RIFLE KI CHAL AUR ROKEN

 

5.56MM INSAS RIFLE KI CHAL AUR ROKEN

 

Pahunch

1.     5.56mm INSAS Rifle gas ke dabav aur recoil spring ki  taqat se chalne wala hathiyar hai. Larai ke maidan mein is hathiyar se bhari tadad mein single shot aur burst fire karke  dushman ko barbad kiya ja sakta hai. Lekin hathiyar ek  machine hai, isliye is  mein firing ke dauran chand ek rokein pad sakti hain.  Isliye zaruri hai ke is hathiyar ka pura faida uthane ke liye jawano ko is hathiyar ke bare mein puri jankari ho, taaki rokon ko asani se samajkar unhen dur kar saken.

 

Uddesh

2.     5.56mm INSAS Rifle ki chal, padne wali roken aur unhen dur karne ka tariqa sikhana hai.

 

Saman

3.     5.56mm INSAS Rifle service, 5.56mm INSAS Rifle sectionised, Magazine, Drill Carts, Accessories pouch,1'x1’ Target, Board, Chalk, Duster aur Ground sheets.

 

Bhag

4.     Yeh sabak char bhagon mein banta gaya hai :-

(a)    Bhag I.      5.56mm INSAS Rifle ki chal.

(b)    Bhag II.     Fouri ilaj ki karwai aur sakhht khichav ki rok ko dur karne ka tariqa.

(c)    Bhag III.    Gas ki kami ki rok ko dur karne ka tariqa.

(d)    Bhag IV.   Anya roken.

 

Bhag I  : 5.56mm INSAS Rifle ki Chal.

5.     5.56mm INSAS Rifle ki Chal 8 action mein puri hoti hai. (Ustad ke dwara board ki madad se bataya jaye).

                       

6.     Rifle ki chal mein kaam karne wale hisse purzon ke naam. Change lever, Trigger, Ejector, Gas vent, Gas Plug, Gas cylinder, Hammer, Hammer vent, Safety sear, Sefety sear ki notch, Rotating bolt, Extractor, Feed piece, Firing pin, Cam, Locking lug, Piston extension, Piston head, Cam way, Stem, Bottom surface Housing way, Piston Extension ka dahina, pichla aur nichla pehlu, Recoil spring, Barrel extension locking surface, Chamber, Magazine aur Magazine ke upar wala round hain.

 

7.     Fire.   Jab ek firer change lever ki position ko ‘S’ se 'R' ya 'B' par karke trigger ko press karta hai, to hammer azad ho jata hai. Hammer azad hokar firing pin ke pichhe wale bhag par thokar marta hai, jisse firing pin apne hole se nikalkar chamber wale  round ke pende par thokar marta hai aur round fire ho jata hai, is karwai ko fire ki karwai kahte hain. Fire huye round se gas paida hoti hai, joki bullet ko barrel mein aage dhakelti hai. Jab bullet gas vent ke pas se gujarta hai to kuchh gas, gas vent, gas plug se hokar gas cylinder mein dakhil hoti hai. Kuch gas bullet ko target tak pahuchane mein madad karta hai.

 

8.     Unlock.   Gas cylinder mein dakhil hui gas piston head par dabav dalti hai jisse piston extension pichhe ki harkat karta hai. Jab piston extension pichhe ki harkat karta hai to rotating bolt cam ki madad se cam way mein dayen se bayen ko itna ghumata hai ki rotating bolt ka locking lug barrel extension locking surface se alag ho jata hai. Is  karwai ko unlock ki karwai kahte hain.

 

9.     Extract.   Chal wale purzon ki pichhe ki harkat ke dauran extractor fired case ko pichhe lata hai. Is karwai ko extract ki karwai kahte hain.

 

10.   Cock.    Chal wale purzon ke pichhe ki harkat jari rahti hai .Is harkat ke dauran piston extension  ka stem shuru shuru mein hammer ko thora niche daba deta hai, baad mein bottom surface hammer ko pura niche daba deta hai, jisse safety sear ki notch, hammer ke vent  mein phas jata hai, Is karwai ko cock ki karwai kehte hain.

 

11. Eject.   Is karwai ke dauran fired case, ejector se takrakar ejection slot ke raste dahine aur niche gir jata hai, is karwai ko eject  ki karwai kehte hain.

 

12.   Feed.   Recoil spring apne housing mein sikur jata hai aur recoil spring guide over lap ho jate hain.  Jab recoil spring apne tanav ko pura karta hai to chal wale purzon ko aage ki taraf dhakelta hai, aage ki harkat ke dauran Rotating bolt ka feed piece magazine ke upar wale round ko chamber mein dakhil karta hai. Is karwai ko feed ki karwai kahte hain.

 

13.   Load.   Extractor chamber wale round ke pende par sawar ho jata hai, Is karwai ko load ki karwai  kahte hain. Yahan par Rotating bolt ki aage ki harkat samapt ho jati hai, lekin Piston extension ki aage ki harkat jari rahti hai.

 

14.   Lock.   Piston extension ki aage ki harkat ke dauran rotating bolt cam ki madad se cam way mein bayen se dayen itna ghumata hai ki rotating bolt ka locking lug, barrel extension locking surface ke saath lock ho jata hai. Is karwai ko lock ki karwai kahte hain.

15.   Lock hone ke baad bhi piston extension ka kuchh harkat baki rahta hai. Is akhiri harkat ke dauran piston extension ka dahina, pichhla aur nichla pehlu  safety sear par dabav dalta hai, jisse safety sear ka notch, hammer ke vent se alag ho jata hai aur rifle dubara fire ke liye taiyar ho jata hai.

16.   Abhyas puri class ko den.

 

Bhag II : Fouri ilaj ki karwai aur sakhht khichav ki rok.

 

17.   Ek jawan ko is hathiyar se pura pura faida uthane ke liye ismein padne wali roken aur unhen dur karne ka tarika theek prakar se aana chahiye, taaki larai ke maidan mein roken padne par unhen dur kiya ja sake.(Ustad ke dwara namuna beyan ke sath diya jaye).

 

18.   Trigger press karne par rifle  fire na kare ya fire karte-karte ruk jaye to fouri ilaj ki karwai ki jayegi.

 

19.   Karne ka tarika.    Sabse pahle kalme wali anguli ko trigger se bahar karen. Butt aur kandhe ka milap toden. Rifle ko dahine turn karte hue cock karen aur holding opening device ko lagayen. Magazine catch ko dabate hue magazine ko utaren aur pouch mein band karen. Pouch se bhara hua magazine len, mulaiza karte huye magazine way mein fit karen, yakin karen magazine lag gaya hai. Chal wale purjon ko aage jane den. Butt aur kandhe ka milap karen. Rifle ko fire mein shamil karen. Rifle theek fire karega. Is prakar rifle ko ek bar cock karke holding opening device lagakar magazine ki badli karne se teen prakar ki roken dur ho jati hain :-

        (a)    Magazine ki rok.

        (b)    Misfire. 

        (c)    Body mein atka hua round ya fired case.

 

20.  Sakhht khichav ki rok.   Fouri ilaj ki karwai karne ke baad bhi Rifle theek fire na kare ya fire karte karte chal wale purje aage hi ruk jayen to rok ko pehchane. Sabse pahle kalme wali anguli ko trigger se alag karen. Butt aur kandhe ka milap toden. Rifle ko dahine turn karte hue cock karen agar rifle cock na ho to sakhht khichav ki rok samajkar dur karen.

 

21.   Karne ka tarika.  Rifle ko niche rakhen. Kneeling position ikhtayar karen. Rifle ko upar uthayen. Is position mein dekhne wali batein. Rifle takriban 45 degree ke angle par barrel aasman ko point karta huwa. Bayen hath ki pakar fore hand guard par charon anguli niche se angutha upar se barrel ko point karta huwa. Rifle ka butt dahine ghutne ke sath  laga hua.(Dahina ghutna butt ko pichhe jane se rokta hai). Dahine haath ki madad se cocking handle ko upar uthayen. Charon angulion ka hook banate huye rifle ko ek hi jhatke mein cock karen. Yakin karen ki, sakhht khichav ki rok dur ho gaya hai. Chal wale purjon ko aage jane den. Rifle ko niche rakhen. Firing position ikhtiyar karen. Butt aur kandhe ka milap karen. Rifle ko fire mein shamil karen rifle thik fire karega. Sakhht khichav ki rok padne ke karan :- 

         (a)   Maila chamber. 

         (b)   Ganda ammunition.

 

22.   Abhyas puri class ko den. Abhyas ke liye aadesh es prakar honge. Rifle theek fire karta rukta ke aadesh par fouri ilaj mein rifle ko cock karke holding opening device lagane tak ka karwai kiya jayega. (Ustad ke dawara rok ka nam diya jayega aur students ke dawara rok ko dur kiya jayega). Jaise :-

        (a)    Magazine ki rok ke adesh par magazine ko badli kiya jayega.

        (b)    Eject hua round ke adesh par round ke primer ko check kiya jayega.

(c)  Body mein atka hua round ya fired case ke adesh par body ko clear kiya             jayega.

(d)    Cock nahin ke adesh par sakhht khichav ki rok samajkar dur kiya jayega.

 

Bhag III :Gas Ki kami ki rok.

 

23.  Gas ki kami ki rok.   Fouri ilaj ki karwai aur sakhht khinchav ki rok ko dur karne ke baad bhi rifle thik fire na kare ya fire karte-karte ek do round ke baad ruk jaye to gas ki kami ki rok samajhkar dur karen.

 

24.   Karne ka tarika.   Sabse pahle kalme wali anguli ko trigger se alag karen butt aur kandhe ka milap toden, Rifle ko dahine turn karte hue cock karen. Change leaver ki position ko 'S' par karen. Rifle ko dahini bagal mein pichhe layen. Gas regulator ki position ko check karen, agar gas regulator ki position low par ho to kapre ya chindi ki madad se low se high par karen. Agar gas regulator ki position pehle se hi high par ho to grenade sight ko 60 degree ke angle par khara karen. Drift ki madad se gas vent ki safai karen, wapas grenade sight ko niche baitha den. Gas regulator ki position ko kapre ya chindi ki madad se high se low par karen. (Dhyan rahe gas regulator ki position ko badli karte samay haath barrel ke sath nahi lagna chahiye). Change lever ki position ko fire par karen butt aur kandhe ka milap karen aur rifle ko fire  mein shamil karen. Rifle thik fire karega. Gas ki kami ki rok padne ka karan Jyada gas fouling hone se gas vent ka band ho jana hai.

 

25.     Abhyas puri class ko den. Abhyas ke liye adesh is prakar honge. Rifle theek fire karta ek do round ke baad rukta ke adesh par gas ki kami ki rok samajh kar door kiya jayega. (Ustad ke dwara rok ka naam diya jayega aur students ke dwara rok ko dur kiya jayega).

 

Bhag IV :Anya Roken.

 

26.   Anya Roken.  Fouri ilaj, sakhht khinchav aur gas ki kami ki rok dur karne ke baad bhi rifle fire na kare ya fire karte  karte body se alag si awaj aaye to anya rok samajkar dur karen.

 

27.   Karne ka tariqa.    Sabse pahle kalme wali anguli ko trigger se bahar nikalen butt aur kandhe ka milap toden magazine catch ko dabate huye magazine ko utaren. Rifle ko dahine turn karte hue cock karen aur sikhe hue tarike se rifle ko khol den. Firing pin aur extractor ka mulaiza karen yadi koi purja tuta ho to badli karen. Agar firing pin extractor thik ho to, body aur chamber ki rok ho sakta hai. Dono haathon se rifle ko pistol grip se pakden aur butt ko upar uthyen. Body aur chamber ka mulaiza karen.Yadi body clear aur chamber mein kata hua case nazar aaye to sikhe huye tarike se rifle ko jod den.(Dhyan rahe body aur chamber ko check karte samay rifle ka barrel zamin par nahi lagna chahiye). Rifle ko cock karen. Holding opening device ko lagayen. Assy pouch se clearing plug ko len. Iske teen bhag Base, centre pin aur sleeve. Base aur centre pin ko tight karen. Chamber mein dakhil karen. Chal wale purjon ko aage jane den. Rifle ko cock karen aur holding opening device ko lagayen.Yakin karen clearing plug ke sath kata hua case bahar aa gaya hai. Yadi samay ho to unscrew  ki karwai karen nahin to mauka milte hi unscrew ki karwai kiya jaye. Pouch se bhara hua magazine bahar nikalen aur mulaija karte huye magazine way mein fit karen yakin karen ki magazine lag gaya hai. Chal wale purjon ko aage jane den. Butt aur kandhe ka milap karen. Rifle ko fire mein shamil karen. Rifle theek fire karega. Chamber mein case katne ke karan:-

        (a)    Chamber ka jyada garm ho jana.

        (b)    Cartridge case ke metal ka kamjor hona.

 

28.   Kabhi kabhi clearing plug ke sath kata hua case bahar nahi aata hai, iske chand ek  karan :-

        (a)    Base aur centre pin ka  tight na hona.

        (b)    Sleeve ke head ka ghis jana.

        (c)    Sleeve ka ulta jud jana .

        (d)    Clearing plug ke kisi hisse purje ka tut jana.

 

29.   Abhyas puri class ko den. Abhyas ke liye adesh is prakar honge. Rifle thik fire karta, fire nahi ke adesh par anya rok samajh kar dur kiya jayega.(Ustad ke dwara rok ka naam diya jayega aur students ke dwara rok ko dur kiya jayega).

टिप्पणियाँ