ROAD OPENING AND CONVOY PROTECTION

 

ROAD OPENING AND CONVOY PROTECTION

 


 

Road Opening

 

1.         Insurgency wale ilaqe mein jab tak ugarvadiyon (vidrohiyon) ko khatam ya achhi tarah daba nahin diya jata, fauji ya civil garion ki convoy ek jagah se dusri jagah tak jate samay surkshit nahin hoti. Is par ugarvadi sniping ya ambush ki karwai karke nuksan pahuncha sakte hain. Is liye jab aise ilake mein convoy chalte hain to sadak (Road) ko achhi tarah surkshit banana padta hai. Is prakar ke defensive operations ko Road Opening kahte hain.

 

Planning (Tartib)

 

2.         Road opening ki karwai ki tajwij banate samay ilake ko sectors mein baant diya jata hai aur ek sector ki zimmewari ek battalion ko di jati hai. Ek battalion ko takriban 50 km ka ilaka diya jata hai. Battalion ke ilake ko aur aage companys ke hisse mein baanta jata hai. Takriban ek company ko 12 se lekar 15 km ke ilake se zyada ilaka nahin dena chahiye.

 

3.         Aam halaton mein Road opening ki karwai karte samay ek platoon ko base mein chhor dena chahiye aur do platoon ko road opening ki karwai ke liye bhejna chahiye.

 

4.         Yeh karwai convoy ke din ki jani chahiye. Shuru-shuru mein (Initially when you have been deployed in the area) sadak ke donon taraf 50 m tak gariyan hatwa dene chahiye. Yeh kaam gaon walon ke dwara bhi karwaya ja sakta hai.

 

Road Opening Party (ROP) ki Nafri

 

5.         Aam taur par ek Rifle company do ROP bhej sakti hai. Ek ROP ki nafri kam se kam ek commander aur 22 OR ki honi chahiye. Commander kam se kam ek JCO ya achha (experienced) NCO hona chahiye.

 

6.         ROP ke pass saman is prakar hona chahiye :-

 

(a)       LMG - 2 (Kam se kam).

(b)       51mm Mor - 1 (ILL - 4, HE - 12  Bombs ke saath).

(c)        Hand Gren - 2 (Prati jawan aur kuchh 77 WP gren bhi le jane chahiye).

(d)       Tube launching gren - 3.

(e)       Baki aadmiyon ke pass zaruri jati hathiyar.

(f)        Very light pistol (miniflare) - 1 (Zarurat ke mutabik ammunition).

(g)       Ammunition -     3 Bhari mag prati rif / sten.

(h)       5 Bhari Mag prati LMG.

(j)         Radio set  - 1 x ANPRC 25.

(k)        RS VA MK-II  - 3

(l)         RS VPS  - 4

(m)      Grapnel  - 01

 

(n)       Flags (Red)  - 02 per party.

(o)       Mine detector  - 02

(p)       Binocular       -  01

(q)       Map sheet     - 01

(r)        First aid kit     - 01

 

7.         Iske alawa, agar mauzood ho to ek engineer det jiski nafri 1 NCO aur 3 OR ho, ROP ke saath group karna chahiye. Iska kaam IED check karna hai. Iski banawat is prakar honi chahiye :-

 

(a)         Commander aur Mine Detector party I/C - 1

(b)         Mine Detector wala jawan  - 1

(c)          Prodder Man aur R Man  - 2

(Note : Yadi Engr party na ho to yeh karwai Infantry dwara ki jaye.)

 

Road Opening Drill (Road Opening Party Dwara Karwai)

 

8.         Road opening ki karwai is prakar se ki jati hai ki sarak aur sarak ke donon taraf 300 se 400 m tak ke ilake ek saath search kiye jayen.

 

9.         Is ke liye, leading do sections, sarak ke dono taraf ke ilake ko search karenge aur teesra (third) section Platoon HQ ke saath sarak ko search karenge. 

 

10.       Is method ko scorpion Hop method bhi kehte hain. Is tarike se ki gai road clearance se sarak ka mines, IED aur wires se achha clearance hota hai aur saath hi agar ugarvadiyon se kahin ambush (ghatt) lagaya hua ho to usko bhi samay par clear kiya ja sakta hai. Is method se ROP ka mutual support bhi prapt hota hai aur ek dusre ki achhi protection bhi ho jati hai.

 

11.       Road opening karte samay jawanon ko hamesha chokanna rahna chahiye aur rifle ko "SHIKARI" position mein, magazine bahar ki taraf karte hue rakhna chahiye. LMG ko sling laga kar le jana chahiye aur zarurat parne par hip se fire karna chahiye.

 

12.       Road Picketing.  Road clearance ke baad, ugarvadi clear ki gai sarak par mines, IED ya ambush (ghatt) na laga dein, is baat ka yakin karne ke liye jaruri hai ki road ki picketing bhi ki jaye.

 

13.       Agar is kaam ke liye nafri mauzood ho to, alag se road picketing party mukarar karni chahiye. Road picketing party is prakar sarak ke donon taraf lagani chahiye ki puri sarak ko cover kar sake. Aisi picket ki nafri do jawan se lekar ek section tak ki nafri ho sakti hai. Nafri zamin ki banawat aur ugarvadiyon ki karwai par munassar hai.

 

14.       Picket lagate samay nimin baaton ka khayal rakhein :-

 

(a)       Picket hamesha chuppa (conceal) hona chahiye.

 

(b)       Picket ki jagah likely hostile ki ambush site ho ya phir aise jahan se adhik se adhik ilaqon ki nigrani ho sake.

 

(c)        Agar jyada ilaqa cover karna ho to section ke jawanon ko jodi - jodi mein bhejna chahiye lekin unka aapas mein visual contact ho is baat ka pakka yakin kar lena chahiye.

 

(d)       Picket ki position lagatar badalte rehni chahiye taki set pattern na ban jaye.

 

(e)       Apna ilaqa search karne ke baad, ROP "All OK" ki report apni post ko denge aur uske baad hi kisi convoy ko wahan se gujarna chahiye.

 

15.       ROP ke ek chhote toli sarak par chhor deni chahiye, jiska kaam nimin prakar se hoga:-

 

            (a)       Convoy ane par convoy commander ko clearance slip dena.

            (b)       Apni position mein convoy ane tak chuppe rahna taki position jahir na ho.

(c)        Convoy ke aage ROP se "All OK" report milne par hi aage badhne dena.

 

16.       Sarak Search Karte Samay Dhyan mein Rakhne wali Baatein.

 

(a)       Sarak par koi bhi obstacle ya road block agar search mein mile to use shakiya samajhna chahiye.        

(b)       Sarak ke nazdik koi bench ya firing position ko shakiya nazar se dekhna chahiye.

(c)        Taazi ghas (Grass) kat di ho ya fresh ilaka clear kiya ho.

(d)       Koi naya track ya trail.

(e)       Khane (Food) ke packet, cigarette butts, matches agar nazar aaye to.

(f)        Sarak par koi khadda ya khudda dikhai dene par satark ho jana chahiye.

(g)       Sabhi ilake jo sarak ko dominate karte hon.

(h)       Koi wire ka tukra nazar aye toh uski jaanch honi chahiye.

 

17.       IED milne par karwai is prakar karein :-

 

(a)       IED milne par kabhi ikattha nahi hona chahiye.

(b)       IED ke 500 m duri tak ke ilaqe ko cordon karo.

(c)        2nd IED ke liye aas paas ke ilake ko dhyan se dekhein.

(d)       IED milne ki khabar apne Platoon Commander aur Company Commander ko dein.

(e)       IED ke saath chedkhani na karein.

(f)        Engr det/ Bomb Disposal squad ane tak ilaqe ko cordon karke rakhein.

 

Convoy Protection

 

18.       CI Operations mein road opening ke saath saath convoy ki hifazat (convoy protection) karna bhi ati avashyak hai. Agar ham nimn baaton ka dhyan rakhein to apni gariyon ki security kar sakte hain:-

 

(a)       Sabhi gariyon ko convoy mein organised karke chalana chahiye aur akeli gari nahin chalani chahiye.

 

(b)       Gari se gari ke beech mein uchit gap hona chahiye.

 

Convoy ke Prakar

 

19.       Convoy do prakar ki hoti hai:-

 

(a)       Normal (sadharan) Convoy.  Yeh administrative convoy hote hain jo mukarrar kiye hue din chalte hain. Aise convoy ke dinon aur samay mein tabdili karna kafi mushkil hota hai aur isliye aise convoy ki hifazat ka khas dhyan rakhna padta hai.

 

(b)       Special Convoy. Yeh convoy units/sub units ke operational movement ke liye chalaya jate hain ya phir senior commanders aur civil VIP ke mov ke liye kiye jate hain. Aise convoy ki security ka vistar purvak bayan kisi bhi formation SOP mein diya hota hai.

 

20.       Is handbook mein ham kewal normal convoy ki hifazat ke bare mein hi aap ko batayenge.

 

Escort Party ki Nafri aur Baant

 

21.       Escort party ki nafri, convoy ke size aur ugarvadiyon ki harkaton ko dhyan mein rakh kar ki jati hai. Aam taur par nafri ek platoon ki hoti hai. Yeh party convoy mein baant di jati hai jo is prakar hai :-

 

(a)       Front Escort. Yeh company ki leading gari mein hoti hai aur iski nafri ek section ki hoti hai. LMG driver ke cabin par mount ki jati hai. Section commander ke paas milap ke liye ek RS hota hai.

 

(b)       Middle Escort. Yeh company ki beech wali gari mein hota hai. Iski nafri bhi ek section ki hoti hai. Platoon HQ bhi isi section ke saath hota hai. Milap ke liye Platoon commander ke pass ek RS ANPRC 25 hota hai.

 

(c)        Rear Escort. Yeh company ki aakhri gari mein hota hai. Iski bhi nafri ek section ki hoti hai. Platoon Havaldar iska incharge hota hai aur iske pass bhi milap ke liye ek RS hota hai.

 

22.       Iske alawa, convoy ke har gari mein baithe jawanon mein se escort mukarrar kiye jate hain.

 

23.       QRT. Iske alawa, agar ho sake to, ek section ki nafri QRT hoti hai, jo ki convoy commander ke saath wali gari mein hoti hai. Iske pass, agar ho sake to, ek tracker dog hona chahiye. Iska kaam ambush ho jane par ugarvadiyon ka pichha karna hai.

 

 

 

 

Convoy Commander ki Dutian

 

24.       Prayah Offr/JCO ko convoy commander niyukt karna chahiye. Convoy commander nimn baaton ka yakin karega :-

 

(a)       Har ek gari chalne ke liye fit hai aur usmein kafi FOL aur spares hain.

 

(b)       EME aur Medical ke kuchh aadmi convoy ke saath hain.

 

(c)        Gari, aadmi, hathiyar aur ammunition ke bare mein puri-puri details pahle se le leni chahiye. Har gari mein baithe aadmiyon ko bhi pata hona chahiye.

 

(d)       Fauzi jawan ko squads mein tartib deni chahiye aur unko gariyon mein barabar-barabar baantana chahiye.

(e)       Chalne se pahle convoy ko theek OOM mein lagana aur check karna kih sab theek hai.

(f)        Garian apni di hui tartib badli nahin kare aur koi bhi gari akeli aage nikal kar pahle pahunchne ki koshish nahin kare. 

(g)       Har gari ke liye co driver aur dandaman niyukt karna chahiye.

 

Escort Commander ki Dutian

 

25.       Prayah Convoy Commander aur Escort Commander ek hi Offr ko niyukt karna chahiye. Agar convoy commander JCO ya NCO ho to escort commander prayah Officer hona chahiye. Jo bhi senior ho woh convoy ke liye pura zimmewar hoga. Magar jahan tak convoy ki suraksha ka sawal hai escort commander ka faisla mana jayega. Escort commander niche di gayi baaton ka yakin karega :-

 

(a)       Convoy ka surakshit aur theek chalana.

 

(b)       Raaste mein theek nishchit kiye hue halts hon aur yahan sab gariyan ikattha ho jayein. Sab gariyan aa jane par hi convoy aage chale.

 

(c)        Sarak ke tute hone ya road block hone ki khabar milne par convoy ko nazdik wali post par rokna aur tabhi wahan se march karna jab sarak theek ki report mil jaye.

 

(d)       Shak ya ambush ki jagahon ka raaste mein khayal rakhna aur escort ko chaukanna rakhna.

 

(e)       Yakin karna ki aage wali gari mein baitha NCO ya JCO ROP se clearance chit leta hai.

 

(f)        Post par se gujarne par khud clearance chit lena.

 

(g)       Yakin karna ki chalne se pahle ki sab karwai puri hai.

 

 

Chalne se Pahle ki Taiyari

 

26.       Yeh taiyari bilkul ek patrol par jane se pahle ki taiyari jaisi hai. Niche batai hui baatein dhyan mein rakhni chahiye :-

 

(a)       Road ki condition ke bare mein jankari prapt honi chahiye aur yakin karein ki road secure kiya hua hai.

 

(b)       Drivers aur gari mein sawar sabhi ki detail mein briefing.

 

(c)        Raaste mein aane wali posts se milap.

 

(d)       Yakin karein ki har gari mein Commander niyukt kiya hua hai.

 

(e)       Yakin karein ki gariyon ka tarpolin nikala hua ho aur escort gari mein LMG fix kiya hua ho.

 

(f)        Saare hathiyar test kiye jayein aur theek hathiyar aur ammunition le jaye jayein.

 

(g)       Gari mein sand bags lagaye hue hon, taki mines ka asar kam kiya ja sake.

 

(h)       Ambush adi hone par ki jane wali karwai ke liye sab ko brief kiya hona chahiye.

 

(j)         Jawabi karwaiyon ki rehearsal ki hon.

 

(k)        Drivers garion ke theek fasle aur hostile ki karwai hone par kya karwai ki jayegi, jante hon.

 

(l)         Escort ki gariyon ke aage ka shisha niche kiya ho.

 

27.       Chalte Samay ki Karwai.

 

(a)       Har ek aadmi ko apne diye hue ilake ki dekhbhal karni chahiye.

 

(b)       Aage wali gari pichhe wali gari se milap rakhne ke liye jimmewar hogi. Agar pichhe wali gari nazar nahin aa rahi ho to, convoy ko rok dena chahiye aur garion ke milap hone ke baad advance karna chahiye.

 

(c)        Pichhe wali gari ko aage wali gari ko agar kisi karan rokna ho to, horn ka istemal karna chahiye.

 

(d)       Gari se gari beech ka faisla 50 se 100 m ka hona chahiye.

 

(e)       Road bend par kisi bhi samay par ek gari se jyada gari nahin honi chahiye.

 

(f)        Kisi bhi shak ya ambush hone wali jagah par gariyon ko khara na karein.

(g)       Aage wali gari aur akhiri gari ke beech radio milap hona chahiye.

 

Ambush Hone Par Karwai

 

28.       Ambush hone par escort party ko turant karwai karni chahiye. Chalte chalte fire karna chahiye aur grenade aur Mor ka pura faida uthana chahiye. Ambush hone par drill is prakar honi chahiye :-

 

(a)       Jaise hi gari par fire ho, gariyon mein baithe jawanon ko turant gari se utar jana chahiye, saath hi chalti gari se turant fire karna chahiye.

 

(b)       Gari ko kisi surakshit sthan par le jana chahiye.

 

(c)        Pure hathiyaron ka fire vidroh ki position par dalte hue unke upar hamla karna chahiye.

 

(d)       Engineer det jo ki aap ke saath hai, uski madad se road ko clear karna chahiye.

 

(e)       Ghayalon ko first aid dena.

 

(f)        Gariyon ko ikatha hone se rokein aur jaise hi ilaka engineer det dwara clear hota hai, movement ko jari karein.

 

29.       Gari Breakdown hone Par Karwai.

 

(a)       Agar koi gari breakdown ho jati hai, to usse is prakar halt karen, ki road block na ho aur tfr par asar na pare. Convoy apna mov jari rakhe aur convoy commander ko gari ki breakdown ki khabar di jaye.

 

(b)       Rear Escort party is gari ki sectionurity aur recovery ke liye zimmewar hogi. Iske liye URO ya MRT ka istemal kiya jayega.

 

(c)        Agar gari mein major defect ho jaye to usko toe karke nazdik ki post par chor diya jaye.

 

30.       Halt Hone Par Karwai.

 

(a)       Convoy ki hifazat ke bandobast ko yakin kiya jayega.

 

(b)       Look out sentries lagae jayenge aur unchi zamin par kabu rakha jayega.

 

(c)        Sari convoy ikatthi ki jayegi aur sab gariyon ke aa jane ke baad hi aage mov kiya  jayega.

 

टिप्पणियाँ