AAM GROUP KE SIDHANT AUR MULYANKAN KE MAPDAND
AAM GROUP KE SIDHANT AUR MULYANKAN KE MAPDAND
Paribhashayen
1. Group. Jab ek firer apne hathiyar se ek hi
range, ek hi pakar, ek hi position aur shist kayam karte hue do ya do se jyada
golian fire karta hai toh golion se jo khakha target par banta hai use group
kahte hain.
2. Normal
Group. Agar ek
firer apne hathiyar se ek hi range aur firing position se alag alag din, alag
alag samay par group fire karta hai to sabhi group ka jo ausat group nikalega
use firer ka normal group kahte hain. Badhte range ke saath group badhta hai.
Ek firer ko kisi bhi range par ausat gorup banane ke bare mein jankari honi
chahiye.
3. MPI
(Mean Point of Impact). Group
ke madhya ko MPI kahte hain.
4. Accuracy. Ek hathiyar ki woh kabliyat joh ki group ke
MPI ko chune hue POA par dal sake.
5. Consistency. Fire kiye hue group mein MPI se
golion ke phailav ki samrupta ko consistency kahte hain.Consistency firer se
sambandh rakhti hai.
Aam Group Ke Sidhant
6. Group
kyon banata hai.Fire ki hui do golian ek hi surakh se nahin
nikalti hain, iske karan is prakar hain:-
(a) Hathiyar
ki Accuracy/ Consistency. Ek rifle jab factory se pass hoti hai tab woh 100m se 2,1/2 cm ka group banati hai, yani ki factory
mein bhi do golian ek hi surakh se nahin guzarti, kyonki hathiyar bari sankhya
mein bante hai aur thori bahut kami rah jati hai, is lie group banta hai.
(b) Barrel
Ka Garam Hona. Goli
fire hone par gas paida hoti hai jo bullet ko aage dhakelti hai. Agar barrel
garam nahin hai toh jyada garmi barrel ko garam karne mein jab ho jati hai jisse goli ke pichhe
gas ka dabao kam ho jata hai isse muzzle velocity kam ho jati hai.
(c) Ammunition
mein Antar.
(i)
Propellant ka Wazan.
Propellant ke wazan aur visheshta mein antar hone se paida hui gas pressure
mein antar hota hai, jisse goli ki muzzle velocity mein antar par jata hai.
(ii)
Goli ka Shape Size aur Wazan. Goli ke shape, size aur wazan mein antar hone
se goli ki trajectory mein antar par jata hai.
(d) Jump. Goli fire hone par hathiyar mein jump hota hai,
yeh recoil fire ki wajah se hota hai, jisse barrel thori upar ya niche ki
harkat karti hai. Har goli fire karne par jump mein thora farq hota hai jisse
goli ke trajectotry mein farq parta hai.
(e) Mausam. Alag alag mausami halat, jaise hawa ki
raftar aur disha se goli ki trajectory mein antar par jata hai, jisse goli
target par alag alag jagah par lagti hai.
(f) Firer
ki Galti. Grouping
fire ke dauran jab firer galti karta hai to golian alag alag jagah par lagti
hai. Firer aksar pakar, aiming ya trigger operation ki galtian karta hai.
(g) Stocking
up & tuning up. Yadi
hathiyar ke mukhya hisse purze thik se kase hue nahin hai to fire ki gaye koi
do goliyan alag line of departure akhtiyar karti hain. Jiski wajha se group
banta hai.
(h) Target
ka range. Yadi group fire adhik range
se kiya jaye to do goliyon ka target par lagne ka fasla bhi adhik hota hain.
7. Badhti
range ke saath group ka size bhi badhta hai. Yeh mumkin nahin hai ki hum golion
ko bikharne se rok den, lekin hum inka failao achhi training, firing ke liye
puri taiyari, mazboot pakar, durust aiming aur trigger operation aur achhi maintenance ke jarie kam se kam karke achha
grouping fire haasil kar sakte hain.
8. Error
Chasing (Galti ka Peecha Karna). Jab firer ki jatia galti ke karan goli POA par nahi lagti
to firer goli ko POA par lane ke liye apni shist badli kar deta hai, isi tarah
galti pe galti karne ke karan uske group ka size bara banta jata hai, firer ki
is karwai ko error chasing kahte hain.
9. Group
Ke Usul. Tamam
golian ek surakh se nahin guzarti, islie group banta hai. Yeh baat hum samajh
chuke hain aur iske karan bhi jaan chuke hain. Isi ko hum group ki buniyad
samajhte hue group ke usul dekhenge:-
(a) Badhti
range ke saath group ka size bhi badhta hai.
(b) Group
ka size hathiyar, ammunition, firer, range aur position par nirbhar karta hai.
(c) Group
target par kahin bhi ban sakta hai.
(d) Grouping
fire mein position, pakar aur shist ki badli
nahin ki jati hai.
(e) Group
ka MPI, sighton par lage range aur target ke sahi range ke hisab se banta hai.
(f) Grouping
fire ke dauran hawa, roshni ya anya baton ka haq nahin rakha jata hai.
(g) Sahi
zeroing se Group ke MPI ko sahi jagah par laya ja sakta hai. (h) Group ka size
single shot aur burst fire ke liye alag alag hai.
MPI Malum Karne ke Tariqe
10. Ek
firer ko apne group ka MPI nikalne ka tariqa malum hona chahiye taki woh apne
hathiyar ki sighton mein tabdili kar ke use zero kar sake. Group ka MPI malum
karne ke teen tariqe hain:-
(a) Calculation
Ka Tariqa
(i)
Sabse pahle koi bhi do golion ke nishan ko ek
rekha se jor do. Is rekha ka madhya
pahle do golion ka MPI hoga.
(ii)
Pahle do golion ke MPI ko rekha se tisri goli
ki nishan se mila do aur is rekha ko teen bhag mein bant do. Pahle MPI ke
nazdeek wala bindu in teen golion ka MPI hoga.
(iii)
MPI No-2 ko
chouthi goli ke nishan se rekha khinch kar mila do aur is rekha ko char bhagon
mein bant do. MPI No 2 ke nazdik jo bindu hoga woh char golion ka MPI hoga.
(iv)
Isi tarah panchvi aur chhatti golion ka MPI
malum karke, group ka MPI malum kiya ja sakta hai.
(b) Graph
Ka Tariqa
(i)
Group ki sabse bayen wali goli se ek sidhi khari
rekha khincho.
(ii)
Group kisabse
niche wali goli se ek pari rekha khincho aur khari rekha se milado.
(iii)
Har ek goli ka khari aur pari rekha se fasla nikalo(cms
mein).
(iv)
Sabhi golion ke khari aur pari rekha se alag
alag fasla jordo. Khari aur pari rekhaon se ausat fasla nikalne ke liye ise kul
golion ki sankhya se vibhajan kar do.
(v)
Ausat faslon ko khari aur pari rekhaon se
rekha khinch kar jordo aur jis jagah par yeh rekhayen milti hain woh bindu
Group ka MPI hoga.
(c) Axis
of Dispersion Ka Tariqa. Is tarike ka tab istemal
karte hai jab bahut si golion ka MPI malum karna ho:-
(i)
Ek khari rekha khinch kar golion ko do
barabar bhagon mein bant do . (ii) Isi
tarah ek pari rekha khinch kar golion ko do barabar bhagon mein baant do.
(ii)
Jahan par khari aur pari rekha milti hai woh bindu Group ka
MPI hoga.
ESA aur uska Nirdharan (Expected Scoring
Area)
11. ESA.ESA ek gol daire ka vyas hai
jismen ek ausat firer ko diye hue range, firing position, hathiyar aur fire ki
kism ke zariye fire ki gai sabhi golian, is daire ke andar marni chahiye. ESA
ka nishchay new range course mein kiya hua hai jabki normal group firer ke upar
nirbhar karta hai.
12. ESA
ka Izhad. ESA ki dharna ek ausat firer ko madhya najar
rakhte hue banaya gaya hai. 5.56mm INSAS rifle ka kargar range 400m hai, yani
ladai mein ek Rifleman 400m par dushman yani ek insani target (48cm chaurai) ko
hit karna chahiye. Is prakar rifle ki sabse mushkil practise ko base banate hue
new range course mein ESA ka izhad kiya gaya hai. 400m se ESA 48cm hona
chahiye, is prakar alag alag ranges, firing position, fire ka tarika aur
hathiyar ko madhya najar rakhte hue ESA ko nirdharit kiya gaya hai. Agar upar
bataye gaye kisi bhi cheez mein antar dalte hai to ESA ka size bhi badli ho
jayega.
13. 1985
Range Course mein Mulyankan ke Mapdand mein Kamiyan.
(a) Samay
barbad. Bahut jyada practises hone
ke karan kafi samay barbad hota hai.
(b) Target
ka prabhandh. Target
ke kai qism hone ki wajah se target ka prabandh karna mushkil hota hai.
(c) Scoring
syatem. Target
par scoring ka tarika alag alag range, firing position, hathiyar aur fire ke tariqe se sambandhit nahin hai.
(d) MM. Bina target ke centre mein hit kiye, 66.66%
number lekar koi bhi fire MM ban sakta hai.
14. ESA
Dharna ke Dwara New Range Course mein Sudhar.
(a) New
Range Course, is dharna par banaya gaya hai ki
yatharth (precision) nishanebaji se hi ek firer ladai ke dauran fire ka mudda
haasil kar sakta hai.
(b) ESA. ESA
ka izhad aur hathiyar, range, position aur fire ka tariqe,
ko madhya nazar rakhte hue ESA aur incentive circle ke size mein badlao kiya
gaya hai.
(c) Scoring
System. Incentive circle ke lie -3, ESA - 2 aur fig
11 tgt par kahin bhi hit hone par 1pt milta hai.
(d) MM. MM ka darja haasil karne ke lie 70% point
lena awashyak hai, iska matlab MM banne ke liye kuchh rounds
incentive circle mein hit karna hi padega.
(e) Tgt
ki Qism. Kam se
kam tgt ka istemal.
(f) Incentive
Circle. Achha firer ka hausala
badhane ke lie incentive circle diya gaya hai.
(g) Auto
Fire. 1985 Range Course ke
banishpat LMG ka 300m se ESA 48cm se jyada.
15. New
range course is tariqe se banaya gaya hai ki woh
ek ausat firer ko fire karne ka protsahan de aur achhe firer ka hausla badhaye.
Ek firer mein yeh kablliyat hona chahiye ki woh achha group fire kar sake aur
saath hi use apna group banane ki kabiliyat ki jankari honi chahiye. Firer ko
apne group ka vishleshan karne ka tariqe ana
chahiye taaki woh group ka MPI malum kar sake aur apni galtion ko sudhar karke
ek unche darje ka firer ban sake.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know