CHHOTE KUTAR KA VIKAS AUR INSAS SE PARICHAY
CHHOTE KUTAR KA VIKAS AUR
INSAS SE PARICHAY
Parichay.
1. Sena ko majbut aur tandrust rakhne ke liye
duniya mein ho rahi tabdiliyon ke sath kadam se kadam milakar chalne ki zarurat
parti hai. Pichhle chand ek varshon se
adhiktar desh ke small arms mein chhote kutar(calibre) ko apna rahe hain. Yeh
jang mein hue anubhav aur vivekshil soch vichar ka natija hai. Hamare desh ne bhi 5.56mm calibre ke chhote
kutar ke hathiyaron ko apnane ka faisla kiya hai.
Uddesh.
2. Duniya ke chhote hathiyaron ke kutar mein
badli aur INSAS ke bare mein jankari dena hai.
Bhag.
3. Yeh sabaq do bhagon mein banta gaya hai :-
(a) Duniya ke chhote hathiyaron ke kutar mein badli.
(b) 7.62 mm ke hathiyaron mein kamiyan aur INSAS project.
Bhag 1 :
Duniya ke Chhote Hathiyar ke Kutar Mein Badli
4. Unnisawin sadi (19 th Century) ke baad 11mm
se 12mm kutar ke hathiyar istemal hote
the. Uske baad 7mm se 8mm kutar kaafi der tak istemal hue lekin dwitiya vishwa
yudh (2nd World War) ke baad yeh yakin ho gaya ki chhote hathiyaron ka larai
mein effective range zyada se zyada 400 mtr tak hi hai jahan ki target ki
pahchan ki ja sakti hai. Is liye yeh
saaf ho gaya hai ki 7.62mm kutar ke hathiyar, zarurat se zyada takatwar ammunition fire karte hain aur zyada
wazandar aur zyada recoil force dete hain.
5. Rifle Fire Ke Vishleshan. Dwitiya Vishwa Yudh, Korea ki larai,
Vietnam ki larai ke Rifle fire ki visheshtaein is prakar hain :-
(a) 30% Engagement - 100 Mtr se kam rg Par.
(b) 70% Engagement - 200
Mtr se kam rg Par.
(c) 90% Engagement - 300 Mtr se kam rg Par.
(d) 95% Engagement - 400 Mtr se kam rg Par.
6. Dwitiya vishwa yudh ke baad, Russia ne
7.62mm x 39mm ke AK-47 hathiyar apnaye. Yeh hathiyar 7.62mm x 54mm ke
hathiyaron ke banishpat halke aur kam recoil wale the. Vietnam ki larai mein
America ke 7.62mm x 51mm wale M-14 hathiyar, AK-47 ke sammunitione achha
pradarshan nahin kar paye. AK-47 ke
halke wazan, kam recoil energy hone ke karan, zyada rapid fire karne se
percentage hit (PH) kafi achha tha.
7. Larai ke baad America aur baki desh milkar
badi research karne ke baad FN Belgium SS 109 ko apna ammunition mana. Is ammunition ka kutar 5.56mm hai.
8. Is tarah se yeh yakin ho gaya hai ki chhote
kutar ke ammunition ki muzzle velocity (MV) zyada aur ballistics achha hone ke
karan tgt hit hone ka chance bare kutar ke ammunition ke banishpat zyada hai.
9. Chhote kutar ke ammunition ke kuch faide :-
(a) Halka Hathiyar. Hathiyar ki
handling asan hoti hai aur fatigue kam
hota hai.
(b) Halka Ammunition. Kam load hota hai ya usi load mein jiada ammunition ata hai.
(c) Zyada Muzzle Velocity. Trajectory Chapta hota hai aur is karan hit chances barh jata hai.
(d) Recoil Energy Kam. Firer ko dhakka kam lagta hai jis ke
karan accuracy
barhti hai.
(e) Zyada Lethality. Ballistic
Stability achha hone ke karan lethality zyada
hota hai.
Bhag II :7.62mm Hathiyaron Mein Kamiyan Aur
INSAS Project.
10. Abhi Infantry section mein teen prakar ke
hathiyar hain joki do prakar ke ammunition ka istemal karte hain. Iske karan hamari trg, logistics, maint mein
bahut asuvidhayen hoti hain. Iski
kamiyan is prakar hain :-
(a) Infantry section ke hathiyaron mein farak aur chal ke
sidhant mein farak.
(b) Hathiyar ke banane mein kathinayi aur zyada samay lagna.
(c) Instructor aur student ke trg mein kathinayi.
(d) Maint mein kathinayi.
(e) Wazandar hathiyar.
11. Inhi kamiyon ko dur karne ke liye AROUNDE
mein Nov 79 mein ek conference hua. Is
conference mein niche likhe points ke upar naya weapon system banane ka prastav
rakha gaya :-
(a) Bharatiya hathiyaron ka vikas.
(b) Adhiktam hisse purzon ka ek jaise hona.
(c) LMG ki bipod par range 800 Mtr aur Tripod par 1000 Mtr.
(d) Rate of fire mein badhawa.
(e) Ammunition aur hathiyar ke wazan mein kami.
12. INSAS Project.Hamari sena ki
zaruraton ko dhyan mein rakhte hue aise hathiyaron ko banane ki zarurat thi jo
zarurat sudha rg par manzur sudha prabhav hasil kar sake. Isliye INSAS ammunition ko pahle banakar
INSAS hathiyaron ko phir banaya gaya.
13. INSAS Ammunition. INSAS Ammunition ki ek hi sarv pratham
zarurat rakhi gayi thi. Yeh zarurat thi
ki LMG 800 Mtr par prabhav shali fire dal sake.
Is ke liye avashyak tha ki aisa ammunition banaya jae jismein kam se kam
488 joules ka terminal energy ho. Kyon
ki kisi bhi unprotected tgt ko na kabil banane ke liye 81 joules ka energy hona zaruri hai. Agar target protected hai to protective item
mein ghusav hasil karne ke liye 407 joules energy ki zarurat hai.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know