RAID
RAID
Aam Jankari
1. Raid dushman ke ilaqe mein kisi khas
mission ko haasil karne ke liye kiya jata
hai. Raid mein zamin par kabza karne ka irada nahi hota hai.
2. Raid
ke Maksad. Raid normal hamle se kathin aur jokhim bhara
operations hai, isi liye iska natiza bhi aisa nikalna chahiye ki itna jokhim
uthana jaiz ho. Raid ke nimn maksdad ho sakte hain:-
(a) Dushman
ke troops ko bandi (prisoners) banana, dushman aur uski karwaiyon ke bare mein kisi
vishisht (specific/ khas) khabar ko haasil karna ya uske Commanders aur
mahatwapurna vyaktiyon (key pers) ko pakadna.
(b) Dushman
ki kisi vishisht (specific/ khaas) det/ installations par kabza karna ya barbad
karna e.g. command posts, communication ki facility (sahuliyat), depots, radar
sites, headquarters etc.
(c) Kisi ek objective ko hadapna ya barbad karna,
kabhi-kabhi objective par kuch der ke liye kabza bhi kiya jaa sakta hai jab tak
hamare troops se link-up na ho jaye.
(d) Kisi
ek ilaqe mein dushman ko tang (harass) karna, dhokha dena aur use ast-vyast
(disrupt) karna (tartib bigarna) taki uska dhyan kisi dusre operations se dur
ho jaye.
(e) CI
operations mein raid atankwadi/ ugrawadion se nipatna ka aam tarika hain.
(f)
Apne admiyon/ mitron ko chhudane ke liye bhi
Raid kiya jata hai.
3. Yeh
chhote paimane par ki gai sankriya(operations)hai jiske antargat dushman ki
seema mein teji se ghusa jata hai. Raid ka uddesh,dushman ke bare mein suchna
prapt karna, use ast vyast karna ya uski sansthapna/mukhyalaya ko nasht karna
hai yeh kisi niyat msn ko pura karke Raid party ki yojna badh tarike se wapsi
ke baad pura hota hai.
4.
Raid ke dauran party ko nimn tgts diye ja
sakte hain:-
(a) Dushman
ki equipment aur supplies ko barbad karna ya nuksan pahunchana.
(b) Dushman
ke installations ko barbad karna jaise ki:-
(i)
Depots and dumps.
(ii) Radar
sites.
(iii) Communicationke
zariye.
(iv) Command
Post.
(v) Airfields/strips.
(vi) Gun
Areas.
(vii) Headquarters.
(viii) Transit
Camps.
(c) Dushman
ke supplies,equipment aur commander ko pakadna.
(d) Dushman
ki jyada se jyada casualty karna.
(e) Dushman
ki communication zone mein khatra paida karke use communication zone ke bachao
ke liye troops tainat karne par majboor karna.
(f)
Jhuthi karwai se dushman ke dhyan ko dusri
taraf batana.
5.
Raid
aur Hamla mein Antar.
(a) Surprise.
Raid
main hamle ke banisupportat surprise ki ahmiyat jyada.
(b) Asthai
Kism.
Raid karke zamin par kabza sirf task pura hone tak hi rakha jata hai.
(c) Nafri(Numerical
Superiority). Raid ki karwai kam nafri ke saath bhi ki ja
sakti hai.
6.
Raid ko mukamal taur par kamyab banane ke
liye chand baaten hai jin par gaur
karna jaruri hai,jo ki is
parkar hai:-
(a) Tajwij
aur taiyari tafsil mein ho(detailed platoong and preparation)
(b) Poshidgi(security),
Surprise, aur deception.
(c) Poshida
Pahunch(secret appch).
(d) Jaldi
Hamla(lightning attack). Tez karwai.
(e) Dhoka
aur tej withdrawal.
(f) Sada
Plan.
(g) Unche
darje ki trange.
7. Grouping. Raiding party chahe
kitni bhi nafri ki kyon na ho use niche likhe groups mein bantna padega :-
(a) Cut
off Group. Is group ki nafri dushman ki mudakhlat ki
takat aur kism par nirbhar hogi.Is group ko aise raid hone se pahle hi position
mein lag jana chahiye aur inka kaam:-
(i)
Dushman ki reinforcement ko objective tak
pahunchne se rokna.
(ii) Dushman
ko objective se bahar na nikalne dena.
(iii) Raiding
party ko withdraw karne mein madad dena.
(iv) Raid
hone se pahle agar dushman ki reinforcement aa jaye to khabar dena.
(b) Support
Group. Is group ka kaam assault group ko fire se
madad dena hai.
(c) Assault
Group. Yeh raiding force ka mukhya group hai aur
raid ki kamyabi isi group ki karwai per munnasar hai. Iske kaam is prakar se ho
sakten hain:-
(i) Sentries
ko khamoshi se barbad karna.
(ii) Rukawat
ko breach ya door karna.
(iii) Objective
par dushman ko barbad karna aur objective par us waqt tak kabja rakhna jab tak task pura na ho
jaye.
(iv) Zarurat
ke lihaj se task ko pura karna.
(v) Commander
aur staff ko pakadna.
(vi) Document
lene ke liye daftar, command aur control ki garion ki talashi karna.
Tajwij(Planning)
8.
Raid ki kamyabi gahrai mein ki hui tajwij aur
commander ki sujh-boojh par nirbhar hoti hai. Ek commander ko raid ki tajwij
banate samay in baton ko dhyan mein rakhna chahiye:-
|
|
(a) |
Task.
|
|
|
(b) |
Khabar
(information) |
|
|
(c) |
Zamin.
|
|
|
(d) |
Nafri.
|
|
|
(e) |
Fire
support. |
|
|
(f) |
Control
aur coordination. |
|
|
(g) |
Samay.
|
|
|
(h) |
Surprise.
|
|
|
(j) |
Bandobast.
|
|
|
(k) |
Alternative
plan. |
Task
9. Raid
ki tajwij banate wakt commander ko task bilkul saaf hona chahiye aur task raid
party ki kabliat ke andar hona chahiye.
10. Khabar. Raid commander ko raid mukammal taur se
kamyab banane ki liye tafsil mein khabar ka hona zaruri hai.Jin baaton ke bare
mein khabar hona chahiye woh is tarah hain:-
(a) Objective
ke ilake ki banawat aur uske bachao ki tartib.
(b) Dushman
ki woh tamam fauj jo objective per madad ke liye jaldi aa sakti hai.
(c) Objective
ke nazdik ke civilian logon ke taluqat.
(d) Objective
tak jane aur lautne ka raasta.
(e) Mumkin
RV.
11. Recce
karte waqt jin baaton per dhyan dena chahiye woh is prakar hain:-
(a) Local
guides agar milen to unhen istemal karna chahiye.
(b) Jab
tak raid na ho jaye objective ki lagatar dekh-bhal karna.
(c) Dushman
ko hone wale raid ke baare mein bilkul pata na lage.
Zamin
12. Tajwij
banate samay zamin ki banawat ka khas dhyan rakhna chahiye. Zamin ke bare mein
khabar pahle se gaya hua patrol, air photo,air maps, satellite photos se mil
sakta hai.Tajwij banete wakt in baaton ka dhyan rakhna chahiye:-
(a) Objective.
(b) Dushman
ke reinforcement ke liye raaste.
(c) RV
ka ilaka.
(d) RV
ke liye mumkin raaste.
(e) Patrol
base ke liye munasib jagah.
(f) Withdrawal
ke munasib raaste.
13. Nafri. Raiding party ki nafri in
baaton per nirbhar hogi:-
(a) Task.
(b) Objective
ki jagah aur kism.
(c) Objective
per bachao ki nafri aur kism.
(d) Kitne
troops mil sakten hain.
14. Fire
Support. Raiding
party ke apne direct fire karne wale hathiyaron par hi nirbhar rahna padega.
Raid party ko 84mm RL aur ziyada se ziyada auto hathiyar le jane chahiye.
Artillery aur mortar fire exfiltration ya withdrawl mein madad kar sakte hain
isliye inke fire ke liye bhi pahle se hi prabandh kar lena chahiye.
Control aur Coord
15. Raid
ki kamyabi ke liye chahiye ki raid party commander ka raid party per achchha
control ho. Niche likhi baaten use madad de sakti hain:-
(a) Alag
alag troops ke saath radio per milap.
(b) Tafsil
mein briefing.
(c) Alag
alag kaamon ke liye mukarar kiye hue ishare.
(d) Raid
ke dauran raiding party commander ki munasib jagah.
Samay
16. Raid
ki tajwij banate wakt commander ko samay ka theek andaza lagana chahiye taki
raiding party ko objective tak harkat, apna task pura karne aur wapas aane mein
mushkil na ho. Tajwij karte wakt samay ke baare mein, in baaton ko dhyan mein
rakhna chahiye:-
(a) Samay
aur duri ka khyal bhi karna chahiye. Raat ko harkat karne ke liye kafi samay
dena chahiye.
(b) Agar
objective ki achhi jankari hai to raid ko raat mein karna chahiye kyonki aisa
karne se surprise haasil kiya ja sakta hai.Iske ilawa raat ke andhere mein
withdrawal karne mein asani hogi.
(c) Agar
objective ke baare mein jankari achhi nahin hai to raid ya to sham (dusk) ya subah
(dawn) mein karna behtar hoga.
17. Surprise,Security
aur Deception.
Raid ek akasmik hamla hone ke karan iski safalta haasil kiya gaya surprise ke
upar munnasar hai.Objective tak chup- chap pahunch aur poshidgi se raid ki
tajwij banane ke upar ziyada dhyan diya jaye. Dushman ke sentries alarm na kar
saken aur is prakar dushman ko ek dam surprise diya ja sakta hai. Dhoka dene ki
har mumkin tarikon ka istemal kiya jaye taki raid kiya jane wale objective se
dushman ke dhyan ko kisi dusri taraf badli kiya jaye.
Bandobast
18. Raid
ki tajwij banate samay normal administration ke alawa
faltu ammunition ko le jane aur baki load ki theek baant, first aid aur
casualty evacuation ka bhi khas dhyan rakhna chahiye.
Alternative Plan
19. Aam
taur per dekha gaya hai ki har plan theek usi mutabik nahin chalta jaise ki
socha gaya ho.Isliye yah zaruri hai ki plan ki safalta ke liye alternative plan
bhi tafsil mein socha jayen aur mauka milne per usko amal mein laya jaye.
Taiyari
20. Raid
ki taiyari initial briefing ke saath shuru hoti hai. Taiyari kaam ke karam is
prakar se hote hain:-
(a) Initial
Briefing. Yeh briefing
commander,raiding party commander ko shuru shuru mein karta hai. Ismen yeh
baaten shaamil hoti hain:-
(i) Task.
(ii) Nafri
aur addl resources.
(iii) Task
khatam karne ka samay.
(iv) Aur
koi khas baat commander agar batana chahta ho.
(b) Recce. Raiding party commander
initial briefing ke baad, raid ke liye khabren ikatthi karta hai. Yeh khabren
who nakshe aur air photo se haasil karta hai aur apni raid ke liye tajwij banata hai jismen woh yah baaten
shaamil karta hai:-
(i)
Infiltration plan.
(ii) RVs.
(iii) Cut
off groups ki jagah.
(iv) Raid
ki sima.
(v) Withdrawal
ke raaste.
(c) Yeh
kam karne ke baad raid commander apni tajwij banata hai. Ismen alag alag
groups ke commanders ko le jata
hai.Recce ke dauran woh in baaton ka faisla karta hai:-
(i)
RV aur alternate RV.
(ii) Patrol
base aur alternatepatrol base ki jagah.
(iii) RV
aur patrol base mein jane ke raste.
(iv) Patrol
base se withdrawal ka rasta.
(d) Detailed
Briefing. Recce karne ke baad raid party commander
apni tajwij banata hai aur phir raid party ki briefing karta hai. Briefing sand
model se karna chahiye.
(e) Taiyari
aur Rehearsals.
(i)
Taiyari. Is mein in baaton per vichar karna
chahiye:-
(aa) Hathiyar
aur equipment aur unki testing ya nirikshan.
(ab) Demolition charges.
(ac) Casualty evacuation.
(ii) Rehearshal.
Jahan tak mumkin ho troops ko puri karwai ki rehearsal
karwani chahiye. Rehearsal ke dauran gaur karne wali baaten yeh hain:-
(aa) Rehearshal
wastawik (realistic) honi chahiye.
(ab) Ilake ka chunao aisa ho ki objective ke
ilake se milta julta ho.
(ac) Rehearsal ka samay usi tarah ki roshni mein
kia jaye jaisa ki
asli raid ke dauran lagu kia
ja sakta hai.
(ad) Contigency
plan ki rehersal.
(f) Akhiri
Inspection. Raid ke liye rawangi se pahle raid ke
commanders ko jawanon aur unke hathiyar aur equipment ka mulaaiza kar lena
chahiye. Inspection karte wakt niche likhi baaton per dhyan dena chahiye:-
(i)
Hathiyar agar ho sake to fire karke yakin kar
lena chahiye.
(ii)
Jawanon ko inspect karke yah yakin kar lena
chahiye ki:-
(aa) Bimar
to nahin hai.
(ab)
Ahmiyat wale kagzaat to nahin le ja
raha hai.
(ac)
Theek na fit hue equipment to nahin le
ja raha hai.
Karwai(Execution)
27. Raid
ki puri karwai aam taur per teen phase mein hoti hai:-
(a) Phase
I. Infiltration.
(b) Phase
II. Raid.
(c) Phase
III. Exfiltration (wapsi).
Phase I : Infiltration
28. Phase
I mein kaam ke karam is prakar se hai:-
(a) Objective
ko Rawangi aur RV tak Harkat. Harkat ke dauran puri koshish karni chahiye
ki raste mein dushman se muthbher na ho taki puri raiding party bina dushman ko
pata chale apne objective per pahunch jaye. Agar raiding party ek se zyade
raste istemal kar rahi hai to puri party ko objective ke najdik munasib RV per
ikattha hona chahiye.
(b) Patrol
Base Ko Pakadna. Patrol
base ko pakarne se pahle ilake ki search kar lena chahiye aur yakin kar lena
chahiye ki us ilake mein dushman na ho. Agar search ke dauran pata chalta hai
ki dushman us ilake mein maujood hai to alternatepatrol base mein chala jana
chahiye. Alternatepatrol base ko bhi pakarne se pahle achhi tarah search kar
lena chahiye.
(c) Confirmatory
Recce. Patrol base mein pahunchne
ke baad raid party commander ko objective ke ilake ki confirmatory recce kar
lena chahiye. Lekin is baat ka dhyan rakhna chahiye ki aisa karne se surprise
no toot jaye.
(d) Antim
Briefing. Iski zarurat usi waqt parti
hai jab confirmatory recce ke baad raid party commander ne koi tabdili karni
ho. Antim briefing mein sirf tabdilion ka hi zikar kiya jaye.
Phase II Raid
33. Phase II mein kaam ka
kram, jab raiding party ka patrol base ko chhorne se lekar patrol base mein
wapas aane tak is prakar se hai:-
(a) PatrolBase
se Deployment Area tak Harkat. Patrol base mein raid party
bhari saman chhorne ke baad chhott- chhote groups mein apne deployment area ko
harkat karti hai.
(b) Sentry
Silencing. Is
task ke liye pahle se aadmi detail kiye hote hain. Is task ko pura karte waqt
surprise ka dhyan rakhna chahiye.
(c) Fire
kholna aur cease fire. Zaurat parne par fire ek dam
kholna chahiye. Fire kholna aur band karne ke liye pahle se ishara mukarar kar
lena chahiye.
(d) Assault
aur demolition tasks. Objective ke pass pahunchne
per cut off aur assault group apne task ko pura karne ke liye laga dena
chahiye.Iske baad assault group teji
seharkat karke objective per raid karta hai.Objective per kabja hone ke baad
demolition party barood lagakar apna task ko pura karta hai.Yah sab kaam bahut
teji ke saath hona chahiye taki raid party ko RV mein wapas aane mein koi samay
barbad na ho.Agar raid silent ho to assault nahin kiya jata hai .Sirf
demolition party chhup kar apne task ko pura karti hai.Raid ki kamyabi ke baad
Assaultgroup support ki madad se withdrawal karta hai. Support group cut off ki madad se with drawal
karta hai.Agar raid kamyab na hua to Assault group pahle se hi mukarar kie hue
ishare par die hue ek ya ek se zyada patrol base per ikattha ho sakte hain.Woh
aadmi jinka dushman pichha kar raha hai, wapas patrol base mein sidha nahin
aana chahiye.Usko patrol base se door le jaye aur phir dushman se lagav tor kar
patrol mein wapas aaen. Agar koi aadmi alag ho jata hai to unko chahiye ki phir
se raid party ki saath RV ya patrol base mein milne ki koshish karen. Agar yah
no ho sake to wapas apne FDLs mein aa jana chahiye.
(e) Exfiltration.
Withdrawal ke dauran dushman ko dhoka dena bari ahmiyat
rakhta hai. Raid ke muftalif hisse se mukarar kie hue raston se die hue RV per
ikattha ho sakte hain. Dushman ko dhoka dene ke liye tartibwar pichha karne se
rokne ke liye raiding party chhote hisson mein ulte raaston ka istemal karte
hue RV aur samay per ikattha hone chahiye. Iske baad puri party pichha karte
hue dushman ko ambush karne wali koi karwai kar sakte hain.
39. Agar raid kamyab na hua
ho aur dushman pichha kar raha ho to niche likhi hui bachao ki karwai karni
chahiye:-
(a) Support/
cut off group ko assault group ke withdrawl ko fire aur move se cover karna chahiye.
(b) Woh
jawan jin ke pichhe dushman nazdik ho unhen RV per jane ki bajaye ulti jagah
aur muskil raste ka istemal karte hue
lagao torna chahiye.
(c) Aisa
jawan jo toli se dhoka dene ke liye alag ho gae hon unhen RV per jane se pahle
toli se lagao karne ki koshish karne chahiye.
CI Ops mein Raid
40. Insurgency
grast ilake mein insurgents ke hideout ya camps par raid karna fauj ka ek basic
operations hai. Is operation ki safalta khas taur par sahi khabar, surprise aur
deception aur tej karwai par nirbhar karti hai. Agar yeh op safalta poorvak
kiya jaye to isse insurgents ki kafi tadad mein casualty ho sakti hai aur uska
hathiyar aur saman bhi jabt kiya ja sakta hai. Saath hi insurgents ke morale
bhi gir jayega.
Aam Raid aur CI Ops ke Raid mein Antar
41. Halanki
ek aam raid aur CI operations mein kiye gae raid ke buniyadi usul kafi milte
julte hai phir bhi donon mein kuch antar hain. Yeh is prakar se hain:-
(a) CI operations
ke raid mein troops tab tak objective se nahin nikalta hai jab tak task pura
nahin ho jata hai. Camp ya hideout area ki tafsil se search ki jati hai.
(b) Insurgents
se lagao nahi tutna chahiye. Ek baar agar assault launch ho jaye aur insurgents
agar bhag rahe hon to unka peecha kiya jata hai.
(c) CI
operations mein raid ka mudda zyada se zyada insurgents ko maarna ya pakadna
hota hai.
CI Ops mein Raid ki Atirikt Parties
42. CI operations mein raid
ke antar aur insurgentski raid hone par karwai ko madhynazar rakhte hue kuch
atirikt partion ki zarurat parti hai. Woh is prakar se hain:-
(a) Stops.
Insurgentske bhagne ke raston par ek ya do gharon (tiers)
mein stops lagana chahiye taki bhagte hue insurgents ko maara ya pakra ja sake.
Raid ki karwai shuru hone se pahle stops ko apni position par lag jaana
chahiye.
(b) Stay
Behind Parties. Yeh
amuman dekha gaya hai ki insurgents jab bhagte hai to woh apna saman chupa dete
hain aur raid party ke chale jaane ke baad is saman ko lene ke liyen aate hain.
Agar raid ke baad ek thik nafri ki stay behind party peeche chori jaye to safalta haasil ho sakti hai. Iske liye is
party ke paas communication ke saadhan aur 72 hrs ke liye administration ka
saman hona chahiye.
(c) Pursuit
Party. Raid hone par insurgents
bhagne ki koshish karte hain. Security forces ka mudda zyada se zyada
insurgents ko maarna ya pakadna hota hai. Isliyen yeh zaruri hai ki ek pursuit
party pahle se hi detail ki jaani chahiye. Is party ke saath tracker dog bhi
hona chahiye. Is party ka task bhagte hue insurgents ka peecha karke unhe
maarna ya pakadna hai.
CI Ops mein Raid ke Usul
43. CI
operations mein raid ke dauran kuch khas baaten dhyan mein rakhni chahiye, woh
is prakar se hai:-
(a) Surprise.
Kharab mausam, raat ka samay, kharab visibility aur
kathin raaste ka istemal surprise kayam rakhne mein madad karta hai. Jahan tak
ho sake raid unchai se neechai ki taraf karna chahiye. Post se nikalte waqt
alag alag rasto ka istemal karna chahiye.
(b) Secrecy. Raid ki safalta secrecy
aur deception par nirbhar karti hai.
Raid ki tajwij, taiyari aur move ko civilian population se chupa ke
rakhna chahiye.
(c) Security. Harkat ke samay security barkarar rakhna
bahut zaruri hai. Harkat chhupav mein aur bound
to bound honi chahiye. Gaon aur civilian population se dur harkat honi
chahiye. Raaston ka istemal na kiya jaye
kyonki in raaston par militants apne sentries laga kar rakhte hain.
(d) Speed. Ek baar muthbhed ho jaye ya surprise tut jai
to sabhi karwai teji se karni chahiye.
(e) Shock
Action. Camp/hideout milne par grenades ka istemal,
bhari maatra mein fire aur assault karna chahiye.
(f)
Search.Raid
ke baad ilake ki tafsil se search karni chahiye.
(g) Pursuit. Bhagte hue insurgents
ka peecha karna aur unhe pakadna bahut zaruri hai.
(h) Anya
Baaten. CI
operations mein raid ke talluk rakhne wali anya baaten:-
(i)
Khabar.
Hideout/camp ke bare mein khabar haasil karna bahutkathin hota hai. Iske liye
zariye is prakar se hain :-
(aa) Pakre hue insurgents.
(ab) Pakre hue documents.
(ac) Agents
ya sources dwara information.
(ad) Higher headquartersya civil agencies dwara di gai khabar.
(ae) Insurgentska saaman le jane wale civ ya unke
pariwar ke sadasya.
(ii) Guides. Insurgentsapne camp ko
bahut hi kathin aur chupao wale ilake me
rakhte hai. Khaas taur par hideout, jo ki chote hote hain, unke dhoond paana
kafi mushkil hota hai. Isliyen civilian guides ka istemal nihayat hi zaruri ho
jata hai. Guides ka istemal karte waqt security ka dhyan rakhna zaruri hai.
44. Raid
ek achanak hamla hone ke karan chhoti tolion se kiya jata hai. Iski kamyabi
dushman se surprise haasil karne per nirbhar hai.Pahunch/a raste chhupaav wale
hone chahiye aur puri tajwij ko poshida rakhna chahiye. Mukammal surprise
haasil karne ke liye sentries ko khamoshi se barbad karne ka bandobast karna
chahiye.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know