FASLE KA ANUMAN LAGANA

FASLE KA ANUMAN LAGANA

 


Fasle ka Anuman Lagane par Asar Dalne Wali Baten

 

1.         Fasle ka anuman lagate samay asar dalne wali do baten hain :-

 

(a)     Zamin ki banawat               

(b)     Mausami halat. 

 

2.    Chahe ham kisi bhi tarike se duri ka anuman lagayein, mausam ya zamin ki banawat ke karan fasla kam ya jyada lagta hai. (Pahle ham dekhte hain ki fasla asal se kam dikhai kab deta hai yani lakshya jitna dur hota hai woh kab kam duri par malum padta hai).

 

3.         Fasla Asal se Kam Lagane ke Karan.

 

(a)      Jab roshni tej hoti hai ya suraj prekshak (observer) yani dekhne wale ke peechhe chamakta hai.

(b)      Jab lakshya aas-pass ki chizon se bada hota hai.

(c)      Jab prekshak (obsever) aur lakshya ke beech kuch agochar bhumi (dead ground) ho.

(d)      Jab observer neche se upar ko dekhta hain jaise ke pahadi ilaque mein.

 

4.    Abhi ham dekhte hain ke duri zyada kyon lagti hai. Yani (Lakshya jitna dur hota hai, usse bhi aage malum padta hai).

 

5.         Fasla Asal se Zyada Lagne ke Karan.

 

(a)     Jab roshni kam hoti hai ya suraj ki kirnein prekshak ki ankhon mein aadi  padti ho.

(b)     Jab lakshya aas-pass ki chizon se chota hota hai.

(c)     Jab ghaati (valley) ke paar dekhte hain.

(d)     Jab nichhe let ke (Lying position) dekhte hain.

(e)     Jab lakshya ko street yani galion, jungle ki pagdandi jaise tang jagahon ke bich se dekhte hain.

(f)      Jab pahadi ilaque mein upar se neeche dekhte hain.

 

Fasle Ka Anuman Lagane Ke Tarique Aur Mafi Galti

 

6.         Duri napne ke tarique.

 

(a)      Ikai ka tarika (map unit ka tarika).

(b)      Dikhai ka tarika.

(c)      Awaz ka tarika.

(d)      Bearing ka tarika.


7.    Ikai ka Tarika (Unit of Measure Method).  Is tarike se kaam lene ke liye jawan zamin par 100 gaz tak ki duri ka anuman lagane mein mahir hona chahiye. Is tarike se 400 gaz tak ki duri aasani se napi ja sakti hai. 400 gaz tak ke target ki duri malum karne ke liye pahle 100 gaz tak ka anuman lagao phir usse 100-100 gaz ki badotri tab tak karte raho jab tak us se aap target tak na pahunch jayein. Is se us target ki duri malum ho jayegi 400 gaz se aage dur ke target ki duri ke liye is tarah malum karo. Us target ki aadhi duri ka upar batay dhang se andaja lagao phir us duri ko dugna kar do. Isse target ki duri malum ho jayegi. Is tarike ki kamyabi kewal 1000 gaz tak ke targeton ke liye hai.

 

8.    Lakshya Dekhkar Uski Duri Malum Karna (Appearance Method).  Is tarike mein lakshya ki duri ka andaza is baat se lagaya jaye ki woh kitna bada ya uski dusri chizen kitni dikhai deti hain. Is tarike se sahi duri tabhi malum hogi jab jawan ko yah pata ho ki kitni kitni duri par koi chiz kitni badi dikhai deti hai.

 

(a)      200 m par - Jawan ka pura sharir saaf dikhai deta hai.

(b)      250 m par - Ghutne tek position mein jawan fore sight blade se cover ho jata hai.

(c)      300 m par - Chehra dhundhla dikhai deta hai.

(d)      400 m par - Pura sharir dikhai deta hai, lekin chehra saaf nazar nahin aata. Foresight  tip khare admi ko cover karta hai.  

(e)      500 m par - Kandhe se uparwala hissa patla dikhai deta hai, anng dikhai nahin dete aur pura sharir patla dikhai deta hai.

(f)       600 m par - Sir (head), nukta jaisa dikhta hai, ang dikhai nahi dete aur pura sharir patla dikhai deta hai.

(g)      200 m par kneeling position wale jawan ko INSAS rifle ki foresight cover karti hai.

(h)      350 m par khare jawan ko INSAS rifle ki fore sight cover karti hai. 

 

9.    Dhwani ka Tarika (Sound Method).  Dhwani yani aawaz hawa mein ek second mein takriban 366 gaz (1100ft) tak jati hai. Isse duri ankne mein asani hoti hai. Lekin is ke liye goli ka asar ya sound jaruri hai. Udaaharan ke liye Jab aap din mein goli dhuan ya dhool ya raat mein chamak dekhein tab fauran ek sec mein 4 (char) ke hisab se ginti ginani shuru karein. Jab dhamaka suna jaye tab ginna band karein. Rukne tak jitne number tumne gine hain woh utne 100 gaz ko zahir karenge aur wohi range bhi hogi. Agar teen(03) ki ginti par rukoge to range hogi 300 gaz. Agar dhamaka sunne se pahle 8 tak gin liya hai to range 800 gaz hogi.

 

10. Shuru shuru mein ek jawan ko sahi ginti ginne ki raftar nahin aati.  Yeh abhyas se ati hai. Iske abhyas ke liye malum duri se fire karo aur ginti ginne ka abhyas karo. (Student butt mein gallery ke andar) Jab aap correct speed se count karenge to 5 sec mein 10 tak do bar ginti kar sakoge. (Jab 10 se jyada ginti karte hain to 10 ke bad dubara ginti karen, kyon ki 11, 12, 13 ginne mein timing kharab ho jati hai). Sahi ginti ginne ke liye yadi raftar dheemi karni pade to dheemi karo aur agar badhani pade to badhao. Achha abhyas kar lene par ankh se dekh kar duri aankne ke bajaye is tarike se jyada duri aank sakte hain. Raat mein to yeh tarika bahut hi kaam aata hai.

 

 

 

11.      Bearing ka tarika.

 

(a)     Jis point ka distance nikalna hai uska compass se bearing nikalo. Bearing ko note karo aur jis jagah se bearing liya hai use mark karo. 

                                         

(b)     Ab dayen ya bayen target se 3 baje ya 9 baje ki line mein utna chalo ki bearing mein 5 degree ka farq aa jaye. Jagah ko mark karo. Pahle nishan aur dusare nishan ke beech mein duri ko mtr mein naapo. Jitni bhi duri aati hai usko 11.4 se guna karo.  Jo bhi yog aata hai woh distance hoga.  

 

Fasle Ka Anuman Lagate Samay Mafi Galti

 

12.     Duri napne ke abhyas mein jyada galti ki gunzaaish nahin hai. Duri ankne mein galti hone par nimnlikhit gunzaaish (+ ya - ) ho sakti hai:-

 

(a)      300 gaz tak ki duri ke liye sahi duri se 10% kam ya zyada. udaharan ke liye agar koi lakshya 300 gaz par hai to uske liye 30 gaz kam ya zyada ki galti maaf hai.

 

(b)      300 gaz se adhik duri ke liye sahi duri se 15% kam ya jyada.

 

13.    Waise to fasle ka anuman lagana kaafi aasan hota hai lekin jab iska abhyas kiya jata hai to kaafi mushkilein pesh aati hain. Iska abhyas karte samay un sab baton ko dhyan mein rakhna chahiye jo anumaan lagate samay asar dalti hain. Iska us samay tak abhyas dena chahiye jab tak anuman lagane wale mafi galti ke andar nahin pahunch jate.

 

14.     Lakshya malum karne ke bad use kargar tarike se barbad karna padta hai. Is liye lakshya ka pata chalte hi apne kisi saathi ya commander ko batana aniwarya hai. Isi ke liye "Target indication aur Fire Control Orders" ke bare mein jankari hona zaruri hai jo ki agle lesson ka hissa hai.

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 


टिप्पणियाँ