CORDON AND SEARCH OPERATIONS (CASO) AUR SEARCH AND DESTROY OPERATIONS (SADO)

 

CORDON AND SEARCH OPERATIONS (CASO) AUR

SEARCH AND DESTROY OPERATIONS (SADO)

 


 

Parichay

 

1.         Second world war ke baad se varthman kaal tak yudh ka tarika badal gaya hain.  Guerilla yudh aur atankvad main hui vridhi ne vishva ki senao ka is se larne keliye prasiksit hona anivarya kardiya hain.  Bharathiya sena bhi uttar poorvi rajyon aur J & K main atankvadi virodhi Operation main leen hain.  Patrol, Ambush, Mobile Check Post(MCP), CASO and SADO jaise operations kar atankwad ko khatam thatha janasankhya ko control mein rakha jaraha hain.

 

Cordon and Search Operation (CASO)

 

2.         Cordon and Search Operation kai karnon se kiya jata hain.  Kuch pramukh maqsad is parkar se hain:-

(a)       Gaon main chhupe atankvadiyon ko pakadna ya mar girana.

(b)       Weapon, Ammunition, Equipment aur dastavej kabje mein lena.

(c)       Atankvadiyon aur unke samaarthakon   ki harkat par ankhush lagana.

(d)       Suraksha senao ka dar banakar rakhna.

(e)       Sena ke morale ko up karna.

 

3.         Is operation ke saflata ke liye hamein is ke baren main kuch ek jaroori khabar hona anivarya hain Jo ki is prakar se hain:-

 

(a)       Target Gaon ki khabar.

(b)       Atankh vadiyon se sambandit khabar.

(c)        Janasankhya se sambandit khabar.

 

4.         Target gaon ke bare main nimn likhit jankari hona avashyak hain:-

 

(a)       Gaon ki jagah

(b)       Gaon ka Akar, Khaka aur kul makkan. 

(c)        Aas pass ka ilaqa    

(d)       Bhagne ke mumkin rasten.

(e)       Nigrani rakhne ki jagah.

 

5.         Atankwadiyon ke bare mein yeh jankari honi chahiye:-

 

(a)       Atankhvadi samooh ki nafri, Weapon aur kisi commander ki upasthiti.

(b)       Atankhvadi samooh ki tarteeb.

(c)        Atankhvadi ki harkat ka tariqa aur aam taur par istemal hone wale tactics.

 

 

 

6.         Chune huwe gaon mein rahne wale abadi ke bare main hamein jo jankari honi chahiye woh is prakar hain:-  

(a)       Gaon ki janasankhya.

(b)       Ilaqe main Atankhvadi samarthak log thata unke gharon ki nishan dehi.

(c)        Sarkar ki sahayata karne wale log.

(d)       Atankhvadiyon ke ghar aur pariwar.

(e)       Janta ka sena aur Atankhvadiyhon ke prati ravayya.

(f)        Ilaqe ke mahatv pooran log jaise ki sarpanch, neta, unche pad par sarkari             adhikari. 

(g)       Anya Jankari.

 

7.         Cordon aur search  ko tartib dene ke liye jane wali nafri ko vibhin –vibhin partiyon mein baanta jata hai.

(a)       Cordon Party.  Is party ki nafri sabse adhik hoti hai yah tukdi do bhaghon mein apna kaam karti hai:-

 

(i)         Bahri cordon.

(ii)        Andruni cordon.

 

(b)       Is party ka kam gaon ki ghera bandi karna aur bhagne ke raston ko katna hota  hai.  Aam taur par bahari ghera gaon se nikalne wale raston par aur bhagne wale  satahon par ambush ke roop main lagaya jata hain. Antrooni Ghera Ghana hota hain tatha gaon ke nazdeek hota hain. Is ke alawa nikalne wale raston par ghehrai main Stops lagaya jate hain. Aapsi milap keliye yah party radio set VPS ya Motorola ka istemal karti hain.  

 

(c)        Search Party. Is party ka kaam ilaqe ki talashi karna hota hain.  Is ki nafri ek section hoti hain.  Jis ki bant is prakar hain:-

 

(i)         Search party main SectionCommander aur Rif No -1 aur 2.

(ii)        Support group main  RL  Det, LMG Group, MGL, UBGL aur Rif Man.

(iii)       Is ke alawa kuch civil aur asainik log bhi search party ka hissa hote hain :-

 

            (aa)     Magistrate ya civil adhikari.

            (ab)     Police ka numainda Mahila Police ke saath.

            (ac)     Ilake ka sarpanch.

            (ad)     Ghar ka malik/Sadasya.

            (ae)     Pioneer Det.

 

(d)       Reserve Party.        Is party ke bahut se kam ho sakte hain jaise ki :-

 

(i)         Inner Cordon ko depth dena.

(ii)        Zarurat  ke mutabiq ilaqe main cerfew lagana.

(iii)       Bhagte huye ugravadi ka peecha karna.

(iv)       Operations wale ilaqe ki nigrani karna.

(v)        Koi bhi achanak anewali sthiti se nipatna.

(vi)       Ilaqe  aur task ke anusar nafri ek section se platoon ki ho sakti hain.

 

(e)       Interrogation and Identification Party.Is ka kaam civil ki parakh aur poochtaachh karke khabar haasil karna saath hi shakiya logon ko alag karna tatha puchh tachh karna. Aam tor par ek officer/JCO is party ka commander hote hain. Tatha sat main identifier aur interpreter hote hain.

 

(d)       Civic Action Party.   Nimn likhit log hote hain :-

(i)         Doctor aur Medical Det.

(ii)        CSD Saman.

(iii)       Anya koi rahat.

(iv)       Is Party ka kaam civil ko CASO se hone wale kasht se rahat dena hain.

 

(e)       Prisoner Guard Party. Is party ka kaam shakiya aadmiyon par gd rakhna aur aam janta se alag karna hota hain.  Is ki nafri takriban ek section ki hoti hain.

 

Cordon and Search Operation Karne ka Tariqa

 

8.         Cordon and Search operation teen phase mein pura kiya jata hain:-

 

(a)       Target gaon tak ki harkat. 

(b)       Cordon lagana        

(c)        Search Karna.

 

9.         Target gaon ki harkat karte samai in baton ko dhyan main rakha jayen:-

 

            (a)       Harkat achanak ki jai.

            (b)       Raat ke samai cross country movement.

            (c)        Harkat ke dauran civilian milne par unhe saath main rakha jai.

            (d)       Movement ke dauran field craft and drills sahi hona chahiyen.

            (e)       Ho sake gaon ko ek se  zyada disha se approach kiya jaye.

            (f)        Chalte samay paon aur equipment ki awaz na ho.

            (g)       Cordon lagate samay tej harkat aur lagne ke baad koi harkat nahin.

            (h)       Bharosemand milap magar kam radio awaz par.

            (j)         Manav adhikaron ka ulaghan nahin hona chahiye.

 

10.       Cordon lagane se pahle gaon ke pass ek release point niyukat kiya jata hai. Jahan se cordon partiyan alag hoti hai aur ghera laganashuru karti hai.  Jahan par sara bhari saman bhi rakha jata hai. Is ke ilawa gehrai mein stop ambush ke taur par lagaye  jate hai. Ghera laganeke bad party commander suchna operationcommanderko deta hai.

 

11.       Search operationghera lag jane ke bad subha shuru kiya jata hai.  Pure gaon ko ikkatha kiya jata hai. Gaon wasion ki screening aur search saath saath ki jati hai. Search karte samay bahumanzila makaon ki search mein niminlikhit baten dhayan mein rakhni chahiye :-

 

(a)       Talashi uppar se niche ki aur.

(b)       Chhat par helicopter sidi, pani ki pipe ya anya makan se pahunca jaye.

(c)        Anya imarton par sniper tainat ho.

(d)       Admion ko bandi banane ke liye hamesha alag team honi chahiye.                        (e)             Search drill ka abhyas pahle kiya hona chahiye.

     

12.       Rihaeshi imarat ki talashi lete samay kuch ek dhayan mein rakhne wali baten:-

           

            (a)       Search party ke saath ghar ka numainda ho.

            (b)       Ghar ke sabhi log ek jagah par ikkathe kiye jaye.

            (c)        Gehrai se khoj ki jaye. Rasoi ghar, bathroom, deewaren, Almirah, chat etc.

            (d)       Ek se zyada search party aur search ek saath ki jaye.

            (e)       No objection certificate ghar ke malik se hamesha sign karwana chahiye yadi gaon mein khali ya tala band makan hai to booby trap se savdhani bartani chahiye.

 

13.       Booby Traps ke Lakshyaan:-

 

(a)       Koi bhi akarshak vastu ka khule mein para hona.

(b)       Apni jagah se alag saman.

(c)        Khudi huye jagah.

(d)       Koi wire ya keel.

 

Search and Destroy Operation Karne ka Tariqa.

 

14.       Search aur destroy operationnimin karnon se kiya jata hai :-

 

(a)       Ilake ki dekhbhal aur kabze ke liye.

(b)       Jab vidrohiyon ke bare mein pakki khabar na mile.

(c)        Kafi bara jungle ya ilaka search karne ki zarurat ho.

(d)       Ilake mein atankwadi shivir hone ka andesha ho.

 

15.       Search karte samay dhayan mein rakhne wali baten :-

 

(a)       Atankwadion aur janta ki khabar malum honi chahiye.

(b)       Nafri ilake aur khabar ke anusar honi chahiye.

(c)        Ilake ko prathmikta ke adhar par bant kar search kiya jaye.

 

16.       Atankwadi shivir ki khubiyan :-

 

(a)       Zamini Banawat.

 

(i)         Ghana jungle, nale, tuti-futi zamin ke saath.

(ii)        Ek hi rasta.

(iii)       Main raston se dur.

(iv)       Guard/sentry chupe huye saathan par.              

(v)        Bhagne ke anek raste.

 

(b)       Pani.               Adm karnon se pani ke shrot ke nazdik camp paye jate hai.Suraksha karnon se kheti/gaon se dur shivir banaya jata hai. Par aam janta se milne wali kahbar aur administrative help ke karan gaon se 1 se 5 km ke ander hota hai.

17.       SADO ki Partiyan.

 

(a)       Stop. Is ki nafri sabse zyada hoti hai. Iska kam search kiye jane wale ilake ka ghera lagana hopta hai.

(b)       Search Party.  Is ka kam ilake ko search karna hai. Yeh party hamesha   encounter ke liye tayar honi chahiye. Shakiya jagah ka search tassali se karna   chahiye. Is party ko tracking mein nipun hona chahiye.

(c)        Reserve Party.  Is ka kam stop ka kam karna, picha karna ya anya kisi bhi sthiti se niptana.

 

18.       Serach Ke Tarike.              Search teen tarikon se kiya jata hai :-

 

(a)       Sweep Method.

(b)       Fan method.

(c)        Selective search.

 

19.       Sweep Method. Is mein teen dishaon mein stop lagayen jate hai. Aur chauthi disha se search party stop ki taraf aati hai.  Is method mein cont rakhne ki zarurat hoti hai.

 

20.       Fan Method. Is se chhota ilaka acchi tarah search kiya jata hai. Search party kisi ek disha se dayen/bayen ghum kar start point par aa jati hai.  

 

21.       Selective Search. Yeh tab ki jati jab atankwadion ke thikane ki khabar ho, bare ilake mein troops ki kami ho.  Is tarah ki search mein gati aur surprise par zor diya jana chahiye aur sweep method ke saman ilaka saaf banta hona chahiye.

 

22.       Yadi is lesson ke dauran sikhaye huye tarike aur zaruri baton ko dhayan mein rakh kar CASO aur SADO jaise operations kiye jaye to bina nuksan uthaye saflta milna nischit hai.  Is se khud ka manobal barta hai aur atankwaad ki jaren kamzor hoti hai.

 

 

टिप्पणियाँ