84 MM RL KA FIRE AUR MISFIRE

 

84 MM RL KA FIRE AUR MISFIRE

Fire Karna

1.      Trigger Operation.     Anya hathiyaron ki tarah 84mm RL ke trigger ke do khichav hain, pehla halka aur lamba khichav dusra chota aur sakhat  khichav, Jab firer ko target area mein target dikhai deta hai, to pehla khichav  hasil karta hai drust shist mil jane par dusra khichav hasil karta hai. Trigger par 2.5kg se leakar 5kg ka dabav ane par trigger press ho jata hai. Trigger press hone par round fire ho jata hai, jisse brl ke raste projectile aur venturi se shola nikkalta hai jise back blast kehte hain.84mm RL ka  back blast ka  ilaqa breach ke peeche  se 90 degree ke angle par 15m lamba aur 12m choura  hota hai. Fire karte waqt is ilaqe mein koi jandar chiz, ammunition ya rukawat nahi honi chahiye.

2.      Jab RL det ko target dikhai deta hai tu No 1, No. 2 ko hathiyar ,amn taiyar kar ka adesh deta hai. No. 2 , No. 1 ke adesh ko dohrata hai. No. 1 RL ki sight par range lagata hai. No 2 amn ko taiyar karta hai.No 1 Launcher ko cock karta hai safety catch ki position ko safe par karta hai aur No 2 ko bhar  ka adesh deta hai. No. 2, No 1 ke adesh ko dohrata hai venturi ko kholta hai,nirikshan karta hai  aur venturi aur chamber ko saaf karta hai. No. 1, No. 2 ko "stop" ka adesh deta hai, No 2 se check back report leta hai, check back  report No 2 ke adesh par No. 2 round ki kisam aur tadad ka hawala deta hai aur durust bhar ki karwai karta hai. No. 1 check back karta hai check back No. 1 ke adesh par No. 1  Range, Range scale aur shist ka hawala deta hai. "Fire" ke adesh par No. 1 safety catch ki position ko 'S' se 'F' par karta hai, drust shist lete huye sahi trigger operation ki karwai karta hai. Is parkar round fire ho jata hai,No. 1 aur 2 milkar  target area mein round ki maar ko dekhte hain.Is tarah se ek  sikhlai paya huya RL det 1 minute mein 6 rounds fire karta hai.

Misfire

3.      Agar trigger dabane par  round fire na ho to karwahi  is prakar karen: -

(a)    No. 1 pakar, shist aur trigger  par dabao ko kayam rakhte hue 5sec  ka  waqfa deta hai agar 5sec ka waqfa dene par  round fire na ho to No. 1 launcher ko  cock karta hai aur fire karta hai.

(b)    Agar round phir  fire na ho to No. 1, pakar, shist aur trigger par dabao kayam rakhte huye 15 sec ka waqfa deta hai . Agar is dauran  round fire na ho  to  launcher ko cock karta hai, safety catch ko safe par  karta hai, pakar aur shist  ko kayam  rakhte huye  No. 2 ko, 2 minute ka waqfa jari karne ka adesh deta hai ,2 minute ka waqfa jari kar ke adesh par  No. 2 , 2 minute ka waqfa  note karta hai, 2 minute ka waqfa pura ho jane par  No. 2 up pukarta hai aur sath hi No. 1 ki peeth par  thapki  lagata hai. No. 1 , No 2 ko adesh deta hai 'Misfire khali kar'.

(c)     No. 2 No. 1 ke adesh ko dohrate huye khali kar ki karwahi karta hai.No 1 , No. 2 se check  primer report  leta hai , check primer report  No. 2 ke adesh par No. 2 round ke primer ka mulahiza karta hai. Agar round ke primer par chot  na ho to No 1 aur 2 milkar firing pin ki badli karte hain agar round ke primer par chot lagi ho to No. 2 aise round ko firing position se  50m aage aur dahine rakhta hai.No. 2  container se dusra round nikaal kar  drust bhar ki karwahi karta hai, No 1 drust shist lete huye trigger ko press karta hai is parkar round fire ho jata hai.

(d)    Misfire hone ke karan:-

(i)      Firing pin ka toot jana ya ghis jana.

(ii)     Main spring ka kamjor hona.

(iii)    Round ke primer mein koi nukas hona.

Note :-

(i)   Agar primer par chot nahi hai to ho sakta hai ki launcher ke firing mechanism mein nukas ho, samay milne par armourer se thik karwana chahiye.

(ii)   Misfire round ko  alag rakh kar use bad mein blind ke taur par barbad kia jaye.

(iii)  Raat ke waqt primer par chot dekhna mumkin nahi, isliye misfire par dusra round bhara jaye.

 

 

Figure 23  RL ka Backblast Area

टिप्पणियाँ