FAUJI TACTICAL SHABDON KA MATLAB Army Glossary of Military Terms
FAUJI TACTICAL SHABDON KA MATLAB
Army
Glossary of Military Terms
1. Call Sign. Radio station ki pahchan ke liye istemal kia
jane wala gupt akshar ya akshar tatha ankon ke group ko call sign kahte hain.
2. Code
Sign.
Aksharon ya akshar tatha ankon ke woh gupt group, jo kih formation our unit ke
headquarter ko inki pahchan ke liye die jate hain.
3. Code
Word. Pahle se chuna hua shabd, jo
ki kisi sthan operation ya kisi plan ki security banaye rakhne ke liye istemal
kia jata hai.
4. All
Round Defence. Fauji daston ko is prakar zamin par lagana,
jo kisi bhi direction se anewale hamle ko nakam kar saken. Yeh niche likhe
anusar ho sakta hai :-
(a) Organised
for All Round Defence. Ek unit ya sub-unit ko is tarah se lagaen ki uske zyadatar hathiyar dushman ke mumkin raston ko
cover kar sakte hon, lekin kuchh fire kisi bhi disha se anewale hamle ko torne
ke liye dala ja sake.
(b) Sited
for All Round defence. Ek unit ya sub-unit ko sited for all round
defence tab kaha jata hai, jab ise is tarah se lagaya ho, jo kisi bhi disha se
anewale hamle par taqriban barabar matra mein fire dal sake. Yeh formation ko
lagu nahin hai.
5. Mutual
Support. Ek
defended post ya defended locality ka dusri defended post ya locality par kiye
janewale hamle mein fire se dakhalandazi karne ki kabliat ko mutual support
kehte hain.
6. Arc
of Fire.
Kisi hathiyar ya fire unit ka woh ilaqa hai, jismain anewale targeton ko engage
karna is hathiyar ya fire unit ki zimmewari hai, yeh do hote hain:-
(a) Primary
Arc of Fire. Yeh arc us hathiyar ya fire unit ki pahle
zimmewari hoti hai.
(b) Secondary
Arc of fire. Yeh arc hathiyar ya fire unit ki dusri
zimmewari hoti hai. Is area mein tabhi fire kiya jayega, jab hathiyar primary
arc mein koi fire na kar rahe hon.
7. Field
of Fire. Yeh
woh ilaqa hota hai, jismen woh hathiyar apna kargar fire dal sakta hai.
8. Defiladed
Position. Dushman ke flat trajectory hathiyar aur
dekhbhal se kisi kudrati ya banawati rukawaton, jaise pahari, uthi zamin ya
katao se jo bachao mile use defiladed position kahte hain.
9. Enfilade
Fire. Flank mein
site kiye gaye hathiyar ka is tarah se fire karna jo ki targetko lambe rukh
mein barbad kar sake, use enfilade fire kahte hain.
10. Alternative
Position. Yeh
pahle se recce aur taiyar ki hui aisi position hai jahan par koi unit ya
sub-unit athwa gun ya mortar pit usi task ko pura karti hai, jo ki main position se kar rahi thi.
11. Secondary
Position.
Pahle se recce aur taiyar ki gayi woh position hai, jahan par koi gun, mortar
secondary task ko pura karne ke liye jati hai.
12. Temporary
position. Kisi
unit ya sub-unit dwara dushman ko dhoka dene ke liye 'kisi zamini ilaqe ko
kuchh waqat ke liye kabze mein rakha ya kisi hathiyar ka itsemal karna, taki
Dushman hathiyar ki sahi location ka pata na laga sake.
13. Overhead
cover. Dushman ke hawai dekhbhal se chupao ke liye,
darkhton ke niche ya kisi aur chhupav ke niche morche banaye jisse dushman
asani se dekhbhal na kar sake.
14. Overhead
protection. Dushman ke air burst aur Spinter se bachao ke liye cement ya chhat ke saath
bane morche hote hain. Amuman 18 inch mitti upar dalkar bhi banaya ja sakta
hai.
15. Positional
Defence. Aisa defence, jismein zyada se zyada fauj
ahmiyat wali jagah par laga di jati hai aur kewal chhota
force counter attack ke liye rakha jata hai. Ismen zamin ki adhik ahmiyat hoti
hai, jise har halat mein hold kiya jata hai.
16. Mobile
Defence. Is
prakar ke defence ka mudda dushman ko barbad karna hai na ki zamin pakadna. Is
liye ismein kuchforce zamin par shatru ko
killing area mein channelise karte hai aur bara force mobile resource ke taur
par rakhe jate hai, jo shatru ke killing area mein ate hi counter attack karke
barbad kar data hai.
17. SupportAttack. Yeh ek tactical harkat hai,
jo dushman ke hamle ko betartib karne ke liye ek defender unit istemal karti
hai. Amuman yeh jab dushman FUP mein ho ya hamle ke liye ikatha ho raha hai tab
karte hain. Iska mudda zamin kabze mein karna nahin isliye
yeh kai bar fire se bhi kia ja sakta hai.
18. Local
Counter Attack. Unit ya sub-unit dwara apne defence mein ghus
aye ya ghusne ki koshish karne wale shatru ko barbad karne ke liye jawabi hamla
karte hain, use local counter attack kahte hain, iske liye koi alag fauj nahin
hota hai.
19. Deliberate
Counter Attack. Yeh
tajwiz, taiyari aur tartib sudha jawabi hamla hai, jo formation level par
defended sector mein ghuse shatru ko mukarar
reserve force ka istemal karte hue barbad kiya
jata hai.
20. Defensive
Fire Task. Pahle
se plan kia hua woh fire, jo jaldi se dushman ke hamle ya shakia hamle ki jagah
par giraya ja sake. Yeh teen kism ke hote hain:-
(a)
Defensive
Fire in Depth. Yeh dushman ke
depth area mein uske mumkin assembly area tatha FUP aur wahan tak ke raste mein
dushman ke hamle ki taiyarion mein dakhalandaji ke liye chune jate hain. Ise
gahrai mein DF task kahte hain.
(b) Close
Defensive Fire. Yeh
DF dushman ke hamle ko FUP, SL ya asli assault ko torne ke liye chune jate hain.
(c) Defensive
Fire SOS. Yeh
close DF mein se woh task hote hai jo sabse khatarnak hote hain. Amuman yeh us
jagah chune jate hain jahan se dushman surprise hasil kar sakta hai. Jab gunen
aur mortars aur kahin fire na kar rahi hon tab DF SOS par lay karke rakhi jati
hain.
21. Nest. Jab minefield ko main
defence ke hathiyaron se zyada gahrai ya dabi zamin, hone ke karan cover na kiya ja sake tab minefield mein jo daste lagaye jate
hain unhe Nest kahte hai.
22. No
Man's Land. Do senaon ke beech ki woh jagah jis par kisi
ka bhi kabza na ho, lekin donon sena apni patrol, dekhbhal ya fire se dominate
karne ki koshish karte hain.
24. Junction
Point. Unit ya
formation ki darmyanboundry par aise zamini
nishan jinki madad se defended locality aur mine field ki taqriban line zahir
ki jati hai.In nishanon ka koi tactical matlab nahin hai, inko fire se cover ya
pakarne ki zarurat hai.. Yeh advance aur withdrawal mein istemal mein laya jata
hai.
25. Re-organisation.
Kisi bhi action ke baad unit ya formation ke beech kiye
jane wale readjustment jaise jawan aur equipment mein casualty ho jane ke karan
karna parta hai. Yeh zamin ko kabje mein lene par nayi tartib kisi unit ya
formation ko di jati hai.
26. Delaying
Position. Covering fauj ki tolion dwara defence ya
withdrawal mein dushman ke advance ke bagair zyada ladai main shamil hue bina
delay paida karne ke liye jo position lete hain use delaying position kahte
hain. Yeh covering fauj ke age ya pichhe ho sakta hai.
27. Lay
Back Position. Woh ilaqa jis par Infantry ya Armour ki sub-unit lagav wale daston ki harkat ko din
ke waqt fire se cover karne ke liye pakarti hai, aur unhen dushman se lagav
home mein madad deti hai.
28. Van
Guard. Advance guard ka woh hissa jo main guard ko
bachao dene ke liye age chalta hai aur iski hifazat karta hai.
29. Axis. Advance ke rukh ko zahir
karne wali woh aam rekha jiske saath koi formation ya unit ke
Headquartersharkat karti hai.
30. Bound. Advance mein woh tactical ahmiyat wali jagah
jahan pahunchne par sub unit ya formation apne commander ko report deti hain
taki commander is par kabu pa sake aur co-ordinate kar sake. Yahan dushman hone
ka andesha ho sakta hai. Is jagah ko tactically occupy karte hain aur yahan
halt kia jata hai jab tak dusra adesh na mila ho.
31. Report
Line. Woh
farzi line jo zamin aur nakshe par asani se pahchani ja sake. Yeh advance ke
dauran control pane ke liye bare commander mukarar
karte hain. Yahan pahunchane par unit ya formation apne pahunchne ki report
dete hain. Yeh tactical ahmiyat wali jagah nahin hoti aur yahan troops rukte
bhi nahin hai.
32. Assembly
Area. Woh
area jahan hamlawar daste imdadi daston ke saath mel-milap karte hain aur hamle
ke Iiye taiyar hote hai. Yeh jagah shatru ka
mumkin artillery targetna ho. Assembly area aur FUP ke beech fasla zyada hone
par forward assembly area chuna jata hai.
33. FUP
(Forming Up Place). Hamlawar fauj assembly area
ke baad yahan aa kar hamla karne ke formation mein tartib se lag jate hain. Yeh
FUP kahlata hai. Yahan se platoon ya section commander jawan ko objective dikhata
hai. Yahan bhari saman chhora jata hai aur yahan fauj bahut kam rukti hai.
34. Start
Line.
Amuman FUP ke agle kinare ko kahte hain. Yeh farzi ya zamin par mark ki gayi objective
se square line hai jisko hamlawar fauj H hour par paar karte hain, jisse harkat
aur fire plan ka milap kia ja sake.
35. Assault
Line. FUP
our objective ke beech woh line jahan per hamlawar daste assault formation
ikhtiyar karte hain. Yeh objective se jitna ho sake utna nazdik hota hai.
36. Mopping
up. Hamle
mein bache hue dushman ko barbad karne ki karwai ko kahte hain jin par apni
sena dwara ghera dal dia ho, ya jahan se sena inko barbad kiye bina guzar gayi
ho.
37. Exploitation. Hamle ke baad shatru ki
kamzori ka faida uthate hue aise jamin ko apne kabze mein karna jo bilkul khali
ho, jisse shatru uska counter attack mein faida na utha sake.
38. RV
(Rendezvous). Yeh
alag alag operations mein alag tarah se niuqt kiya
jata hai, lekin sabhi mein unit ya subunit jo alag alag groupon mein ati hain,
inse mel-milap kiya jata hai. Yeh patrol, ambush, attack by infiltration, raid
our withdrawal mein nishchay kiya jata hai.
39. GTI
(Ground of Tactical Importance).
Defence ke andar woh Tactical
Ahamiyat wali jagah jis par dushman ka kabza ho jane par defender ko kamyab
larai larna mushkil hota hai.
40. Firm
base.
Tactical ahmiyat wali woh zamin jisko kabza karke commander apne plan ho pura
karte hain. Hamle ke dauran na kamyabi par daste yahan wapas aakar agli tajwiz
bana sakte hain.
41. H
Hour.
Operation shuru karne ke waqt ko H hour kahte hain. Hamalawar daste isi samay
par Start Line paar karte hain. Us operation ki har karawai
ka samay isse mukarar karte hain.
42. Patrol
Base. Shatru
ke ilaqe ya no man's land mein woh jagah hai jahan zarurat ke anusar bachao
haasil karne, age ki patrolling karne tatha patrol plan ko pura karne ke liye kabza kar liya ho.
43. Minefield
Lane. Minefield ke beech woh rasta
jis mein mines na lagi ho ya nikali gayi ho, jismein se Infantry garian, tank
paar ho sakte hain. Iski chaurai alag-alag hoti hai aur yeh mark ki hoti hai.
44. Minefield
Gap. Minefield
ke beech woh khuli jagah jismein mine nahin lagate taki apni fauj tactical
formation main rahte hue isse guzar sake, jaise counter attack. Iski chaurai
100 mtr se adhik hoti hai.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know