Glossary Of Military Terms DEFENCE

 

DEFENCE

 

 

Glossary Of Military Terms

 

1.       Glossary of military terms is prakar se hain :-

 

(a)     All Round Defence. Ek sainya dal ki kabiliyat ki woh kisi bhi ore se ane wale hamle ko rok sake.

 

(b)     Organised for All Round Defence.   Kisi bhi unit ya sub unit ko charon taraf se raksha ke liye tab sangathit kiya jata hai jab kisi sambhavit disha se dushman ko rokna ho. Aur iske liye bhari sankhya mein hathiyar laga diye hon, lekin kisi bhi dusri disha se ane wale dushman par bhi kuch fire dala ja sakta hai .

 

(c)      Sited for All Round Defence.    Kisi bhi unit ya sub unit ko charon taraf ki raksha ke liye us samay nirdharit kiya jata hai jab uske hathiyar kisi bhi disha se ane wale hamle par barabar fire dal sakein.

 

(d)     Covering Troops.   Ek formation ya tukri jise sabhi sena angon se taiyar kiya jata hai. Iska task dushman par nazar rakhna, pareshan karna aur age badne se rokna, jisse dushman pichhe hat rahi ya taiyari kar rahi hamari sena ki karwai mein badha na dale.

 

(e)     Covering Position.   Ek prarambhik sthan jahan covering troops tainat kiye jate hain. Iska uddesh covering position ke age ya piche ki delaying position par niyantran rakhna hai.

 

(f)       Defence Post. Chotti sub unit jaise Infantry section dwara ki gayi rakshit vyavastha.

 

(g)     Defence Locality.  Ek aisa chetra jise charon taraf defence ke liye organised ya sited kiya jata hai jaise ki Platoon ya Company. Ismen sub uniton ko depth mein sangathit kiya jata hai. Jahan par dushman ka contact pahle ho unhen forward defended locality kaha jata hai.

 

(h)     Defended Area. Ek zimmewari ka ilaka jismen depth mein kai mutually supported defended locality hoti hai jaise Battalion Defended Area.

 

(j)       Defiladed Position.  Ek aisa sthan jo prakritak taur se dushman ki observation aur flat trajectory hathiyaron se bachata hai.

 

(k)      Defensive Fire (DF).   Fire jiski taiyari ki hoti hai ya jo jaldi se dushman par giriya ja sake, uske hamle ko barbad karne ke liye aur uske assault ko torne ke liye:-

 

(i)           DF (Close).    Weh task jo defence location ke nazdik hon jaise ki FUP ya SL mein, jinka uddesh dushman ke hamle ko nakara karna hai.

 

(ii)          DF (Depth).   Weh task jinka uddesh dushman ke hamle ki taiyari mein   badha dalna hai.

 

(iii)         DF (SOS).    Weh task jahan par gun, Mor aur ho sake to MMG ko lay karke rakha jata hai, jab weh fire nahin kar rahe hon. Yeh apne location ke pas hote hain taki dushman ke hamle ko barbad kiya ja sake. Jyon hi SOS ka call ata hai to jaldi se fire giriya jata hai. Field Artillery mein yeh ek Battery ko ek hi diya jata hai par zarurat parne par ek troop ko ek DF SOS diya ja sakta hai.

 

2.    Defended Position. Defence ke liye taiyar kiya gaya woh kshetra jismen uski seema aur usmen sainya dal ke bare mein koi sanket nahin diya jata.

 

3.    Dummy Position.    Dushman ko dhoka dene ke liye taiyar ki gayi position.

 

4.    Enfilade Fire. Kisi bhi hathiyar ko bagal se fire karna, jisse tgt par fire karte samay iske lambe aksh/rukh par fire girta hai.

 

5.    Field Fortification

 

(a)     Bunker. Ek khai (trench) jismen hathiyar ko fire karne ke liye loop hole hote hain. Splinter etc se bachne ke liye isko upar se dhak diya jata hai.

 

(b)     Communication trench.    Chhup kar harkat aur communication karne ke liye taiyar ki gai khai ko communication trench kahte hain. Kam gehrai wali khai jismen aadmi kewal reng sakta hai use crawl trench kahte hain.

 

(c)      Fire Trench.   Zamin ki satah se niche khodkar banai gai khai/ trench jismen ek ya adhik sainik raat mein rah kar apne hathiyar ko prabhavi dhang se fire kar sakte hain.

 

(d)     Pill Box.  Ek choti si kilabandi jo aam taur se concrete ki bani hoti hai jo kisi hathiyar ki sidhi mar ko sah sake. Ismen MMG ya tank mar hathiyar rakhe jate hain.

 

(e)     Shelter Trench. Ek trench jo splinter ityadi se bachav ke liye banaya jata hai. Yeh fire trench ya weapon pit ke saath hona chahiye.

 

(f)       Slit Trench. Zamin ke nichhe khudi sankri khai jo hawai hamlon ya kam samay ke plan ke dauran banai jati hai. Jab fire trench aur weapon pit ki zarurat nahin hoti.

 

(g)     Weapon Pit. Zamin ki satah se niche khude hue ghadde jisse personal hathiyar ke alawa dusra weapon ka fire diye hue tgt par dala ja sake.

 

(h)     Harassing Fire. Ek prakar ka fire support jiske antargat:-

 

(i)            Dushman ka morale niche karna aur uski troops ki harkat mein badha dalna aur koi bhi samay rest ke liye na dena.

 

(ii)           Dushman ko jaldi deploy karne ke liye mazboor karna taaki woh late ho jaye.

 

(j)      Vital Grnd.  Woh kshetra jiske kabza hone par ek defender us ilake mein ek kamyab raksha yudh nahin kar sakta.

 

(k)    GTI.  Important shetra jiske kho jane se defence par theek vaisa asar padega jaise ki vital grnd ke kho jane par Divison ya uske upar ke level par padega.

 

(l)      Mutual Support.  Kisi bhi defended post ya locality ki kabiliyat ki woh padosi location par aane wale hamle par fire dal sake.

 

(m)   Reverse Slope Position. Ek aise ilaka jismen troops ka bada bhag kisi feature/ pahadi etc ke niche aur apni taraf lagaya jata hai.

 

(n)    Screen. Ek tukri ka gathan jo ki aam taur par sabhi sena angon se hota hai aur jo ki aage ke ilake mein defence leta hai taaki woh dushman ke hamle ki taiyari mein rukawat paide kar saken. Iska uddesh dushman ko pareshan karna, recce na karne dena aur use zarurat se pahle deploy hone par mazboor karna.

 

टिप्पणियाँ