Infantry Ki Visheshtaen AUR Infantry Ki Kismein
Infantry Ki Visheshtaen
1.
Infantry ki Visheshtaen is prakar se hai:-
(a) Aatma
Nirbharta. Infantry ko larai mein
imdadi daston ki madad milti hai lekin kabhi-kabhi aise mauke bhi ate hain ki
apne hi hathiyaron ka istemal karte hue dushman ke khilaf karwai karni parti
hai. Iske liye Infantry har samay taiyar aur atma nirbhar rahti hai.
(b) Zamin
Par Kabja Rakhna.
Apne desh ki zamin par har halat mein kabja banae rakhna tatha imdadi daston ke
saath milkar dushman se prapt ki gaye jamin par kabja rakhne ka sabse acha kam
kewal Infantry hi karti hai. Is ke liye jitni madad ise di jaye utni hi kamyabi
se apna task pura karti hai.
(c) Mouqe
ke Mutabik Banana. Infantry har kism ki jamin aur mausam mein,
din ho ya raat, andhi ho ya toofan apne kaam ko pura karti hai. Samudri sena ya
hawai sena ke saath milkar jis parkar ka operational role diya jata hai, usi
parkar mouke ke mutabik apne apko badalte hue task ko pura karti hai.
(d) Harkat
ki Kabliat. Har kism ki mushkil ilake ko par kaam karne
ki kshamta rakhti hai jo baki daston ke liye kathin hota hai. Infantry paidal
harkat karti hai jisse raftar kam hota hai agar ise gariyan di jaye to yeh
dusre daston ki tarah tej harkat bhi kar sakti hai. Infantry ko jamin, hawai ya
samudra ke raste se ladai ke maidan mein asani se aur jaldi pahunchaya ja sakta
hai.
Kamjorian
2. Infantry apne bachao ke liye har waqt taiyar
rahti hai, phir bhi niche likhe khatron ke khilaf niptne ke liye kafi
kathinayian pesh ati hai.
(a) Zamini
Khatra. Infantry ko khule ilaqe mein harkat karte
samay shatru ke tank, topkhana aur small arms fire tatha machine guns se kafi
nuksan pahunchta hai. Phir bhi zamin ka sahi istemal, durust failao aur dhuan
se tatha defence ki larai mein anti tank hathiyaron ki madad, over head
protection aur durust camouflage tatha concealment se is khatre ka samna kar sakta hai.
(b) Hawai
Khatra. Jab Infantry harkat khule mein karti hai, tab
dushman ka hawai hamala kafi khatarnak sabit hota hai. Lekin troops mein zyada
failao, acha chupao aur zamin ka sahi istemal karne se baki daston se kam
khatra ho sakta hai.
(c) Anti
Personnel Mine.
Infantry ko dushman ki anti personnel minefield se gujarte samay kafi nuksan
pahunchta hai aur raftar par bhi asar parta hai. Lekin jawano ko is ke bare
mein achha talmel diya jaye to nuksan kam ho sakta hai.
Tactics
3. Infantry ki khubian aur kamiyon ko
madyanazar rakhte hue ise ek section se lekar upar tak ki banawat mein aisi
tartib di gai hai ki Infantry ki harkat tatha defence ki larai mein dushman ke
dakhal andaji ke bavjud bagair fire ki madad se apna task pura kar sake.
(a) Tactics
hamle mein - Fire aur harkat.
(b) Tactics
defence mein - Dekhbhal aur
fire.
Infantry Ki Kismein
4.
Infantry ki kismein iss prakar hain:-
(a) Standard
Infantry.
(b) Mechanised
Infantry.
(c) Anti
Tank Guided Missile Infantry.
(d) Para
Infantry.
(e) Para
Special Forces Infantry.
(f)
Scout Infantry.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know