5.56 MM INSAS RIFLE SE HATKAR SHIST LENE KA TARIKA
5.56
MM INSAS RIFLE SE HATKAR SHIST LENE KA TARIKA
Pahunch
1. Larai ke maidan mein shayad hi jawan ko
itna mauqa mile ya na mile ki woh hathiyar par dushman ka sahi rg lagakar fire
kar sake. Ho sakta hai us samay tgt chal
raha ho ya kudrati halat mein ho aur us samay hawa bhi asar dal sakti hai. Tamam halat mein dushman par hatkar shist
lene ka tarika ana chahiye. INSAS Rifle
mein 200m aur 400m ke range ki hi suvidha hai.
Is liye bahut zaruri hai ki shist main tabdili karne ka tarika ek jawan
ko achhi tarah ana chahiye.
Uddesh
2. Shist mein tabdili karna, shist ki jagah chunna,hawa ka hak rakhte hue POA
chunne ka tarika sikhana hai.
Saman
3. 5.56mm INSAS Rifle, long easal, short
easel, black bd, chalk, duster, diagram,
fig 11 tgt aur ground sheet.
Bhag
4. Is lesson ko char bhagon mein banta gaya
hai :-
(a) Bhag
I - Shist mein tabdili karna.
(b) Bhag
II - Shist ki jagah chunna.
(c) Bhag
III - Harkati tgt par POA lena.
(d) Bhag
IV - Hawa ka fire par asar.
Bhag I : Shist Mein
Tabdili Karna.
5. Jab hathiyar par tgt ka sahi rg lagakar
fire karte hain toh goli nishan ki jagah par lagti hai, lekin agar sight par
tgt ke rg se kam rg laga ho to goli nishan ki jagah se nichhe lagegi. Agar rg sight par jiada laga ho to goli
nishan ki jagah se upar lagegi. Goli
nishan ki jagah se kitna upar ya niche lagegi yeh tgt ke fasle par nirbhar
karta hai. Sight rg kam ya jiada hone se
goli nishan ki jagah se kitna upar ya niche lagegi yeh Appx 'D' mein diya gaya
hai. Isse yeh saf jahir hota hai ki agar
tgt 300m par hai aur sight par 200m rg laga hai to firer ko thora upar shist
lena parega aur agar sight rg 400m hai aur tgt 300m par hai to shist thora
niche lena parega taki goli tgt ke centre mein lage.
Bhag II :
Shist ki Jagah Chunna.
6. INSAS Rifle ko is prakar zero kiya jata hai
ki 200m par goli nishane ki jagah par lagti hai. Is tarah 100m se zero ki gai Rifle se jab ham
30.5m rg par fire karte hain toh goli 12.5mm shist ki jagah se upar lagti hai. Is lie 200m se kam rg ke tgt ko engage karne
ke liye shist tgt ke madhaya se thora niche aur 200m se jiada ke liye shist madhaya se thora upar
lena chahiye. Is prakar shist lekar 200m
se kam rg par nikalte tgt ko engage karne ke liye do bare faide hain :-
(a) Agar goli zamin par takra kar ricochet hota
hai to tgt hit ho sakta hai.
(b) Firer mar ko dekh kar dusri goli se
correction dekar tgt barbad kar sakta hai.
Bhag III : Harakati Tgt par POA Lena.
8. Harkati tgt ko hit karne ke liye zaruri hai
ki shist age liya jae. Kitna age shist lena hai yani kitna lead lena hai tgt ke
rg aur tgt ki raftar par nirbhar karta hai. Firing ke lihaz se tgt ki teen
raftar mani gai hain :-
(a) Chalta tgt.
(b) Daurta tgt.
(c) Tej daurta tgt.
9. Teenon kisam ke tgt par badalti rg mein
lead bhi badalti hai. Kitne rg par kis kisam ke tgt par kitna lead liya jayega
yeh tgt ki speed aur bullet ke time of flight par nirbhar karta hai. Is ko madhaya nazar rakhte hue sikhlai ko
asan karne ke liye mote taur par lead table Appx "E" mein diya gaya
hai.
Bhag IV : Hawa ka
Fire par Asar.
10. Firing ki lihaj se hawa ki teen raftaar hoti
hai.
(a) Halki Hawa. Jis hawa ke chalne se chhoti jharion ki
Pattiyan aur firing point par lega flag 22-23 degree ke angle par lahrati hai
us ko halki hawa kahte hain.
(b) Tej Hawa.
Jis hawa ke chalne se pattiyan hilti hain chehre per mehsus kar sakte
hain point par laga hua flag 45 degree ke angle par lahrata hai, us ko firing
tej hawa kahte hain.
(c) Bahut Tej Hawa. Jis hawa ke chalne se bari bari tahniya
hilti hain, dhul aur garounda urta hai aur firing point par laga flag 90 degree
par lahrata hai usko bahut tej hawa kahte hain.
11. Jo hawa 3 se 9 baje ki line mein chalti hai
use cross wind kahte hain. Jo hawa 11 se
5 aur 1 se 7 baje ki line mein chalti hai usko tirchhi hawa kahte hain. Sikhlai ko asan karne ke liye mote taur par
alag alag rg par alag alag hawa ke liye lead table appx "F" mein diya
gaya hai. Tirchi hawa ke liye ek POA kam
kar diya jata hai.POA lene ka tarika :-
POA = RANGE
X SPEED +/- HAWA
12. Agar tgt aur hawa dono ek taraf ki ho to
tgt ki speed ke POA se hawa ke POA kam kar diya jae, agar donno vipreet disha
mein ho to tgt ke POA mein hawa ka POA jor diya jae.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know