NO 77, 80, 83, 90 GRENADE AUR BICAT STRIP
NO 77, 80, 83, 90 GRENADE AUR BICAT
STRIP
1. Aam Bayan. Sabhi prakar ke grenade
ka istemal larai ke maidan mein hone wale shor-gul ke anukaran karne tatha
dhuna paida karne ke liye kiya jata hai. Aam taur par ise sikhlai ke dauran istemal
karte hain. Parantu jarurat parne par
larai ke maidan me bhi iska prayog kar sakte hain. Sabhi prakar ke grenade ki
visheshtaen tatha istemal karne ka tarika niche diya gaya hai.
Grenade No 77
2. Visheshtayen. Yeh grenade dhuwen ka parda banane ke
alawa aag lagane ke kam men prayog hota hai. Is ke andar safed phosphorus bhara
hota hai. Kisi bhi chiz se takrane par yeh phatta hai aur 30 sec tak dhuwan
deta hai. Is ka rang hara aur wajan ¾ pound hota hai. Ismein No 62 detonator hota hai. Ek box mein 34
grenade pack hokar ate hai.
3. Prime Karna.
(a) Dhakkan
ko kholein (dhyan rahe safety cap alag na ho).
(b) Detonator
ka khali bhag upar ki taraf karke, detonator sleeve men dalein.
(c) Ab
dhakkan ko kas dein.
4. Unprime Karna. Prime ke ulat rup mein karwai karo.
5. Chal. Safety cap ko nikal kar grenade ko phek diya jata hai to wajan
ke karan feeta khul jata hai. Safety bolt striker ke chhed se nikal jata hai.
Striker .22 cap par thokar marta hai, shola paida hota hai jo detonator ko aag
laga deta hai. Ab detonator phat kar grenade ki body ko faad deta hai aur ismen
bhara phosphorus hawa ke sath mil kar dhuwan paida karta hai.
6. Istemal (Phekna). Safety cap ko nikalte samay feeta na niklane paye. Khud
position lekar grenade ko golai mein phenkein. Dhyan rahe ki grenade ko najdik
na phenkein. Iska khatarnak ilaqa fatne ki jagah se 15 mtr charon taraf hai.
Grenade No 80
7. Visheshtayen. Yeh grenade bhi dhuwa aur aag paida karta hai.
Iske andar safed phosphorus bhara hota hai. Wajan 1¼
pound aur khatarnak ilaka 15 gaz charon aur hai. Iska dhuwan dene ka
samay 30 se 40 sec hai. Ek box mein 24 band hokar ate hain.
8. Prime karna.
(a) Grenade
ka mulahija karo.
(b) Mechanism
holder ko kholo.
(c) Igniter
set ko .22 cap upar ki taraf karke detonator sleeve mein dalo.
(d) Mechanism
holder ko band karo.
9. Unprime karna. Prime ke ulat karwai karo.
10. Chal. Safety pin ko nikal kar grenade ko chhod
diya jata hai to mechanism holder ajad ho jata hai. Spring ki madad se lever
upar uth jata hai aur striker .22 cap par thokar marta hai. Jisse aag ki
chingari paida hoti hai jo fuze ko jala deti hai. Detonator phat jata hai aur
iska safed phosphorus hawa ke sath milkar dhuan dena shuru karta hai.
11. Fenkna. Lever par kabu pate hue safety pin nikalo. Posn lekar grenade ko
golai mein phenko. Is ka khatarnak ilaka 15 gaz charon taraf hai.
Grenade No 83
12. Visheshtayen. Yeh dhuan dene ke alawa signal dene ke kam
mein laya jata hai kyonki yeh char alag-alag rangon ka dhuan deta hai (lal,
hara, peela aur neela). Iska wajan 1 pound aur yeh 25 se 45 sec tak dhuwa deta
hai. Iski body par dhuwen ka rang likha rahta hai. Ek box mein 24 pack hokar
ate hain.
13. Chal. Jab pin ko nikal kar ise phenk diya jata hai
to lever alag ho jata hai. Striker spring ki takat se .22 cap par chot marta
hai. Jisse chingari paida hoti hai jo fuze ko jala kar malmal ki plate ko jala
deta hai aur grenade dhuan dena shuru karta hai.
14. Phekna. Phekne ke liye
karwai No 36 grenade ya No 80 grenade ki tarah hai.
Grenade No 90
15. Visheshtayen. Larai
mein hone wale shor-gul ka anukaran karne ke liye is grenade ka istemal hota
hai. Is ki awaj No 36 hand grenade ya 2”
mor HE Bomb ke jaisi hoti hai. Is ka diameter 1¾”, lambai 8” aur ismen fuze No
11 istemal hota hai. Fuze ka ek sira sling compound se band hota hai dusra sira ignitor assembly mein hota hai
jiske andar 12 gm cracker mixture barud bhar kar kagaj ki thaili mein band
rahta hai aur ise sut ya tar se lapeta hota hai. Ek box men 16 grenade ate
hain. Fuze ke jalne ke 9 se 15 sec bad fatta hai.
16. Phekna.
(a) Tej
chaku ya blade se fuze ko compound (sealing) ke pas se tirchhe rukh kato.
(b) Kate
hue kinare mein aag lagao aur fuze ke jalne ka shak hone par phenko.
17. Suraksha.
(a) Safety
fuze ko body se jitna ho sake door karo.
(b) Mitti
ke tel ki bati ka prayog na karo.
(c) Fuze
jalne ke turant bad phenko.
(d) Kharab
fuze wale grenade ka istemal na karo.
(e) Grenade
agar thik kam na kare aur fuze asli halat mein ho (jalne ke bad) to 5 min ke
bad phir jalaya ja sakta hai.
Bicat Strip
18. Visheshtayen.
(a) Sikhlai
ke dauran small arms fire ki awaz ka anukaran karne mein kam ata hai.
(b) Cracker. Cracker mixture aur sukhi mitti ko ek kagaj
ki thaili men dalkar banaya jata hai. Ismen 4 se 6 sec wala fuze fit hota hai.
Cracker fuze ka dusra kinara safety fuze ke bich surakh banakar dala jata hai
aur tar ya dhage se bandh diya jata hai. Fuze ke kinaro ko sealing compound
dwara band kar diya jata hai. Cracker ko chipakne wale feete se lapet diya jata
hai. Ek cracker ke andar 10 gm barud hota hai.
19. Istemal.
(a) Tej
chakoo se cracker ko tirche rukh kato.
(b) Kinare
par safety matches se jalao, jalne par turant phenko.
20. Hifajat. Bache hue strip ko box men band karo aur chipakne wala feete se
seal kar do.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know