AMBUSH

AMBUSH

 


Ambush ki Paribhasha

 

1.          Ambush ka matlab hai ki chalte ya thore samay ke liye ruke hue dushman par kisi chhupi hui position se aise achanak hamla karna jis par uska dhyan na ho ya jiski use ummeed na ho.

 

Ambush ke Uddesh

 

2.         Ambush lagane ke kai uddesh ho sakte hain, jo kih is prakar hain:-

 

(a)     Dushman ke jawan, uski garian, janwar ya transport ko zyada se zyada barbad karna.

 

(b)     Intelligence ke lihaj se uski khabar haasil karna jaise pehchan ke nishan ya zaruri kagzat.

 

(c)      Dushman ko is prakar darana ya tang karna ki woh apne bachao ke liye sena barhae.

 

(d)     Dushman ko demoralise karna aur apni sena ka bharosa aur atmvishwas  badhana.

 

(e)     Dushman ke upar dar dalkar use itni savdhani baratne par majboor karna ki woh khulkar patrolling na kar sake.

 

Ambush ke Prakar

 

3.         Ambush mukhya do prakar ke hote hain:-

 

(a)       Mauke ka ambush. (b)       Taiyari ka ambush.

     

Mauke ka Ambush

 

4.         Jaise ki iske naam se jahir hai ki, aise prakar ka ambush mauka milne par lagaya jata hai. Yeh achanak samne ae dushman ke khilaf lagaya jata hai jiski pahle se ummeed ya taiyari na ho. Mauke ke ambush ki safalta in baton par nirbhar karti hai:-

 

(a)       Commander ka pakka irada.

(b)       Troops ki achhe darje ki sikhlai aur discipline.                         

(c)       Jaldi se ambush lagane ki drills aur tej karwai.

Taiyari ka Ambush

 

5.         Taiyari ka ambush khas tazweez banakar aur kisi khas uddesh ko haasil karne ke liye hi lagaya jata hai . Aam taur par iske liye itna samay hota hai ki tajwij taiyari aur rehearsal tafsil mein ki ja sake. Taiyari ke ambush ki chand ek vishehtaen hai jo is prakar se hain:-

 

(a)       Ambush apni marzi ke mutabiq chuni hui jagah par lagaya jata hai.

(b)       Dushman ke bare mein khabar kafi tafsil mein haasil hogi.                          (c)        Recce taiyari aur briefing ke liye kafi samay hoga.

 

6.         Ambush ki Vishestaen. Ambush ko kamyab banane ke liye kuch zaruri baten is prakar se hain:-

 

(a)       Surprise.  Surprise haasil karne ke liye kuch bunyadi baten zaruri hain jo is prakar hain:-

(i)        Khamoshi.

(ii)       Samajh aur hoshiyari ke saath layout aur siting.

(iii)      Security.

 

(b)      Control. Ambush ki karwai ke dauran commander ka control honanihayat hi  zaruri hai jisko niche likhe baton se haasil kiya ja sakta hai:-

 

(i)        Achha briefing.

(ii)       Rehearsals.

(iii)      Achhi tarah jane hue signal.

(iv)      Commander ki durust position.

(v)       Discipline.

 

(c)       Fire Power.  Kyonki samay kam hota hai is liye dushman ke upar bhari tadad mein aur ikattha fire dalna chahiye. Iske liye zaruri batein is prakar se hain:-

 

(i)        Sahi scouting aur durust fire control.

(ii)       Automatics ka adhik istemal.

(iii)      Achhe fire plan jisse dushman ke bhag nikalne wale raston ko

Artillery ya Mortar fire se cover kiya ja sakta hai.

(iv)      Anti personnel ya claymore mines ka istemal.

(v)       Grenades ka istemal.

(vi)    Area weapon jaise 51mm Mortar, 84mm RL, MGL,UBGL, aur rifle grenade ka istemal.

 

(d)     Saadgi. Ambush ki planning mein jitni saadgi hogi utni hi adhik kamyabi ki sambhawana hogi. Agar briefing ya hukam kafi pechide aur kathin honge to galti hone ki sambhawana jyada hogi.

 

(e)     Pakka Irada.Ek bar ambush kar lene ke baad use sahas aur pakka irade ke saath kamyab karna zaruri hai.

(f)       Self Discipline. Ambush ko safal banane ke liye jawanon ka apna anushasan ale darje ka hona chahiye kyonki ambush ke dauran unhen zimmwari aur dimagi thakawat kafi ho sakti hai.

 

Banawat

 

7.         Karwai ke lihaj se ambush party ki banawat is prakar se hai:-

 

(a)     Scout.  Inhen aam taur par 'look out' ya 'Listenning' man bhi kaha jata hai. Inko ambush mein dushman ke ane wale raston par lagaya jata hai taaki woh dushman ke aane ki khabar aur uski nafri ke bare mein pahle hi jankari de sake. Aise khabar ko savdhani aur suraksha se dene ka bandobast karna chahiye. Scouts, dushman ke ambush mein phans jane ke baad. Stops ka kam bhi kar sakte hain. Inhen BFSR, HHTI aur night vision devices jaise aale dene chahiye.

 

(b)     Stops.  Yeh do ya teen admion ka dal hota hai jo munasib jagah par is prakar lagaya jata hai ki dushman ko bhagne se rok sake aur use barbad kar dena.

 

(c)      Covering/Firing Party.  Yeh ambush ki sabse aham toli hoti haijo kih achanak aur bhaari tadad mein dushman ke upar fire dalkar usko barbad karti hai. Yeh party ambush commander ke ishare par fire kholti hai aur band karti hai. Iske liye achha fire discipiline hona zaruri hai.

 

(d)     Reserve Party. Commander dwara reserve party niche batae kisi bhi kam mein  lagaye ja sakte  hai:-

 

(i)        Covering party dwara shuru ki prapt ki gai safalta ko banaye rakhna.

 

(ii)      Ho sakta hai covering party ke fire se dushman ko jyada nuksan na hua ho is halat mein reserve party ghabrae hue dushman par dhawa karke use jyada barbad kar sakti hai.

 

(iii)    Agar ambush party ka task indetification karna ho to reserve party ka kuchh hissa search party ke taur par kaam kar sakta hai.

 

(iv)    Reserve party ko dushman ki kisi bhi karwai ke khilaf istemal kiya ja sakta hai agar zarurat ho to covering party ke withdrawl ko cover karne mein bhi lagaya ja sakta hai.

Siting

 

8.    Ambush ko lagane se pahle jagah ka chunav karte samay dhyan mein rakhne wali baten is prakar se hain:-

 

(a)     Surprise.       Ground aisa chuna jaye ki dushman ko zara bhi shak na ho. Aane aur jane ke raste chupao mein ho taaki akhri samay tak surprise kayam rahe.

 

(b)     Sambhavna. Chunao kiye hue ilake mein dushman ke ane ki sambhavna adhik se adhik honi chahiye. Yeh dushman ki pichli harkaton aur sahi jankari par munnsar hoga.

 

(c)      Defensibility. Surprise tut jane par, is jagah se ambush party apne bachao ke liye lar sakti ho, aur yeh jagah dushman ke mumkin DF task na ho.

 

        

(d)     Fire Power.   Killing ground saaf aur bara ho jismen dushman par bhaari tadad mein fire dala ja sake.

 

(e)       Concealment.         Kudrati concealed jagah honi chahiye.

 

(f)       Observation. Chuni hue jagah se din aur raat ke samay door tak observation milna chahiye.

 

Layout

 

9.         Sujhav ke taur par ambush ka layout is prakar ho sakta hai:-

 

(a)       Approach ke ek taraf

(b)       Approach ke donon taraf

 

10. Ambush ko approach ke ek tarf ya donon taraf lagate samay dhyan meinrakhne wali baten is prakar hain:-

 

(a)       Ambush ko approach ke donon taraf lagane se dushman ko bhag nikalne  se roka   ja sakta hai saath hi bina troops ko failae jyada se jyada area ko cover kia ja sakta hai    lekin iske kuchh nukshan bhi hain:-

 

(i)       Apne Troops ko Khatra.  Raaste ke amne samne apne troops ko echelon mein lagakar ya sakat safety area lagakar is khatre ko kam kiya ja sakta hai. Lekin phir bhi khatra yeh rahta hai ki dushman ko bhag nikalta dekh kar kahin apne koi jawan josh mein aakar apni fauz par fire kar sakta hai.

 

(ii)      Control ki Kathnai.  Yeh tab hota hai jab ki plan ki badli karne ki zarurat hoti hai. Lekin isko bhi is prakar dur kiya ja sakta hai :-

 

(aa)      Commander bant dena chahiye aur unhen jimmewari dene chahiye.

(ab)      Achha fire control.

(ac)      Achha fire signals.

 

(b)       Ambush ko ek taraf lagane se control achha hota hai lekin dushman ke bhag nikalne ki sambhawana rahti hai joki obstacles lagane se roka ja sakta hai.

 

Siting of Weapons aur Troops

 

11.      Chahe ambush approach ke ek taraf ya donon taraf laga ho. Hathiyar aur troops lagate samay dhyan mein rakhne wali baten:-

 

(a)     Automatics ka primary task marne ke ilake ko cover karta ho aur secondary task dushman ke bhag nikalne ke raste hon.

 

(b)     Jis jawan par automatics ka cover na ho use rifle man dwara cover kiya jana chahiye.

 

(c)      Dushman ke bhag nikalne wale raston ko booby traps, mortar fire ya rifle grenade ke fire se cover karna chahiye lekin booby traps do dhara hathiyar hai islie isse savdhani se lagana chahiye.

 

(d)       Bait ka istemal karne se dushman ikatta target bhi ban sakta hai.

 

Tajwiz

 

12. Ek bada plan aur achhe taiyari safal ambush ki sidi hoti hai. Ambush ki tajwiz banate samay bahut tafsil mein soch vichar karna chahiye. Tajwiz banate samay in baton par detail mein soch vichar karna chahiye.

 

(a)       Dushman ke bare mein jankari.  Jankari in baton ke bare mein haasil karne chahiye:-

 

(i)       Dushman ke khasusiyat, adaten, organisationaur hathiyaron ke bare mein.

(ii)      Shatru ki position, unki harkat ka samay, nafri, le jane wale saman aur rakhsha ke bandobast.

(iii)      Dushman ki patrol ka uddesh, nafri, raste samay aur adaten.

(iv)      Working partion ki nafri.

(v)       Dushman ke scouting ka tarika. 

(vi)      Dushman ki jawabi karwai

(vii)    Harkat ka samay jawanon aur formation ke bich fasla aur tartib.

 

(b)     Ambush Site ka Chunao. Ambush site ka chunao karte samay dhyan mein rakhne wali baten:-

 

(i)        Site aur usko pakarne ka tarika.

(ii)       Shakiya na ho.

(iii)      Ambush partion ko lagane ki jagah kafi ho.

(iv)      Position tak pahunchna aur pichhe tak harkat ke raste.

(v)      Ambush site ke nazdik woh position jahan commander ki recce ke dauran party thahrathi hai.(RV).

(vi)      Dushman ke bhag nikalne ke raste.

(vii)    Ambush complete hone ke baad RV ka sthan.

(c)      Ambush ki Nafri.  Ambush ki nafri aur banawat per niche likhe baten asar  dalegi:-

 

(i)        Uddesh.

(ii)       Dushman ki jawabi karwai vishestaen aur uski nafri.

(iii)      Zamin ki banawat.

(iv)      Dushman ke ane aur bhag nikalne ke raste.

(v)       Apni fauj ka withdrawl.

(vi)      Control.

(vii)    Automatic hathiyar kitne mil sakte hain.

 

(d)     Fire Support. Ambush ki kamyabi ke liye yeh zaruri hai ki dushman par bhari tadad mein fire giraya jaye kyonki samay bahut kam hota hai. Fire support ke liye zaruri batein:-

 

(i)        Tafsil mein briefing.

(ii)       Achha shooting aur fire control.

(iii)      Zyada se zyada automatics ka istemal.

(iv)      Mortar grenade fire ka istemal.

(v)       Sub group mein apasi achhe milap ke sadhan.

(vi)      Achha fire plan jismen Artillery aur Mortar fire shamil ho.

 

(e)       Control and Coordination.  Ambush party commander ka sabhi tolion par achha control hona chahiye. Control haasil karne ke liye zaruri baten:-

 

(i)        Ambush ko hoshiyar karne ke liye pahle se mukarar ishare.

(ii)       Dushman ke ane ke ishare

(iii)      Fire kholne aur band karne ke ishare

(iv)     Ambush party ki harkat aur us ilake mein kisi aur partion ka apasi coordination.

(v)       Ambush ke har ek admi ko zimmewari ke ilake dena chahiye.

 

(f)        Surprise and Discipline.  Ambush ki kamyabi bahut had tak surprise par nirbhar hoti hai surprise haasil karne ke liye zaruri baten:-

 

(i)        Khamoshi.

(ii)       Camouflage and Concealment.

(iii)      Ambush site ka chunao.

(iv)      Dushman ko dhoka dene ke har bar alag alag tarike.

 

(g)       Taiyari.

 

13.      Taiyari ke ambush mein niche likhe kramanusar karwai hogi:-

 

(a)       Warning Order. 

 

(i)        Ambush ki banawat.

(ii)       Briefing ke liye jagah aur samay.

(iii)      Jane ka samay.

(iv)      Bandobasti hidayaten.

 

(b)       Recce.

 

(i)        Mar ka ilaka aur ambush position.

(ii)       Main body ka ambush tak rasta.

(iii)      RV aur us tak jane ka rasta.

(iv)      Pichhe hatne ka rasta.

(v)       Alternative ambush position.

(vi)      Alag alag tolion ki jagah aur rasta.

 

(c)       Briefing.

 

(i)        Asan aur tafsil mein.

(ii)       Cloth ya sand model par.

(iii)      Kisi ko koi shak na rah jaye.

                 

(d)     Rehearsal. Jahan tak ho sake niche diye points par rehearsal vistar purvak ki jaye aur vaise hi zamin par ho, jis tarah ki zamin par ambush lagana hai.

 

 

 

 

 

(i) 

RV tak move aur formations.

 

 

 

 

(ii)

Nigrani ke liye bandobast.

 

 

 

 

(iii)

Waiting area mein deployment aur hifajat.

 

 

 

 

(iv)

Ambush site mein layout aur har admi ka kam.

 

 

 

 

(v)

Milap ke sadhan.

 

 

 

 

(vi)

Signals ks abhyas.

(vii)    Booby traps aur mine lagane ka tarika aur zimmewari.

(viii)   Khud ambush ho jane par karwai.

(ix)      Hathiyar aur equipment ka test.

 

(e)     Inspection.  Akhiri inspection mein yakin karen ki koi chamkili aur awaz karne wali chiz na ho aur hathiyar aur ammunition ka mulaaiza kar liya jaye.

 

Ambush Site Pakadna

 

14. Ambush site ko surprise ko kayam rakhte hue pakadna chahiye taaki dushman ko shak na ho, karwai is prakar hogi:-

 

(a)       Ambush ke liye rawanagi RV tak.

(b)       Confirmatory Recce.

(c)       Antim hukum, agar koi farq ho.

(d)       Site ko pakadna.

 

 

 

 

Ambush ke Liye Rawangi

 

15. Ambush site ki chahe pahle se recce ki hui ho phir bhi sari toli ko lekar usmen jana theek nahin hoga. RV tak harkat tactically ki jayegi. Harkat ke dauran security ka pura dhyan rakha jayega.

 

Confirmatory Recce

 

16. Ambush RV mein pahunchne ke baad yeh zaruri hai ki ambush site pakarne se pahle uski recce kar li jaye. Iske liye party commander khud jayega aur alag alag tolion ke commanders ko bhi le ja sakta hai.

 

Antim Hukam

 

17. Recce ke baad agar commanderplan mein koi badli karta hai to bata dena chahiye. Final order chhote aur saaf hone chahiye aur niche likhe baten shamil kar sakte hain. 

 

(a)       Ambush ilake ka aur nazdiq wale ilake ka bayan.

(b)       Commander ki final position.

(c)       Jawanon ke kaamon ki rehearsal se jo farq ho.

 

Site Pakadna

 

18.    Ambush site mein jane se pahle camouflage ki jaanch kar lena chahiye aur hathiyar cock kar lene chahiye. Position rear se pakarni chahiye aur harkat chhote chhote groups mein karni chahiye.

 

19.      Position lene ka karan is prakar hoga:-

 

(a)       Scouts position pakarta hai aur milap karta hai.

(b)       Automatic hathiyar lekar killing ground cover kiya jata hai.

(c)       Booby traps aur mines lagaye jate hai.

(d)       Troops depth mein lagaye jate hain rear aur flank ki hifazat ke liye.

 

Intezaar

 

20. Surprise ko kayam rakhne ke liyetroops apni durust position chun kar intzar karen lekin iske dauran koi harkat, awaz nahin honi chahiye. Ambush site ke aas pass apni fauj ki bhi koi harkat nahi honi chahiye dushman ke ane ka signal milte hi chup chap alert karne ka tarika mukarar hona chahiye.

 

21. Zyada samay intezaar karna ho to aadmi apne hathiyar ke piche aram kar sakta hai lekin sentry niyukt honge aur har halat mein approach aur killing ground ko dekhbhal mein rakha jayega.

 

 

22. Jab sentry ya scouts dushman ko dekh le to weh signal karke puri party ko alert karte hain pure dushman killing ground mein aa jane ke baad ambush commander fire kholne ka hukam deta hai.

 

24.      Puri ambush ki karwai is prakar hogi :-

 

(a)      Scouts dushman ke ane ki warning dega.

(b)      Pure ambush party ko chaukanna kiya jayega.

(c)      Fire kholna.

(d)      Hamla.

(e)      Talashi.

(f)       Withdrawl.

 

Ambush se Bachao

 

25.      Dushman ke ambush se bachne ke liye chand ek niche likhe baten dhyan mein rakhne chahiye:-

 

(a)      Apni karwai mein lagatar tabdili.

(b)      Harkat hoshiyari se karni chahiye aur niche likhe baton ka dhyan rakhna chahiye.

(i)            Scout ka istemal.

(ii)          Bound ka chunao.

(iii)         Durust formation.

(iv)         War dogs ka istemal.

 

 

Ambush mein phansne par karwai

 

26.     Ambush mein phansi hue tukri ki karwai is prakar ho sakti hai :-

 

(a)      Ambush par hamla karma.

(b)      Pichhe hatna aur khatre se bach kar nikal jana.

(c)      Zamin par letkar chhup jana. fazat ka bandobast.

(d)      FOO aur MFC. 

 

30. Ambush paramparagat yudh aur CI Ops ki ek bahut aham karwai hai. Ek SectionCommander hone ke nate yeh bahut jaruri hai ke use ambush ke karwai ka pura gyan ho taki jarurat parne par woh kam se kam samay aur causality ke saath dushman ko barbad kar saken.


टिप्पणियाँ