NO 36 HAND GRENADE KO THROWING/ LOBBYING KARNA

 

NO 36 HAND GRENADE KO THROWING/ LOBBYING KARNA

1.     Ready aur Throw Karna.

(a)    Ready.      (Bayan se namuna, sath nakal).  Ustad bayan wale line mein aur aage ho. Ustad apne liye aur sqd ke liye tgt bataye. Ready ke hukam par grenade ko uthao ya pouch se nikalo aur dahine hath mein is tarah pakro ke lever hatheli ki taraf dabaya hua rahe. Bayen hath ki pahli ya dusri ungli safety pin ke ring mein dalo aur grenade ko badan ke saman rakhte hue badan ke dahine taraf itne turn karo ki bayan kandah aur paon tgt ki sidh mein aae jae. Agar koi jawan baen hath se grenade fekne wala ho to is ke ulta karwai kare.

(b)    Throwing.      (Baen hath se phekne wale baen ki jagah dahine samjhen). Dahine hath se grenade phekte samay baen hath ko bagair hilae badan ke sath milake rakhe. Dahine hath ko niche aur piche ki harkat dekar pin nikal de. Yeh jaruri hai ki grenade ki taraf dekhkar ke yakin kar liya jae ki pin nikal gaya hai. Ab baen  kandhe ko tgt ki taraf rakhte hue bayan baju ko upar uthate hue tgt ki sidh mein le aur sath hi badan ko pura piche ki aur jhukao. Ab bagair ruke badan ko age ki aur dhakelte hue grenade ko phenkein. Dhyan rahe ke grenade ko us waqt chhorna chahiye jab ke dahina hath kandhe ke upar jyada se jyada ho. Dekhe ki grenade kahan par gir raha hai. Grenade zamin par girte hi let jao.

(c)     Abhyas.   Grenade phankne me ustad bari-bari se sab students ko check kare. (Sqd high wire ke dahine taraf).

2.     High wire ka istemal.

(a)    (Bayan Kare) Grenade ko golai dekar phekne ka abhyas dene ke liye high wire ka istemal kiya jata hai. Yeh zamin se 18’ unchi honi chahiye. Ismen 3’ tak ki chaurai (jali) shamil hai. Jali ka niche wala hissa zamin se 15’ par hai. High wire ke age 10 Mtr par ek morcha aur highwire ke piche 15 aur 25 Mtr par throwing line banana chahiye. Agar high wire ka bandobast na ho to is halat men grenade, koi darkhat ho jo lag bhag 15’ unchi ho, ke upar se phenkwai jae. Is ke ilawa do darkhat ke bich rassi ya tar bandhkar high wire ka kam liya ja sakta hai.

(b)    Namuna.  Ustad ek bar high wire ke upar se grenade phenkne ka namuna de aur class dekhe.

(c)     Abhyas.   Ustad ke niche high wire par grenade phankne ka groupon mein abhyas kare. Ek gp high wire ka istemal karen aur dusra bagair high wire ke abhyas kare.

3.     Lobbying Karna.

(a)    Bayan.      Gali kuchon ya jangal ki ilaqe men yeh jaruri hoga ki teji se grenade ko makan, khirki ya darwaje se dala jae ya ghani jharidar jagah men chhora jae.

(b)    Namuna.  Jawanon ko alag alag kai halaton men grenade chhodne ka namuna de.

(c)     Abhyas.   Sqd se grenade lobbying ka mila jula abhyas ho.

टिप्पणियाँ