MINE LAYING (L/D)
MINE LAYING (L/D)
Paribhashayen
1. Mine field nomenclature (naamawali)
nimn hain:-
(a) Mine. Kisi khas container mein band kiya
hua woh high explosive jise mechanism ke bad munasib dabav ya khinchav ane par
phat jata hai aur saath wale target ko bhi barbad kar deta hai.
(b) Mine Field (Surang Kshetra). Yeh ek aisa chetra hai jismein pattern sahit
ya uske bina surangen bichhi hoti hain.
(c) Mine Field
Depth (Gehrai). Mine field ki
gahrai.
(d) Mine Field
Frontage. Mine field ki chaurai
ko kahte hain.
(e) Land mark. Woh zamini nishan jiski sahayata se mine
field lay kiya jata hai.
(f) IMM Intermediate marker. Land marker aur
SSM ke beech 150 mtr se jyada fasla ho
to IMM chuna jata hai. Taaki degree parne mein galti na ho.
(g) SSM (Start
Strip Marker). Strip ke shuru mein jo picket gari jati hai.
(h) ESM (End
Strip Marker). Strip ke ant mein jo picket gari jati hai.
(j) IMP (Intermediate Picket). SSM aur ESM ke beech har 50 m par jo picket
gari jati hai.
(k) TP (Turning Picket). Tape ki disha ko
badli karne ke liye jo picket gari jati hai.
(l) Mine Strip. Tape ke dono taraf jo mine
lagai jati hai use mine strip kahate hain.
(m) Mine Row.
Tape ke ek taraf minon ki jo katar banti hai use mine row kahte hain.
(n) Density (Ghanatwa). Ek metre chaurai (frontage) mein milne wali
mineon ki tadad ko kahte hain. Yeh do kism ki hoti hai :-
(i)
Std density.
(ii)
Require density.
ROAD mein Low density kam se kam iske anusar
di jati hai.
2. Low and standard Density
(a) Low
(i) A/pers
Mine - 1/2
(ii) A/tk
Mine - 1/6
(iii) Fragmentation - 1/12
(b) Std
(i) A/pers
- 1
(ii) A/tk -
1/3
(iii) Fragmentation - 1/12
(c) Mine Field Lane (Surang Kshetra Galiara).
Yeh kisi surang chhetra ka bina surang wala ya surang rahit marg hai (unmined
or demined) jo surang se ya bahar se hokar jata hai. Yeh marg ek nischit
chaurai ka hota hai aur paidal sena, wahanon ya tankon ke jane ke liye is par
nishan laga hota hai.
(i) Infantry Safe Lanes (ISL). Yeh Infantry patrols ko single file mein ane
jane ke liye surang kshetra ke beech banaya jata hai. Iski chaurai 0.6 m (2
feet) hoti hai. Isko white cable aur Short Iron picket se lagaya jata hai.
(ii) Veh Safe Lanes (VSL). Single file mein garion aur tankon ki harkat
ke liye surang ke beech mein rasta. Amuman 6 m (20 feet) ka hota hai. yadi
ground sandy ho ya jyada tadat mein tks gujarna hai tab chaurai 12m (40 feet) ki hoti hai. Isko white
tape aur Long Iron picket se mark kiya jata hai aur pickets par apani taraf LED
lagai jati hai.
(d) Mine Field Gaps (Surang Kshetra Antral).
Yah nischit chaurai wala surang kshetra hai jo am taur par 100 m se kam chaura
nahin hota. Is kshetra mein koi bhi surang nahin bichai jati hai, jisse ki
hamari apni senayein tactical formation (samrik formation) mein surang chetra
se guzar saken.
(e) Anti Lifting Device (Surang Marjanrodhi Yukti). Is Yukti ka istemal isliye kiya jata hai agar
dushman mine field ko breech karne ki koshish karta hai to mine uthate hi woh
phat jaye aur dushman usko dar ke mare breeching karna chhor de. Surang ko
detonate karne ke liye kiya jata hai jiske saath yah juri hoti hai,athwa yadi
surang mein koi badha hota hai to,
nazdik ki kisi anya surang ya charge ko detonate karne ke liye kiya jata hai.
Mine Field ki Kismen
3. Surang kshetra ki kismen nimn hain:-
(a) Protective
(Bachaw surang chhetra).
(b) Defensive
(Rakshatmak).
(c) Tactical
(Samrik).
(d) Nuisance
(Baadha).
(e) Dummy
(Nakli).
4. Protective Mine Field (Bachaw). Ismein surangon ko avrodhon (obstacles) ke
saath jorkar lay kiya jata hai, jisse ki kisi unit ki nikat se sthaniya raksha
(local close protection) ki ja sake. In surangon ko unit ke LMG aur RL fire se
cover karna chahiye. Defended area mein protective mine field Battalion
Commander dwara site kiya jata hai aur Brigade sector mein Brigade Commander
dwara site kiya jata hai. Is mine field ko lay karne ki zimmewari signal aur
armoured regiment ko chhor kar sabhi ki hoti hai.
5. Defensive Mine Field. Inmein Formation Commander ki yojana ke
anusar surangon ko bichhaya jata hai. Iska uddesh defended areas (rakshit
chhetron) ya defended sectors (rakshit sectoron) ke beech penetration
(antarwedhan) ko rokna hai, un hisson ki raksha karna hai, jis per paidal sena
niyantran nahin kar sakti hai aur sthiti ko majboot banane ke liye bachaw
surang ke age ke chetra ki raksha karna hai.In surangon ko fire dwara Battalion Support Weapons, lambe range
wale anti tank weapons aur arty fire dwara cover kiya jata hai.Yah mine field
engr dwara baki arms ki madad se lagaya jata hai (Signal aur Armoured regiments
ko chhor kar).
6. Tactical Mine Field. Is mein surangon ko
prakritik awrodhon ke saath bichhaya jata hai.Iska uddesh shatru ko nirdharit
killing grnd ki aur le jana ya jane ke liye majboor karna hai aur raksha
vyawastha ke mukhya margon per shatru ko majboor se rokna hai. Is mine field ko
fire dwara cover karna mumkin nahin hota, atah aise surang chhetra mein jyada
patrolling karni chahiye.Inko lay karne ke liye kafi matra mein stores aur man
power ki zarurat hoti hai. Yah Engr dwara lagaya jata hai. Is mein min density
2 A/Tk mines ki honi chahiye.
7. Nuisance Mine Field. Is mein bichhai gayi surangon ka mukhya
uddesh raksha karne ke bajay shatru ke adv ko rokna hai. Ise bottle
necks,defiles aur un raston mein lagaya jata hai jo ki attacker istemal karega.
Dushman ke harbours ,assy areas aur FUP mein lagaya jata hai.Inko Engr lagati
hai.
8. Dummy Mine Field. Yah ek aisa chhetra hai,jise
kisi surang ka roop diya ja sakta hai. Iska uddesh shatru ko dhoka dena hai.
Metallic mines aur live mines (dhatwik surang aur sajiw surang) ka roop dene ke
liye is chhetra mein metal (dhatu) ka
istemal kiya ja sakta hai.Jab dushman 'mine conscious' (surang jagruk) ho jata
hai tab aise mine field kafi faide mand hote hai.
Mine ki Kismen
9. Jin mines ko hamein am taur per mine
field lagane ka mauka milega uske bare mein jankari di jayegi. Woh mines hain:-
(a) Mine
Anti Personnel NMM 14.
(b) Mine
Anti Personnel M 16 A 1.
(c) Mine
Anti Tank ND MK I.
10. Mine Anti Personnel NMM14 Aam Bayan
(a) Aam Bayan
(i) Material -
Plastic.
(ii) Type -
Blast type.
(iii) Size -
Ht 4cm, dia 5.5cm.
(iv) Explosive -
30 gms (tatrail)
(v) Total
wt - 100gms
(vi) Safety
device -
U clip aur arrow mark 'S' par
(vii) Igniter
principle - Diaphragm action
(viii) Fuze - Detonator
M 46 (colour OG)
(ix) Shipping plug - White
colour (in round)
(x) Action -
9 kg se zyada.
(xi) Packing -
Ek cylinder mein 8 mines, 8 detonetor ek tin
box mein 4 cylinder aur 4 arming wrench
M22.
(xii) Carrying
capacity - Ek
3 ton mein 6400 mine ya 200 box.
11. Mine Anti Pers M-16 A1
(a) Aam Bayan
(i) Material - Cast
iron.
(ii) Type - Fragmentation
(shiping plug ke saath 16 cm).
(iii) Size - Ht with plug 14 cms aur fuze ke saath
20 cms, Dia 10 cm.
(iv) Explosive - 500
gm.
(v) Total
wt - 3.6 kg
(vi) Safety device - Safety locking pin, Interlocking pin
aur positive safety pin (teenon pinon ka laga hona).
(vii) Igniter
principal - Spring operated pin plate withdrawl.
(viii) Fuze - Fuze
combination M-605.
(ix) Killing
area - Up to 32 m all around.
(x) Danger area - Up
to 180 m all around.
(xi) Action -
1.5 kg or more pull and 3.5 kg
pressure/ wt.
(xii) Packing
- Ek lakdi ke box mein 4 mine, 4 fuze, 4 trip wire spool aur 1 arming wrench M-25. Total wt 20.4
kg.
(xiii) Lorry load - Ek
3 ton mein 560 mines ya 140 boxes.
12. Mine Anti Tank ND Mk I
(a) Aam Bayan
(i) Material - Platoonastic
(ii) Size - Dia
28 cm,ht 10 cm crown ke saath ht 18 cm.
(iii) Explosive -
6.3 kg
(iv) Total wt - 7.3
kg
(v) Safety
device - Safety pin aur sear washer control.
(vi) Igniter
principal - Shear washer
ka tutna.
(vii) Packing -
Ek box mein 5 mine aur 3 fuze.
(viii) Total wt - 72 kg.
(ix) Lorry
load -
Ek 3 ton mein 180 mine ya 30
boxes.
(x) Action - Crown
ke upar 270 kg aur prong par 135 kg dabav.
13. Mine field laying party ki nafri is prakar se hai:-
(a) Setting
Out Party : 1 Offr aur 03 OR.
(b) Marking
Party : 01 NCO aur 05 OR.
(c) Carrying
Party (2) : 01 NCO aur 02 OR.
(d) Anti
tk Party (2) : 01 NCO aur 06 OR.
(e) Anti
Pers Party (2) : 01 NCO aur 05 OR.
(f) TOTAL : 1 OFFR,07 NCO aur 34 OR.
Note:- Navigation party has 01 JCO
as commander and 01 OR per strip.
14. Jaise kih ap sabhi ko yah maloom ho gaya
hai kih apne defence ke age lagane wale mine Field ko lagane ki zimewari
Infantry unit ki hoti hai aur mine field ko uthane yani ke breech karne ki
zimewari bhi usi Unit ki hoti hai is liye Infantry ke har jawan aur audhedar ko
mine aur mine field ke bare mein gahrai se jankari hona bahut hi zaruri hai.
Taaki woh apni aur apane saathiyon ki jan bacha saken. Iske ilawa hamle ke
dauran dushman ke mine field ke bich mein rasta bana kar kamyabi haasil kar
sake.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know