MVCP AUR QRT
MVCP
AUR QRT
MVCP
1. Mobile
check post (MCP) ek aisa jariya hai jisse road, track aur footpath par hone
wali harkat par control kiya ja sakta hai. Ugarvadi gariyon aur phir paidal in
roads, tracks ka istemal karke apne aap ko, hathiyar, explosive ityadi ko ek
sthan se dusre sthan par le jate hain. Surksha karamchariyon ko is liye chahiye
ki wah ugarvadiyon ki harkat ko mushkil bana dein. MCP agar achanak kisi sthan
ya samay par laga di jaye to ugarvadiyon ki gatividhiyon par baadha daal sakti
hai.
2. MVCP lagane
ke nimn kaaran hain :-
(a) Vidrohiyon
ko pakarne ke liye.
(b) Vidrodhiyon dwara istemal mein lane wale
hathiyar, explosive, kaagzat ityadi ko jabt karne ke liye.
(c) Vidhrohiyon
ke harkat/gatividhiyon par ankush lagane ke liye.
(d) Vidhrohiyon
ki gatividhiyon ki khabar haasil karne ke liye.
3. MCP ke Liye
Tgts.
(a) Persons.
(b) Gariyan.
4. MVCP ki Org
(Composition).
(a)
Search Group.
(i) Tgt
ko search karne ke liye jawan.
(ii) Identifier.
(iii) Interpreter.
(b)
Covering Group. Is Group ka kaam search
group ki kaarwai karne wale jawan ki suraksha karna hai.
(c)
Reserve Group. Iska kaam ugarvadiyon
dwara achanak ki gai karwai par action lena hai. Yeh bhaagne wale ugarvadiyon
ko pakrne mein saksham honi chahiye aur iske liye isko mobile hona jaruri hai.
Tracker Dog ko is party mein shamil karna chahiye.
(d)
Protection Group. Yeh MCP ke dono taraf
lagaya jata hai aur anya parties ke action ko cover karta hai.
5. MCP ki
Nafri. Ek MCP ki suggested nafri is prakar hogi :-
SNo |
Details
|
Str |
Total
|
Remarks
|
1. |
Commander
(Offr/JCO) |
1 |
1 |
|
2. |
Search
Group |
1
JCO, 02 OR |
6 |
Aise
02 group hone chahiye |
3. |
Covering
Group |
1
NCO, 01 OR |
4 |
Aise
02 group hone chahiye |
4. |
Reserve
Group |
1
JCO, 04 OR |
5 |
|
5. |
Dog
handler with tracker dog |
1 OR
|
1 |
|
6. |
Drivers
with vehicle |
2 OR
|
2 |
|
7. |
Radio Operator with
RS ANPRC with Commander Protection
Group |
1 OR
|
1 |
|
8. |
Identifier (With Search
Group)
|
1 OR
|
1 |
|
9. |
Interpreter(With Search Group)
|
1 OR
|
1 |
|
10. |
Police
Rep(Mahila Police ke saath) |
2 |
2 |
|
|
TOTAL
|
|
24 |
|
MVCP se Gariyon ko Check Karna
6. Check Karne
ke Liye Gariyon ka Chunao. Kisi bhi gari ko check karne ke chunao ke
nimin karan ho sakte hain :-
(a)
Gari "Wanted List" mein shaamil ho.
(b)
Gari ko shakiya tarike se istemal kiya ja
raha ho.
(c)
Intelligence report ke aadhar par.
7. Check ke
Darje.
(a) Quick Check. Is prakar ki checking chand minton mein puri
ho jati hai jisme gari ko sarsari taur par check kiya jata hai.
(b) Through Check. Is prakar ki checking mein
lag-bhag 30 minutes tak lag jate hain. Gariyon ko unload karke check kiya jata
hai.
(c) Workshop Check. Yeh detail/vistaar ki
checking hoti hai, jismein gariyon ki assemblies ko bhi khola ja sakta hai.
8. Checking
Karne ke Tarike.
(a) Checking karne ke liye chune hue sthan
par improvised road block lagane chahiye. Yeh karwai concertina coil, drum ya
phir gariyon ki madad se kari ja sakti hai.
(b) Jab bhi MCP lagayein, ek ya do gariyon ko
check karne ke baad MCP ka sthan badli kar dena chahiye kyonki kuchh samay ke
baad ugarvadiyon ko MCP ki khabar mil jayegi.
(c) MCP
ki saari parties apna sthan legi aur gari ko halt kiya jayega.
(d) Driver ko gari ko switch off karne ko
kahen. Agar gari chori ki hogi to driver yeh karwai nahin kar payega.
(e) Gari ke darwaje aur khirkiyon ko gaur se
dekhein. Tute handle ityadi is baat ko zahir karenge ki gari churai hui hai.
(f) Driver ko uska naam aur pata puchh kar
aur phir uske driving license se counter check karein. Agar detail alag hon to
driver par shak kiya ja sakta hai.
(g) Gari ka Regd No. aur batae huye vyaktiyon
ke naam ko "Wanted List" se counter check karein.
(h) Agar gari ki through check karni ho to,
gari mein baithe vyaktiyon ko bahar utarne ko kahen. Unke upar guard lagayen
aur phir unka sikhhe tarike se body check karein.
(j) Phir gari ko vistaar (detail) se check
karein. Gari ko check karte samay dicky, passenger compartment, engine
compartment, ityadi achhi tarah se jaanch karein.
(k) Agar jarurat pare to driver aur
sawariyon ko alag-alag karke poochhtaachh karein.
MCP Dwara Admiyon ko Check Karna
9. Check Karne
ke Prakar.
(a) Quick Body Check. Jab adhik vyakitiyon ko check karna ho ya
detailed body check karna mumkin na ho. Is checking ka uddesh hai ki jaldi se
hathiyar ya aisi vastu ko pakda jaye jo ki ugarvadi checking karne wale jawan
par istemal kar sakta hai.
(b) Detailed Body Check. Is checking mein detail checking ki jati
hai aur ho sake to ek kamre ka intjam bhi kiya jaye.
10. Admiyon ko
Check Karne ka Tariqa.
(a) Jis vyakti ko check karna hai us vyakti
ko kisi deewar ya gari ke sahaare khara karein. Agar yeh mumkin na ho to,
vyakti ko us prakar khara hone ko kahen ki uski taange khuli hon aur baju sir
ke upar faile hon.
(b) Jin
vyaktiyon ko check karna ho unke upar guard hona chahiye.
(c) Check
karne wala, checking pichhe se, sir se paon ki disha mein karen.
(d) Check
karte samay donon haathon ka istemal kiya jaye.
(e) Mahilaon ki checking mahila police dwara
ki jaye. Agar mahila police na ho toh, group mein se kisi mahila ki madad lein.
11. Checking ke
Dauran Dhyan mein Rakhne wali Baaten.
(a) Checking hamesha hoshiyari, tezi aur
dhyan se ki jaye. Kisi ko bhi pareshan ya nuksan na pahunchayein.
(b) Jab kisi gari ko check karein, to saaman
ke malik (owner) ka pata pehle laga liya jaye taki baad mein us aadmi ko
pahchana ja sake.
(c) Sabhi zaruri documents, jaise ki driving
license ityadi, ko theek se check karein. Yeh aapko shakiya aadmi pakarne mein
madad pahuncha sakta hai.
(d) Metal
Detector ka istemal kiya jaye.
(e) Checking
ke baad gari ke driver se "No Claim Cert" prapt karein.
(f) Jin aadmiyon ki checking ki ja rahi hai,
unko lagatar observation mein rakhein aur unke chehre ke bhavon (expression) ko
note karte rahein. Isse unhe pakarne mein madad milegi.
(g) Checking ke baad, ek "Check
Report" banai jaye. "Check Report" mein nimn baaten shaamil
karein :-
(i)
Check kiye gaye aadmiyon ki detail.
(ii)
Check ka sthan aur samay.
(iii)
Shakiya evidence ki jaankari aur us par ki
gai karwai ka bayan.
(iv)
Commander ka naam, jisne check karne ka hukum
diya ho.
(v)
Checking ka samay, check kiye hue aadmiyon ka
bartav aur unke
dwara
di gai statements.
(vi) Checking
karne wale aur witnesses ke hastakshar.
Quick Reaction Team
12. Jab bhi
ugarvadiyon ka contact suraksha karamchariyon se hoga, uska sabse pahle
reaction contact todna hoga. Jahan tak security forces ka sawal hai, unhe
chahiye ki ek baar sthapit hue contact ko na tootne den aur ugarvadiyon ko
pakarne ya barbad karne ki koshish karein. Is baat ko haasil karne ke liye
jaruri hai ki kuchh force ko reserve rakha jaye jo ki diye hue sthan par kam se
kam samay par pahunch sake. Aise reserve troops ko quick Reaction Team (QRT)
kehte hain. Yeh mobile hoti hain aur kisi bhi saathan par bina samay barbad
kiye hue pahunch jati hain.
Quick Reaction Team (QRT) ka Basic Concept
13. Ugarvadi apne operations stealth (chupke)
aur surprise ke aadhar par karte hain. Is baat ko madhya nazar rakhte hue yeh
jaruri hai ki teji se, chhoti tukdi dwara kiya gaya reaction jyada labh-dayak
hoga vanispat kisi deliberate planned action ke. Isi basic concept ko dhyan
mein rakhte huye QRT ko banaya gaya hai.
QRT ki Banawat (Composition)
14. Ek QRT ki banawat ek Rifle Platoon less a
section (yani ki Offr/JCO aur 18 OR) ke aadhar par honi chahiye.
15. Har Company mein ek QRT hamesha taiyari
halat mein honI chahiye. Battalion HQ mein bhi aise hi ek QRT honi chahiye. QRT
do gariyon par aadharit honi chahiye jismen ek jeep/jonga aur dusra 1 Ton ho
sakta hai.
Ek QRT ki detail Organisation.
16. Nafri. 1
Offr/JCO aur 18 OR jinki baant is prakkar ho :-
(a)
Commander
- 1 Offr/JCO.
(b)
2IC
- 1 Offr/JCO.
(c)
Radio Operation - 1
with Radio set ANPRC 25 WB.
(d)
Veh Protection party. - 1 NCO aur 5 OR jismen 2 drivers shamil hain.
(f)
OR
- 13
(g)
Tracker Dog aur handler.
17. Arms and Ammunition.
(a) Commander,
2IC aur Radio Operator - Sten aur 2 bhari magazine.
(b) LMG
- 2 LMG aur har ek LMG ke saath 5 bhari magazine.
(c) Rifle
- 10 SLR aur har rifle ke saath 2 bhari magazine.
(d) Hand Gren - 12 Nos. Jo ki donon gariyon
mein barabar jawanon ko baante hue hon.
(e) Mini
Flare - 1 aur 3 Carts (Lal, Hara aur ill (each)).
18. Equipment.
Har gari mein nimn saman hamesha rakha hua hona chahiye:-
(a) Ek
ANPRC 25 aur do spare batteries.
(b) Ek
din ka ration.
(c) Har
jawan ke liye ek torch aur 02 search lights.
(d) Medical
Haversack.
(e) Identifier
ka chehra dekhne ke liye mask/burka.
(f) Blind
folding kit - 2 set.
(g) Line
bedding/Hand cuffs - 2.
(h) Ilake
ka map/enlargement.
(j) Ugarvadiyon
ke photographs aur list.
(k) Ek
spare jarricane petrol ka.
19. QRT ko nimn task diye ja sakte hai:-
(a) Kisi recorded gari ka peechha karna.
(b) Spot
check/ Road frisking karna.
(c) Kisi
shakiya dukan, jhopdi ya ghar ki search.
(d) Stops
ka kaam karna.
(e) Khabar
haasil karna.
(f) Bade
operations se pahle base banana.
(g) Turant
ilaqe ki sealing/cordon karna.
(h) Link
patrol sthapit karna.
(j) Ambush
lagana.
(k) Kisi
patrol ko reinforce karna.
(l) Short
notice par kisi VIP ka escort duty karna.
(m) Ugarvadiyon
ko escort karke interrogation ke liye interogation Cell le jana.
Karwai ka Sequence
20. Jaisi hi mov order milta hai, OIC QRT
turant apne hukum deta hai. Ek QRT ka sequence of action is prakar se ho sakta
hai :-
(a) Orders
issue karna.
(b) Gariyon
mein baithna.
(c) LMG
ko fix karna aur mag ko bharna/fix karna.
(d) Radio
set ko netting karna aur milap isthapit karna.
(e) Detail
briefing mov ke dauran jari rakhna.
(f) Di
hui site par pahunchane par apne operations ki progress dete rahna.
QRT Ki Readiness ki Stithi
21. QRT 3-5 minute ke ander mov ho jani
chahiye iske liye QRT ko hamesha ready halat mein rakhna chahiye. Do tariqe
hain jisse is baat ko yakin kiya ja sakta hai:-
(a) Din mein
QRT ki Readiness.
(i) QRT
mein detail aadmi company ke ander apni normal duty karte rahein, prantu unhein
company ke bahar na bheja jaye.
(ii) Hathiyar,
ammunition aur anya equipment alag sthan par ready halat mein rakhne chahiye.
(iii) Gaariyan
(jis mein ki driver saath taiyar honge) kahin bhi detail nahi ki jayengi.
(iv) Pahle
mukarar kiye gaye signal ke hote hi, team alert ho jayegi aur mov ke liye taiyar ho jayegi.
(b) Raat mein
QRT ki Readiness.
(i) Raat
mein QRT mein detail aadmi ek sthan par ikattha rahenge.
(ii) Sote hue har aadmi uniform aur boot laga
kar soyega aur uske equipment
gari mein rakha hoga.
(iii) Gariyon mein equipment aur sabhi saaman
rakha hua hoga aur drivers gariyon ke pass hi soyenge.
(iv) Jaise hi hukum milta hai, yeh warning
hoti hai, QRT mov ke liye taiyar honge.
22. Hamare hathiyar, saaman, leadership aur
sikhlai ugarvadiyon se bahut ache darze ki hai. Hamare aadmi zismani taur par
hostile se bahut achhe aur discipline wale hain. Agar har jawan CI operations
mein Road opening, convoy protection, MCP jaise defensive operation ko achhi
tarah se karta hai, to koi karan nahin ki ugarvadi apne uddesh mein kabhi bhi
safal ho sakein.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know