84 MM RL KA FIRE AUR MISFIRE
84 MM RL KA FIRE AUR MISFIRE Fire Karna 1. Trigger Operation . Anya hathiyaron ki tarah 84mm RL ke trigger ke do khichav hain, pehla halka aur lamba khichav dusra chota aur sakhat khichav, Jab firer ko target area mein target dikhai deta hai, to pehla khichav hasil karta hai drust shist mil jane par dusra khichav hasil karta hai. Trigger par 2.5kg se leakar 5kg ka dabav ane par trigger press ho jata hai. Trigger press hone par round fire ho jata hai, jisse brl ke raste projectile aur venturi se shola nikkalta hai jise back blast kehte hain.84mm RL ka back blast ka ilaqa breach ke peeche se 90 degree ke angle par 15m lamba aur 12m choura hota hai. Fire karte waqt is ilaqe mein koi jandar chiz, ammunition ya rukawat nahi honi chahiye. 2. Jab RL det ko target dikhai deta hai tu No 1, No. 2 ko hathiyar ,amn taiyar kar ka adesh deta hai. No. 2 , No...