7.62mm Sig Rifle ke firing mechanism ke bare mein jankari dena hai.
LESSON PLAN
SUBJECT : 7.62MM SIG RIF KE FIRING MECHANISM KE BARE SYLLABUS REF: INF SCHOOL, (MHOW) PRECIS
MEIN JANKARI DENA HAI.
SYLLABUS REF : RIF – III
TIME ALLOTED : 40 MINUTES PERIOD NO- 01
SER NO | TARTIB | TEACHING POINTS | TRG AIDS | TIME | REMARKS | ||
ACTUAL | RUNNING | ||||||
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) | |
1. | SHURU SHURU KA KAAM | (a) Bandobast ki karwai.. (b) Class ki ginti groupon mein bant. (c) Hathiyar aur saman ka nirikshan. | Sig Rif, Trgger mech model, trg mat | 01 | 01 | Nirikshan class se karaya jaye | |
2. | DOHRAI | Q1. Sig Rif se kitne posn se fire kiya jata hai? Ans. 04 Posn se kiys jata hai Q2. Sight alignment aur Sight picture mein kis ki ahmiyat jyada hoti hai? Ans. Sight Alignment ki ahmiyat jyada hoti hai. |
| 01 | 02 | Pichle lesson se sawal puchkar dohrai le | |
3. | PAHUNCH | 7.62 mm Sig Rif single shot ke sath sath automatic fire karne wala hathiyar hai. Isi liye zaruri hai ki firer ko iske firing mech ke baremein jankari ho taki samay parne par is hathiyar ka pura faida uthaya ja sake. Yah tabhi sambhav hai jab har ek jawan ne trg ke daruan acchi sikhlai payi ho. Toh lihaza inhi batonse se sambhandit iss sabak ka uddesh. |
| 01 | 03 | Pahunch sabaq se sambandhit ho. | |
4. | UDDESH | 7.62mm Sig Rif ke firing mech ke baremein jankari dena hai. |
| 01 | 04 | Uddesh ko ek baar bataya jaye | |
5. | SAMAN | Sig Rif, White bd,easel, marker, duster, Trigger mech model | As per trg aid | 01 | 05 | Saman ko point karke bataya jaye | |
SER NO | TARTIB | TEACHING POINTS | TRG AIDS | TIME | REMARKS | ||
ACTUAL | RUNNING | ||||||
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) | |
6. | BHAGON MEIN BANT | BHAG-I. 7.62MM SIG Rif ke Trigger Mechanism ko Kholna, Hisse Purjon ke Naam, Kaam aur jorne ka tarika.
BHAG-II. Trigger mechanism ki chaal.
|
| 01 | 06 | Sabak ko tartibwar chalane ke liye | |
| BHAG-I DEMO | Trigger Mechanism ko Kholna, Hisse purjon ke Naam, Kaam aur Jorna
(student ko nazdik bulaya jaye aur hathiyar ko bayan ke sath tartib se kholen ).
(a) Safety Catch. Gol bhag, kata hua plain bhag, Ring wala bhag. (b) Trigger Sear. Trigger Primary sear, Trigger Tail, Trigger spring.
(c) Dis-Connector. Tail.
(d) Hammer. Hammer, Hammer spring, primary sear surface, Dis-connector surface,Auto sear surface.
(e) Auto sear. Auto sear leaf, Auto sear spring, Lug.
(f) Axis Pin. Trigger axis pin, Hammer axis pin, Auto sear axis pin. |
| 05 | 12 |
| |
| |||||||
SER NO | TARTIB | TEACHING POINTS | TRG AIDS | TIME | REMARKS | ||
ACTUAL | RUNNING | ||||||
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) | |
| ABHYAS | Yah tha bhag-I ka demonstration abhi hoga abhyas |
| 04 | 16 |
| |
| BHAG-II DEMO | Trigger Mech ki Chaal. 1. Normal Halat mein Karwai. Jab Rif normal halat mein hoti hai yani ki jab rif cock nahi hoti hai to selective lever ki posn ‘S’ par nahi hoti kyonki jab rif cock nahi hai to trigger tail selective lever ke sath lagi hoti hai yadi us samay hum selective lever ko ‘S’ par karne ki koshis karte hain to trigger tail sath mein lagi hone ke karan selective lever ko harkat nahi mil pati aur posn ‘S’ par nahi ho pati hai. 2. Jab Rif Cock ho to Safety Catch ‘S’ par Kyon ho Jata hai. Jab rif cock hoti hai hammer piche ki posn mein hota hai, is samay hammer ka primary sear surface trigger ke primary sear ke sidh mein hota hai jisse trigger ke primary sear aur hammer ke primary sear surface ka milap ho jata hai aur trigger tail apni normal posn mein rahta hai. Is dauran jab safety catch ko ‘R’ ya ‘A’ se ‘S’ par karne ke liye ghumaya jata hai to trigger tail apni normal posn mein hone ke karan safety catch ke gol bhag ko ghumane ki jagah mil jati hai aur safety catch ‘S’ par ho jata hai. 3. Jab Safety Catch ‘R’ Par hota hai to Single Shot Fire hi Kyon hota hai. Jab safety catch ki posn ‘R’ par hota hai to safety catch ka kata hua plain bhag jata hai.Trigger par lagatar dabav aane par trigger ke primary sear aur hammer ke primary sear surface ka milap tut jata hai, hammer azad hokar spring ki madad se aage ki harkat karta hai aur firing pin retainer par thokar marta hai jisse round fire ho jata hai. Rd fire ho jane ke baad gas ke dabav se purje piche aate hai. Trigger par dabav hone ke karan disconnector apne posn se aage hota hai jisse disconnector aur disconnector surface ka milap ho jata hai aur rif ek round fire karke ruk jata hai.Agla round fire karne ke liye trigger ko release karne ki jarurat padti hai. Jyunhi firer trigger ko release karta hai | As per trg aid | 10 | 26 |
| |
| |||||||
SER NO | TARTIB | TEACHING POINTS | TRG AIDS | TIME | REMARKS | ||
ACTUAL | RUNNING | ||||||
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) | |
|
| toh trigger primary sear aur hammer primary sear suface ka milap ho jata hai, Rif ek round fire karne ke bad dusra round fire karne ke liye taiyar ho jati hai. 4. Auto Fire Par Karwai. Jab safety catch ki posn ko ‘A’ par kiya jata hai to safety catch ka projection Dis-connector ke tail par dabav dalta hai jisse dis-connector apni posn se thoda piche aa jata hai sath hi safety catch ka left wala kata hua bhag auto sear lug ke sidh mein aa jata hai jisse auto sear ka lug auto sear spring ki madad se aage ki harkat karta hai.Isi dauran auto sear ka leaf thoda aage aa jata hai. Jab firer trigger ko press karta hai to hammer azad ho jata hai jisse round fire ho jata hai, Gas ke dabav se bolt carrier piche ki harkat karta hai sath hi hammer bhi piche ki harkat karta hai, Trigger par dabav hone ke karan trigger ka primary sear aur hammer ke primary sear surface ka milap nahi ho pata, Discconector apni posn se piche hone ke karan discconector aur hammer ke discconector surface ka milap bhi nahi ho pata, Lekin is dauran auto sear leaf ka niche wale bhag aur hammer ke auto sear surface ka milap ho jata hai. Jab bolt carrier aage ki harkat karta hai isi dauran carrier ka tripping edge auto sear leaf ke upar wale bhag par dabav dalta hai jisse auto sear leaf ke niche wale bhag aur hammer ke auto sear surface ka milap tut jata hai. Hammer azad hokar firing pin retainer par thokar marta hai aur agla round fire ho jata hai. Ye karwai tab tak jari rahati hai jab tak ki trigger par ungli ho aur mag mein round ho. |
|
| |||
|
ABHYAS |
Yah tha bhag-II ka demonstration abhi hoga abhyas | As per trg aids. | 12 | 38 | Abhyas puri class se |
SER NO | TARTIB | TEACHING POINTS | TRG AIDS | TIME | REMARKS | |
ACTUAL | RUNNING | |||||
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
7. | SANKSHEP | Shuru shuru ka kaam mein bandobast ki karwai pahle se kar li gayi thi jo ki mere dwara check ki gayi.class ki ginti groupon mein bant ho jane ke baad hathiyar aur saman ka nirikshan class ke dawara kiya gaya .pichhle chal chuke lesson se do sawal puchkar class se dohrai karaya gaya. Pahunch sabak sambandhit saaf aur choti batayi gayi. Uddesh ko dohraya gaya. Sabak se sambandhit saman ko pointer ki madad se dikhya gaya. Sabak tarteeb se chale aur class ko asani se samajh mein aaye is liye do bhagon mein chalaya gaya.
Bhag -I Trigger Mech ko Kholna, Hisse Purjon ke Naam, Kaam aur Jorna.
Q1. Sig Rif ki Safety Catch ki kitni posn hai?
Ans. Teen posn hota hai.
Bhag -II Trigger Mech ki Chaal. Q1. SIG rif me jab rif cock na ho toh trigger tail safety catch ke kate wale bhag se kyu lag jata hain? Ans. Kyu ki Hammer trigger primary sear ke upar aa jata hain.
Q2. SIG rif single shot fire me disconnector tutne se kya karwahi hoga? Ans. Hammer aage chala jayega aur rif ek rd fire ke baad ruk jayega
Q3. SIG 716 AR me auto sear niche wala leaf tutne se kya karwai hoga? Ans. Hammer ek rd fire hone ke baad aage chala jayega aur ek hi rd fire hoga.
Q4. Auto sear ka upar wala leaf tutne se kya karwahi hoga. Ans. Ek rd fire hone ke baad hammer piche ruk jayega.
|
|
02 |
40 |
Agla lesson se contact karaya jaye |
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know