84mm RL Mk-lll se waqfiat, Kholna, jorna, chal aur safai karne ka tariqa sikhana hai.

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

LESSON PLAN 

 

 

 

 

                                                                      

 

 

                                                                                                  RL MK-III (Lesson-I) 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

SUBJECT : 84MM RL MK-III SE WAQFIAT, KHOLNA, JORNA , CHAL AUR SAFAI KARNE KA TARIQA SIKHANA HAI 

 

 

 

 

LESSON PLAN BASIC 

 

SUBJECT: 84 MM RL MK-III SE WAQFIAT, KHOLNA, JORNA,CHAL AUR SYLLABUS REF : INF SCHOOL, (MHOW) PRECIS 

SAFAI KARNE KA TARIQA SIKHANA HAI. 

           SYLLABUS REF: RL- I 

 

TIME ALLOTED: 80 MINUTES             PERIOD: 02  

 

S/NO 

TARTIB 

TEACHING POINTS 

TRG AIDS 

TIME 

REMARKS 

Actual 

Running 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

1. 

SHURU  

SHURU KA  

KAM 

(a)   Bandobast ki karwai. 

(b)   Class ki ginti aur deton mein bant. 

(c)   Hathiyar aur saman ka nirakshan. 

        

     

RL, Bag No-1, Bag No-2,Pistol,Mag,Line Yard,Pistol Case, Ground Sheet. 

 

02 

 

02 

Ustad khud RL aur Pistol ka niraksahan karen. 

 

 

2. 

DOHRAI 

Q1.    84mm RL MK-II se kitne parkar ka Amn fire hota hai? 

Ans.  06 parkar ka Amn fire hota hai. 

Q2.    84mm RL MK-II ka wajan kitna hai? 

Ans.  14.2 kg. 

 

 

01 

 

03 

 

Class se sawal poochyen. 

3. 

PAHUNCH 

84mm MK-III ko Swedan Desh ke Ugo Abramson aur Herald Johnson ne Banaya hai, uske baad RL MK-lll ko Swedan ke 10th King Carl Gushtav ke naam se jana gaya, is hathyar ka istemal sabse pehle Sweden army ne 1948 me kiya. Hamare desh mei sabse pehle RL MK-ll ko1986, MK-lll ko 2016 aur MK-lV ko 2022 mei shamil kiya gaya hai, 84mm RL Inf sec aur Coy Cdr ka ek matra anti-tank hathyar hai, is hathyar se hum secondary role main Anti personal, Anti Veh aur Anti Bunker role mein istemal kar sakte hain aur saath hi dushman ke ilake ko ill rd se illuminate aur apne tps ko chupane ke liye Smk Screen bhi bana sakte hain. Isliye is hathyar ki khubiyon ko dekhte hue har ek jawan ko iske bare mein jankari hona jaruri hain, jisse ladai ke maidan mein pura ka pura faida utha sakte hai, yah ek recoil less hatiyar hai. 

 

 

 

 

 

 

01 

 

 

 

 

04 

 

 

 

 

Chhota saaf aur sabaq se sambandhit ho. 

 

2 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

4. 

UDDESH 

84mm RL Mk-lll  se waqfiat, Kholna, jorna, chal aur safai karne ka tariqa sikhana hai. 

 

 

 

01 

 

05 

Uddesh ko ek bar bataya jaye. 

5. 

SAMAN 

84mm RL Mk -lll, Bag No-1, Bag No-2, 9mm Pistol, Mag, Line Yrad,Pistol Case, Bd, Duster, marker, fig11 tgt, tank tgt, Ground Sheet.  

 

 

01 

 

06 

Point karke bataya jaye. 

 

6. 

 

BHAGON MEIN BANT 

 

Sabak ko teen bhagon mein sikhauga. 

 

Bhag- I - Launcher ki visheshtayen aur zaruri tech data. 

Bhag- II - Kholna hisse purjon ke name,kaam,chal aur jorna  

Bhag- III - Mech safety aur safai karne ka tariqa. 

 

 

 

01 

 

 

07 

 

Class ki suvidha ke liye teen bhagon mein sikhaya 

 

 

 

BHAG-I 

DEMO 

 

 

LAUNCHER KI  VISHESHTAYEN AUR ZARURI TECH DATA. 

 

  1. Isse 9 parkar ka combat aur 4 prakaar ka trg Amn fire kiya jata hai. 

  1. Ek hi sight se alag-alag rd ko fire karne ki suvidha hai. 

  1. MK ll ke banispat wajan mein halka. 

  1. Brl ki safety ke liye uropolythene cover diya gaya hai. 

  1. Brl ko majboot banane ke liye appoxy carbon fiber ka wrap hai. 

  1. Carry karne ke liye carring handle ki suvidha di gai hai. 

  1. Adjustable front grip aur shoulder pad diya gaya hai. 

  1. Yeh ek A/Tk hathyar hai. 

  1. Is hathyar ko A/Pers role mein bhi istemal kiya jata hai. 

  1. Yeh din ke samay dhuan aur raat ke samay roshni ke liye bhi 

istemal kiya jata hai 

 

 

TECH DATA 

 

  1. Khali Lr ka wazan                 - 10 kg (Approx)  

  1. Bipod ka wazan                    - 300 gm  

  1. TDLS ka wazan                    - 800 gm 

  1. Woodan box ke sath wazan - 29 kg 

  1. Lambai                                  - 1065 mm 

  1. Barrel ki Lambai                    - 850mm 

  1. Venturi ki lambai                   - 215mm 

  1. Grooves                                - 24 (RH) 

  1. Open sight ka sight radius    - 296mm 

  1. Trigger Pull                           - 2.5 - 5 Kg  

  1. Rate of Fire                           - 6 rds/min  

  1. Mech Safety                          - Khuli Venturi aur Band Venturi   

  1. Type of Amn                       - 13   

  1.  Siddhant                             - Breech loaded lateral percussion fire             

  1.  Apply safety                        - Safety catch  

  1. Front hand grip                    - 15mm  

  1. Shoulder pad ki harkat        - 20mm  

  1. Bipod ki harkat                    - 25mm 

 

BIPOD KI POSN    

 

          Bipod ki teen posn hoti hain. Uncha bipod, Nicha bipod aur Tircha bipod – bipod ki posn kis parkar badli ki jati hain isi ka demostation hathiyar par bayan ke sath dunga aap dhayan dein. 

 

(a)     Uncha bipod     (zarurat) Uncha bipod tab kiya jata hai jab laying posn se fire karne ki jarurat pade. Karne ka tariqa bayen haath ki madad se bipod catch ko khinche. Dahine haath ki madad se bipod ko bahar ki taraf khinche, bipod catch ko chhordein, bipod ko tab tak bahar ki taraf khinche jab tak lock na ho jaye. Dekhen is prakar 

 

(b)    Nicha bipod     (zarurat) Nicha bipod tab kiya jata hai jab launcher ko kote mein rakhna ho ya sqd post trg ke dauran istemal karna pade. Karne ka tariqa bayen haath ki madad se bipod catch ko khinche. Dahine hath ki madad se bipod ko andar ki taraf push karein. Bipod catch ko chhordein, Bipod ko tab tak ander ki taraf push karen jab tak lock na ho jaye. Dekhen is prakar. 

 

(c)   Tircha bipod     (zarurat) Tirchha bipod tab kiya jata hai jab launcher ko ek sthan se dusre sthan par carry karna ho ya Lying posn ke ilawa anya kisi posn se fire karne ki jarurat pade. Karne ka tariqa bayen haath ki madad se bipod catch ko khinche. Dahine hath ki madad se bipod ko ghari ke sulte rukh ghumayen bipod catch ko chhorde, bipod ko tab tak ghari ke sulte rukh ghumayen jab tak lock na ho jaye. Dekhen is prakar. Bipod ki posns mein kisi bhi student ka koi sawal 

 

Trigger ops ki karwai    

     84mm RL ke trigger mein do khichav hote hain, pehla halka aur lamba khichav aur dussra chhota aur sakhat khichavJab No-1 ko target dikhai deta hai to wo pehle halka aur lamba khichav ko hasil karta hai aur jab durust shist mil jata hai to wo dusra chhota aur sakht khichav ko hasil karta hai. Is parkar 2.5 kg se 5 kg ka dabav aane par trigger press ho jata hai. Rd fire hone par brl ke raste projectile aur ventury ke raste ek aag ka shola nikalta hai jise back blast ke naam se jante hain.(Bd ke uppar samjhana hai).  Yeh back blast ventury ke Madhya se 450 ke angle mein charon taraf nikalta hai aur ventury se 60m lamba banta hai. Ventury se 5 mtr ka ilaka mein koi vertical rukawat nahi hona chahiye aur 5mtr se 60mtr tak ke ilake mein jaandar vastu nahi hona chahiye. (Agar firer ko ladai ki maidan back blast area 5mtr mil jata hai to fire kar sakta hai) 

 RL, Sight Bag, Ground sheet. 

08 

15 

DEMO bayan ke sath diya jaye.  

 

ABHYAS 

 

Yeh tha bhag - I ka DEMO abhi hoga issi ka abhyas. 

 

 

05  

20  

Abhyas pure class se  karaya jaye.   

 

BHAG-II 

DEMO 

 

 

Kholna, hisse purjon ke naam, kaam, chal aur jodne ka tariqa.  

   

        kisi bhi hatiyaar ki tut fut ko check karne ke liye, purjon ki badli karne ke liye aur saaf safai karne ke liye hathyar ko kholne ki zarurat parti hai, 

 

      84 mm RL Mk-III ko kholne ke liye bag no 1 ki zarurat padti hai 

 

Bag no 1 ka Saman    

(a) Telescope Sight          (b) Bore Sight Adaptor         (c) Safai ka kapda   (d) Screw Driver (3.5mm, 5.5mm, 8 mm)        (e) Carrying sling                   (f)  Spare Part Box.   

Spare Part Box ka saman.     Long screw 2, Short screw 2, Front cap, rear cap, firing pin, extractor spring, measuring plate (0.25mm)  

Kholne ka tariqa      Launcher ko khara karen. Yakin karen ki launcher cock na ho. Hath, kapde, ya kisi strap ki madad se front cap ko kholen dhyan rahe ki kholte aur jodte samay chehra front cap ke upper na ho, main spring ko bahar nikalen. Rear cap ko kholen, cocking rod ko aage jane den aur firing pin ko screw dvr ki madad se bahar nikalen. Ek firer ko itna hi kholne ki jarurat parti hai.   

        

Safety Catch ki Chaal.   Cock karne ke bad Jab safety catch ki posn ‘S’ par karte hain to safety catch ka gol wala bhag sear ke niche aa jata hai jisse sear ko niche aane ki jagah nahi rehti haiTrigger ko dabane par sear nichhe nahi dab pata hai aur Sear nose aur cocking lug ka milap nahi tut pata aur trigger press nahi hota hai. Jab safety catch ki posn ‘F’ par kiya jata hai to safety catch ka kata hua bhag sear ke niche aa jata hai jis se sear ko niche ane ki jagah mil jati hai aur trigger press hone per sear pichhe se niche aa jata hai aur sear nose aur cocking lug ka milap tut jata hai firing rod peeche aa jata hai 

 

Launcher ki Chaal. (chal ko board ki madad se samjhen) Jab launcher ko cock kiya jata hai to cocking rod aage ki harkat karta hai, is dauran main spring front cap ki taraf sikud jata hai aur firing pin cam se nichhe utar jata haiJab cocking peace ko chhodte hain to main spring apne tanav ko kam karta hai to cocking rod ko pichhe dhakelta hai, is dauran cocking rod ke lug ka milap sear notch se ho jata hai aur launcher cock ho jata haiJab firer trigger ko dabata hai to cocking rod ke lug aur sear notch ka milap tut jata hai, jis se cocking rod pichhe ki harkat karta haiIs dauran firing pin came ke upar sawar ho jata hai aur chamber wale rd ke percussion cap par chot marta hai, jisse rd fire ho jata hai 

 

  

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

84mm RL, Sight Bag, Ground sheet 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

15 

35 

DEMO bayan ke sath diya jaye. 

 

 

 

 

 

Jorna           Jorne ke liye sabse pahle firing pin ko dakhil karen aur rear cap ko band karen, trigger ko press karte huye cocking rod ko pichhe karen, launcher ko khara karen, main spring ko dakhil karen aur Hath, kapde ya kisi strap ki madad se front cap to tight Karen. 

Launcher ko nichhe rakhen, cock karen aur trigger ko press karen. Launcher ko kholne, chal, aur jodne mein kisi student ka koi swal. 

 

 

 

 

 

 

ABHYAS 

Yeh tha bhag - II ka DEMO abhi hoga issi ka abhyas. 

 

15 

50 

Abhyas pure class se 

karwaya jaye 

 

 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

BHAG-III 

DEMO 

MECHANICAL SAFETY AUR SAFAI KARNE KA TARIQA: - 

Hathyar par do parkaar ki safety hoti hai:- 

 

Applied Safety. Applied safety wo safety hoti hai jo hathyar par firer dwara apply ki jati hai jaise RL mei safety catch.  

  

Mech Safety. Mech safety wo safety hoti hai jo hathyar mein inbuilt hoti hai jo hame firing ke dauran anchahe hadson se bachati hai.  

     

 

Mechanical safety.  khuli venturi aur band venturi  

 

84mm RL MK III ki mechanical safety fastening strap per nirbhar karti hai, kyunki is per 3 projection lage hote hain Stop projection, Lock projection, aur safe projection. 

 

Normal halat mein fastening strip piche hota hai, aur safe projection normal halat me niche hota hai jisse firing pin cam par sawar rehti hai, jab venturi ko khola jata hai, is dauran fastening strip ka stop aur lock projection venturi ke lug ke sath lag jata hai.  

 

Stop projection. Jab venturi pura khula hota hai to fastening strap mein laga hua stop projection, venturi ke sath lag jata jis se fastening strap aage ki taraf jhuk jata hai. Is dauran safe projection uper uth jata hai. Yadi no 2 ne round bhar diya ho aur venturi band na kiya ho. No 1 galti se trigger press kar de to bhi round fire nahin hoga, kyunki firing rod pichhe aayega to raste mein safe projection ke uper utha hone ke karan firing rod safe projection ke sath lag kar ruk jayega. Jis se firing pin cam par sawar nahin ho payega aur round ke primer par chot nahin mar payega aur round fire nahin hoga. Is dauran safe projection safety pradan karta hai, agar aisa na hota to round fire ho jane par RL det aur wpn dono ko nuksan hota aur bara hadsa ho jata 

 

 

 

 

 

 RL, Sight Bag, Ground sheet 

15 

65 

DEMO bayan ke sath diya jaye. 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

Lock projection. Jab no 2 bhar ki karwai karne ke bad venturi ko band karta hai aur venturi galti se puri tarah se band na ho. Is dauran bhi round fire nahin hoga, kyunki is dauran lock projection venturi ke sath lag jata hai, jis se fastening strap aage ki taraf jhuk jata hai aur safe projection upar uth jata hai. No 1 galti se trigger press kar de to bhi round fire nahin hoga, kyunki firing rod jab pichhe aayega to raste mein safe projection uper utha hone ke karan firing rod safe projection ke sath lag kar ruk jayegaJis se firing pin came per swar nahin ho payegi aur round ke primer per chot nahin mar payega aur round fire nahin hoga. Is dauran bhi safe projection safety pradan karta hai. 

 

Safe projection. Jab venturi puri tarah se band ho jati hai to lock projection venturi per swar ho jata hai aur venturi ko puri tarah se lock kar deta hai is dauran fastening strap pura pichhe aa jata hai jis se safe projection niche a jata haiAb firing rod ko pichhe aane ki jagah mil jati hai, no 1 RL ke bayen aur no 2 RL ke dahine hone aur venturi puri tarah se lock hone ke karan fire hone per projectile aage aur back blast venturi ke raste pichhe nikal jata hai, jis se RL det aur Wpn ko koi nuksan nahin pahunchta haiIs dauran lock projection venturi ko lock karke safety pardan karta hai.  

Safai karne ka tariqa:- 

      Safai karne ke liye Bag No - 2 ki jarurat parti hai. 

Bag No-2 ka saman:- 

  1.   Cleaning rod three sec               (b)    Cleaning tool 

(c)   Cleaning brush                           (d)    Oiling brush 

(e)   Cleaning cloth  

Safai karne ke liye cleaning rod ko joren, cleaning rod ko cleaning tool ke sath joren, Front cleaning tool ko kholte huye brush ko lagayen aur cleaning tool ko jor denBarrel ya chamber kisi taraf se rod ka istemal karte huye safai ki ja sakti haiLubrication ke liye pehle bataye gaye tarike ki tarah hi oiling brush ko joren aur oil lagayenLubrication baki anya hathyaron ki tarah. 

 

 

 

 

 

ABHYAS 

Yeh tha bhag - III ka DEMO abhi hoga issi ka abhyas. 

 

13 

78 

Abhyas pure class se  

karwaya jaye 

 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

7. 

 

SANKSHEP 

 

 

 

Shuru shuru mein class ki ginti aur detton mein bant kiya gaya. RL MK-III ka pehla lesson hone ke karan hathyar aur saman ka nirikshan mere dawara kiya gaya. Bandobast ki karwai check ki gai. Dohrai pichhle lesson se karaya gaya. Pahunch sabak sambandhit chota aur saaf bataya gayaUddesh ko ek bar bataya gaya. Sabak se sambandhit saman ko small pointer ki madad se kneeling posn se ek ek karke  dikhya gaya. Sabak ko teen bhagon mein sikhaya gaya 

 

Bhag I   - Launcher ki vishtayen aur zaruri tech data. 

 

Q1.      RL ke open sight ka sight radius kitna hai ? 

Ans.     296mm. 

 

Bhag II - Kholna hisse purjon ka name, kaam, chal aur jodna.  

 

Q2.     RL ko kholne ke liye koun se bag ki jarurat padti hai? 

Ans     Bag no 1 ki jarurat padti hai. 

 

Bhag III - RL ki mechanical sefty aur safai karne ka tariqa. 

 

Qus    RL ki mechanical sefety kis per nirbhar karti hai? 

Ans    Fastening strap par. 

 

Yahan lesson sankshep ke sath samapat hota hai pure lesson mein kisi student ka koi sawal, aapka aagla lesson 84mm RL Mk-III par sight lagana aur shist lena hoga. Jise aap pad kar aayege.  

 

 

 

 

 

 

 

 

 

02 

 

 

 

 

 

 

 

80 

 

 

 

 

 

 

 

Agle lesson se contact karaya jaye. 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

टिप्पणियाँ