40 MM MGL se Waqfiat, Kholna, Jorna aur Safai karne ka Tariqa Sikhana Hai.
MGL- I
LESSON PLAN
HI FIROJ DARJEE
SUBJECT- 40MM MGL SE WAQFIYAT, KHOLNA, JORNA AUR SAFAI KARNE KA TARIQA SIKHANA HAI .
1
LESSON PLAN
SUBJECT: 40MM MULTI-SHOT GREN LAUNCHER SE WAQFIAT, SYLLABUS REF: INF SCHOOL, (MHOW) PRECIS
KHOLNA, JORNA AUR SAFAI KARNE KA TARIQA
SIKHANA HAI. SYLLABUS REF : MGL-I
TIME ALLOTED: 80 MINUTES PERIOD NO- 02
S/NO | TARTIB | TEACHING POINTS | TRG AIDS | TIME | REMARKS | |
Actual | Running | |||||
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
1. | SHURU SHURU KA KAM | (a) Class ki ginti groupon mein bant . (b) Hathiyar aur saman ka nirakshan. (c) Bandobast ki karwai.
| MGL, Tool Roll, Drill gren all accy
|
01 |
01 | Nirakshan ka Demo ustad ke dawara diya jaye. |
2. | DOHRAI | Q1. Inf Bn mein area wpn kaun kaun se hain? Ans. 51 mm Mor, No 36 Hand Gren, 81 mm Mor.
Q.2. 40 mm MGL ka nirakshan ke dauran kyun shist lekar tgr press kia jata hai? Ans. Isme OEG sight hone ke karan shist lekar dekhkar sight ka yakeen ki jata hai.
|
|
01 |
02 |
Kisi bhi area wpn ke bare mein liye jae. |
3. | PAHUNCH | Vishav ke anek deshon mein ho rahe hathiyaron ke vikas ke adhar par hamare desh ne bhi kai parkar ke naye hathiyaron ko apnaya hain. Kyonki aaj ke samay mein apni sena ko bhi vishav ke samne mazboot karne ki zarurat hai. Isi ke phalswarup hamari sena mein 40 mm MGL ko South Africa se lekar shamil kiya gaya hain. Yeh hathiyar hamare liye naya hone ke nate is ke bare mein janna bahut zaruri hai, taki samay ane par iska istemal bakhubi se kar saken. Lakin yeh tabhi sambhav hai jab ke har ek jawan ne SQD post trg ke dauran achhi sikhlai paya ho. Innhi baton ko maddhenazar rakhte hue sune sabak ka uddesh.
|
|
01 |
03 |
Pahunch sabaq se sambandhit ho. |
2
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
4. | UDDESH | 40 MM MGL se Waqfiat, Kholna, Jorna aur Safai karne ka Tariqa Sikhana Hai.
|
|
01 |
04 | .
|
5. | SAMAN | 40 mm MGL, 9 mm Pistol, Tool roll, Metallic bd, Long Easel, duster, marker pen aur ground sheet. | As per trg aid |
01 |
05 | Saman ko point karke batayenge. |
6. | BHAGON MEIN BANT | Sabak ko teen bhagon mein sikhaunga
Bhag -I. 40 mm MGL ki Vishestayen aur zaruri Tech data aur amn se jankari Bhag -II. Kholna, Hisse Purjon ke Naam, Kaam, Jorna aur aur Sight ke bare mein jankari Bhag -III. Accessories se Waqfiat, Safai Karne ka Tariqa
|
|
01 |
06 |
Sabak ko tartibwar chalane ke liye. |
| BHAG – I DEMO | 40 MM MGL KI VISHESTAYEN AUR ZARURI TECH DATA AUR AMN SE JANKARI
(a) Visheshtayen. (i) Is mein ek sath 06 gren bhar sakte hain. (ii) Isme Occuluded eye gun sight hone ke karan isko fire karte samay dono ankhon ko khula rakha jata hai. (iii) Isse point tgt aur area tgt ko barbad kar sakte hain. (iv) Halka hai Ek jawan asani se carry aur fire kar sakta hai. (v) Iska handling rif ki tarah asan hai. (vi) Isse 6 parkar ka amn fire kiya jata hai. (vii) Iska cylinder revolving type ka hai lekin revolving ke sidhant per kaam nahi karta. |
40 mm MGL, drill gren,
|
20 |
26 |
Demo bayan ke sath diya jae. |
3
|
| (b) Tech Data. (i) Weight empty - 5.3 kg (ii) Length butt folded - 566 mm (iii) Length butt extended - 778 mm (iv) Barrel ki Lambai - 300mm (v) Kuttar - 40mm , Outer -44mm (vi) Barrel ki life - 5000 gren. (vii) Rifling pitch - 1200 mm. (Progressive) (viii) Grooves - 06 RH (ix) MV - 76m/sec Barrel ,Trigger mech - Steel ,Cylinder ki Banawat - Alluminum , Hand grip,Butt Plate - Nylone (x) Cylinder ki Lambai - 100mm (xi) Cylinder ka dia - 135mm (xii) Butt ki lambai - 300mm (xiiii) Range - 375m (xiv) Practical Rate of Fire - 18 Gren/Min,Max Rate of Fire- 6 Gren/3 sec (xv) Safety distance - Trg 80 mtr, Operation -30 mtr (xvii) Sight - Occluded eye gun sight (xviii) Sidhant - Semi Automatic gas operated (xix) Applied Safety - Safety catch (xxi) Mechanical safety - Hammer Index Pin - Drop safety - Hung fire (xxii) Trigger Pull - 4 KG
TRIGGER OPERATION 40mm MGL mein bhi trigger ke do khinchav hota hain. Pahla halka aur lamba khinchav, dussra chhota aur sakht khinchav. Jyunhi firer ko tgt area mein tgt dekhai deta hai to trigger ka pahla, halka aur lamba khinchao hasil karta hai, jaise hi red bar tgt ke POA par mil jate hi dusra, chhota aur sakht khinchao ko bhi hasil karta hai. Is prakar trigger par 4 kg ka dabao aane par trigger press ho jata hai.
(c) Amn :- 40mm MGL mein 06 parkar ke amn fire kiya jata hai.
(i) High explosive Anti Personal (HEAP): - Din ke samay yeh gren ka pechaan OG colour ka hota hai aur iske cart case mein HEAP likha hota hai. Iska istemal dushman ke paidal sena ke khilaf kiya jata hai. (aa) Wazan - 277 Gms (ab) Lambai - 103 mm (ac) Projectile ki Lambai - 82 mm (ad) Projectile ka wazan - 180 Gms (ae) Explosive –(RDX& TNT) -40 gms (60:40) (af) fragments - 425 (pre pattern cube type) - fragments Size -3mmx3mmx2mm - fragments Wt-120mg (ag) Killing Area - 5 mtr radius (ah) Arming Dist - 9-28 Mtr (ii) High Explosive Dual Pupose (HEDP): - Din ke samay yeh gren ka pechaan OG colour ka hota hai aur iske cart case mein HEDP likha hota hai. Iska istemal dushman paidal sena , patli chader wali veh aur FD fortification ke berkhilaf kiya jata hai. (aa) Penetration - 50mm Armour plate -400mm concrete (ab) Siddhant -Hallow Charge (iii) Smoke Bursting Red Phosphorus (SBRP) : - Is GREN istemal dhuan ka parade banana ke liya istemal kiya jata hai. (aa) Red Phosphorus - 32 gms (ab) Dhuan ka samay - 45 Sec (ac) Dhuan parda - 10 Mtr (iv) Target Marker Orange (TMO): - Is GREN ka istemal kisi tgt ko indicate karne ke liye kiya jata hai. (aa) Smoke emission - 2 min (ab) Colour - Highly visible orange (v) Practice - Is GREN ks istemal trg ke dauran jawano ko zyada Prac ke sath sath MGL ko zeroing krne ke liye bhi istemal kiya jata hai (aa) Range - 206 se 260 mtr (v) MGL INERT TRG AMN (MITA) - Is GREN ko trg ke liye istemal kiya jata hai. Is GREN ko istemal karne ke liye hamein 5.56mm INSAS ka blank rd ka zarrarut padta hai. Iske cart case ke ander INSAS ka blank rd ko fit kiya jata hai aur baki GREN ki trah hi MGL mein load karke fire kiya jata hai.Fire hoo jane ke baad iska projectile tgt area mein aisa hii rehta hai jisko hum dobara dusra MITA mein istemal kar sakte hai. |
|
|
|
As per above | |||
| |||||||||
|
|
Area covered 20X60 Mtr High Explosive Antipersonnel/ High Explosive Dual Purpose 6 Gren ka Mark Area Zeroing: Sight rg - 100mtr Ground rg - 100mtr , Person - 2 Posn - lying supported MGL symbole M Amn - Practice Amn Tgt - 3x3mtr Plywood ,30x30cm ka + ka nishan,+ ki motai 3cm Jahan par No-1 jawan MGL fire karega aur MGL ko nahi hilayega. No-2 jawan tgt par gren ki maar ko dekhta hai. No-2 gren yahan par laga hai MGL ko bina hilate huye red bar ko elevation aur deflection secrew ki madad se le jayega. No-1 dubara POA par shist leke fire karta hai. Yadi gren + ke nishan par aa jaye to MGL zero hai.
Gren ko taiyar karne ka tariqa – Pouch se gren ko nikale, mulahija karein, yadi gren ki body damage hai toh aise gren ko istemal na karein. Ismal mein laye jane wale gren ki safayi karein aur gren ki kism ko dhyan mein rakhte huye repack karein | Range Layout 40 mm MGL | ||||||
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) | |||
|
PRAC |
Yeh tha bhag - I ka Demo abhi hoga issi ka Prac , Prac Pure class se karaya jaye |
|
6 |
32
| Prac Pure class se karaya jae.
| |||
| BHAG-II DEMO | Kholna, Hisse Purjon ke Naam, Kaam, Jorna aur Sight ke bare mein jankari 40mm MGL ko 5 bare bhagon mein banta gaya hai. (a) Barrel with front frame group. (b) Cylinder group. (c) Sight Group. (d) Rear frame with trigger mechanism group. (e) Butt group. KHOLNA Ek firer ko MGL mein kewal gas plug aur Index Mechanism cover hi kholna auth hai. Is se jaida hisse purjon ko kabhi bhi ek firer na khole, kiyonki is ke liye special tool ki zarurat parti hai. Yeh tool ek firer carry nahi karta hai. (a) Sabse pehle MGL ka nirikshan Karen. (b) Sight ko zero par karen. (c) Gas plug locking spring (Produding Spring ) ko 5 mm allen key ki madad se dabate hue gas plug ko anti clockwise ghumaye aur sidha upar uthate hue nikalen. (d) Index Mechnaism cover ko kholne ke liye manual release ko dabate hue uppar ki taraf karte hue nikalen. HISSE PURJON KE NAAM AUR KAAM
Loop, release handle, gas pot.
Stopper, index mech cover.
Firing pins, firing pin locking plate, pistol grip, trigger mech, safety catch.
|
40 mm MGL, 5 mm Allen key long series. |
15
|
47 |
Demo bayan ke sath diya jae. |
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
| (d) Butt Group. Butt release plate, butt plate, rear sling loop.
40mm Multi Shot Grenade Launcher mein Rg aur posn ke anusar butt ki posn ko badly karne ki zaroorat padti hai. MGL mein butt ki 3 posn hoti hai. (a) FOLDED BUTT Zarurat. Jab launcher ko istemal mein na laya ja raha ho ya kote mein rakhna ho ya ek jagah se dusri jagah le jana ho us samay folded butt ka istemal kiya jata hai. Tariqa Sabse pehle butt release plate ko andar ki aur dabayein aur butt ko upar ki taraf uthayen. Butt release plate ko chor den. Butt ko tab tak aage aur niche dabayen tab tak ki butt lock na ho jaye.
(b) SEMI EXTENDED BUTT Zarurat. Jab launcher ko 150m se adhik Rg par fire karna ho us samay semi extended butt ka istemal kiya jata hai.kyonki agar 150m se adhik rg par fire karna ho aur butt ki posn fully extended ho, to sahi aim nahi le payenge, is dauran sight piche se upar uth jati hai aur butt fully extended hone ke karan sahi aim nahi le payenge. Tariqa. butt release plate ko andar ki aur dabayen aur butt ko upar ki taraf uthayen. Butt release plate ko chor den. pichhe ki taraf tab tak dabayen, jab tak ki butt lock na ho jaye.
(c) FULLY EXTENDED BUTT Zarurat. Jab launcher ko 50m se 150m tak fire karna ho to Fully extended butt ka istemal kiya jata hai. Kyonki agar 150m se kam rg par fire karna ho aur butt ki posn semi extended ho,to sight piche se niche baith jayegi aur butt semi extended hone ke karan upar uth jayega is dauran sahi aim nahi le payenge Tariqa. butt release plate ko andar ki aur dabayen aur butt ko niche ki taraf dabayen. Butt release plate ko chor den. Butt ko tab tak dabayen jab tak ki butt lock na ho jaye. Yahan tak kiye gaye bayan aur karwahi mein kisi bhi student ka koi sawal, sawal nahi to abhi ke liye semi extended butt. Up.
Jorna. Sabse pahle gas plug spring ko kisi nukili chij se dabate huye gas plug ko clock wise ghumate huye joren. Index mech cover ko lagayen, rear frame ko band karen.
(e) Sight Gp 40mm Multi Shot Grenade Launcher mein Occluded Eye Gun Sight ki suwidha hone ke karan ek firer ko din aur raat ke samay sight par target ka sahi range lagana aur shist lene ka tarika malum ho taki operation ke dauran surprise ko kayam rakhte hue target ke upar asani se fire giraya ja sake.
Range lagana aur shist lene ka tariqa sikhaon usse pehle jaruri samajhta hun ki sight ke hisse purjon ke naam bata dun taki aap ko range lagana aur shist lene mein asani ho.
Naam, Occluded Eye Gun Sight. Is sight se shist lete samay dono ankh khol kar shist liya jata hai. Is sight ko kharab mausam mein bhi istemal kar sakta hai jahan tak tgt dekhae deta hai. Sight ki hisse purjon ke naam is prakar se hain:-
Red bar, Red bar glass, glass protector, elevation screw, deflection screw, range pate (Range plate sight ki dono taraf mein diya gaya hai. Range plate mein 0 se 375 tak ankh khude hote hai), plunger (plunger, sight ki dono taraf diya gaya hai. left plunger aur right plunger), range indicator arm (range indicator arm bhi sight ke dono taraf diya gaya hain. Left rg indicator arm aur right rg indicator arm), eye glass
RANGE LAGNA 40mm MGL mein do tariqa se Rg lagaya jata hai. Din ke samay aur raat ke samay.
DIN KE SAMAY RANGE LAGANE KA TARIQA Din ke samay dekh ke range lagaya jata hai.Range mile 200m to dahine hath ki madad se dono plunger ko ek sath ander ki taraf dabate hue range indicator arm ko 200 ke ank ke sath milayen. Isse Rg hasil hoga 200m. (Range ko down karen) RAAT KE WAQT RANGE LAGANE KA TARIQA Yadi raat ke samay 50m Rg lagana ho to yakin karein ki sight zero par ho,Dahine hath ki madad se dono plunger ko andar aur thoda upar kare. Plunger ko chod de sight ko upar ki taraf press kare.Ek Click ki awaj aayegi rg hasil hoga 50 mtr. Yadi iss se jayada rg lagane ki jarurat pade to Dahine hath ke anguthe ki madad se bayen wale plunger ko ander aur uper ki taraf uthayen jisse ek click ki awaj aata hai, jisse range par badotri hoti hai 25 mtr aur range hasil hota hai 75mtr . Issi prakar se dahine hath ke kalme wali anguli ki madad se dahine wale plunger ko ander aur upper ki taraf uthane se ek click ki awaj aata hai, jisse range mein badotri hoti hai 25 mtr aur range hasil hota hai 100mtr . Issi tarah raat ke waqt bina dekhen har 25m-25m ke antral par 50m se 300m tak range laga sakta hain. Yadi 300m se adhik range lagane ki zarurat ho to dono plunger ko ek sath dabate huye range indicator arm ko pura uppar uthane se 375 m range hasil hota hai. Yadi yahin se 350 mtr range lagane ki jarurat ho, to dono plunger ko ek sath dabayen aur thora niche karen aur plunger ko chorh den sight ko upper se niche ki tarf press karen jisse ek click ki awaj aayegi jisse range mein kami hogi 25 mtr kul range hasil hoga 350 mtr.Yadi 325 mtr range lagane ki jarurat ho to dono plunger ko ek sath dabayen aur thora niche karen plunger ko chorh den. Sight ko upper se niche ki tarf press karen. Ek click ki awaj ayegi jisse range mein kami hogi 25 mtr range hasil hoga 325 mtr. Yadi yahin se 300 mtr range lagane ki zarurat ho to dono plunger ko ek sath dabayen aur thora niche karen plunger ko chorh de sight ko upper se niche ki tarf press karen ek click ki awaj ayegi jisse range mein kami hogi 25 mtr range hasil hoga 300 mtr (Range ko down karen).
SHIST LENE KA TARIQA (Butt aur kandhe ka milap karen.) 40mm MGL mein Occluded Eye Gun Sight hone se dono ankh kholkar shist liya jata hain. Ek ankh se tgt ko dekhta hai aur dusre ankh se red bar ko tgt ki POA par milata hai. Jab red bar tgt ke POA par mil jate hai to usse durust shist mana jata hain. (Khara hoke apne jagah par ana hai aur rg estimation ko board par samjhana hai)
Red bar se inshani tgt ka range estimation ke liye bhi istemal kiya ja sakta hai. Isse samjhen aap board ki madad se.
(a) Agar red bar se insani tgt bara dikhai deta hai to use 200m se kam range par mana jata hai.
(b) Agar red bar human tgt ko cover karta hai to use 200m ke range mana jata hai.
(c) Agar red bar se insani tgt chhota dikhai deta hai to use 200m se adhik range mana jata hai.
| As per above trg aid | As per above | As per above | As per above |
| PRAC | Yeh tha bhag - II ka Demo abhi hoga issi ka Prac , Pure class se Prac karaya jae. | As per above trg aid |
8 |
55 | Pure class se Prac karaya jae. |
|
BHAG-III DEMO |
ACCESSORIES SE WAQFIAT AUR SAFAI KARNA. Yeh hathiyar kafi low maintenance hathiyar hain. Phir bhi kisi bhi hathiyar ki zindagi uske maintenance ke uppar nirbhar karta hai. (a) Accessories. (i) Cleaning kit hold all (tool roll) (ii) Cleaning rod 2 section. (iii) Copper with Nylon brush. (iv) Mob brush. (v) Brush cleaning small arms/gas cylinder cleaning brush. (vi) Allen key 5 mm long series. (vii) Applicator bottle. (viii) Rubber hammer (ix) Sling (x) User manual (xi) Transport case
(b) Safai Karne ka Tariqa. Safai karne ke liye launcher ko kholen, brush cleaning small arms ki madad se gas pot ki safai karen. Cleaning rod 2 sec ko joren aur uske sath copper with nylon brush ko joren. Launcher ko pura wind karen aur barrel tatha cylinder ki safai karen. Pahla cylinder saaf hone ke baad manual release ki madad se cylinder ko aage karen aur dusra cylinder ki bhi usi tarah safai karen. Is prakar barrel aur cylinder dono ki ek sath safai ki ja sakti hai. safai hone ke baad anya hathiyaron ki tarah hi lubrication karen.trigger mech ko na kholen. Sight ko saaf kapde se safai karen. |
MGL, all Accy aur safai ka saman |
15 |
70 |
Demo bayan ke sath diya jae.
|
|
| (c) Lubrication. 4O C se adhik temp wale ilake mein - OX-52 4OC se -18OC tak - OX 13 -18OC se -40OC tak - OX13 aur superior quality k/oil 1:1 -40OC se -50OC tak - OX13 aur superior quality k/oil 2:3
|
As per abovetrg aid |
As per above |
As per above |
As per above |
| PRAC | Yeh tha bhag - III ka Demo abhi hoga issi ka Prac , Pure class se Prac karaya jae.
| As per above trg aid |
8
|
78 | Pure class se Prac karaya jae. |
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
7. |
SANKSHEP |
Shuru shuru mein class ki ginti groupon mein bant kiya gaya. Pahla lesson hone ke karan Hathiyar aur saman ki nirikshan mere dawara kiya gaya. bandobast ki karwai mere dawara check ki gai. Dhorai pichhle lesson se karaya gaya. Uddesh ko dohraya gaya. Sabak se sambandhit saman ko pointer ki madad se dikhya gaya. Sabak tarteeb se chale aur class ko assani se samajh mein aaye is liye Char bhagon mein chalaya.
Bhag -I. 40 mm MGL ki Vishestayen aur Tech data. Q. 1. Yeh hathiyar kis desh ka bana hua hai.? Ans. South Africa. Bhag -II. Kholna, Hisse Purjon ke Naam, Kaam, aur Jorna. Q. 2. 40MM MGL Kitne bade bhagon mein bana hai? Ans. 5 bhagon mein. Bhag -III. Accessories se Waqfiat aur Safai Karne ka Tariqa. Q 3. Safai ke bad oil kaun se brush se lagaya jata hai? Ans. Mob brush se.
Yahan par lesson sankshep ke sath samapat hota hai abhi bhi pure lesson mein kisi bhi student ka koi sawal, aapka aagla lesson 40mm MGL ki firing posn bharna khali karna fire aur misfire hone par karwai karne ka tariqa sikhana hai, isse aap padkar ayenge. |
|
02 |
80 |
Agle lesson se conduct karaya jae. |
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know