84mm RL MK – III par sight lagana aur shisht lene ka tarika sikhana hai.

  

                                                                                                                                                                                                                                

                                                                                                                                                                                        84 mm RL MK III – II 

 

 

 

 

 

LESSON PLAN 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

SUBJECT: 84 mm  RLMK- III  PAR  SIGHT LAGANA  AUR 

SHIST LENE KA TARIQA SIKHANA  HAI. 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

LESSON PLAN 

 

 

SUBJECT: 84 mm  RLMK-III  PAR SIGHT LAGANA AUR     SYLLABUS REF : INF SCHOOL, (MHOW) PRECIS 

SHISHT LENE KA TARIKA SIKHANA HAI 

  SYLLABUS REF : RL MK-III   - 2 

 

TIME ALLOTED: 80 MINUTES       PERIOD NO: 2  

 

S/NO 

TARTIB 

TEACHING POINTS 

TRG AIDS 

TIME 

REMARKS 

Actual 

Running 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

1. 

SHURU  

SHURU KA  

KAM 

(a)   Class ki ginti aur detton mein bant . 

(b)   Hathiyar aur saman ka nirakshan. 

(c)   Bandobast ki karwai. 

  

RL MK-III, Bag No-1, Bag No-2, Ground Sheet. 

02 

02 

Nirikshan Class se karwayen 

 

2. 

DOHRAI 

Q1.   RL MK-III se kitne parkar ka amn fire hota hai? 

Ans.  09 parkar ka amn fire hota hai. 

Q284mm RL MK-III ka wajan kitna hai ? 

Ans  10 Kg approx. 

 

 

01 

03 

Pichhle lesson se liya jayen. 

3. 

PAHUNCH 

Duniya mein ho rahe badlav ke sath sath hamari sena mein bhi sudhar laya ja raha hai,taki sena ke liye yudh mein majbooti bani rahe aur jarurat ke anusar hathiyar mil saken. Isko Madhya najar rakhte hue 84mm RL,MK-II ki jagah MK-III ko shamil kiya gaya hai. Isliye jaruri hai ki sabhi jawanon ko iski Sighton ke bare mein jankari ho aur khade aur harkati tank tgt ke upper sist lena janta ho taki iska pura faida utha saken. Lakin yeh tabhi sambhav hai jab ke har ek jawan ne sqd post trg ke dauran achhi sikhlai paya ho. Innhi baton ko maddhenazar rakhte hue sune sabak ka uddesh. 

 

01 

04 

Choota saaf aur sabaq se sambandhit ho. 

4. 

UDDESH 

84mm RL MK – III par sight lagana aur shisht lene ka tarika sikhana hai. 

 

01 

05 

Uddesh ko dohraya Jaye. 

5. 

SAMAN 

84 mm RL MK -III, Bag No-1, Bag No-2, retical pattren model, open sight model, miniature tk tgt, PNS ke reticle pattern model, ground sheet, Board, Chalk, Duster. 

 

 

01 

 

06 

Point karke bataya jaye. 

6. 

BHAGON MEIN BANT 

Bhag- I RL  MK -III ki sigthon ke bare main jankari 

Bhag- II - Khade aur harkati tk tgt par shisht lene ka tarika. 

 

 

01 

 

07 

 

 

BHAG-I 

DEMO 

84mm RL MK III ki Sighton se Jankari    84mm RL MK III ke sath  ham 3 parkar ki sights aur ek prakar ke adopter istemal karte hain:- 

 

  1. TDLS (Telescopic day Light Sight). 

  1. Open Sight. 

  1. PNS (Passive night sight) 

  1. Bore sight adapter 

 

TDLS  

Wajan -  800gm, Magnification – 3X, FOV    -120 

 

Hisse Purjon ke naam:- (kneeling posn se) 

Objective glass, Eye piece, Mounting rail , plunger, plunger hook, Thimble, elevation drum, elevation drum locking screw, deflection drum, deflection drum locking screw, slipping scale, slipping scale locking screw, range drum, range indicator arm, objective glass, Axial. Luminous Grooves, Beval, (DLPT Dumping Liquid Paralight Trilux). 

84mm RL Mk-III main hame range hasil karne ke liye alag-alag Range Setting Nobe ki suvidha di gai hai:- 

 

 

Range Setting Knob 551 Rg knob 551 se Ham HEAT 551 rd aur 7.62mm tracer rd fire karte hain jis ke upper 0 se lekar 11 tak ke ank khude huye hain jo ki 1100 mtr range ko jahir karte hain. Lekin rg lagane ki suvidha 1150 mtr tak di gai hai 100mtr ke baad har 50-50mtr ke antral main hame range lagane ki subidha di gai hai Ye white colour se dikhaya gaya hai. 1150mtr rg hasil karne ke liye 22 click dene ki jarurat padti hai  

Range Setting Knob 651  Range knob 651 se Ham HEAT 651 rd fire karte hain. jis ke upar 0 se lekar 6 tak ke ank khude huye hain jo ki 600 mtr range ko jahir karte hain. 100 mtr ke baad har 50-50 mtr ke antral main hame range lagane ki suvidha di gai hai Ye white colour se dikhaya gaya hai. 600 mtr rg hasil karne ke liye 11 click dene ki jarurat padti hai 

TDLS  

25 

32 

Demo bayan ke sath diya jayega. 

 

3 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

 

Range Setting Knob 751  Range knob 751 se Ham HEAT 751 rd fire karte hain jis ke upper 0 se lkar 10 tak ke ank khude huye hain jo ki 1000 mtr range ko jahir karte hain. 100mtr ke baad har 50-50mtr ke antral main hame range lagane ki subidha di gai hai Ye white colour se dikhaya gaya hai. 1000mtr rg hasil karne ke liye 19 click dene ki zarurat parti hai  

 

Range Setting Knob 502 :- Range knob 502 se Ham HEDP 502 rd fire karte hain jis ke upper 0 se lkar 6 tak ke ank khude huye hain jo ki 600 mtr range ko jahir karte hain rg lagane ki subidha 625mtr tak di gai hai. 100mtr ke baad har 25-25mtr ke antral main hame range lagane ki subidha di gai hai Ye Yellow colour se dikhaya gaya hai. 625mtr rg hasil karne ke liye 22 click dene ki zarurat parti hai  

Range Scale  441 :-  Rg setting knob 551, 651, 751 aur 502 har range nobe main 441 range scale ki subhida di gai hai jise ki green rg scale se dikhaya gya hai.iski madad se ham HE 441 Aur Smk469 rd ko fire karte hain. 441 green rg scale ke uper 0 se lekar 13 tak ke ank khude huye hain jo ki 1300 mtr rg ko jahir karte hain. 100 mtr ke baad har 50-50 mtr ke antral main rg lagane ki subidha di gai hai. Ise green colour se dikhaya gaya hai. 1300 mtr rg hasil karne ke liye 25 click dene ki jarurat padti hai. 

Illuminating rd ko fire karne ke liye knob ka istemal - 84mm RL Mk-III ki TDLS se hi ham ill rd bhi fire kar sakte hain Rg setting knob 551, 651,751 aur 502 se hame 200 ka angle hasil hota hai. Jab ham range knob ko zero pe karke elevation dekar Luminus Grooves ko Zameen ke samantar karte hain to hame 200 ka angle hasil ho jata hai. 250 ke angle par fire karna ho to Luminous Grooves ko zarurat sudha elevation dekar hasil kiya jata hai 

 

ELEVATION DRUM :-  84mm RL Mk-III ke elevation drum par 0 se lekar 10 tak (+) ki taraf aur 0 se lekar 10 tak (-) ki taraf div diye gaye hain. Elevation drum ki madad se ham uper aur niche ki galti ko door karte hain 200 mtr rg par jab ham RL ko zero karte hain to ek div se dusre div (+) ya (-) ki taraf correction dene se 30cm ki galti ko door karte hain is parkar ham (+) ki taraf total 300cm aur (-) ki tarf 300cm tak uper aur niche ki galti ko door kar sakte hain. Elevation drum par teen rangon ke nishan 

 

 

 

 

 

4 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

banaye gaye hain jo alag alag tapman wale ilake mein istemal kiye jate hain. 

 

(a)   Neela  -  00C se kam tapman ke liye. 

(b)   Safed  -  00C se +300C degree tak tapman ke liye 

(c)   Lal      -  +300C se jiada tapman ke liye. 

 

Boresight kar lene ke bad zero ko safed rang ke nishan ke  

samne mila diya jata hai 

  

Deflection Drum  84mm RL Mk-III ke deflection drum par 0 se lekar 10 tak (L) ki taraf aur 0 se lekar 10 tak (R) ki taraf div diye gaye hain. Deflection drum ki madad se ham Dayen aur Bayen ki galti ko door karte hain.  

Jab ham TDLS ke eye glass se dekhte hain to hame ek khaka nazar aata hai jise ham Reticle Pattren ke naam se jante hain. Jis ke andar ek khadi line jo ki khade tgt ke uper shist lene ke liye istemal main layee jati hai aur do padi line hoti hain jis ki madat se ham RL ko zameen ke sath hambaar karte hain aur harkti tgt ko angage karne ke liye istemal main late hain. (Isse samjhen aap reticle pattern model ki madad se)  

Retical Pattren of 84mm RL MK-III TDLS. 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

T/Sight ko RL par chadane ka tariqa. (RL par chadane ka tarika Demo bayan ke sath dena hai 

 

Telescope sight ko uatarne ka tariqa (RL par utarne ka Demo bayan ke sath dena hai.)  

2. Open Sight  Open sight ki jarurat hame tab padti hai jab hamare pas TDLS na ho. Open sight RL ke sath hi fit hokar aata hai. Open Sight ke do bhag hote hain front open sight aur rear open sight. 

 

 

 

 

..................Column Break..................5 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

 

Hisee Aur Purjon ke Naam : 

 

Front Open Sight  For sight post type, foresight locking screw, Locking Screw Locking Nut, Foresight mein bhi ek centre post aur do lead mark hota hain, centre post ko ham us samaye istemal karte hain jab hame khade tank tgt ke upper shist lena ho ya apne taraf ane wala/apne se dur jane wala tank ke uper shist lene ki istemal kiya jata hai. Khade tank ke liye ham aperture ke bicho bich foresight ke centre post ke upar wale kinare ko tank ke madya mein mila dete hain. lead mark ka istemal ham us samay karte hain jab hame RL ko zameen ke sath hamwar karna ho ya harkati tank ke upar shist lene ke liye kam ata hai. (Isse aap samje board ke madad se) yadi open sight ka istemal na karna ho toh launcher ke sath baithaden 

 

 

 

 

 

 

 

Rear Sight :- Aperture, Slide, Slide locking Screw, Range Indicator, Adjusting Screw,  

Range Drum, Piller & rg scale.  

 

Pillar - 84mm RL Mk III ki rear Sight mein rg piller ki subidha di gaya hai jis ke par HE 441, HEAT 551 aur HEAT 651 rd fire karne ke liye rg scale ki suvidha diya gaya hai. Range indicator par teen rangon ke nishan banaye gaye hain jo alag alag tapman wale ilake mein istemal kiye jate hain. 

  

(i) Neela  - 00C se kam tapman ke liye. 

(ii) Safed - 00C se +300C degree tak tapman ke liye 

(iii) Lal     - +300C se jyada tapman ke liye 

 

 

HEAT 551 Is ki madad se ham HEAT 551 rd aur 7.62mm tracer fire karte hain Jis ke uper 0 se 8 Tak ke ank khude huye hain rg ki subida 1000mtr tak di gai hai. 0 ke baad har 50-50 mtr ke antral main rg lagane ki subidha di gai hai jise ki White color se dikhaya gya hai 

 

HEAT 651  Is ki madad se ham HEAT 651 rd fire karte hain Jis ke uper 0 se 6 Tak ke ank khude huye hain jo ki 600 mtr rg ko zahir karte hain. 0 ke baad har 50-50 mtr ke antral main rg lagane ki subidha di gai hai jise ki White color se dikhaya gya hai 

 

 

 

 

 

6 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

 

HEAT 751  Is ki madad se ham HEAT 751 rd fire karte hain Jis ke uper 0 se 10 Tak ke ank khude huye hain jo ki 1,000 mtr rg ko zahir karte hain. 0 mtr ke baad har 50-50 mtr ke antral main rg lagane ki subidha di gai hai jise ki White colour se dikhaya gya hai 

 

HE 441 - Is ki madad se ham HE aur Smok rd fire karte hain Jis ke uper 0 se 8 Tak ke ank khude huye hain rg ki subida 900 mtr tak di gai hai. 0 ke baad har 50-50 mtr ke antral main rg lagane ki subidha di gai hai jise ki Green colour se dikhaya gya hai 

 

HEDP 502  Is ki madad se ham HEDP 502 rd fire karte hain Jis ke uper 0 se 6 Tak ke ank khude huye hain jo ki 600 mtr rg ko zahir karte hain. Lekin rg lagane ki suvida 700 mtr  tak di gayi hai0 ke baad har 50-50 mtr ke antral main rg lagane ki subidha di gai hai jise ki yellow colour se dikhaya gya hai. 

Agar hamare pass night sight na ho to Open Sight ke uper hame luminous dot ki suvidha di gayi hai. Foresight ke uper wale kinare par ek luminous dot aur rear sight ki leaf par bhi do luminus dot ki subidha di gai hai jo ki raat ke samaye chamakate hain aur un ki madad se tgt ko align kar sakte hain lekin us samay tgt area mein roshni ka hona jaroori hai 

 

PNS (PASSIVE NIGHT SIGHT)  

(a) Weight with wpn adapter and bty - 1.5 Kgs  

(b) Magnification - 5.5X  

(c) Working Principle - Image Intensification  

(d) Eye relief - 19mm  

(e) Eye piece focus rg - (+2) to (-4) diopters  

(f) FOV - 6°  

(g) Power source - 1.25V AA size NiMH, rechargeable bty  

  Or 1.5 V AA size Lithium Bty  

(h) Bty life at 230C - 20 Hrs  

(j) Low Bty threshold voltage - 1.05V  

(k) Low Bty indicator - Reticle Blinking  

(l) Opr temp - (-) 300C to (+) 550C  

(m) Storage temp - (-) 400C to (+) 700C  

(n) Detection rg Tk/AFV - min 1000 mtr  

(o) Recognition rg Tk/AFV - min 700mtr  

(p) II Tube -M/s Photonis, 18mm II Tube specification (latest)  

(q) Operation life liability - 10,000 Hrs (min)  

 

 

 

 

 

..................Column Break..................7 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

Hisse Purjon ke naam (04 Assy)  

(a) Objective Glass Housing with Rubber cap assy  

(b) Eye Piece Assy  

(c) Graticule Adjuster Assy  

(d) II Tube with Bty Housing Assy,  

 

PNS Reticle Pattern/ Rg Estimation Scale 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

4. Bore-sight Sight Adaptor. Iska istemal RL ko bore sighting karne ke liye kiya jata hai. Iske bhi do hisse hote hain, front boresight adaptor aur rear boresight adaptor. Front boresight adaptor ko RL ke muzzle ki taraf se brl mein lagaya jata hai 

 

LAGANE AUR UTARNA KA TARIKA Front bore sight adaptor muzzle se lagaya jata hai, dhyan rahe ki adaptor zamin ke hamwar ho aur bade wala “D” upper ki aur ho. aur rear boresight adaptor ko chamber ke andar lagaya jata hai, venturi ko kholen aur chamber guide ko milate hue chamber mein dakhil karen. Venturi ko band karen. (RL par lagakar dikhana hai.)  

 

 

 

 

 

 

ABHYAS  

 

Yeh tha Bhag No - I ka Demo abhi hoga issi ka abhyas , Pure class se abhyas karaya jaye 

 

 

13 

45 

 

 

BHAG-II  

 

Khade aur Harkati Tank par shist lene ka tarika :-  

 

Khade Tank par shist lene ka tarika:- Khade tank ke upper shist lene ka tarika INSAS rif ki tarah hi hai. Reticle Pattern ki khadi line ke upper bale kinare ko Tank ke Madhya main mila dete hai 

 

28 

73 

Demo bayan ke sath diya jaye. 

..................Column Break..................8 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

Harkati Tank ke upper shist lene ka Tarika  Agar tgt 100m ki duri se apni taraf aa raha hai ya apne se dur ja raha ho to aise tgt par shist lene ka tariqa bilkul khare tk tgt ki tarah hi hota hai. Agar tk tgt 100m se dur ho aur apni taraf aa raha ho to shist tgt ke madhya se thora niche aur agar tk tgt apne se dur ja raha ho to shist tgt ke madhya se thora uppar lena chahiye isse head off aur head on kahte hain. (Isse samjhen aap retical pattren aur miniature tank tgt ki madad se)  

 

Tank ki Speed maloom karne ka tarika :-  

 

Dahine ya bayen se harkat kar rahe tk ko barbaad karne ke liye speed pata karne ka tarika 

 

Dhool ki madad se tk ki speed para karna 

 

(a) Tank poori tarah se dhool se Dhaka ho tank ki speed = 10km/h  

(b) Adha tank saaf aur adha dhool se Dhaka ho tank ki speed = 20km/h  

(c) Dhool tank ke pichle kinare par udati nazar aaye to tank ki speed = 30km/h  

(d) Dhool tank se piche adha tank ka gap ho to tank ki speed = 40km/h  

(e) Tank aur dhool ke bich ek tank ka gap ho to tank ki speed = 50km/h  

 

Nishan ki Madad se Speed ko Pata Karna 

 

Yadi dhool nahi ud rahi ho to sabse pahle tk ki disha mein tk ke aage ek nishan chune. Jyonhi tk ka agla kinara nishan ke paas pahunchta hai to ek second mein ek hajar ek (1001) ki ginti pukaren. Yadi 

 

(a) Tk  nishan ko ek chauthai (1/4 bhag) cross karta hai = 10 km/hr 

(b) Tk  nishan ko aadha (1/2 bhag) cross karta hai = 20 km/hr 

(c) Tk  nishan ko do tihayi (2/3 bhag) cross karta hai = 30 km/hr 

(d) Tk  nishan ko pura bhag) cross karta hai = 40 km/hr 

(e) Yadi Nishan aur tk ke pichle hke beech aadha tk(1/2 tk)  =50 km/hr 

Ka gap ho 

 

Dayen ya bayen se harkati tk ko barbaad karna :-  

 

Dahine ya bayen se harkat kar rahe tk ko do tarike se barbaad kiya jata hai 

  1. Trapping ke tarike se 

  1. Tracking ke tarike se 

 

 

 

 

9 

 

 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

Trapping ke tarike se. Agar Tank dahine ya bayen se harkat kar raha ho to sab se pehle tgt ka rg maloom karen aur TDLS ke upper tgt ka sahi range lagayen. Tank ki disha aur speed maloom karen. Tank ke shamne koi masoor nishan chune, tk ke speed ke anushar Reticle pattern ke usi disha ke lead mark ko maishoor nishan par milaye, jyonhi tank ka Madhya maishoor nishan ko cover karta hai, trigger press Karen. Tank apne lead par hi barbad ho jayega, Tank ka speed ko TDLS ke lead se khatam kiya jata hai. 

 

Tracking ke tarike se. sab se pehle tgt ka rg maloom karen aur TDLS ke upper tgt ka sahi range lagayen. Tank ki disha aur speed maloom karen, tk ke speed ke anushar Reticle pattern ke usi disha ke lead mark ko tank ke Madhya mein (POA) milayen, jyonhi shisht mil jaye, trigger press Karen. (Tracking ke tarike mein firer ko tank ki harkat ke sath RL ko harkat dene ki jarurat padti hai). Tank apne lead par hi barbad hoga, Tank ka speed ko TDLS ke lead se khatam kiya jata hai. 

 

 

EXAMPLE :- Rg - 400Mtr, tk ki Disha : D-B, Speed - 30Km/h  

 

 

 

Zaruri nahi hai ki firing ke dauran hawa na chale, agar Hawa chal rahi ho to sabse pehle Hawa ki disha aur Speed Maloom karen Hawa ke teen Stage hote hain  

 

(a) Halki Hawa (b) Tej Hawa (c) Bhut tej Hawa  

 

100 mtr rg tak RL ke round ke upper koi bhi asar nahi padta hai 

 

 

 

 

..................Column Break..................10 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

ALAG-ALAG ROUND KE LIYE HAWA KA LEAD TABLE  

 

 

RANGE 

HEAT 551 

HEAT 751 

HEDP 502 

H/W (mtr) 

T/W (mtr) 

B/T (mtr) 

H/W (mtr) 

T/W (mtr) 

B/T (mtr) 

H/W (mtr) 

T/W (mtr) 

B/T (mtr) 

200 

+ 

+ 

+ 

+ 

+ 

+ 

+ 

+ 

+ 

300 

+ 

+ 

+ 

+ 

+ 

+ 

+ 

+ 

+ 

400 

+ 

+ 

+ 

+ 

+ 

1st 

+ 

+ 

+ 

500 

+ 

+ 

1st 

+ 

1st 

2nd 

+ 

+ 

1st 

600 

+ 

+ 

1st 

- 

- 

- 

- 

- 

- 

700 

+ 

+ 

1st 

- 

- 

- 

- 

- 

- 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

HEAT 751 aur HEAT 551 ke liye - Hawa ki speed ko tank ke upper khatam kiya jata hai. Jis disha se hawa chal raha ho, tank ke madhya se hawa ki disha mein tank ke upar hawa ki lead ko liya jata hai. Jeise ki agar hawa baye se dahine chal raha ho to, tank ke upar dahine taraf hi munasib lead liya jata hai 

 

NOTE :- Jis amn mein rocket motor charge nahi hai, us amn ko HEAT 651 ki tarah lead lekar fire kiya jayega 

 

EXAMPLE : 

 

Rg - 400Mtr  

Disha - Baye se dahine  

Speed - 40Km/h  

Hawa ki Disha - Dahine se Baye  

Hawa ki Speed - Bhut tej Hawa  

Round - HEAT-751  

 

-Tgt ka speed 40 Km isliye rectical pattern ka bean wala 40 km/h wala lead ka istemal Karen.  

 

Hawa Lead minus hone ke karan POA se 2.3 Mtr hawa ki disha mein (Centre se bayen) shisht lekar fire kiya jayega 

 

HEAT 751/551 round mein fins hone ke karan hawa ka dabab fins ke upar padta hai aur rocket motor charge ki takat se projectile harkat karta hai, jis ke karan jis taraf ki hawa ho projectile usi disha mein jata hai 

 

Isliye hame jab hawa ka lead lene ki jarurat padti hai to hawa ki disha mein hi lead tgt ke upar li jati hai taki projectile tgt ke madhya mein hi hit ho.  

 

For Examle agar hawa dahine se bayen taraf chal raha ho to, ham tgt ke madya se bayen taraf ka lead lena padega jis se hawa ka dabab fins ke upar padega jisse projectile ka fins wala hissa bayen ki taraf aur nose dahine disha mein ho jayega aur rocket motor charge ki takat se projectile dahine disha mein hi age harkat karega, yani tgt ke Madhya mein hit hoga. 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

ABHYAS  

 

Yeh tha Bhag No - I ka Demo abhi hoga issi ka abhyas , Pure class se abhyas karaya jaye 

 

 

05 

78 

 

 

7. 

SANKSHEP  

Shuru Shuru ke kaam main bandobast ki karyawahi pehle se kar liya gaya, class ki Ginti aur Deton  mein bant ho jane ke baad Hathiyar aur saman ka nirikshan class se karwaya gaya. Pichle chal chuke lesson se do sawal puchkar class ka dohrai liya gaya  

 

Pahunch sabak sambhandi chhota aur saaf mere dwara bataya gaya. Uddesh ko ek bar bataya gaya  dusari bar dhoharaya gaya Saman ko knileeng posn main ek-ek karke point karke dikhaya gaya. sabak ko do bhagon main sikhaya gaya 

 

Bhag- I -  RL  MK -III ki sigthon ke bare main jakari. 

Ques  84mm RL MK III ke TDLS ka magnification kitna hai ? 

Ans 3 guna 

Bhag- II - Khade aur harkati tk tgt par shisht lene ka tarika. 

 

Ques  400 mtr par harkati tank par HEAT 751 rd ko fire karte samay bahut tej hawa ke liye tk ke upar kitna lead liya jayega ? 

 

Ans - 2.30 mtr 

 

 

Yahan par pura lesson samapt hota hai, abhi bhi kishi student ka koi sawal. Agar sawal nahi to aapka aagla lesson 84 mm RL Mk-III se fire hone wali sabhi prakar ki amn se jankari dena hai, isse aap padhkar ayenge. Yahan par lesson sankshep ke sath samapat hota hai 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

02 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

80 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

टिप्पणियाँ