7.62mm Sig Sauer Assault Rif ki chaal, parne wali roken aur unhe door karne ka tariqa sikhana hai....
LESSON PLAN
SUBJECT: 7.62MM SIG SAUER ASLT RIF KI CHAAL, PARNE WALI ROKEN SYLLABUS REF: INF SCHOOL, (MHOW) PRECIS
AUR UNHE DUR KARNE KA TARIQA SIKHANA HAI.
SUB REF : SIG SAUER ASSAULT RIF - IV
TIME ALLOTED: 80 MINUTES PERIOD NO: 02
S/NO | TARTIB | TEACHING POINTS | TRG AIDS | TIME | REMARKS | |
Actual | Running | |||||
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
1. | SHURU SHURU KA KAAM |
| Sig Rif, mag, Drill Carts, Assy Bag Trg mat |
02 |
02 | Class se karaya jaye.
|
2. |
DOHRAI | Q1. 7.62 mm SIG Sauer Rif se kitni firing posn se fire kiya jata hai? Ans. 4 firing posn.
Q.2. Sight alignment aur sight picture mein kiski ahmiyat jayda hai? Ans. Sight alignment ki ahmiyat jayda hai.
|
|
01 |
03 |
Dohrai pahle lesson se sawal puchhkar liya jaye. |
3. | PAHUNCH | 7.62mm Sig Sauer Aslt Rif abhi hamare bharatiya sena mein shamil kiya gaya new generation wpn hai. New generation wpn hone ke nate is hathiyar ki chaal aur parne wali rokon ke bare jankari hona nihayati jaruri hai taki firing ke dauran yadi koi rok par bhi jay to firer use pahchan kar aasani se rokon ko dur kar sake. Lekin yah tabhi sambhav hai jab har ek jawan ne trg ke dauran achhi sikhlai payi ho. Inhi baton ko maddhenazar rakhte hue is sabak ka uddesh. |
|
01 |
04 |
Pahunch sabaq se sambandhit ho. |
4. | UDDESH | 7.62mm Sig Sauer Assault Rif ki chaal, parne wali roken aur unhe door karne ka tariqa sikhana hai.
|
| 01 | 05 | Ek baar bataya jaye |
2
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
5. | SAMAN | Sig Sauer Aslt Rif, mag drill carts, 1x1’ tgt, accessory bag, chaal ka diagram, White bd, marker, duster aur ground sheet ya trg mattress. | As per above trg aids. |
01 |
06 |
|
6. | BHAGON MEIN BANT | Sabak ko teen bhagon mein sikhaunga:-
Bhag -I Sig Sauer Aslt Rif ki Chaal. Bhag -II Aam Roken. Bhag - lll Anya Roken. .
|
|
01 |
07 |
Sabak ko tartibwar chalane ke liye. |
|
BHAG-I DEMO |
SIG 716 RIF KI CHAAL
Ek Rd fire hone se lekar dusra rd fire ke liye taiyar hone tak hathiyar ke andar cycle of ops pura hota hai use chaal kehte hain. Hathiyar chahe manual ho ya semi-automatic yeh cycle of ops ek jaisa hi hota hai, antar sirf itna hai ki manual wpn mein cycle of ops ko pura karne ke liye firer ko manually hi purjon ko harkat dena padta hai aur automatic wpn me yeh karwai automatic pura hota hai.
PICHE KI HARKAT
COCK
EXTRACT UNLOCK EJECT
FEED LOAD LOCK
AAGE KI HARKAT
|
As per trg aid |
18 |
25 |
|
3
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
|
Note: Chaal mein kaam aane wale hissen purjon ka naam aur kaam lesson no 1 mein cover ho chuka hai, is samay ustad student se hisson purjon ka naam aur kaam puchkar dohrai le.
FIRE Jab firer safety catch ki posn ko safe mode se ‘Semi-automatic mode par karke trigger ko press karta hai to trigger ka primary sear aur primary sear surface ka milap tut jata hai jisse hammer azad hokar firing pin retainer par thokar marta hai jisse firing pin apne surakh se nikal kar chamber me dakhil round ke primer par chot marta hai aur round fire ho jata hai. Action FIRE ka hota hai.
UNLOCK. Jab rif fire hota hai to botl locking lug aur barrel locking lug ka milap hota hain. Rif ko unlock karne ke liye apne jagah pe left to right ghumna chahiye iske liye bolt carrier ke upper cam way aur camp in ka design kiya hain.
Fire huye round se paida hui gas bullet ko aage barrel mein dhakelti hai, jyon hi bullet barrel ke andar se hote huye gas port ke pass se hokar gujrata hai to kuch gas, gas port me chali jati hai jo ki gas tube ke jariye gas key mein dakhil ho jati hai. Jiske dabab se bolt carrier piche ki harkat karta hai. Bolt carrier ki is piche ki harkat ke dauran carrier, bolt ko unlock karna shuru kar deta hai bolt carrier ki aur piche ki harkat ke dauran carrier, bolt ko dahini taraf ghuma deta hai jis se bolt ke lugs barrel extension se alag ho jate hain action UNLOCK ka hota hai.
EXTRACT. Round fire hone ke baad chamber se fired case ko piche lane ki zarurat padta hai jiske liye bolt dahine side ek hook type part laga hain jis hum extractor khate hain round ke rim ko padke rahkta hain aur chal wale purje ke piche ke dauran fired case ko chamber se bahar lata hain. Unlock hone ke bad bolt carrier assembly ki lagatar piche ki harkat ke dauran bolt fired case ko thora sa ghumao pradan karta hai jisse extractor fired case ko chamber se piche le aata hai, action EXTRACT ka hota hai.
|
4
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
|
COCK. Rif ko dubara fire karne ke liye hammer ko apne jagah pe piche or niche rokna padta hain iske liye bolt carrier ke niche design banaya gaya hain.
Bolt carrier ke pichhe ki harkat ke dauran bolt hammer ke upar se gujar jata hai jisse hammer poora niche dab jata hai, is dauran hammer ke dis-connector aur disconnector surface ka milap ho jate hai, action COCK ka ho jata hai .
EJECT. Fire case ko eject hone ke liye ek hathiyar main jagah hona chahiye jaha se fire case bahar nikal sake. - Ejection slot. Ejector alag alag hathiyar main alag alag parker ke hote hain. SIG Rif main ejector push rod type hain. Joki bolt ke left side main ander ki side lagaya gaya hain.
Bolt carrier ki aur pichhe ki harkat ke dauran extractor fired case ke rim ko dahini taraf se pakarte huye pichhe ki harkat karta hai isi dauran ejector fired case par bayen taraf se aage ki taraf dabao dalta hai, jaise hi fired case chamber se alag ho jata hai fired case ejection port ke raste dahine aur niche gir jata hai, action EJECT ka ho jata hai.
FEED. Feeding ki karwai main bolt ke niche wale do lug ka istemal kiya jata hain.
Action spring, Recoil buffer housing mein sikur jata hai. Jab action spring apne tanav ko kam karta hai to bolt carrier assembly ko aage dhakelta hai. Is dauran bolt ka nichla lug mag ke upar wala round ko chamber mein dakhil karta hai. Action FEED ka hota hai.
LOAD. Wpn ko load karne ke liye extractor round ke rim par sawar ho jata hain. Bolt locking lug jab barrel extension mein aage ki harkat karte hain to isi dauran ejector cartridge head ke bayen sire par dabab dalta hai jise ejector ander dab jata hai isi dauran extractor cartridge case ke rim par sawar ho jata hai. Action LOAD ka ho jata hai. (Yahan bolt ki aage ki harkat samapt ho jata hai lekin bolt carrier ki kuch harkat baki raheta hai).
|
|
|
|
|
5
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
|
LOCK. Wpn ko fire karne se pehle bolt locking lug or barrel locking lug ka milap hona jaruri hai iske liye bolt ko aage ki harkat ke dauran dahine se baye ghumna chahiye. Insas Rif main lock ke baad piston extension ka pichla nichla dahina pehlu safety saer ke head par dabav dalta hain jisse safety sear ki nose aur hammer vent ka milap tut jata hain . thik usi prakar SIG Rif main lock ke baad ejector bolt ke ander ki taraf dab jata hain.
Bolt carrier assembly ki aage ki harkat ke dauran bolt aur cartridge ki aage ki harkat chamber se takrane par ruk jati hai lekin bolt carrier ki harkat jari rahti hai, bolt carrier ke cam slot aur cam pin ki madad se bolt dahine se bayen itna ghumta hai ki bolt ke lugs aur barrel extension lugs ka milap ho jata hai. Action LOCK ka ho jata hai.
Lock hone ke baad jab firer trigger ko release karta hai to disconnector aur disconnector surface ka milap tut jata hai aur primary trigger sear aur primary hammer surface ke vent ka milap ho jata hai aur Rif dobara fire ke liye taiyar ho jata hai.
|
|
|
|
|
| ABHYAS | Yeh tha demonstration abhi hoga abhyas. | As per above trg aids
| 10 | 35 | Abhyas puri class se karaya jaye |
| BHAG-II DEMO | Aam Rokein Aam rokein weh rokein hoti hain jinhein firer jaldi se dur karke rif ko jald se jald fire mein shamil kar sake jaise ki misfire rd ki rok, jam bolt carrier ki rok, body mein atka huwa rd,fired case ya double feed ki rok ya phir khali mag ki rok.
Ek Firer kis prakar se aam rokon ko dur karke dubara rif ko fire mein shamil karta hai isi karwai ka sahi demostration hatiyar par bayan ke sath dunga aap dhyan de.
.
|
As per above trg aids . |
20 |
55 |
Namuna bayan ke sath diya jae. |
6
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
|
Note: Ustad ‘Ready’ ke adesh par Rif ko uthane se lekar laying posn lena, bhar karna, sight up aur cock karne tak ki karwai karega.
Is prakar trigger press karne par Rif fire karte karte ruk jaye to rok ko pahchane, pahchanane ka tariqa: -
mulahiza karen.
(aa) Rif ko dahine turn karte huye Rif ko cock karen. (ab) Eject huwa round ko len aur rd ke primer ko check karen, round ke primer par thik chot Misfire rd, agar rd ke primer par chot nahi hai toh firing pin ki badli kare jo ki apko lesson No 1 mein batadiya gaya hai ki kis prakar firing pin ka badli kiya jata hai. Butt kandhe ka milap Karen rif ko fire mein shamil karen Rif thik fire karega.
Is prakar trigger press karne par Rif fire karte karte ruk jaye to rok ko pahchane.
Jam Bolt Carrier Rok Parne ke karan:
|
|
|
|
|
7
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
|
Is prakar trigger press karne par Rif fire karte karte ruk jay to rok ko pahchane.
(i) Dekhne mein aaya bolt peeche se thoda aage to body mein atka round ya fired case ya double feed rd ki rok samajh kar dur Karen. karne ka tariqa:-
(aa) Rif ko cock karen aur bolt catch ko laga den. Mag catch ko dabate huye mag ko utaren aur pouch mein band Karen, dono hathon ki madad se Rif ko hilayen aur yakeen karen ki body mein atka huwa round, fired case ya double feed rd ka rok dur ho gaya hai.
(ab) Pouch se bhara huwa mag len mulahiza karte huye mag way mein dakhil karen yakeen karen mag fit, Bolt catch ko dabate hute bolt carrier ko aage jane den, Butt kandhe ka milap karen, Rif ko fire mein shamil karen Rif theek fire karega
Is prakar trigger press karne par trigger press na ho, rok ko pahchane. Dekne main aaya mag khali chamber khali, khali mag ki badly karein. (i) Mag catch ko dabate hue mag ko utaren. (ii) Bhara hua mag len aur mulahiza karte huye mag way mein fit Karen yakin karen mag fit. (iii) Bolt catch ko dabate huye bolt carier ko aage jane den. (iv) Butt kandhe ka milap karen Rif ko fire mein shamil Karen rif thik fire karega
Yeh tha parne wali roken aur unhe dur karne ka tarika, parne wali roken aur unhe dur karne ke tarike mein kisi bhi student ka koi sawal, sawal nahi to khali kar.
Note: Khali kar ke adesh ke baad rif udhar ki rakha jayega, kneeling posn hokar sight ko down aur dust cover ko band kiya jayega aur knelling posn mein hi Report liya jayega.
|
|
|
|
|
8
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
ABHYAS | Yeh tha demonstration abhi hoga isi ka abhyas, Abhyas ke liye aadesh is prakar se honge, Rif thik fire karta rukta ke aadesh par aap nirikshan tak ki karwai karenge, main munasib rok ka naam lunga aap rok ko rok samajh kar dur karenge, bolt carrier pura aage to Rif ko cock karenge aur eject huwe rd ke primer ko check karenge, bolt aage se thora peechhe ke aaesh par jam bolt carrier ki rok samajh kar dur karenge, Bolt peechhe se thora aage ke aadesh par body mein atka huwa round, fired case ya double feed rd ki rok samajh kar dur karenge, Bolt pura pechhe ke aadesh par mag ki rok samajh kar dur karenge, aadeshon mein kisi bhi student ka sawal.
Note: Ustad Ke ‘Ready’ ke adesh par student Rif ko uthane se lekar laying posn lena, bhar karna, sight up aur cock karne tak ki karwai karega.
|
As per above trg aids . |
10 |
65 |
Abhyas puri class se karaya jaye |
| BHAG-III DEMO
| Anya Roken Aam rokon ke ilawa bhi hathyar mein kuch rokein pad sakti hain, jinhe firer turant dur karke dubara rif ko fire mein shamil nahi kar sakta jaise ki Firing pin, ejector ya extractor ka tutjana yap hir body mein kisi hisse purje ka toot fut ho jana.
Is prakar Aam roken dur karne ke baad bhi rd fire na ho toh anya rok samajh kar dur karen, karne ka tariqa: -
(i) Sabse pahle Kalme wali ungali ko trigger se hatayein.
(ii) Butt aur kandhe ka milap toden.
(iii) Mag catch ko dabate huye mag ko utaren aur pouch mein band karen.
(iv) Rif ko cock Karen, Safety catch ki posn ‘S’ par karen, sikhe huye tariqa se Rif ko khol de bolt carrier ko bahar nikale. Bolt ko ander ki taraf push kare aur firing pin, extractor aur ejector ka nirikshan karen, yadi firing pin, Extractor tuta ho to uski badli karen, yadi ejector tuta ho to uski badli karwaye (Kyun ki iske liye special tool ki jarurat parti hai joki ek firer dwara carry nahi kiya jata), abhi ke liye firing pin, extractor aur ejector thik toh body ka nirikshan kare ( ho sakta ho body ke andar koi parts tutfut ho jaise ki hammer spring, disconnector spring ya auto sear spring, etc) body clear toh bolt ko aage push kare aur shikhe huye tariqe se jor de, pouch se bhara hua mag le aur mulaiza karte huye Rif par fit kare yakin kare ki mag fit. Rif ko cock karen Safety catch ki posn ko pahle wale posn mein karen aur fire mein samil karen Rif thik fire karega.
|
|
05 |
70 |
|
9
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
| ABHYAS | Ye tha demonstration abhi hoga isi ka abhyas, Abhyas ke liye aadesh is prakar se honge, Rif thik fire karta fire nahi ke aadesh par anya rok samajh kar rok ko dur karenge.
Note: Ustad Ke ‘Ready’ ke adesh par student Rif ko uthane se lekar laying posn lena, bhar karna, sight up aur cock karne tak ki karwai karega.
Hidayatein:-
(a) Abhyas ke liye adesh sirf trg ke daruan hai, apko ladai ke daruan rokon ko dur karne ka adesh nahi mil payega, apko khud rokon ko samjhkar dur karke fire mein shamil karna hoga.
(b) Ladai ke maidan mein bhar pehle se hi kiya hoga.
(d) Ladai ke maidan mein shisht leke fire karne ka samay nahi bhi hosakta hai isiliye kabhi kabhi firer ko halat ke mutabik aimed fire bhi karna pad sakta hai.
(e) Ops ke dauran misfire ki rok mein rd ke primer ka check nahi kiya jayega, Rif ko dubara cock kar ke fire mein shamil kiya jayega. (f) Ops ke daruan jam bolt carrier ki rok parne par eject huwa rd ki safai karke dusra mag mein nahi bhara jayega baliki rif ko cock karke fire mein shamil kiya jaye.
(g) Ops mein jane se pehle hatiyar ki proper tarike se nirikshan kiya jayega sath hi hathiyar ki sabhi assy aur spare parts carry kiya jaye jaise ki firing pin, extractor, cleaning rods etc. |
As per above trg aids . |
08 |
78 |
Abhyas puri class se karaya jaye |
7. | SANKSHEP | Shuru shuru mein class ki ginti groupon mein bant kiya gaya. Pehla lesson hone ke karan Hathiyar check ki jayegi, class ki ginti groupon mein bant kar lene ke baad hathiyar aur saman ka nirikshan class ke dawara kiya gaya, dhorai pichhle lesson se karaya gaya, pahunch sabak sambandhit saaf aur choti batayi gayi, uddesh ko dohraya gaya, sabak se sambandhit saman ko small pointer ki madad se ek ek karke dikhya gaya, class ki asan sikhlai ke liye sabak ko teen bhagon mein sikhaya gaya
Bhag-I Sig 716 Rif ki Chaal. Q1. Sig 716 Rif ki chal kitne action mein puri hoti hai? Ans. 08 action mein.
|
|
02 |
80 |
Agle lesson se conduct kaaraya jae. |
10
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
|
Bhag -II Aam rokein. Q1. Jaam bolt carrier ki rok parne ka koi ek karan? Ans. Faulty action spring. / Bhag-III Anya rokein. Q1. Anya rok parne par kin-kin hisse purjon ko check kiya jata hai? Ans. Firing pin, Extractor, Ejector aur body ka check kiya jata hai.
Yahan par lesson sankshep ke sath samapat hota hai, aapka agla lesson Sig Sauer Assault Rif rif ke trigger mech ke bare mein jankari dena hai, aap ise padhkar ayenge.
|
|
|
|
|
HI CHANDRA PRAKASH
27 RAJPUT
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know