40mm MGL ki firing posns, bharna, khali karna, fire aur misfire hone par karwai karne ka tariqa sikhana hai.

 


 

 

 

 

 

 

 

 

LESSON PLAN 

 

                                                                                      

 

                                                                                                                                                                                                                                      

 

 

 

 

 

                                                                                                           

                                                     

 

 

                                                                                                                                                                                                                                                   

 

 

 

                                                                                                           

 

                                                                

 

 

                                                                                                                                                                                                                                               

 

 

 

 

 

 

40MM MGL KI FIRING POSNS, BHARNA, KHALI KARNA, FIRE AUR MISFIRE HONE PAR KARWAI KARNE KA TARIQA SIKHANA HAI 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

LESSON PLAN 

BASIC 

 

SUBJECT: 40MM MULTI SHOT GREN LAUNCHER KI FIRING SYLLABUS REF : INF SCHOOL (MHOW), PRECIS 

POSN   BHARNA,    KHALI   KARNA,  FIRE  AUR 

MISFIRE HONE PAR KARWAI KARNE KA TARIQA SYLLABUS REF : MGL - III 

SIKHANA HAI 

 

TIME ALLOTED: 80 MINUTES PERIOD NO : 

S/NO 

TARTIB 

TEACHING POINTS 

TRG AIDS 

TIME 

REMARKS 

Actual 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

1. 

 

SHURU  

SHURU KA  

KAAM 

 

(a)   Bandobast ki karwai. 

(b)   Class ki ginti groupon mein bant  

(c)   Hathiyar aur saman ka nirakshan 

 

MGL, Drill Carts, Chindi 

  

 

 

 

Nirikshan class se karwaya jaye. 

 

 

2. 

 

DOHRAI 

 

Q1.    40 mm MGL ka max rg kitna hai? 

Ans.  375m. 

 

Q.2.   MGL se kitne prakar ka amn fire kiya jata hai? 

Ans.  06 prakar ke. 

 

 

 

 

 

Pichhle lesson se do sawal puchha jaye 

 

3. 

 

PAHUNCH 

 

          40 mm MGL ek semi automatic hathiyar hai, isse area target ko barbad karne ke sath sath dushman ke bunker mein asani se fire dal sakte hai. Is liye zaruri hai ki iski firing posn, bharna, khali karna, fire karna aur sath hi misfire hone par karwai ka tariqa har ek firer janta ho. 

 

 

 

 

 

Pahunch Sabaq se sambandit ho. 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

4. 

 

UDDESH 

 

      40mm MGL ki firing posns, bharna, khali karna, fire aur misfire hone par karwai karne ka tariqa sikhana hai 

 

 

 

 

 

 

 

 

5. 

 

SAMAN 

 

      40mm MGL, 9 mm Pistol, drill gren, fig 11 tgt, metalic bd, long easel, duster, chalk aur ground sheet. 

 

As per trg aids. 

 

 

 

 

 

 

6. 

 

BHAGON MEIN BANT 

 

Bhag - I            40mm MGL ki firing posn. 

Bhag - II           Bharna aur khali karna. 

Bhag - III          Fire aur misfire hone par karwai karne ka tariqa.       

 

 

 

 

Sabaq ko asani se samjhane ke liye. 

 

 

BHAG – I 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

40MM MGL KI FIRING POSN.        

40mm Multi Shot Grenade Launcher se sujhavit taur par char prakar ki posn se fire kiya jata hain. Ek firer kis parkar se firing posn ikhtiyar karta hai, isi karwai ka Demo hathiyar par bayan ke sath dunga aap dhyan den. uthaye launcher. Yaha par Bayen hath se MGL ka front hand grip aur dahine hath se pistol grip pakarte hue up ke sath khara ho jaye. Up 

 

(Note:- Yadi bayen kandhe ka firer hai toh yah karwayi viprit ki jayegi) 

 

(a)   STANDING POSN       Zarurat. Yeh posn us samay ekhtyar kiya jata jab arh 4 ft se 4.5 ft ki ho ya fire trench se fire karne ki zarurat pare. Tariqa. Bayen pair  ko tgt ke sidh mein karen Body ko tgt ki seedh mein align kare. Butt aur kandhe ka milap karen. Is posn mein dhyan wali baten :- 

 

(i) Dono paon kad ke mutabik khule huye ho. 

(ii) Dahine kohni zamin ke samanantar aur dono ankh khuli, nigah samne     

 

MGL, Drill gren, chindi 

 

 

 

Ustad bayan ke sath Demo den. 

 

 

 

 

 

 

 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

(b)    KNEELING POSN     Zarurat.  Yeh posn us samay ikhtyar kiya jata hai  jab 2 ft se 2.5 ft ki arh mile ya niche se uppar ki taraf fire karne ki zarurat ho. TariqaBadan ko tgt ki sidhai main align kare  , dahine ghutne ke bal par is prakar se baith jaye. Is posn mein dhyan wali baten. 

(i)   Dahina ghutna pura dahine body wt dahine paon ki edi ke uppar. 

(ii)  Bayen kohni bayen ghutne ke uppar. 

(iii)  Baki sist aur pakar Standing posn ki tarah.  

 

(c)    SITTING POSN   Zarurat. Yeh posn us samay ikhtyar kiya jata hai jab firer ko  dhalwandar  zamin  se uppar se nichhe ki taraf fire karna ho. Tariqa. Badan ko tgt ki sidhai main align kare. MGL ko bayen kandhe  par  rakhen. Dahine hath se zamin  par sahara lete hue posn ekhtiyar karen. Is posn mein dhyan dene wali baten :- 

 

(i)     dono eriyan zamin par lagi hui, panje aasman ko point karta hua.  

           (ii)    Dono kohniyan dono ghutne ke uppar. 

           (iii)   Baki sist aur pakar Anya posn ki tarah. 

 

           (iv)   Khara  hone ke liye butt aur kandhe ka milap tode. MGL ko bayen kandhe par le aur dahine hath se zamin par sahara lete hue khara ho jaye. 

 

(d)   LYING POSN       Zarurat. Jab firer ke samne 1 ft ya ushe kam arh hoya kisi  khule maidan se fire karna ho us samay lying posn ikhtiyar kiya jata hai. Tariqa. Badan ko tgt ki sidhai main align kare. MGL ko bayen kandhe par rakhen.  Dahine  hath  se zamin par sahara lete hue let jaye. Butt ki posn ko fully extended par karen. Yadi 150m se adhik Rg par  fire karna ho to firing posn ki badli karein.Butt aur kandhe ka milap karen. Is posn mein dekhne wali baten :- 

 

(i)    Badan line of fire se tircha ho. 

           (ii)   Launcher, dahina kandha aur dahina paon ek seedh mein ho. 

           (iii)   Dono kohniya zamin par.               

 

(iv)   Khara hone  ke liye  butt ko  bayen  kandhe  par  rakhen. Bayen  paon ko close  karen.   Dahine  hath se zamin par push karte huye up ke sath khara ho jaye. 

 

 

 

 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

PRAC 

 

        Yeh tha bhag - I ka Demo. Abhi hoga issi ka Prac. 

 

 

 

Pure class se Prac karaya jaye. 

 

 

BHAG - II  

 

 

 

 

 

 

DEMO 

 

BHARNA  AUR  KHALI  KARNA 

 

BHARNA :  (firer knleeing posn ke adesh par knleeing posn main baithkar MGL le)  adesh mile fire, toh karwai is prakar karen. Launcher ko niche surakshit jagah par rakhen. Pouch se gren ko bahar nikalen aur surakshit jagah par rakhe. Launcher ko uthayen. Yakin karen ki safety catch ki posn ‘S’ par ho. Manual release ko dabate hue yakin karen ki launcher unwind hai.Release handle ko aage ki taraf khinche aur rear frame ko kholen. Cylinder aur chamber ka mulahija karen. Cylinder ko wind karen. Gren ko lein aur pahle gren ko brl ki sidhai wale cyl mein dakhil karen. Baki gren ko anti clock wise ek ek kar ke bharenRear frame ko band karein. 

 

KHALI KARNA    adesh mile khali kar,toh karwai is parkar se karen. Yakin karen ki safety catch ki posn ’S’ par hai. Release handle ko aage ki aur khinche aur rear frame ko kholen. Anguthe ki madad se release handle ko andar ki taraf dabate huye gren ya fired case ko ek ek bahar nikalen aur surakshit jagah par rakhen. Rear frame ko band karen. Manual release ko dabayen aur cyl ko pura unwind karen. Gren ko repack karen.  

 

40 mm MGL, 

drill rds 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Demo bayan ke sath diya jaye. 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

PRAC 

 

    Yeh tha bhag - II ka Demo. Abhi hoga issi ka Prac 

 

 

 

 

Pure class se Prac karaya jaye. 

 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

BHAG-III  

FIRE AUR MISFIRE HO JANE PAR KARWAYI KARNE TARIQA   

 

FIRE KARNE KA TARIQA 

 

         Bhar, sight range 200m. Ready. Ready ke addesh par safety catch ki posn ko ‘F’ par karen. Butt aur kandhe ka milap karen. Kalme wali anguli trigger ke upar le jayen aur agle hukum ka intazar karen. Dekhen is prakar. READY. Fire. Fire ke addesh par shist lete huye trigger ko press karen. Gren ki mar ko dekhe Yadi grenade on tgt na ho to munasib correction dekar dusra grenade fire karein 

 

STOP       Agar firing ke dauran tgt area mein koi jandar vastu aa jaye toh  “STOP” ki karwai karein. Butt aur kandhe ka milap toren, safety catch ki posn koS’ par karen aur agle hukum ka intezar karen. 

 

GO ON  Agar tgt area se jandar vastu haat jaye to karwayi  ‘GO ON’  ki karein. Safety catch ki posn ko ‘F’ par karen, butt aur kandhe ka milap karen, durust shist lete hue laucher ko fire mein samil karen. 

 

MISFIRE HONE PAR KARWAI     fire. Is prakar se trigger ko press karne par gren fire na ho ya addesh mile ‘FIRE NAHIke addesh par pakar aur shist ko kayam rakhte hue trigger ko teen baar press karen. Dekhen is prakar. FIRE NAHI. Is prakar se trigger ko teen baar press karne ke baad bhi gren fire na ho ya addesh mile ‘PHIR FIRE NAHIke addesh par pakar, shist aur trigger par dabav ko kayam rakhte hue 30 sec ka waqfa deta hain. Dekhen is prakar. PHIR FIRE NAHI (30 sec ka waqfa dete samay souted nahi karna hai). Is prakar 30 sec ka waqfa dene ke baad bhi gren fire na ho ya addesh mile ‘PHIR BHI FIRE NAHIke addesh par misfire ki karwai karen. Sabse pahle kalme wali unguli trigger se bahar nikalen. Butt aur khande ka milap toden. Safety catch ki posnS’ par karen.  Rear frame ko kholen. Brl ke seedh wale gren ko bahar nikalen aur gren ke primer ko check karen. Yadi primer par chot na ho to firing pin tuta huwa samajh kar firing pin ki badli karwaya jaye. Yadi primer par chot ho to aise gren ko misfire gren kaheta hai. Misfire gren ko firing posn se 10m aage aur dahine nose tgt taraf karte huye rakhta haiAbhi ke ground sheet ke madhya. Rear frame ko band karen. Manual release ko daba kar barrel ki seedh wale cylinder ko forward karen. Safety catch ki posn ko F Karen. Butt aur khande ka milap karen. Launcher ko fire mein shamil karen. Launcher thik fire karega. Misfire ki karwai mein kisi bhi student ka koi sawal. Sawal nahi to khali kar. Up. Yahin se reporting ki karwai shuru hota hai. Report mange janepar hathiyar aur saman ke report deta hai. Dekhen is prakar.  Report. No-1 MGL thik 

 

 

 

 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

Misfire hone ke karan :- 

(a)     Gren ke primer mein nuqs hona. 

 

HIDAYATEIN  

           (a)Yadi larayi ke dauran misfire hone par dusra gren fire karke pahle tgt ko barbad kiya jaye  uske baad ho misfire gren ko nikala jaye 

 

          (b)  Dhyan  dein ladari ke dauran sabhi gren pahle se taiyar kiye honge aur launchar ko wind karke task ya tgt ke mutabik gren bhar kar safty catch ko safe par karke luancher ko carry kiya jayega.       

 

          (c)  Agar raat ke samay lagatar 2 Gren misfire ho jata hai toh firing pin ko check karein. 

 

 

 

 

 

 

PRAC 

 

       Yeh tha bhag - IV ka Demo. Abhi hoga issi ka PracPrac ke liye  

Hidayate : 

        Firer knleeing posn , rg 200 ready ke adesh par aap bhar tak ki karwai karenge 

FIRE NAHI’ ke addesh par aap teen bar trigger ko press karenge. ’PHIR FIRE NAHIke addesh par aap 30 sec ka waqfa denge. ‘FIR BHI FIRE NAHIke addesh par aap, apne aapko trg ke dauran mante hue misfire ki karwai karenge. Addeshon mein kisi bhi student ka koi sawal. 

 

 

 

 

13 

 

 

 

77 

 

Pure class se Prac karaya jaye. 

 

7. 

 

SANKSHEP 

Shuru shuru ke kaam mein bandobast ki karwai pahele se kardiya gaya hai. Class ki ginti groupon mein bant ho jane ke baad class se hathiyar aur saman ka nirikshan karaya gaya. Dohrai pichhle lesson se kiya gaya. Pahunch sabaq sambandit batate huye uddesh ko dohraya gaya. Sabaq se sambandit saman ko small pointer dwara kneeling posn se ek ek kar ke dikhya gaya. Sabaq tarteebwar chale aur assani se samajhane ke liye sabaq ko chaar bhagon mein chalaya gaya. 

 

Bhag - I      Firing posns. 

Q. 1. 40 mm MGL se kitne posns se fire kiya jata hai.? 

Ans.   4 posns se. 

 

Bhag - II     Bharna aur khali karna? 

Q. 2. Cylinder mein rd bharte samay dhyan mein rakhne wali koi ek baat? 

Ans.  Rds ko anti clock wise bhara jaye. 

 

 

Bhag - III     Fire aur misfire hone par karwai karne ka tariqa. 

Q 4.    Misfire hone ka koi ek karan ? 

Ans.  Firing pin ka tuth jana ya ghis jana. 

Yahan par lesson sankshep ke sath samapt hota haiAbhi bhi pure lesson mein kisi bhi student ka koi sawal. Aapka aagla lesson 40mm MGL ki mechanism ke bare mein jankari dena hain. 

 

 

 

03 

 

 

80 

 

Aagle lesson se contact karaya jaye 

 

 

टिप्पणियाँ