51MM MOR KE BOMBON KO FIRE KE LIYE TAIYAR KARNA, BHARNA, KHALI KARNA, FIRE AUR MISFIRE HONE PAR KARWAI KARNE KA TARIQA SIKHANA HAI

   

 

Shape 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

LESSON PLAN 

MOR II 


 

LESSON PLAN  

  

  

SUBJECT: 51MM MOR KE BOMBON KO FIRE KE LIYE    SYLLABUS REF :  INF SCHOOL, (MHOW) PRECIS  

TAIYAR KARNA, BHARNA, KHALI KARNA, FIRE AUR MISFIRE      

HONE PAR KARWAI KARNE KA TARIQA SIKHANA HAI  SYLLABUS REF : MOR - II  

  

TIME ALLOTED: 80 MINUTES  PERIOD - 02   

  

S/ NO  

TARTIB  

TEACHING POINTS  

TRG AIDS  

TIME  

REMARKS  

Actual  

Running  

(a)  

(b)  

(c)  

(d)  

(e)  

(f)  

(g)  

  

1.  

  

SHURU   

SHURU  

KA KAM  

  

  1. Bandobast ki karwai 

  1. Class ki ginti  aur deton mein bant.  

  1. Hathiyar aur saman ka nirikshan.   

  

As per trg aids  

  

  

02  

  

  

02  

  

Nirikshan  class se karwaya  jaye 

  

  

2.  

  

DOHRAI  

  

Q151mm Mor  ka wazan kitna hai? A.    4.88kg.  

  

Q 251mm Mor  ka barrel ki lambai  kitni hai. ? A.     540mm.  

  

  

  

  

01  

  

  

03  

  

Dohrai pichhle  sabaq se liya jaye 

3. 

  

PAHUNCH  

  

          51mm Mor Pl Cdr ka topkhana hai. Is ko Inf ke barkhilap istemal kiya jata hai is ke lawa yeh din ke samay dhuyan and raat ke samay roshni dene ka kaam karta hai. Isliye aap ko iske aam bayan visheshatayen aur tech data jan lena kafi nahi hai balki iski Bombo ko fire ke liye tayer karna, bharna khali karna fire aur misfire drill ke bare mein jankari hona jaruri hai. Yeh tabhi sambhav hai jab jawan ne achha sikhlai paya ho, iss sabaq ka uddesh  

 

  

  

  

01  

  

  

04  

  

Pahunch sabaq se sambandit  ho.  

   

4.  

  

UDDESH  

  

        51mm Mor ke bombon ko fire ke liye taiyar karna, bharna, khali karna, fire aur misfire hone par karwai karne ka tariqa sikhana hai 

  

  

01  

  

05  

  

Uddesh ko dohraya jayega 

  

5.  

  

SAMAN  

        51mm Mor, dial sight, Bomb bag, Drill bomb, Sig Rif, Mag, Fig 11 tgt, Easel, Board, Marker, duster aur ground sheet.  

  

As per trg aids.  

  

01  

  

06  

Saman ko  

point kar ke bataya jaye 

6.  

BHAGON  

MEIN  

BANT  

Bhag - I        51 mm MOR ke Bombon ko fire ke liye taiyar karna 

Bhag - II       Bharna aur khali karna.   

Bhag - III      Lay aur fire karne ka tariqa.  

Bhag - IV      Misfire hone par karwai karne ka tariqa.   

  

  

  

01  

  

  

07  

  

Sabaq ko tartibwar chalane ke liye 

 7. 

  

BHAG - I  

  

  

  

Demo  

  

51MM MOR KE BOMBON KO FIRE KE LIYE TAIYAR KARNA.   Ek Bomb bag mein 6 bomb tube aate hain. Kisi ek bomb tube ko bahar nikalein. Bomb tube ke upar chipakne wale pheete ko utarenBomb tube ke lid ko kholen aur bomb ko bahar nikalein. Bomb ki body ka nirikshan karein. Yadi bomb ki body dabi ho, crack ho ya fins mude ho to use fire ke liye taiyar na karen. Aise bomb ko anya bomb se alag rakheinBomb ko saf karen. Safety cap ko kholein. Retainer ko tight karen. Seafty Pin ko bahar nikale .seafty pin, seafty cap aur chipakne wale fitha ko lead ke andhar rakahen. . Yeh tha bombo ko fire ke liye taiyar karne ka tariqa, abhi bataunga repack karne ki tariqa 

 REPACK KI KARWAI      Jin bombon ke safety pin nikal diye gaye hon, un bombon ko repack na kiya jaye balki blind samajhkar barbad kar diya jaye ya tgt area mein fire kar diya jaye. Jin bombon ka safety pin nahi nikala hai un bombo ko repack karen. Repack karne ke liye brass cap ko saaf karen kyuki brass cap ke uppar bahut jaldi nami ka ashar hota hai. Safety cap ko lagaye aur bomb ko bomb tube mein dakhil karen. Bomb tube ke lid ko lagayenBomb tube lid ke upar chipkne wale pheete ko laga dein. Bomb tube ko bomb bag mein dakhil karein.   

 

  

51 mm Mor, canvas  

bag, drill  

bomb  

  

  

 

  

  

  

  

  

  

04  

  

  

  

  

  

  

  

11  

  

Namuna  

bayan ke sath diya jaye 

 


8  

  

ABHYAS  

  

Yeh tha bhag - I ka demoAbhi hoga issi ka abhyas 

  

  

  

07  

  

18  

Abhyas Pure class ko karaya jaye 

 9 

  

BHAG - II  

  

  

  

  

Demo  

  

BHARNA AUR KHALI KARNA     Ek Mor firer kis prakar bhar aur khali kar ki karwai karta hai, isi karwai ka demo main No-1 ki haisiyat se Mor par bayan ke sath dunga aap dhyan deKneeling posn uthaye Mor bomb bag ke aadesh par No-1 Mor ke dahine kneeling posn ikhtyar karta hai.   No-1 canvas bag ko dahine kandhe mein latkata hai aur bayen hath se Mor ko carrying pad se pakarte huye up ke sath khara ho jata hai. Up. Firing posn,  kneeling posn, Mount Mor ke addesh par No-1 apne dahine paon ko chalti halat mein aur bayen paon se tgt ko align karte huye zamin  ko check kartan hai.  Mount Mor. Agar zamin pathrili ya daldali ho to firing posn ki jagah ko badli karta hai. 

No -1 Bomb bag ko neeche rakhta hai. Is posn mein dekhne wali baten. Mor takriban 45° ke angle par, barrel asmaan ko point karta hua. Bayen hath ki pakar carrying pad par. Baye hath ki kohni baye ghutne ki ander ya bahar. Baye paon ke toe base plate ke upar. Dahina ghutna pura dahine zamin par laga hua. Dahina hath dahine pao ki rang ke upar. iss posn mein kisi bhi student ka koi sawal. Abhi sikhaunga bharna aur khali karne ka tariqa.   

 BHARNA        Mor det ko tgt dekhai de ya addesh mile BHARke addesh par sabse pehle Mor ko surakshit sthan par rakhen. Sikhe huye tariqe se bomb ko taiyar karein. Mor ko uthayen aur Muzzle cover ko utarein aur Barrel ka nirikshan karein. Dahine hath ki madad se bomb ke tail unit ko niche ki taraf rakhte huye bomb ko barrel ke andar dakhil karein aur hath ko nazidki raste se cut karein. Mor ko hilane ta ki bomb steel pad par thik se baith jaiYeh tha No -1 ki haisiyat se bharne ki karwai 

 KHALI KARNA        Jab Mor det ko tgt dikhai na de ya addesh mile khali kar ke addesh par No-1 dahine hath ko muzzle par leta hai aur Mor ko itna dahine turn karta hai ki bomb apne hi wajan se bahar aa jaye. Dekhein is prakar. khali kar. Bomb ki nose ko tgt ki taraf karte huye niche rakheinYeh tha No-1 ki haisiyat se khali kar ki karwai.    

 DISMOUNT MOR     Dismount Mor ke addesh par muzzle cover ko lagata hai. Mor aur Bomb bag ko niche rakhta hai aur up ke sath khada ho jata hai.   

      

  

51 mm  

Mor, dial sight, Rif, mag, canvas  

bag, drill  

bomb,  

Fig - 11 tgt, Grng sheet  

  

  

  

  

08  

  

  

  

  

26  

  

Bayan ke sath namuna diya jaye 

  

  

  

  

  NO - 2 KI HAISIYAT SE BHARNA AUR KHALI KARNA     No-1 ke kaam karne ke liye ........ sthan louthayein Mor, Rifle, Bomb bag ke addesh par dono Nos kneeling posn ikhtyar karte hai. Dekhein is prakar. Uthayen Mor, Rif, Bomb bag. Yahan par No-1 sikhe huye tariqe se karwai karta hai aur No-2 Rif ko make safe ki karwai karta hai aur Rif ko dahine kandhe mein latkata aur bayen kandhe mein Bomb bag ko latkate huye Up ke sath dono Nos khare ho jate hain. Dekhen is prakarUP. Mount Mor ke addesh par No-1 sikhe huye tariqe se karwai karta hai aur No-2, No-1 ke dahine kneeling posn ekhtiyar karta hain. Dekhen is prakar. Mount Mor.  No-2 Rif aur Bomb bag ko neeche rakhta hai. Yahan par No-2 ki posn mein dekhne wale baten. No-2, No-1 ke dahine itna nazdik posn ekhtiyar karta hai ki woh No-1 ke addesh ko sun sake, dohra sake, bhar aur khali kar ki karwai asani se kar sake. (Mor ki barrel par dono hath lagakar dekhana hai). Yeh tha No-2 ki haisiyat se firing posn. Yahin se sikhaunga No-2 ki haisiyat se bhar aur khali karna. Mor det ko tgt dekhai de dauran addesh mile BHAR, bhar ke addesh par No-1 sikhe hue tariqe se karwai karta hai aur No-2 addesh ko dohrate huye zarurat sudha bomb ko taiyar karta hai. Dekhen is prakar. BHAR No-2 Bomb ko barrel mein dakhil karta hai. No-1 sikhe huye tariqe se karwai karta hai. Yeh tha No-2 ki haisiat se bhar ki karwai 

 KHALI KARNA   Abhi bataunga No-1 aur No-2 ki haisiyat se khali karne ka tariqa  

Jab Mor det ko tgt dikhai na de ya addesh mile Khalikar.  ke addesh par No-1 khali kar ki karwai karta hai aur bomb ke nose ko tgt ki taraf karte huye No-2 ko deta hai. No-2, No-1 ke diye huye addesh ko dohrate huye bomb ko leta hai. Bomb ki nose ko tgt ki taraf karte huye baki bombon se alag rakhta hai. Dekhen is prakar. No-1 addesh jarikar. khalikar 

 DISMOUNT MOR      Dismount Mor ke addesh par No-1 sikhe huye tariqe se karwai karta hai. No-2 addesh ko dohrate huye bomb ko repack karta hai aur Rif  ko khali kar karta hai. Dono Nos Mor, Rif aur bomb  ko niche rakhte hue Up ke sath khada ho jata hai 

  

  

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

  

  

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

10  

  

ABHYAS  

  

       Yeh tha bhag - II ka demoAbhi hoga issi ka abhyas. 

  

  

12  

  

38  

  

Abhyash pure class se karaya jaye. 

 11 

  

BHAG - III  

  

  

  

  

  

Demo  

  

  

LAY AUR FIRE KARNE KA TARIQA  Tgt, Mor ki safed line aur firer ke sar ko ek seedh mein karne ki karwai ko LAY kehte hain.  

Ek Mor det kis prakar se LAY aur FIRE ki karwai karta hai isi karwai ka demo main No-1 ki haisiyat se Mor par bayan ke saath dunga, No-2 ka kaam karne ke liye…………sthan lo. Uthaye Wpn and Amn. Up. Yaha par Mor det ko tgt dikhaya jata hai. Mor det, ke aadesh par mor det  Samne dekhta hai dekhein is prakar, Mor det, samne, 400, dushman ka ek LMG post, barbad kareinge HE MK - II  CH-I se. Mount Mor. Ready ke aadesh par No-1 diye huye rg ko Dial sight par lagata hai aur saath hi Mor ko fire ke liye taiyar karta hai aur No-2 addesh ko dohrate huye bataye huye bombon ko taiyar karta hai aur Bhar tak ki karwai karta hai. Ready. Sunne. Is prakar bhar ki karwai ho jane ke baad No-1 Mor ko tgt ke upar lay karta hai. LAY ki karwai karne ke liye dahine hath se base plate ko pakarte huye LAY ki karwai karta hai. Dekhen is prakarLAY 

 

FIRE      Fire ke addesh par No-1, spirit bubble ko madhya mein rakhte huye lever ko press karta hai. Dhyan rahe service Mor hone ke karan lever ko bar bar press na kiya jaye. Balki fire ko jahir karne ke liye BOMB shabd ka istemal kiya jaye. Lever ko press karne se bomb fire ho jata hai. Bomb fire hone par dono Nos bomb ki mar ko dekhte hain. Yadi bomb on tgt na ho to dono nos milkar munasib correction dekar dusra bomb fire karta hai. Dekhe is prakar. FIRE. BOMB. Is prakar ek achha sikhlai paya hua Mor det 1 min mein normal 8 bomb aur tej Mor fire mein 12 bomb fire karne ki kabliyat rakhta  hai. FIRE ki karwai mei kisi bhi student ka koi sawal. Sawal nahi   

  

51 mm  

Mor, Dial  

Sight,  

CMG, mag, Canvas bag, bomb,  

Fig - 11 tgt 

Ground sheet.  

  

  

  

  

  

  

  

07  

  

  

  

  

  

  

  

45  

  

Namuna  

bayan ke sath diya jaye 

  

  

to, waise to bomb fire hone ke baad barrel ke under bomb ka koi bhi hissa nahi bachta hai lekin trg ke dauran drill bomb ka istemal hone ke karan khali karne ki jarurat parti hai. khali kar. Dismount Mor.   Yaha se reporting ki karwai suru hoti hai. Report ke aadesh par keeling posn se No-2 hathyar aur saman ki aur No-1, Mor det ki report deta hai. Dekhen is prakar. Report. No-2 ka hathyar saman thikNo ek Mor det thik 

  

  

  

  

 12 

  

ABHYAS  

      Yeh tha bhag - III ka demoAbhi hoga issi ka abhyas.Abhyas ke liye hidayeten Tgt dikhane ke bad aap Fire tak ki karwai apne aap karenge 

  

  

12  

  

57  

Abhyas pure class se   

 13 

  

BHAG - IV  

  

  

  

  

  

Demo 

  

 MISFIRE HONE PAR KARWAI KARNE KA TARIQA.        FIRE. BOMBIs prakar  lever ko press karne se bomb fire na ho ya addesh mile ‘FIRE NAHI’ ke addesh par No-1 Spirit bubble ko madhya mein rakhte huye dubara lever ko press karta hai. Dekhen is prakar, ‘FIRE NAHI  lever ko dubara press karne ke baad bhi bomb fire na ho ya addesh  mile ‘PHIR FIRE NAHI’ ke addesh par No-1 Mor ko hilata hai aur Spirit bubble ko madhya mein rakhte huye teesari bar lever ko press karta hai. Dekhen is prakar,PHIR FIRE NAHI’ Is prakar, lever ko teesari bar press karne ke baad bhi bomb fire na ho ya addesh mile ‘PHIR BHI FIRE NAHI’ to dono numbers milkar misfire khali kar ki karwai karte hai. Dekhen is prakar,PHIR BHI FIRE NAHI. MISS FIRE KHALI KAR. Yahan par No 1, No-2 se check primer report leta hai. Check primer report No-2 ke addesh par No-2 bomb ke primer ko check karta hai. Agar primer par chot na ho to firing pin ki badli karte hain. Agar primer par chot ho to aise bomb ko misfire bomb kehte hain. Fd fire ke dauran misfire bomb ko firing posn se 10m aage aur dahine ghadde ke andhar rakha jata hai. Abhi keliye ground sheet par rakha jayega. Dekhen is prakar. CHECK PRIMER REPORT NO-2.  

Bomb ke primer par thik chot. Abhi keliye ground sheet par rakha misfire bomb. Yahan par No-1, No-2 ko dusra HE Mk-2 CH-1 bharne ka addesh deta hai. No-2 dusra HE MK-2 CH-1 bhar. Lay & Fire. Dismount Mor, report, UP. Misfire hone ke karan:-  

 Striker spring ka kamjor hona (Spring ke kamjor hone se striker ko jitna            force chahiye utna nahi mil payega).   

  1. Firing pin ka tut jana ya ghis jana (Firing pin ki tut jane ya ghis jane se              bomb ke primer par chot nahi lagegi jisse bomb fire nahi hoga).  

  1. Steel pad par dhatu ka jama hona (Steel pad ke upar dhatu ke jam jane se            bomb steel pad ke upar ache se nahi baithega).  

  1. Bomb ka steel pad per thik se na baithna (Isse firing pin bomb ke primer            tak nahi pahunch payega aur fire nahi hoga).    

  1. Retaining cap ka dhila hona (Retainer cap ke dhila hone se firing pin bomb             ke primer par chot nahi maar pata) aur Bomb ke carts ke primer mein nuqs hona 

 

  

Mor, Drill bomb, CMG,  

drill carts, Fig 11 tgt.  

  

  

  

  

  

  

  

  

  

  

  

08  

  

  

  

  

  

  

  

  

  

  

  

65  

  

Namuna bayan ke sath diya jaye  

14  

  

ABHYAS  

  

     Yeh tha Bhag-IV Ka demo abhi hoga abhyas. Abhyas ke liye hidayeten. Ready ke aadesh par aap fire tak ki karwai aapne aap karenge Abhyas ke liye addesh is prakar honge:-   

  

  1. FIRE NAHI ke aadesh par dubara liver ko press karenge 

  1. PHIR FIRE NAHI ke aadesh par Mor ko hilaya jayega aur teesri bar liver ko press  kiya jayega.   

  1. PHIR BHI FIRE NAHI ke aadesh par misfire khali kar ki karwai hogi 

Abhyas ke liye aadeshon mein kisi bhi student ka koi sawal, sawal nahi to abhyas ke liye No-1 mor det sthan lo.  

Hidyaten for Opration  

  1.   Opr mein jane se pahale bomb ko tayar kar liya jaye. 

  1.   Opr mein 3 bomb fire karlene ke bad apne posn ki badly kiya jaye. 

  1.   Opr mein misfire hone par bomb ko firing posn se dahine/ Bayen rakha jaye. 

  1.   Opr mein ni mein misfire hone par khali karke dusra bomb bharke fire kiya jayega , yadi dusra bomb misfire ho to Misfire ki karwai kiya jayega. 

  1.   Opr mein aap ko tgt dikaya jayega baki karwai aap ko aapne aap karna hai. 

  1. Opr mein zamin hard & soft hone par asap improvise tarike se fire karoge(pooch, Pithu , shoes and etc) 

  1.  Opr ke dauran Amn task ke mutabik carry kiya jayega. 

 

  

  

  

  

13  

  

  

  

78  

  

Abhyas Pure class se  

karaya jaye  

  

15 

  

SANKSHEP  

  

         Shuru shuru ke kaam mein bandobast ki karwai pehle se kar liya gaya tha. Class ki ginti deton mein bant ho jane ke bad class se hathyar aur saman ka nirikshan karaya gaya. Dohrai pichhle lesson se liya gaya. Pahunch sabaq sambandit saaf aur chhota batate hue uddesh ko bataya gaya. Sabaq se sambandit saman ko kneeling posn se small pointer dwara ek-ek kar ke dikhya gaya. sabaq ko chaar bhagon mein sikhaya gaya.   

 Bhag - I     Fire ke liye bombon ko taiyar karna 

 Q1.   Canvas bag mein kitne bomb aate hain 

Ans.    06              

 Bhag - II    Bharna aur khali karna 

 Q2.     Bhar ki akhri karwai kiya hain? Ans.    Barrel ko hilana 

 Bhag - III     Lay aur fire kare ka tariqa.  

 Q3.    Lay kise kehte hain 

Ans.  Tgt, Mor ki safed line aur firer ke sar ko ek seedh mein karne ki karwai ko lay kehte hain 

 Bhag - IV    Misfire hone par karwai karne ka tariqa.  

 Q4Misfire hone ka koi ek karan? Ans.  Firing pin ka tut jana 

  Yahan par lesson sankshep ke saath samapat hota hai abhi bhi pure lesson mein kisi bhi student ka koi sawal. Aapka agla lesson 51mm Mor se direct aur indirect fire karne ka tariqa sikhana hai. Isse aap padkar ayenge 

  

  

  

  

02  

  

  

80  

  

Aagle lesson se contact kiya jaye  

 

टिप्पणियाँ