51 mm Mor se direct aur indirect fire karne ka tariqa sikhana hai.
LESSON PLAN
SUBJECT: 51MM MOR SE DIRECT AUR INDIRECT FIRE SYLLABUS REF: INF SCHOOL, (MHOW) PRECIES
KARNE KA TARIQA SIKHANA HAI
SYLLABUS REF: MOR-III
TIME ALLOTED: (40 MINUTES) PERIOD - 01
S/ NO | TARTIB | TEACHING POINTS | TRG AIDS | TIME | REMARKS | |
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
1. | SHURU SHURU KAKAM |
| As per trg aids. |
01 |
01 | Nirakshan class se karwaya jai. |
2. | DOHRAI | Q1. Fire se pehle mor ko lay karna kyun jaruri hai? Ans. Drust sidhai hasil karne ke liye. Q 2. Bomb ka retainer cap dhila hone se fire par kya asar hoga? Ans. Bomb misfire hone ka andesha ho sakta hai.
|
|
01 |
02 | Pichale sabaq se do sawal puchhkar |
3. | PAHUNCH | 51 mm Mor ek Inf Pl ka area weapon hai. Is hathyar mein dial sight ki suvidha diya gaya hai, Jis se hum najar ane wale aur najar na ane wale dushman ke uper un sthanon se bhi fire dal sakte hai, jahan par flat trajectory wale hathyaron se fire nahi dala ja sakta hai. Is par No -1 aur No -2 detachment ke taur par kaam karte hain. |
|
01 |
03 | Pahunch sabaq se sambandhit chhota aur saaf ho. |
4. |
UDDESH |
51 mm Mor se direct aur indirect fire karne ka tariqa sikhana hai. |
|
01 |
04 |
Ek baar bataya jaye
|
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
| ZOR DENE WALI BATAIN |
|
|
02 |
06 |
|
5. | SAMAN | 51mm Mor, dial sight, bomb Bag, Sig Rif , Mag, Fig 11 tgt, Easel, board, Marker, duster, Auxiliary aiming mark aur Ground sheet. | As per trg aids. |
01 |
07 | Saman ko point karke dikhaya jaye. |
6. | BHAGON MEIN BANT |
Bhag -I Direct Fire Karne ka Tariqa.
Bhag -II Indirect Fire Karne ka Tariqa.
|
|
01 |
08 | Tartib se chalane ke liye |
|
BHAG –I
Demo |
DIRECT FIRE KARNE KA TARIQA
Q No 1 :- Direct fire kisse kahte hain ? Ans :- Jab ek mor det tgt ko dekhte hue tgt ke uper mor ko lay karke fire karta hai use direct fire kehte hai.
Flate trejectory wale hathyaron mein firer open sight ya telescopic sight ki madad se tgt ke POA par drust shist lekar fire karta hai aur 51mm Mor mein Mor det tgt ko dekhte huye mor ko uthakar tgt ki sidh mein lay karta hai to use direct fire kehte hai. Direct fire kis prakar se kiya jata hai, karwai ka demo bayan ke sath no 1 ke haisiyat se dunga no 2 ka kaam karne ke liye .............sthan lein. uthayein Hatiyar & Amn. Mor det samne dekh 400 dushman ka LMG post, barbad karenge HE Mk-II, CH-I se, , mount Mor. Ready. Lay, Fire. Direct fire karne ke tariqe mein kisi bhi student ka koi sawal ? nahin to bomb on target, target barbad drill bomb khali kar. |
51mm Mor, Rif,dial sight, Drill Bomb, Fig 11 tgt.
|
06
|
14 |
Namuna bayan ke sath den. |
|
ABHYAS |
Class se direct fire karne ka abhyas karaya jae. | As per trg aids. |
06 |
20
| Abhyas pure class se karaya jaye. |
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
| BHAG-II
Demo | INDIRECT FIRE KARNE KA TARIQA.
Q1:- Indirect fire kya hota hai ?
Ans :- Indirect fire karne wale hathyaron se jab firer ko tgt dikhai na de raha ho tab us hathyar ko kisi kudrati ya banawati nishan ki madad se tgt ke upar lay karke, fire kiya jata hai use Indirect fire kehte hain.
Q2:- Inf Bn mein indirect fire ke liye kon kon se wpn istemal kiye jate hain ?
|
|
|
|
|
|
| Ans :- 51mm Mor, 81mm Mor, 30mm AGL/AGS aur 40mm UBGL
Indirect fire karne ke liye aiming mark ki jarurat parti hai.
AIMING MARK. Jab mor det kudrati ya banawati nishanon ki madad se mor ko tgt par lay karke use barbad karta hai use aiming mark kehte hai. Ye 2 prakar ke hote hai:-
SUBSIDIARY AIMING MARK. Tgt area mein pehle se maujud weh kudrati ya banawati nishan jinki madad se mor ko tgt par lay karke tgt ko barbad kiya jata hai use subsidiary aiming mark kehte hain. Jaise ki - Ped, Makan ityadi.
AUXILIARY AIMING MARK. Aise nishan jinhe banawati taur par taiyar kiya jata hai, inki madad se mor ko tgt par lay karke, tgt ko barbad kiya jata hai use auxiliary aiming mark kehte hain. Jaise ki - Lakri, Pathar, Bayonet ityadi.
TGT KO BARBAD KARNE KA TARIQA :- Mor det ko fire ka aadesh milne par
| 51mm Mor, Rif, dial sight, Drill Bomb, Fig 11 tgt.
|
08
|
28 |
demo bayan ke sath den. |
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
| Mor det distance ko dhyan mein rakhte huye subsidiary aiming mark ka chunav karta hai (Ustad ke dwara board par samjaya jaye). Dono Nos milkar tgt area mein nishan ko dekhte hai. Nishan tgt ke 12 baje ya 6 baje ki line mein ho sakta hai. Jab nishan 6 baje chuna jaye to dhyan rahe bomb ki udan ke raste mein koi bhi badha na ho. Yadi nishan 12 baje ya 6 baje ki line mein na mile to auxiliary aiming mark ka istemal kiya jata hai. Auxiliary aiming mark ko lagate samay dhyan mein rakhne wali batyen.
No 2 bataye huye fire line ki sidh mein pehle auxiliary aiming mark ko lagata hai Pehla auxiliary aiming mark lag jane par No 2 pehle auxiliary aiming mark ko aur mor posn ko dhyan mein rakhte huye dushra auxiliary aiming mark lagata hai. Yahan par No 1 ka madad bhi liya jaa sakta hai. Dhyan rahe auxiliary aiming mark lagate samay tgt, auxiliary aiming mark aur mor ek hi sidh mein ho. No 2, No 1 ke paas aata hai aur dono Nos milkar ready aur lay tak ki karwai karta hai. Dono Nos milkar fire ko jari karte hain. Bomb fire hone par No 2 crest line tak jakar bomb ki mar ko dekhta hai. Yadi bomb on tgt na ho to correction dekar dusra bomb fire kiya jata hai. Bomb on tgt hone par mor det tez mor fire ki karwai karte hain. Yeh tha Subsidiary aiming mark aur auxiliary aiming se tgt ko barbad karne ka tariqa. |
|
|
|
|
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
| CORRECTION DENE KA TARIQA. Agar tgt 500 mtr tak ki duri par ho to 50mtr upar/ niche aur 50 dahine/ baye ka correction na diya jaye. Agar tgt 1000 mtr ki duri par ho to 50mtr upar/niche aur 30 dahine/ baye ka correction na diya jaye. Kyunki Mor ek area wpn hone ke karan, bomb ek hi jagah par nahi girte hai. Isliye yadi correction isse jiada ho to correction pura diya jaye.
|
|
|
|
|
|
ABHYAS |
Class ko Indirect fire karne mein tatha subsidiary aiming mark chunne aur auxiliary aiming mark lagane ka abhyas karwaya jae. |
As per trg aids.
|
10 |
38 | Abhyas pure class se karaya jaye.
|
7. |
SANKSHEP | Hidyaten for Opration
Shuru shuru ke kaam mein bandobast ki karwai pehle se kar liya gaya tha. Class ki ginti aur deton mein bant ho jane ke baad class se hathyar aur saman ka nirikshan karaya gaya. Dohrai pichhle lesson se liya gaya. Pahunch sabaq sambandit saaf aur chhota batate hue uddesh ko bataya gaya. Sabaq se sambandit saman ko kneeling posn se small pointer dwara ek-ek kar ke dikhaya gaya. Sabaq ko do bhagon mein sikhaya gaya
Bhag - I Direct Fire karne ka tarika.
Q. 1. Direct fire kaun se angle se accha aur kargar sidh hota hai? Ans. Low angle se.
Bhag - II Indirect Fire karne ka tarika.
Q. 1. Aiming Mark kitne prakar ke hote hai? Ans. 02
Yahan par lesson sankshep ke sath samapt hota hai, abhi bhi pure lesson mein kisi bhi student ka koi sawal. Aapka agla lesson 51mm Mor se direct aur indirect fire karne ke tariqe mein abhyas dena hai. Isse aap padkar ayeinge.
|
|
02 |
40 |
Sabhi bhagon se jaruri sawal puche jaye. |
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know