84mm RL Mk-III ki firing posns, bharna, khali karna, fire aur misfire hone par karwai karne ka tarika sikhana hai.

  

 

 

 

 

  

                                                                                                                                                                                                                               

                                                                           

 

                                                          LESSON PLAN  

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

                                                                                                                                                        RL MK-III LESSON IV                                                                                                                                                   

 


 

 

 

 

 

LESSON PLAN 

 

SUBJECT: 84 MM RL MK-III KI FIRING POSNS, BHARNA, KHALI KARNA, SYLLABUS REF: INF SCHOOL, (MHOW) PRECIS 

FIRE AUR MISFIRE HONE PAR KARWAI KARNE KA 

TARIQA SIKHANA HAI. SYLLABUS REF: RL-4  

 

PERIOD ALLOTTED:   02 (80 MINUTES) PERIOD NO : I & II 

 

S/NO 

TARTIB 

TEACHING POINTS 

TRG AIDS 

TIME 

REMARKS 

Actual 

Running 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

1. 

SHURU  

SHURU KA  

KAM 

(a)   Bandobast ki karwai. 

(b)   Class ki ginti aur deton mein bant . 

(c)    Hathiyar aur saman ka nirakshan. 

 RL, SIG, Drill carts, mag, Drill Rds, Ground sheets. 

 

 

 

02 

 

 

02 

 

Class dwara karwaya jaye. 

 

2. 

DOHRAI 

Q1.     HEAT 751 Rd ki MV kitni hai ? 

Ans :- 210 se 366m/sec. 

Q2.    Fire karte karte telescopic sight karab ho jaye aap kya karenge? 

Ans :- Open sight ka istemal kiya jayega 

 

 

 

 

02 

 

 

04 

 

Pichle sabaq se dohrai li jae. 

3. 

PAHUNCH 

            

84 mm RL Mk-III Inf sec ka ek anti tank hathiyar hai84mm RL ko ek jawan assani se carry kar sakta hai lekin bharne aur khali karne ke liye No-2 ki jarurat parti hai. Larai ke maidan mein is hathiyar ko kai posn se fire karne ki jarurat par sakti haiIs liye zaruri hai ki firer iski firing posn fire aur misfire hone par karwai karne ka tariqa bhi janta ho taki zarurat padne par durust karwai karte huye Tgt ko barbad kar sake. Lakin yeh tabhi sambhav hai jab ke har ek jawan ne SQD post tRg ke dauran achhi sikhlai paya ho. Innhi baton ko maddhenazar rakhte hue sune sabak ka uddesh.   

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

02 

 

 

 

06 

 

 

 

Chota saaf aur sabaq se sambandhit ho. 

 

1 

 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

4. 

UDDESH 

84mm RL Mk-III ki firing posns, bharna, khali karna, fire aur misfire hone par karwai karne ka tarika sikhana hai.   

 

 

 

01 

 

 

07 

Dohraya Jayega. 

5. 

SAMAN 

84 mm RL, INSAS Rif,, bag No-1 bag No-2, container, drill Rd, tank Tgt, fig-11 Tgt, ground sheet, long easel, black boaRd, chalk, duster 

 

 

 

01 

 

08 

Point karke bataya jayaga. 

6. 

BHAGON MEIN BANT 

Bhag -I      Launcher ki Firing Posns. 

Bhag -II     Bharna aur Khali Karna. 

Bhag -III    Fire karne ka tariqa. 

Bhag -IV    Misfire hone par Karwai karne ka tariqa. 

 

Yahan tak kiye bayan aur karwai mein kisi student ka koi sawal.sawal nahi to Bhag-I 

 

 

 

02 

 

 

10 

 

 

Lesson ko assani se samjane ki liye. 

 

BHAG –I 

DEMO 

 Launcher ki Firing Posns.  

     Launcher se 4 parkar ki firing posn se fire kiya jata hai. Standing Posn, Kneeling Posn, Sitting Posn aur Lying Posn, ek launcher firer kis prakar se firing posn ikhtyar karta hai, isi ka demonstration No-1 ki hasiyat se hathiyar par bayan ke sath dunga.Ap dhyan de. Uthayen hathiyar Amn ke addesh par No-1 RL ke bayen kneeling posn ikhtyar karta hai,Pistol ko make safe karta hai aur baye bagal mein carry karta hai aur line yard ko daye khande mein lagata hai. bag ko dahine kandhe mein uthata hai,aur launcher ko 900 mein khara karta hai aur bipod ki posn ko tirchha karta hai, bayen hath se front grip ko pakarta hai, dahine hath ko bipod ke niche se karte huye piston grip ko pakarta hai aur launcher ko dahine kandhe par le jate hue up ke adesh par khara ho jata hai dekhe iss prakar.  

  

(a)      Standing Posn.      (Zarurat) jab firer ko 4’ se 4.5’ ki aad mile ya fire trench se fire karne ki zarurat pade to standing posn ko ikhtyar kiya jata hai, karne ka tarika, Tgt ka natural alline karte hue standing posn ikhtyar karen. Is posn mein dekhne wali baten. Dono paon kad ke mutabik khule huye, body weight dono paon ke upar, bayen hath ki pakad front grip par. dahine hath ka pakad pistol grip par, kalme wali ungli trigger gd ke aar-par, bipod dahini bagal mein dahini kohni se daba hua, firer ki dahine ankh is parkar eye piece ke sath lagi hui. Yeh tha standing posn ikhtiyar karne ka tarika.Tarika mein kisi students ka koi sawal.Sawal nahi toh up. 

 

  1. Kneeling Posn.       (Zarurat) jab larai ke maidan mein 2’ se 2.5’ ki arh mile ya phir niche se upar ki taraf fire karne ki zarurat pade to kneeling posn ikhtyar ki jati hai. Karne ka tarika dahine paon chalti halat mein lein, bayen paon ko Tgt ki sidh mei karen aur kneeling posn ikhtyar karen. Dekhen is prakar.kneeling posn ikhtyar kar. Is posn mein dekhne wali baten. Bayen paon Tgt ki sidh mein, dahine paon ka ghutna dahine taraf zamin par, body weight dahine paon ki edi par, bayen kohni bayen ghutane par dhyan rahe firing ke dauran haddi se haddi ka milap na ho baki pakar aur shist standing posn ki tarah. Yadi kneeling posn se jyada der tak fire karne ke jaruart pare toh dono ghuttnoko jamin par tikate hue kneeling posn ikhtyar Karen. Karne ka tarika dono pav ke ghutne ke bal bhet jaye, body wt dono per ke edi par.Kneeling posn mein kisi student ka koi sawal.Sawal nahi toh UP. 

 

  1.   Sitting Posn.      (Zarurat) jab firer ke sAmne dhalandar zamin ya phir upar se nichhe ki taraf fire karna ho us samay Sitting Posn ikhtyar kiya jata hai. Karne ka tarika, dahine paon ko chalti halat mein lein, Bayen paon ko Tgt ki sidh mein align karein. Bayen hath ki madad se zameen par tek lete huye baith jayen. Dekhen is prakar. Iss posn mein dekhne wali batein, bayan poan Tgt ki sidh mein, Dahina poan dahine aur kad ke mutabik khula huya, dono ediyan zameen par lagi hui, Dono hathon ki kohniyan dono ghutnon ke upar.Baki pakar aur shist anya Fg Posn ki tarah. 

 Yeh tha sitting posn ikhtiyar karne ka tarika.Tarika mein kisi student’s ka koi sawal.Sawal nahi toh up.  

 

  1. Laying posn. Laying posn ke bare mein aapko badh mein batauga.Rakhe hathiyar Amn. 

 

          (Yeh tha No 1 ki hassiyat se standing, kneeling aur sitting posns abhi bataonga No 2 ki hassiyat se, No 1 ka kaam karne ke liye ………..sthan lo)  

Kneeling posn uthayen hathiyar Amn iss addesh par No 1 sikhe hue tariqe se apni karwai karta hai aur No-2 bag ko bayen kandhe mein uthata hai aur rif ko make safe karta hai, rif ke barrel ko dahini taraf rakhte huye dahine kandhe mein dalta hai, container ko dono haath mein uthata hi aur UP pukarte huye do No’s khara ho jata hai 

  

  1. Standing posn.   (No-2 ki hasiyat se) standing posn ikhtyar kar. Is adesh par No 1 sikhi huye tarike se apni karwai karta hai, No-2 container ko neche rakhte hue No-1 ke dahine aur No-1 ki taraf face karte huye khara ho jata hain. Dekhen is prakar Standing posn ikhtyar kar. Is posn mein dekhne wali baten. No 2, No1 ke itna najdik Posn leta hai ki No-1 ke addeshon ko sun sake, dohra sake sath hi bhar aur khali kar ki karwai asani se kar sake. Yeh tha No-I aur No-II ki hasiyat se sitting posn ikhtiyar karne ka tarika.Tarika mein kisi students ka koi sawal.Sawal nahi toh up. 

  

  1. Kneeling Posn   (No-2 ki hasiyat se) kneeling posn ikhtiyar kar. Is adesh par No 1 sikhi huye tarike se apne karwai karta hai, No-2 No-1 ke dahine aur No-1 ki taraf face karte huye dono ghutnon ke bal par baith jata hain. Dekhen is prakar. No-2, No-1 ka itna najdik posn leta hai ki No-1 ke addeshon ko sun sake, dohara sakesath hi bhar aur khali kar ki karwai assani se kar sake. Is posn mein dekhne wali batein, Dono ghutne zamin par lage hue, body weight dono paon ki edi ke uppar.(Sitting posn mein No-2 ki posn hu-ba-hu kneeling posn ki tarah hi hoti hai 

   

  1. Lying Posn. (Zarurat) Jab firer ke samne, 1 feet ki aad ho ya khule maidan se fire karne ki zarurat pade to laying posn ikhtyar kiya jata hai.Lying posn ikhtyar kar. Is addesh par No 1 kneeling posn mein aata hai aur launcher ko nichhe rakhta hai aur bipod ki posn ko uncha bipod karta hai. Aur No-1 launcher ke bayen lying Posn ekhtiyar karta hai,dhyan rahe lying Posn ekhtiyar karte samay body 30 degree se kam 

Na ho bayen hath se front grip ko pakarta hai aur dahine hath ko bipod ke pichhe se le jate hue pistol grip ko pakarta hai aur launcher ko kandhe par le jata hai. Apne dahine paon ko bayen paon ke upar rakhta hai taki backblast se bacha ja sake. No-2 RL ke dahine lying posn leta hai. Yahan par No 2 apni suvidha ke liye rifle ko nichhe rakhta  hai aur No 2 apne bayen poan ko dahine poan ke upar rakhta hai, taki backblast se bacha ja sake.Dekhein is prakar.Lying posn mein kisi student ka koi sawal.Sawal nahi toh rakhe hathiyar Amn.UP 

  

Launcher,Pistol, SIG,bags,Tk Tgt, combat Tgt, Drill Rds with carrier, ground sheet. 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

10 

 

 

 

 

 

 

 

 

20 

 

 

 

 

 

 

 

Ustad bayan ki sath Demo dikhayen. 

 

 

 

 

 

3 

 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

ABHYAS 

 

Yeh tha bhag - I ka Demo abhi hoga issi ka abhyas , Abhyas Pure class se karaya jaye. 

 

 

05 

 

25 

Pure class se abhyas karaya jaye. 

 

BHAG-II 

DEMO 

 Bharna aur Khali Karna 

 

(No-1 ki hasiyat se)No-1 ko addesh mile ‘BHAR’Iss addesh par No-1 launcher ko cock karta hai, safety catch ko ‘S’ par karta hai aur No-2 ko bhar ka addesh deta hai 

  

(Yeh tha No 1 ki hesiyat se, bharne ka tarika abh sikhaunga No 2 hesiyat se bharne ka tarika No 1 ka kaam karne ke liye …………. sthan lo. Yahan par hathyar aur saman ka badly kiya jata hai 

(No-2 ki hasiyat se) No-2, No-1 ke addesh ko dohrata hai, ventury ko kholta hai, chamber ka mulahija karta hai aur saaf karta hai. (Dhyan rahe larai ya field fire ke dauran chamber ko cleaning rod ke dawra safai kiya jaye) container se Rd ko nikalta hai aur check karta hai yadi saaf karne ki jarurat ho toh saaf karen.Rd races ko chamber guide ke sath milate hue chamber mein dakhil karta hai, back blast area ka nirikshan karta hai, agar koi jandar vastu ya rukawat ho to use hatata hai, agar hatne wali na ho to firing posn ki jagah ki badli karwata hai, abhi ke liye firing ki lihaj se back blast clear, to ventury ko band karta hai aur No-1 ki peeth par thapki lagate huyeUPpukarta hai aur apni posn mein aa jata hai 

  

Khali Karna.   Addesh mile ‘ Khali Kar’ toh No -1 yakin karta hai ki RL cock hai aur safety catch ki posnS’ par hai, No-2 ko addesh deta hai  khali kar. No-2 No-1 ke addesh ko dohrata hai aur ventury ko kholta hai, fastening strap ko aage ki taraf dhakelta hai aur round ko chamber se bahar nikalta hai, ventury ko band karta hai,No-1 ki peeth par thapki lagate huye ‘UP’ pukarta hai aur apni posn mein aa jata hai.No-1 safety catch ko ‘F’ par karta hai aur durust shist lete huye trigger ko press karta hai 

Yeh tha No 1 aur No 2 ki hassiyat se bharna aur khali karna. Kisi bhi student ka koi sawal.Sawal nahi toh rakhe hathiyar Amn.(kneeling Posn se hi hathiyar Amn rakhte hue khara hona hai) UP 

 

84 mm RL,Pistol, Rif, Drill Rds, Bags Tk Tgt, Fig-11 Tgt, ground sheet. 

 

 

 

10 

 

 

 

35 

 

 

Demo bayan ke sath diya jaye. 

 

ABHYAS 

 

 

Yeh tha bhag - II ka Demo abhi hoga issi ka abhyas,Abhyas Pure class se karaya jaye. 

. 

 

 

 

08 

 

43 

Pure class se abhyas karaya jaye. 

 

 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

BHAG- III 

DEMO 

Fire Karne ka Tariqa.     

           kneeling posn uthayen hathiyar Amn.Kneeling Posn ikhtiyar  (Yahan par RLdet ko Tgt dikhaya jata hai, dhyan rahe jis posn se fire karna ho ussi posn se Tgt dikhya jaye) Launcher det samne dekh 400, Dushman ka tank Tgt barbad karenga HEAT 751 se fire ke liye hathiyar Amn taiyar kar. Is adhesh par No-1 Rg setting knob ko check karta hai yadi knob ki badli karne ki jarurat ho to knob ki badli karta haiRg ko lagata hai aur Iss adesh par No 2 adesh ko dohrata hai aur bataye gaye Amn ko taiyar karta hai dekhe iss prakar fire ke liye hathiyar Amn taiyar kar..HEAT 751 bhar iss adesh par No 2 adesh par No 2  jis Amn ko taiyar kiya hai uska naam lete hue bhar ki karwai karta hai. Dekhein is prakar,HEAT 751 bhar .Bhar ki karwai hone ke baad No-2 No 1 se check back report leta haiCheck back report No-1 ke adesh par No-1 Rg setting knob, Rg scale,Rg aur shist ka hawala dete huye report deta hai. Dekhen is prakar. Check back report No-1 (Rg setting knob 751, White Rg scale, Rg 400, shist Tgt ke madhya). Fire ke addesh par No 1 safety catch ki posn ko ‘FIRE’ par karta hai aur durust shist lete huye trigger press karta haiRd fire hone par No-1 aur No-2 dono Rd ki maar ko dekhte hain. Dhyan rahe No 1 sight se hi Rd ki maar ko dekhe aur fire ke duran dono no’s ka muh khola ho, Agar Rd on Tgt na ho to dusra Rd fire karta hai.Is prakar se ek sikhlai paya hua RL det ek min mein 6 Rds fire kar sakta hai. Yeh tha fire karne ka tarika. Fire karne ke tarike mein kisi bhi student ko koi sawal? Sawal nahi, toh khali kar.Rakhein hathyar Amn. (Launcher Det report ke adesh par No II hathiyar aur saman ka report deta hai sath hi No-I RL Det ka report deta hai dekhen iss prakar.) 

 RL,Pistol,SIG,drill Rds tk Tgt, fig-11 Tgt, 

Ground sheet.  

10  

53  

Demo bayan ke sath diya jaye 

 

ABHYAS 

Yeh tha bhag - iii ka Demo abhi hoga issi ka abhyas,Abhyas pure class se karaya jaye 

 

 

08 

 

61 

Pure class se abhyas karaya jaye 

 

 

 

 

 

 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

BHAG- IV 

DEMO 

Misfire hone par Karwai karne ka tariqa 

             Kneeling posn uthayen hathiyar Amn. kneeling posn ikhtyar kar, RL det samne dekh 400, dusman ka tk Tgt barbad karenge HEAT 751 se fire ke liye hathyar Amn taiyar kar,HEAT 751 bhar, fire.Sune iss prakar Agar trigger ko dabane se Rd fire na ho ya adesh mile ‘FIRE NAHI’ to No-1 shist,pakad,Posn aur trigger par dabav ko kayam rakhte huye 5 sec ka waqfa deta hai, waqfa ko jahir karne ke liye 5 tak ki ginti ki jati hai. Dekhen is prakar ‘”FIRE NAHI” 1,2,3,4,5 agar 5 sec ka wakfa dene par bhi Rd fire na ho to No-1 dubara RL ko  cock karta hai aur shist, pakar aur posn ko kayam rakhte huye trigger ko press karta haiIs prakar  se dusre baar trigger press karne par bhi Rd fire na ho ya adesh mile ‘PHIR FIRE NAHI’ to No-1 shist, pakar Posn aur trigger par dabav ko kayam rakhte huye dusre baar 5 sec ka waqfa deta hai, waqfa ko jahir karne ke liye 5 tak ki ginti ki jati hai. Dekhein is prakar, ‘PHIR FIRE NAHI’  

1,2,3,4,5.   Agar dusri baar 5 sec ka waqfa dene ke baad bhi Rd fire na ho ya adesh mile ‘PHIR BHI FIRE NAHI’ toh No-1 launcher ko cock karta hai aur safety catch ki posn ko ‘S’ par karta hai aur No-2 ko 2 minute ka waqfa note karne ka adesh deta hai. Jaise hi 2 minute ka waqfa pura ho jata to No-2, No-1 ki peeth par thapki marta hai aur UP pukarta hai. Dekhein is prakar ‘PHIR BHI FIRE NAHI. No- 2, 2 minute ka waqfa note kare. Yadi 2 minute ka waqfa dene ke bad bhi Rd fire na ho toh No 1 ‘Misfire Khali Kar Ka Addesh Deta Hai’No-2 sikhe huye tarike se khali kar ki karwai karta haiYahan No-2 se check primer report leta hai. “Check primer reportke addesh par No-2 Rd ke primer ko check karta hai, agar primer par chot na ho to dono Nos milkar firing pin ki badli karte hainAgar primer par theek chot ho to aise Rd ko misfire Rd kaha jata hai. Misfire Rd ki nose Tgt ki taraf rakhte huye firing posn se 50mtr age aur dahine rakha jata hai. Abhi ke liye ground sheet ke madhya rakha jayega. Check primmer report No-2Rd ke primer par  chot misfire Rd, No-1 dusra HEAT 751 bharne ka addesh deta hai. No-1 durust shist lete huye trigger ko press karta hai. Is parkar Rd fire ho jata hai. Yeh tha misfire hone par karwai karne ka tarika.Misfire hone par karwai karne ke tarike mein kisi bhi student ka koi sawal 

Sawal nahi toh Abhi sikhaung Field firing ke dauran misfire hone par karwai karne ka tarika.Yadi Fd  firing ke dauran 02 min ka wafa dene ke badh bhi yadi Rd fire na ho toh dono Nos khara hota hai No 2 No 1 ke belt se pakarte hue Fg point se 50 mtr aage aur dahine ya bayen misfire pit ke samne jata hai aur kneeling posn hokar misfire ki karwai karta hai.No1 khali hote hi wapas Apni Fg Posn par aake mil jata hai sath hi No 2 misfire Rd ke nose ko Tgt ke taraf karke rakhkar No 1 ke sath mil jata hai.Dhyan rahe ek misfire pit par ek hi misfire Rd rakhga jayega. Fd fire ke dauran misfire drill mein  kisi student ka koi sawal. Sawal nahi toh rakhe hathiyar Amn.Report No’s mil jayen apne sthan par.   

Misfire hone ke karan 

  1.   Fg pin ka tut jana ya gis jana  

  1.   Main spring ka kamjor hona 

  1.   Rd ke primer ka nuks hona. 

 

 RL,Pistol,SIG, 

drill Rds tk Tgt, fig-11 Tgt, ground sheet.  

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

10.  

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

71 

Demo bayan ke sath diya jaye 

 

Abhyas 

Yeh tha Bhag - IV ka Demo abhi hoga issi ka abhyas, Abhyas ke liye addesh is prakar se honge, “FIRE NAHI”,ke addesh par aap 5 sec ka waqfa denge. ”PHIR FIRE NAHI” ke addesh par aap dusre baar 5 sec ka waqfa denge “PHIR BHI FIRE NAHI” ke adesh par to aap 2 min ka waqfa denge. Misfire Khalikar ke addesh par aap misfire khali karenge. Addeshon mein kisi bhi student ka koi sawal. 

 

 

 

 

 

 

07 

 

 

 

78 

 

 

 

Pure class se abhyas karaya jaye 

 

 

Hidayaten 

     Ladai ke dauran dhyan mein rakhne wali baten 

 

  1.      Amn ki tadad task,terrain aur target ke mutabik carry kiya jayega. 

  1.      Ladai mein pahla Rd fire hote hi firig posn ki badli kiya jaye. 

  1.      Launcher Fg ke dauran hamesha ear muffs ka istemal kiya jaye. 

  1.      Yadi No I firing mein engage hone par No I akela hi bhar aur fire ke karwai karega. 

  1.      Dusman ki kisi bhi tank par hamesha pahla Rd HEAT751 hi fire kiya jaye.  Ladai ke dauran agar misfire ki karwai mein do baar trigger press kiya jayega aur khali kar ki karwai kiya jayega. 

  1.      Yadi ek hi jessa Rd fire kar raha ho toh Rd fire hone hote hi dusra Rd bhara jayega. 

 

 

 

 

7. 

SANKSHEP 

Shuru shuru mein class ki ginti detton mein bant kiya gaya. Hathiyar aur saman ka nirikshan class ke dawara karaya gayaBandobast ki karwai mere dawara check ki gai. Dhorai pichhle lesson se karaya gaya.Paunch choti aur sabak se sambandit bataya gaya. Uddesh ko ek baar bataya gaya. Sabak se sambandhit saman ko small pointer ki madad se dikhya gayaSabak char bhagon mein sikhaya.   

 

Bhag -I      Launcher ki Firing Posns. 

 

Q1.     RL se kitne firing posn se fire kiya jata hai? 

Ans.    4 firing posn se 

 

Bhag -II     Bharna aur Khali Karna. 

 

Q2.    RL ko bharte samay No-2 kya karwai karta hai ? 

Ans.   Ventury ko kholta hai, chamber ki safai karta hai aur Rd ko taiyar karta hai. 

 

Bhag III     Fire karna ka tarika. 

 

Q3.     RL ke trigger ka trigger pull kitna hai?   

Ans.     2.5kg se 5 kg tak. 

 

Bhag IV    Misfire hone par Karwai karne ka tariqa. 

 

Q4.      Misfire hone ka koi ek karan? 

Ans.    Firing pin ka ghis jana ya toot jana. 

 

Aapka agla lesson 7.62 mm Subcaliber adapter se jankari dena hai. 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

02 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

80 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Agle lesson se conduct karaya jae. 

 

 

 

 

टिप्पणियाँ