NEGEV LMG ki trigger mechanism aur mechanical safeties ke baren mein jankari dena hai

 

Shape 

 

 

 

 

 

 

 

LESSON PLAN 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

NEGEV - 4 

 

Shape 

 

 

 

SUBJECT 

 

 

 

 

          NEGEV LMG 7.62 x 51 MM KI TRIGGER MECHANISM AUR MECHANICAL SAFETY KE BAREN MEIN JANKARI DENA HAI 

 

 

LESSON PLAN 

BASIC 

 

SUBJECT: NEGEV LMG 7.62 x 51 MM TRIGGER MECH AUR SYLLABUS REF : INF SCHOOL, (MHOW) PRECIS 

MECHANICAL SAFETIES KE BAREN MEIN JANKARI DENA HAI 

 

SYLLABUS REF : LMG - IV 

 

TIME ALLOTED: 80 MINUTES            PERIOD NO-  

 

S 

NO 

TARTIB 

TEACHING POINTS 

TRG AIDS 

TIME 

REMARKS 

Actual 

Running 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

1. 

 

SHURU  

SHURU KA KAAM 

 

(a) Bandobast ki karwai. 

(b) Class ki ginti groupon mein bant. 

(c) Hathiyar aur saman ka nirakshan. 

 

As per trg aids. 

 

 

01 

 

 

01 

 

Nirikshan class se karwaya jae. 

 

 

2. 

 

DOHRAI 

 

Q1.   NEGEV LMG ke chaal kitna action mein pura hota hai? 

Ans :  8 action mein pura hota hai. 

 

Q.2. Sight alignment aur sight picture mein kiski ahmiyat jyada hai? 

Ans : Sight alignment ki ahmiyat jyada hai. 

 

 

 

 

 

01 

 

 

 

02 

 

Pichhle lesson se do sawal  puchhe. 

 

3. 

 

PAHUNCH 

 

NEGEV LMG ek adhunik hathyar hai. Is hathyar se bharpur faida uthane keliye jaruri hai ki iski trigger mechanism aur mechanical safeties ke baren mein jankari ho. 

  

 

 

 

01 

 

 

03 

 

Pahunch sabaq se sambandit ho. 

 

 

 

2 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

4. 

 

UDDESH 

 

NEGEV LMG ki trigger mechanism aur mechanical safeties ke baren mein jankari dena hai 

 

01 

04 

Do bar bataya jayega. 

 

5. 

 

SAMAN 

 

           NEGEV LMG, mag, belted drill carts, NEGEV tgt, accy pouch, chaal ka diagram, metallic bd, marker duster aur ground sheet. 

 

 

As per trg aids. 

01 

05 

Saman ko point karke batayenge. 

 

 

6. 

 

BHAGON MEIN BANT 

 

Bhag - I        Trigger mechanism. 

Bhag - II     Mechanical safeties. 

 

01 

06 

Sabak ko tartibwar chalane ke liye. 

 

 

BHAG - I 

 

 

NAMUNA 

 

 

Trigger Mechanism      

 

Trigger Mechanism Assembly - Jismein shamil mechanical housing hai aur grip pradan karne ke sath parts bhi is mein install hai. Mechanism housing welded sheet metal parts ka bana hua hai. Ismein niche diya gaya parts shamil hai. 

 

(a) Trigger and trigger guard - Sheet metal ka bana hua hai. 

(b) Fire selector - teen position hai 

(c) Bolt carrier interrupter. 

(d) Sear 

(e) Disconnector. 

(f) Disconnector Blockage (semi-automatic mode mein automatic firing karne se rokta hai). 

 

Safe par cock kyong nahi hota hai - Is halat mein fire selector ka right projection bolt interrupter ke niche aajata hai aur bolt interrupter ko upar uthata hai. Jis karan sear ka niche wala projection disconnector ke niche wala projection dono ka milap tutjata hai. Natija trigger free (neutral) mein aajata hai. Isse Sear aur bolt career interrupter niche nahi dabega aur cock nahi hoga. Yadi cock karne ki koshish ki to bolt career interrupter bolt ko block karta hai kyonki ratchet ne cocking knob ko pakar rakha hai. Cock karne keliye fire selector ko semi-automatic ya automatic par karna hoga. 

 

 

NEGEV LMG, Grnd sheet 

 

06 

 

12 

 

Namuna bayan ke sath diya jaye 

 

 

 

 

3 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

 

Semi-automatic mode mein cock kyong hota hai - Is position mein fire selector ka right projection bolt interrupter ke niche se hat jata hai aur left projection disconnector ko upar uthata hai. Jisse sear ka lower projection aur disconnector ka lower projection ka milap hojata hai. Jab firer LMG ko cock karta hai to bolt carrier interrupter niche daba rehne ke karan bolt carrier ko pichhe jane se nahi rok pata hai. Bolt carrier ki is pichhe harkat ke dauran bolt carrier ka niche wala projection sear ke saath milap hojata hai aur LMG cock hojata hai 

 

Safe par trigger press kyong nahi hota hai - Is halat mein fire selector ka right projection bolt interrupter ke niche aajata hai aur bolt interrupter ko upar uthata hai. Jis karan sear ka niche wala projection disconnector ke niche wala projection dono ka milap tutjata hai. Natija trigger free (neutral) mein aajata hai jisse trigger press karne par sear niche nahi dabta 

 

Semi-automatic mode mein single shot fire kyong hota hai - Is position mein fire selector ka right projection bolt interrupter ke niche se hat jata hai aur left projection disconnector ko upar uthata hai. Jisse sear ka lower projection aur disconnector ka lower projection ka milap hojata hai. Jab trigger ko press karta hai to disconnector apna posn se thora aage aur upar uthata hai. Jisse disconnector ke lower projection sear ke lower projection ko apni taraf aage ki aur khichta hai. Natija sear niche dabjata hai. Chalwala purja freely aage harkat karta hai. Sathi disconnector ke niche wala hul numa feature disconnector blockage ki bich wala rail mein fansjata hai. Bolt career ka aage ki harkat ke dauran bolt carrier ka niche wala projection disconnector ke upar se gujarjata hai. Is harkat se disconnector ka lower projection aur sear ka lower projection ka milap hojata hai aur sear apna normal position mein aajata hai. Jab bolt carrier ki pichhe ki harkat ke dauran sear ne bolt carrier ko pichhe rokdeta hai. Dusra rd fire karne keliye trigger ko release karna parega. Isi liye semiauto mode mein single shot fire hota hai. Trigger ko release karne se disconnector apna original position mein aajata hai aur sear ke sath dubara milap hojata hai aur fire keliye tayar hojata hai. Disconnector blockage semi-auto mode mein auto fire karne se rokta hai. 

 

 

 

 

 

 

4 

 

(a) 

(b) 

c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

 

Automatic mode mein auto fire kyong hota hai - Is position mein fire selector ka left projection disconnector ke niche wala bhag par dabav dalta hai jisse disconnector aur bhi niche daba rehta hai. Jisse sear ka lower projection aur disconnector ka lower projection ka milap hojata hai. Jab trigger ko press karta hai to disconnector apna posn se thora aage aur upar uthata hai. Jisse disconnector ke lower projection sear ke lower projection ko apni taraf aage ki aur khichta hai. Natija sear niche dabjata hai. Bolt carrier aur bolt freely aage harkat karta hai. Disconnector aur bhi niche daba rahne se bolt carrier aur bolt freely aage aur pichhe ki harkat karta hai. Aur automatic firing hota hai. Fire ko rokne keliye trigger ko release karna parta hai. Trigger ko release karne se sear apna normal condition mein aajata hai aur bolt carrier ko pichhe rokdeta hai. Dubara fire karne keliye trigger ko dabane ki jarurat parega. 

 

 

 

 

 

 

 

ABHYAS 

 

Ye tha bhag-I ka namuna abhi hoga is ka abhyas 

As per above trg aids. 

08 

20 

Abhyas puri class se karaya aye 

 

BHAG - II 

 

 

NAMUNA 

 

Mechanical Safeties 

 

Lock - LMG puri tarah lock hone ke baad hi rd fire hoga kyong ki, NEGEV LMG ke firing pin fixed hai aur jab bolt carrier ki aakhri harkat ke dauran bolt bayen se dahine ghumta hai tabhi fixed fg pin apna hole se nikalta hai aur fg pin rd ke primer par chot marta hai. Isi liye NEGEV LMG jab tak puri tarah lock nahi hoga rd fire nahi hoga, yadi lock hone se pahle fire hoga to firer aur hathyar ko nukshan pahuncha sakta hai, Isi liye lock ek mechanical safety hai 

 

Unlock  - LMG tab tak unlock nahi hoga jab tak LMG safe pressure mein nahi aata ya bullet muzzle ko nahi chodta hai. Yadi usse pahle unlock hojata hai to hadsha hoga. Isi liye unlock ek mechanical safety hai. 

 

 

NEGEV LMG, Grnd sheet 

08 

28 

Namuna bayan ke sath diya jaye 

 

 

4 

 

(a) 

(b) 

c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

 

Barrel safety Lever   - Yeh receiver ke Central Block Section mein hai. Is mein brl fit hota hai aur brl catch ke jariye lock karta hai. Ek mechanism bana hai joki ek projection se kaam karta hai jisse receiver cover ke bina khole brl catch ko dabane par bhi brl ko nahi nikal sakta hai nahi brl ko chara sakta hai, aur yeh receiver ke bayen side par rehta hai. Yadi lying ya standing posn se fire karte samay agar firer ki haath fore hand grip par ho to hosakta hai ki brl catch par challe jaye aur brl unlock hojaye. Firing ke dauran agar brl unlock hojaye to firer aur hathyar dono ko nukshan pahuncha sakta hai. Isi liye brl safety lever ek mechanical safety hai. 

 

Cocking knob safety - Yeh receiver ke Rail Section mein hai, rail section central block se receiver ka rear end tak extend hai. Ejection port ke niche cocking knob guide rail weld kiya huwa hai. LMG puri tarah cock nahi hone par rail mein bane ratchet (shaft) ne cocking knob ko moving mechanism ke saath ek sath aage jane se rokta hai isse unchahe firing ko rokta hai. NEGEV LMG ek open breech hathyar hai, yadi ek firer wpn ko puri tarah cock nahi karta hai to ratchet ne bolt carrier ko usi jagah par rok deta hai aur aage jane nahi deta. Yadi bolt carrier ko ratchet ne nahi rokta aur bolt carrier aage chale jate to rd feed, load, lock aur fire ki karwai hojata. Jabki us waqt firer fire ke liye tayar nahi hai aur anchahe hadsha ho sakta hai. (Yeh karwai jab belt feeding tray mein chara ho ya body mein atka rd ya link ke dauran ki hai). 

 

 

 

 

 

 

ABHYAS 

 

Ye tha bhag-II ka namuna abhi hoga is ka abhyas. 

As per above trg aids. 

10 

38 

Abhyas puri class se. 

7. 

SANKSHEP 

 

Shuru shuru ka kaam mein bandobast ki karwai pahle se kar li gayi thi jo ki mere dwara check ki gayi, class ki ginti groupon mein bant ho jane ke baad hathiyar aur saman ka nirikshan class ke dawara kiya gaya. Pichhle chal chuke  lesson se do sawal puchkar class se dohrai karaya gaya. Pahunch sabak sambandhit saaf aur choti batate hue uddesh ko bataya. Sabak se sambandhit saman ko pointer ki madad se dikhya gaya. Sabak tarteeb se chale aur class ko asani se samajh mein aaye is liye do bhagon mein chalaya gaya. 

 

 

 

02 

40 

 

5 

 

(a) 

(b) 

c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

 

Bhag -I      Trigger Mechanism. 

 

Q1 Fire selecter lever ki kitni posn hai? 

 

Ans.  Teen posn hota hai. 

 

Bhag -II     Mechanical Safeties. 

 

Q1.    Brl ko utarne aur charane ke liye sabse pahle kya karna padta hai? 

 

Ans.   Reciever cover ko kholna. 

 

 

 

 

 

 

 

टिप्पणियाँ