7.62mm NEGEV LMG ki firing posn aur fire karne ka tariqa sikhana hai.

 

Text Box 


 

 

LESSON PLAN 

BASIC 

 

SUBJECT: 7.62 MM NEGEV LMG KI FIRING POSN AUR SYLLABUS REF :INF SCHOOL, (MHOW) PRECIS 

FIRE KARNE KA TARIQA SIKHANA HAI 

SYLLABUS REF : LMG- II 

 

TIME ALLOTED: 80 MINUTES PERIOD NO- 

 

S/ 

NO 

TARTIB 

TEACHING POINTS 

TRG AIDS 

TIME 

REMARKS 

Actual  

Running 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

1. 

 

SHURU  

SHURU 

 KA KAM 

 

(a) Bandobast ki karwai. 

(b) Class ki ginti groupon mein bant. 

(c) Hathiyar aur saman ka nirakshan. 

 

 

 

 

01 

 

 

02 

 

Nirakshan class se karaya jaye. 

 

 

2. 

 

DOHRAI 

 

Q1. NEGEV LMG ka sight radius kitna hai? 

Ans:- 440 mm. 

 

Q2. NEGEV LMG ka kargar rg kitna hai? 

Ans:- 800m. 

 

 

 

 

01 

 

 

03 

 

Dohrai pahle  sabaq se liya jaye 

 

 

3. 

 

PAHUNCH 

 

Ek firer sahi shisht lekar fire karta hai to woh, ek goli ek dushman ka mudha hasil kar sakta haiIs liye LMG firer ko achha natiza hasil karne ke liye LMG ki sahi shist aur tgt ki kisam ke anusar fire karna ana chahiye taki tgt ko jaldi barbad kiya ja sake.   

 

 

 

01 

 

04 

 

Pahunch sabaq se sambandit ho. 

 

 

 

 

 

2 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

4. 

UDDESH 

 

7.62mm NEGEV LMG  ki firing posn aur fire karne ka tariqa sikhana hai. 

 

 

01 

05 

Do bar bataya jayega. 

5. 

SAMAN 

 

NEGEV LMG, aslt drum, belted drill cart, NEGEV zeroing tgt, white board, easel, duster, marker aur ground sheet. 

 

As per trg aids. 

01 

06 

Saman ko point karke batayenge. 

6. 

BHAGON MEIN BANT 

 

Bhag I     Firing Posn. 

Bhag – II    CQB Role mein istemal karne ka tariqa 

Bhag - III    Fire karne ka tarika. 

Bhag - IV    Harkati tgt ko engage karne ka tarika. 

 

01 

07 

Sabak ko tartibwar chalane ke liye. 

 

BHAG - I 

 

 

 

 

NAMUNA 

 

Firing Posn 

 

           Larai ke maidan mein 7.62 mm Negev LMG se kai prakar ke fg posn se fire kiya jata hai 

 

Laying Posn. zarurat jab firer ke samne 1 ft ya use kam arh ho ya kisi khule maidan se fire karna ho us samay laying posn ekhtiyar kiya jata hai. Is posn mein badan ka khaka chhota banta hai, jis se larai ke maidan dushman ki najar aur fire se bachte hue dushman ke uppar kargar fire dal sakte hai.    

 

Laying posn ekhtiyar karne ka tarika. Tgt ko dekhte hue, tgt ke sidh mein LMG ko align kare, dahine paon se tgt ke sath align Karen, aur dono hath se zamin par sahara lete hue posn ekhtiyar karen. Is posn mein dekhne wali baten:-   

  1. Tgt, LMG aur badan ek sidh mein ho. 

(b)    Badan ke nichhe koi chubhne wali cheej na ho. 

(c)    Bayen hath ki pakad butt ke niche se ho taki butt ko jyada se jyada support mil sake. 

 

IMGP3913 

10 

17 

ShapeNamuna bayan ke sath diya jaye. 

 

3 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

 

(d)    Dahine hath ki pakad pistol grip par ho. 

(e)    Dono paon ke toe jamin par lagi ho. 

(f)     Butt dahine kandhe mein ho aur LMG ko aage ki taraf push kiya ho jisse Bipod lock aur shoe jamin par gadi hui ho jisse fg ke dauran LMG ko sthirta milta hai. 

(g)    Yadi badan se LMG ko aage push karte samay bipod se sthirta pradan na mile toh bayen hath se bipod housing mein pakadte huye apne taraf khinche. 

 

         Yadi laying posn se firing posn ki jagah ko badli karne ki zarurat ho to sabse pahele butt kandhe ka milap toden, fire selective lever ki posn ko safe par Karen aur LMG ke bayen pehelu aage jaaye, Bipod ko pakadte huye LMG ko aage harkat den aur aage crawl karen. Yeh karwai tabtak jaari rakhen jabtak munasib jagah par na pahunche.  

Kneeling Posn.    Zarurat Jab Firer ke samne 2 se 2 ½ ft tak ki arh ho ya niche se upar ki taraf fire Karne ki jarurat pade ya sqd post trg ke dauran aadesh mile kneeling posn ke aadesh par kneeling posn ikhtiyar kiya jata hai 

karne ka tarika  

sabse pahle tgt ko dekhe, dahine paon chalte halat par aur bayen paon se tgt ke sath align Karen, dahine ghutne ke bal posn ekhtaiyar Karen, butt aur kandhe ka milap Karen, is posn mein dekhne wali baten bayen paon tgt ke sidh par dahine ghutne pura dahine, bayen ghutne ke takriban 90 degree ke angle mein aur zamin par tika hua, Body wieght dahine paon ki erri par, Bayen hath ke kohni ko bayen ghutne par is prakar rakhen ki  haddi se haddi ka milap na ho. Bayen hath ka pakar fore hand guard ya khule bipod par ho, kalme wali anguli trigger guard ke aar paar, aur butt ko dahine kandhe mein tika huwa ho nigah samne. 

 

Improvise kneeling Posn. Zarurat Jab LMG firer ke samne 2 fit se niche ke arh mile toh Improvise kneeling posn ikhtiyar Karen.  

 

Karne ka tarika Dahine paon ko chalti halat mein jane den bayen paon ko tgt ke sidh mein align Karen aur dahine paon ko fold karte huwe improvised kneeling posn ikhtiyar Karen.Posn mein dekhne wali baten bayen paon tgt ke sidh mein  

 

 

 

 

 

4 

 

 

half khula huwa ho dahine paon pura fold aur body weight dahine paon ke upar bayen hath ki kohni bayen ghutne ke upar dhayan rahen firing ke dauran haddi se haddi ka milap na ho dahine hath ki pakar pistol grip par aur nigah samne.   

 

Standing Posn. Zarurat  Standing posn se hum tgt par us waqt fire karte hai, jabki us tgt par kisi dusri posn se fire karna munasib na ho, harkat ke dauran jab achanak tgt samne aye ya firer ke samne 4 se 4 ½ ft tak ki arh ho us samay is posn ko istemal kiya jata hai 

 

Karne ka tarika  

 sabse pahle tgt ko dekhe, dahine paon chalte halat par aur bayen paon se tgt ke sath align Karen aur durust standing posn ikhtiyar Karen, butt aur kandhe ka milap Karen, is posn mein dekhne wali baten, bayen paon tgt ke sidh par, dahine paon thora dahine aur piche, dono paon khamb kiya huwa body wt dono paon ke upar, Bayen hath ka pakar khule bipod par ho, kalme wali anguli trigger guard ke aar paar, Dahine hath ka pakar pistol grip par, pet ko majboot Karen aur butt dahine kandhe mein tika huwa ho nigah samne. standing posn mein kisi bhi student koi sawal, sawal nahi to up. 

 

 

 

 

 

 

ABHYAS 

 

Yeh tha bhag - namunaAbhi hoga issi ka abhyas. 

 

05 

22 

Pure class se abhyas karaya jaye. 

 

BHAG - II 

 

 

 

 

NAMUNA 

 

CQB Role mein istemal karne ka tariqa Hamle, gali kuchon aur ghane junglon ki larai mein LMG ko muth bher ki larai mein estimal hone wale hathyaron ki tarah, kafi kargar taur par estimal kiya ja sakta hai. Jab LMG ko jaldi se estimal karne ki jarurat ho to is ko lejane keliye sling baye kandhe mein dalkar lejaye. Is ke liye do basic posn hai. 

 

(a) Hip PositionJarurat chalte samay achanak dushman samne aaye toh ya trg ke dauran aadesh mile samne dushman ke aadesh par  Hip posn ikhtiyar Karen karne ka tarika bayen paon ko tgt ke sidh mein  

 

05 

27 

 

 

5 

 

 (a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

align Karen dahine paon ko kad ke mutabik pichhe kholen . dekhen iss prakar iss posn mein dekhne wali baten. 

 

(i)       bayen paon tgt ke sidha align kiya huwa body weight bayen paon ke uper kham ho,dahine paon pichhe kham nikla huwa ho. 

(ii) Bayen haath ki pakar fold kiya bipod parya khola huwa bipod par ho,. Bayen haath ka baju assault drum ke saath sata laga huwa. yakin karen haath ka koi bhi hissa brl ke sath touch na ho 

(iii) Dahine haath ki pakar pistol grip par. Butt ko badan ke saath kohni se ander ki taraf daba huwa ho. 

               (iv)LMG ke sling bayen kandhe mein . 

(v) Nigah shamne tgt par 

 

Yadi goliyan POA se upar lag rahi ho to bayen paon ke kham ko    adhik karen aur yadi nechee lag rahi hon to kham ko kam karen. Yadi goliyan POA se bayen lag rahi hon to dahine paon ko thora  bayen karen aur yadi goliyan POA se dahine lag rahi hon to dahine paon ko thora dahine karen. 

(b) Bagal Posn.    Yeh posn hip posn ki tarah hi hai. Ismein:- 

 

(i) Butt dayen bagal mein dabaya jata hai. 

(ii) Badan ka jhukao thora kam hai. 

(iii) Sir siddha, ankh samne aur tgt ke bich mein hota hai. 

Note: CI/CT ke larai mein darwaje ya khidki se fire karne ki jarurat pade to LMG on bipod ya bipod fold karke bhi istemal kar sakte hain. 

 

 

 

 

 

 

ABHYAS 

 

Yeh tha bhag - namunaAbhi hoga issi ka abhyas. 

 

05 

S 

Pure class se abhyas karaya jaye. 

 

 

6 

 (a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

BHAG - III 

NAMUNA 

FIRE KARNE KA TARIQA          Alag alag halaton mein nikalne wale tgt par kargar fire karne ki kabiliyat se INSAS LMG ko banaya gaya haiINSAS LMG se do tariqon se fire karte hain :- 

 

(a)   Single Shot fire 

 

(b)   Automatic fire 

 

                     (i)     Burst Fire. (ii)    Rapid Fire. 

 

SINGLE SHOT FIRE(Lying posn se samjhana hai).Is prakar se ready tak ki karwai ho jane ke baad, dimagi taur par shareer ke un angon ko check karen jo LMG ko majboot pakar hasil karne mein madad karte hain. Jaise bayan hath, dahina hath, kandha aur shir . Ab saans ko normal halat mein chalne den. Back sight aperture ke madhya mein foresight tip ko rakhte huye POA par milayen. Durust sight alignment aur sight picture hasil karen. Fore sight tip 6 baje aur 12 baje ki line mein harkat karna chahiye. Trigger ko press karen. Dhyan rahe saans ko jyada samay kabu mein na kiya jaye (badan mei kampan paida hota hai). Goli fire hone ke baad usi posn mein pakar aur shisht ko kayam rakhte hure fore sight tip ki harkat ko check karen. Foresight tip jahan point kar raha hoga goli takriban usi jagah par lagi hogi. Ab saans ko chhor den aur maar ko pukaren. 

 

STOP     Fire karte samay tgt ilake mein koi jaandar vastu aa jaye ya trg ke dauran addesh mile ‘STOP’ to karwai is prakar karen. 

 

(a) Kalme wali anguli ko trigger se bahar nikale. 

 

  1. LMG ko kandhe se niche layen aur fire selector ki posn ko ‘S’ par karen. 

(c) Belt fed hone ke karan agar belt khatm horaha hai to belt ki badli karen aur agle hukum ka intezar karen. 

 

(d) Yadi raat ke dauran fire kar raha ho to belt ki nirikshan tatolkar kiya jaye. Yadi belt khatm horaha hai to belt ki badli Karen. 

 

 

05 

37 

 

 

7 

 (a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

 

GO ON     Agar tgt ilake se jandar vastu hat jaye ya trg ke dauran addesh mile ‘GO ON’ to fire selector ki posn ko pahle wala posn mein karen, butt kandhe ka milap karen aur LMG ko fire mein shamil karen. Yeh to tha STOP ya GO ON par karwai. Kishi bhi students ko koi sawal, sawal nahi.  

 

Up. Yahan se reporting ki karwai shuru hota hain. Report mangne par hathiyar aur saman ke report deta hain. Report. No-1 LMG thik. (Ustad apne jagah par ana hai) 

 

BURST FIRE(Khara hoke ustad apne jagah se bayan karna hain)   Jab ek firer fire selector ki posn ‘Auto’ par karke trigger dabata hai aur 2 ya 2 se adhik rds fire ho jaye use burst fire kahte hain.   

 

(a)   Burst kitna lamba ho yeh tgt ke rg, kism aur firer ki kabiliyat par nirbhar karta hai. 

 

(b) 2 se 3 rd ka burst sabse achha mana jata hai. 

 

(c) 4 se 5 rd ka burst tgt par phailkar lagta hai. Jisse firer apni maar ko dekhkar munasib correction de sakta hai. 

 

(d)    6 se 8 rd ka burst harkati tgt ko barbad karne ke liye sabse achha mana gaya hai. 

 

RAPID FIRERapid fire mein lagatar fire kiya jata hai.  Ismein ‘Stop’ aur ‘Go On’ ki karwai single shot ki tarah hi hota hai. NEGEV LMG open breech hone ke nate jab trigger release karta hai to bolt carrier pichhe hi ruk jata hai aur brl thanda hojata hai. Rate of fire (?) 

LIMBER UP        Firing se pahle firer ko chahiye ki woh firing posn ekhtiyar karne ke baad tgt par sahi shist lete huye apne badan ko aage pichhe ki harkat dekar apni posn check kare. Agar fore sight tip 12 baje aur 6 baje ki line mein harkat kar raha hai to firer ko apni posn durust man lena chahiye. Is karwai ko Limber Up ki karwai kahte hain. Yeh karwai firing ke dauran bhi mauka milte hi kar lena chahiye. 

 

 

 

 

 

8 

 

 (a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

ABHYAS 

 

Yeh tha bhag - I  namuna.  Abhi hoga issi ka abhyas. 

 

05 

42 

Pure class se abhyas karaya jaye. 

 

 

BHAG - III 

 

 

 

NAMUNA 

 

HARKATI TGT KO ENGAGE KARNE KA TARIKA. 

 

HATKAR SHIST LENA 

LMG se bhi hatkar shisht lene ka tariqa Rif ki tarah hi hai, lekin tgt ko engage karne mein farak hai.  LMG se tracking aur trapping donon tariqon se tgt ko engage kiya ja sakta hai. Trapping ka tariqa Tracking ke tariqe se achha mana gaya hai. 

  

(a)   TRAPPING Is tariqe mein tgt ko intezar kiya jata hai. Tgt ko engage karne ka tariqa is prakar hai :- 

 

(i) Tgt ka rg aur dishako malum karen aur sight ke upar rg lagayen. 

(ii) Tgt ki aage ek masoor nishan chune aur LMG ko us nishan par lay karen. 

(iii) Tgt ke raftar ko madhya najar rakhte huye tgt kalead nikalen.  

(iv) Masoor nishan se tgt ki taraf leadpar ek madad ki nishan chune.   

(v) Jab tgt chune hue madad ki nishan par pahunch jae to 6 - 8 rds ka burst fire masoor nishan par karen. Tgt apne lead par barbad ho jayega. 

 

Note:-5 prakar mein trapping ki tariqa se tgt ko barbad karne ka tariqa student ko bd par samjhana hai (Bina hawa ke, Hawa ke sath  dahine baye se chalne wale tgt ya hawa, Tgt ka lead minus hona, zero hona ). Isse pahele Tgt ki lead aur hawa ki lead bhi samjhana hai. Ek lead 24 Cm hota hai aur human tgt ka lead 48 Cm hota hai(2 lead aur 3 POA hota hain) 

Firing ki lihaj se tgt ka teen stages hota hai. Chalta, Daurta aur Tej Daurta.  Firing ke lihaj se hawa ki bhi teen prakar hote hain. Halka, tez aur bahut tez 

 

20 

62 

 

 

 

 

9 

 

 (a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

Tgt aur hawa ke lead table 

Tgt ka Lead Table 

Hawa ka Lead Table 

Range 

(Mtr) 

Chalta 

Daurta 

Tez Daurta 

Range 

(Mtr) 

Halka 

5km/h 

Tez 

10 km/h 

Bahut Tez 

15 km/h 

100 

1 

2 

3 

100 

- 

- 

- 

200 

2 

4 

6 

200 

- 

- 

- 

300 

3 

6 

9 

300 

- 

- 

1 

400 

4 

8 

12 

400 

- 

1 

2 

500 

5 

10 

15 

500 

1 

2 

3 

600 

6 

12 

18 

600 

2 

3 

4 

700 

7 

14 

21 

700 

2 

4 

6 

800 

8 

16 

24 

800 

3 

6 

9 

 

Note     Tgt ki dono paon niche - CHALTA, ek paon upar - DAURTA, Dono paon upar  - TEJ DAURTA. 

 

 

 

 

 

 

ABHYAS 

 

Yeh tha bhag - III  namuna.  Abhi hoga issi ka abhyas. 

 

16 

78 

Pure class se abhyas karaya jaye. 

7. 

SANKSHEP 

 

        Shuru shuru ke kaam mein bandobast ki karwai pahele se kardiya gaya hai. Class ki ginti groupon mein bant ho jane ke baad hathiyar aur saman ka nirikshan class se karaya gaya. Dohrai pichhle lesson se kiya gaya. Pahunch sabaq sambandit saaf chhota aur saral batate hue uddesh ko bataya. Sabaq sambandit saman ko kneeling posn se ek ek kar ke dikhya. Sabaq tarteeb se chale aur class ko asani se samajh mein aaye is sabaq ko do bhagon mein chalaya gaya. 

 

Bhag I Firing Posn.  

 

Q1.     2’ se 2.5’ ka aarh milne par kaun sa fg posn ikhtiyar kiya jata hai ?  

Ans.   Kneeling Posn. 

 

 

 

02 

80 

Agle lesson se contact kiya jaye. 

 

10 

 

(a) 

(b) 

(c) 

(d) 

(e) 

(f) 

(g) 

 

 

Bhag II CQB role mein Negev LMG ka istemal. 

           

Q1.     CQB role mein Negev LMG ko kitne posn se fire kar sakte hain? 

Ans.     2 prakar ka. 

 

Bhag III Fire karne ka tarika 

 

Q1.     LMG se kitne prakar ka fire kiya jata hai? 

Ans.     2 prakar ka. 

 

Bhag III Harkati tgt par engage karne ka tarika. 

 

Q1.     LMG se harkati tgt barbad karne ka tarika kaun kaun sa hai? 

Ans.   Tracking aur trapping ka tariqa. 

 

Yahan par lesson sankshep ke sath samapt hota hai. Abhi bhi pure lesson mein kisi bhi student ka koi sawal. Aapka aagla lessonNEGEV LMG ki chaal, parne wale roken aur unhen  dur karne ka tariqa sikhana hai. 

 

 

 

 

 

 

टिप्पणियाँ