7.62x51MM Negev LMG ki visheshtayen, kholna, jorna aur safai karne ka tariqa sikhana hai
LESSON PLAN
BASIC
SUBJECT: 7.62 x 51 MM NEGEV LMG KI VISHESHTAYEN, KHOLNA, SYLLABUS REF : INF SCHOOL (MHOW) PRECIS
JORNA AUR SAFAI KARNE KA
TARIQA SIKHANA HAI SYLLABUS REF : LMG - I
TIME ALLOTED : 80 MINUTES PERIOD NO : 01 & 02
S NO | TARTIB | TEACHING POINTS | TRG AIDS | TIME | REMARKS | |
Actual | Running |
| ||||
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
1. | SHURU SHURU KA KAM |
(a) Bandobast ki karwai. (b) Class ki ginti groupon mein bant. (c) Hathiyar aur saman ka nirikshan. | As par trg aids | 01 | 01 | Ustad khud nirikshan karega |
2. | DOHRAI |
Q1 5.56 mm INSAS LMG ka kargar range kitna hai? Ans : 700m.
Q3. Inf Bn mein kitni LMG auth hain? Ans : 40
|
| 01 | 02 | Dohrai pichhle lesson se liya jaye. |
3. | PAHUNCH |
Aaj ke yug mein har ek desh apni fauj ki taqat ko badhane ke liye naye naye wpns ko samil kiya ja raha hai. 7.62X51MM NEGEV LMG Inf Sec ka achchha aur lambe range tak maar karne wala automatic hathiyar hai. Is hathiyar ki khubiyong ka bharpur faida uthane ke liye Sec ke har ek jawan ko is hathiyar ke bare mein jankaki hona jaruri hai. |
| 01 | 03 | Sabaq se sambandit ho. |
2
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
4.
| UDDESH
|
7.62x51MM Negev LMG ki visheshtayen, kholna, jorna aur safai karne ka tariqa sikhana hai |
| 01 | 04 |
|
5. | SAMAN |
NEGEV LMG, aslt drum, spare brl, accy pouch, drill carts, carrying sling, chindi, tgt, long esal, Board, duster, pointer, ground sheet. |
| 01 | 05 | Point karke bataya jaye. |
6. |
BHAGON MEIN BANT |
Bhag - I NEGEV LMG ki visheshtayen, tech data aur accy se jankari.
Bhag - II NEGEV LMG ko kholna, hisse purjon ke naam, kaam, jorna aur safai karne ka tariqa.
Bhag - III Aslt drum ko bharna, khali karna, LMG ko bharna, ready, make safe aur khali karna
|
| 01 | 06 | Sabaq ko assani se sikhane ke liiye |
| BHAG-I
NAMUNA |
NEGEV LMG KI VISHESHTAYEN, TECH DATA AUR ACCY SE JANKARI.
1. VISHESHTAYEN (a) Hydraulic buffer hone ke karan recoil na ki barabar hai, aur is wpn se apne baju ke taqat se bhi fire karsakta hai. (b) Mil Std 1913 Picatinny Rail diya hai.
(c) Adverse condition mein gas badhane keliye regulator diya hai.
| LMG, Aslt drum, Accy pouch, carrying sling, drill carts. | 10 | 16 | Bayan ke sath namuna diya jaye |
3
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
|
(d) Aslt drum ke dwara feeding sytem aur 120Rds lagatar fire kar sakte hai. (e) Adjustable butt stock aur cheek rest diya hai.
(f) Backup iron sight diya hai.
(g) Kam Roshni ya kharab Mausam keliye Beta Light ki suvidha hai.
(h) Sturdy/Majbut bipod diya gaya hai.
2. TECH DATA
(a) Caliber - 7.62mm (M-80Amn)
(b) Wazan (i) LMG - 8.2 kg (ii) Aslt Drum - 473 Gm (iii) Aslt drum wt with 120rds - 3.9kg
(c) Length (i) Stock Open - 1100 mm. (ii) Stock Close - 1030 mm (d) Barrel Length - 508 mm (20”). (e) Muzzle Velocity - 850 m/s (f) Sight Radious - 440 mm. (g) Rifling - 4 RH Grooves, 1:12” (305 mm). (h) Sidhant - Open Breech, Gas oprated with Rotating Bolt Locking. (j) Feeding - Belt/ Aslt drum. (k) Drum Capacity - 120Rds.
|
|
|
|
|
4
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
|
(l) Rate of Fire (i) 600 se 800 Rds/Min.
(m) Sights (i) Rear Iron Sight - Rear Aperture type, 300-1000 mtr (100 mtr ke antaral mein). (ii) Backup Rear Sight - Post type (Built in Picatinny Rail-300M) (iii) Beta Light - Kam Roshni ya kharab Mausam ke liye. (iv) Front Iron Sight - Post Type Upar, niche, dahine aur bayen correction ke liye. (n) Eff Range - 800 Mtr (o) Bipod - Telescopic Bipod. (p) Stock - Telescopic, 5 Step adjustable. (r) Cheek Rest - 5 step adjustable. (s) (t) Amn - 7.62x51mm (M-80Ball), 7.62x51mm (M-62 Tracer), Link (M-13). (u) Trigger pull - 4-6 Kg (v) Barrel - Cold Hammered, Hard Chromium plated. (w) Mech safety - Lock, Unlock, Retchit Mech aur Recevier Cover. (x) Chamber - Tapered (y) Gas Regulator - Variable Intake (z) Fg Mode - Safe, Semi- Automatic and Automatic. (aa) Penetration - 3.5mm of Mild Steel at 50mtr. (ab) Belt Lift Capability - 85 Rds (ac) Brl Life - 20000Rds (ad) Extractor Life - 8000Rds (ae) Firing Pin Life - 25000Rds
|
|
|
|
|
5
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
|
3. ACCY SE JANKARI NEGEV LMG 7.62 x 51 mm ke sath 04 parkar ki accy aate hain: -
(a) Spare Brl 7.62 x 51 mm - 01 (b) Aslt Drum - 05 (c) Carrying Sling - 01 (d) Spare part bag for carriage of spare Brl - 01
4. ACCY POUCH KA SAMAN - (13 item accy aata hai) (a) Soft Case Assembly (b) Spares and tools. (i) Pin For grip. (ii) Spring Gas Regulator. (iii) Spring Firing Pin. (iv) Ruptured Case Extractor. (v) Chamber cleaning brush, brass (vi) Extracting tool for mechanism housing connector (vii) Cleaning rod (viii) Receiver cleaning brush (ix) Oil can (x) Cleaning kit box (xi) Barrel cleaning brush, brass (xii) Nylon brush (xii) Multi-purpose tool
|
|
|
|
|
6
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
ABHYAS |
Yeh tha bhag - I ka namuna. Abhi hoga issi ka abhyas. |
|
10 |
26 |
Abhyas sawal jawab se. |
|
BHAG - II
NAMUNA |
KHOLNA, HISSE PURJON KE NAAM, KAAM, JORNA AUR SAFAI KARNE KA TARIQA
1. KHOLNA (Student ko hathiyar ke najdik bulakar bayan ke sath samjhana hai)
(a) Sabse pahle yakin karen chal wala purja aage ho aur fire selector ki posn semi-auto ya auto mein ho.
(b) Receiver cover catch ko dabate hue receiver cover ko kholde. Barrel catch ko dabate hue barrel ko alag karen.
(c) Stock base catch ko dabate hue stock ko upar ki taraf uthaye aur alag karen.
(d) Return spring base ko dono hath ke anguthe se under ki taraf push kare aur upar ki aur uthaye sathi bahar nikalde.
(e) Trigger ko press karte hue cocking handle ko jhatka se pichhe ki taraf khiche aur bolt carrier assembly ko nikalde. Bolt catch ka rear end par dabate hue bolt ko clockwise ghumaye aur bolt ko alag karde.
(f) Mechanism housing connector ko push karte hue bahar nikalde sathi trigger mechanism assembly ko alag karde.
|
LMG, Aslt Drum, accy pouch, aur sling |
25 |
51 |
Bayan ke sath namuna diya jaye |
7
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
|
2. NEGEV LMG 7.62 Seven (7) Assemblies se bana hua hai.
(a) Barrel Assembly. (b) Stock Assembly. (c) Return Spring Assembly. (d) Bolt Career Assembly. (e) Trigger Mechanism Assembly. (f) Bipod Assembly
(g) Receiver Assembly
3. Barrel Assembly. Barrel assembly receiver ke sath ek quick connector se attach hai joki ek soldier action ke daruan turant nikalkar jorsakta hai. (Barrel ko nikalna aur jorne ke liye receiver ko kholna jaruri hai).
(a) Flash suppressor/ Jump compensator. (b) Barrel subassembly. (c) Front sight assembly. (d) Carrying Handle. (e) Gas Cylinder Block. (f) Gas Regulator. (g) Lock housing (Barrel extension) - Barrel sub assembly ka hissa hai.
Fore sight assembly mein fore sight tip hai, joki do section se banne hai aur ek plunger dwara lock hai. Upar wala section mein ek beta light diya huwa hai. Jaruri hai zeroing ke daruan akhri mein beta light ko firer ki taraf ghumade.
|
|
|
|
|
8
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
|
4. Stock Assembly - Stock Assembly kuchh parts ka milkar bana hua hai joki ek firer isko alag alag kholne ki jaruta nahi hai. Yeh 2 sub assembly se bana hua hai. Butt ki lambai ko fire apni suvidha anusar, firing positions aur postures ke hisab se badly karsakta hai. Cheek rest ko asani se apne dono hathon ki madad se adjust karsakta hai.
(a) Stock Based Assembly.
(i) Stock Base. (ii) Guide. (iii) Hydraulic Buffer - Stock base aur guide ko screw threads ke dwara connects karta hai. (iv) Stock Base Catch. (v) Position Locker.
(b) Stock Body Assembly - Dono sub assembly plastic ka bana hua hai.
(i) Stock Body Sub Assembly. (ii) Cheek Rest Assembly. 5. Return Spring Assembly - Return spring assembly bolt career ko aage aur pichhe ki harkat pradan karata hai. Ismein nimn shamil hai:-
(a) Return spring guides (Two Rods). (b) Return Springs (c) Return spring base.
|
|
|
|
|
9
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
|
6. Bolt Carrier Assembly - Is mechanism se feeding, loading, locking, firing, unlocking, extraction, ejection aur cocking ki karwai karta hai. Is mein nimn shamil hai:-
(a) Bolt Carrier - Bolt carrier sare chal wale purjon ko jagah deta hai. Front mein ek piston aur rear mein bolt install hai. Bolt, bolt carrier mein locking ke daruan 35° mein ghumata hai.
(b) Bolt - Bolt chamber ke rear end mein firing ke daruan lock rehta hai. Bolt ready rd ko belt se feeding aur spent case ko extract karta hai. Bolt ke do hissa hota hai.
(aa) Bolt - Firing ke daruan sare pressure ko jajab karta hai. Is ke front mein 4 locking lugs hai joki brl extension ke corresponding lugs se locking ke dauran milap hota hai.
(ab) Extractor - Extractor bolt face mein maujud hai. Feeding ke daruan cartridge ke rim par sawar hojata hai aur pichhe ke harkat ke dauran chamber se fire case ko extract karta hai. (c) Firing Pin - Fixed firing pin pura lock hone ke baad chamber wala rd ke primer par chot marta hai.
7. Trigger Mechanism Assembly - Jismein shamil mechanical housing hai aur grip pradan karne ke sath parts bhi is mein install hai. Mechanism housing welded sheet metal parts ka bana hua hai. Ismein niche diya gaya parts shamil hai.
(a) Trigger and trigger guard - Sheet metal ka bana hua hai. (b) Fire selector - teen position hai. Trigger mech ke baren mein aapko lesson No 4 mein detail mein jankari diya jayega.
|
|
|
|
|
10
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
|
8. Bipod Assembly - LMG ko prone position pradan karta hai jisse firing ke daruan stability aur accuracy barhata hai. Firer apne kad ke mutabik upar aur niche sathi firing ke daruan grip ka bhi pradan karta hai. Bipod ke parts:- (a) Legs. (b) Springs. (c) Bipod Base. (c) Knob (adjustment ke liye).
9. Receiver Assembly. Ek box numa receiver assembly bent sheet metal ka hai aur steel parts weld kiya hua hai. (a) Receiver ke sath niche diye gaye assemblies jora hua hai.
(i) Rear Sight Assembly. (ii) Belt feeding system. (iii) Trigger mechanism assembly. (iv) Bipod Assembly. (b) Yeh receiver char section se bane hue hai.
(i) Front Section - Receiver ke shuru se lekar jaha brl lock hota hai. Front block se brl ko support karta hai aur bipod ka base banta hai. Receiver front end mein ek hole hai joki LMG ko koi machine rest se attach kar sakta hai.
(ii) Central Block Section - Yeh milled steel central block receiver se weld kiya hua hai. Is mein brl fit hota hai aur brl catch ke jariye brl lock hota hai.Is ke brl locking mechanism ek projection laga hua hai jis ke karan receiver cover ke bina khole brl ko nahi nikal sakte hai. Yeh ek mechanical safety hai, iske baren mein aapko LMG ka lesson No-4 mein detail mein batadiya jayega.
|
|
|
|
|
11
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
| (iii) Rail Section - Rail section central block se receiver ke rear end tak extended hai. Ejection port ke niche cocking handle guide rail weld kiya huwa hai. LMG puri tarah cock nahi hone par rail mein bane ratchet (shaft) cocking knob aur breech blok ko ek sath aage jane se rokta hai is se cocking ke dauran accidental fire nahi hotai. Yeh bhi ek mechanical safety hai, iske baren mein aapko LMG ka lesson No-4 mein tafsil mein batadiya jayega (iv) Rear Block Section - Rear block receiver ka rear end par attach Kiya hua hai. (c) Rear Sight Assembly - Ek sight base par rear sight mounted hai. Sight ke sare components ek steel base se attached hai. Elevation drum ko pura clockwise ghumane se sight se detach hojata hai. Isi condition mein sight ko 180° ghumane se ek night sight banjata hai, ismein ek ‘U’ notch dikhai deta hai jiske dono side par beta light sight laga hua hai.
(i) Rear Sight Assembly. (ii) Elevation Drum. (iii) Rear Sight Plunger
(d) Belt Feeding Mechanism - Teen assemblies ka bana hua hai.
(i) Belt Tray Assembly - Feeding mech ka ek hissa hai. (ii) Receiver cover assembly - Central block ka rear end par joda gaya hai. Ismein kai sare parts jora hua hai.
(aa) Receiver cover assembly. (ab) Retaining Pawls (front and rear). (ac) Positioning Pawls (Front and Rear). (ad) Feed and ejection opening covers. (ae) Receiver cover catch.
|
|
|
|
|
12
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
| (iii) Feeding Lever - Yeh receiver ka left hand side par jura gaya hai. Ismein kai sare main parts jura hua hai. Yeh ek central pivot par mounted hai, jiske wajah se upar niche ki harkat pradan karta hai. (aa) Feeding lever subassembly. (ab) Rear and front pawls. (ac) Lever bearing. 14. JORNA Agar ek se jyada wpn khule ho to regd No milakar jode jaye. (a) Roteting bolt ko bolt carrier mai jode. (b) Trigger mech ko jode. (c) Bolt Carrier ko jode. (d) Returning Spring ko lagaye. (e) Stoke ko lagaye (f) Brl ko lagaye.
15. Safai karne ka tariqa LMG ke rakh rakhaav ka sabse imp stage maint hai. is prakaar, hathiyaar ke life ko lamba karane aur rokon se door rakhne ke lie aapko sabhee rakh rakhaav ke nirdeshon ka achhi tarah palan karna chahie. Yadi daily safai karna mumkin na ho to niche diye parts ko saaf karke rakhe. Yeh niyamit taur par har 2000 rds fire karne ke baad niche diya parts ka safai kiya jana chahiye.
(a) Gas regulator aur uska housing. (b) Piston aur uska housing. (c) Chamber aur barrel bore
16 Safai ke liye chindi ka size (a) Safai keliye - 4” x 2” (b) Oil ke liye - 4” x 1.5”
|
|
|
|
|
13
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
|
17. Safai ke teen stage hote hain (a) Aam safai
(i) Rojana ki Safai. Cleaning brush ki madad se LMG ke bahari hisson ko saaf Karen. Cleaning rod ki madad se brl ko saaf kare. Chamber aur gas regulator ko saaf Karen. Bolt aur spring ko halka oil lagaye. Dhyan rahe brl mai oil na lagaye.
(ii) Weekly. Daily maintinence ki tarah hi hai. LMG ke sabhi hisse purjon ko oil ki madad se safai Karen. Nylon brush ki madad se receiver ke ander wale bhag ko safai Karen. Sabhi purjon ko halka oil laga de. Dhyan rahe brl mai oil na lagaye
(iii) Monthly. Monthly safai, weekly safai ki tarah Karen aur armr dwara niche Diye gaye parts ko check karayen. (aa) Firing Pin aur bolt main koi nuks. (ab) Extrector aur ejectore ki harkat ko check Karen. (ac) Piston grip aur cocking knov main nuks ko check kare. (b) Firing ke lihaj se
(i) Firing se Pahle Barrel ko rod aur chindi ki madad se safai karen. Bolt carrier ke 8 jagah par ek ek drop oil lagade - Slide ke dono taraf 2/2 drops, 1 drop bolt guide pin helix mein aur bolt ke neck mein 1 drop aur upar wala slide ked ono taraf 1/1 drop. Barrel se oil safai karna isliye jaruri hai ki oil ek sukhne wala chiz nahi hai. Oil wala barrel se firing karne par barrel ke ander ka rifling kharab hosakta hai, lambe samay ki fg ke daruan. (ii) Firing ki dauran LMG ko firing ki dauran bhi pull through se safai karte rehna chahiye. Iske faide yeh hai ki gas faulling nahin hota.
|
|
|
|
|
14
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
|
(iii) Firing ke baad Hathyar ko kholde. Wpn ke sabhi parts ko oil laga chindi ke madad se safai karde. Multipurpose tool ki madad se hard gas ko safai karen. Brl bore ko oil laga chindi se safai karen. Sukha chindi ki madad se sabhi purje ko sukha de shamil brl bore. Aur yeh karwai jab tak karen tab tak chindi mein koi ganda na aaye. Achhi tarah safai hojane ke baad after firing insp karwaye. Moving mechanism rails ko oil lagade (bolt carrier aur bolt). Receiver rails ko bhi oil lagaye.
(c) Mausam ke lihaj se
(i) High Alt Ati shard ilake main hathiyar par jaga oil jam jata hai. Is liye rojana mauka milate hi hathiyar ko saaf kare aur oil badli Karen.
(ii) Desert Ati garam ilake mai dhul garda hathiyar ke purjon mai chala jata hai. Is liye rojana hathiyar ko saaf kare muzzle cover aur aslt drum ko laga kar rakhen.
(iii) Namidar Ilaqa Narmidar ilaqa mein hathiyar mein nami ka asar ho sakta hai. Jisse jung lagne ka khatra hota hai. Isliye hathiyar ko rojana niyamit saaf karen aur muzzle cover lagakar rakhen.
(iv) Gila aur Kichhar Gila Mausam mein hathyar par laga tel saaf hojata hai aur natija friction jyada hosakta hai, isliye oil bhari matra mein lagadena chahiye, kha skar receiver ka aage wala hissa aur bolt surface aur receiver ka contact surface par.
|
|
|
|
|
15
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
| LUBRICATION
(a) 4° se above - OX - 52. (b) 4° se - 18° - OX - 13. (c) - 18° se - 40° - OX - 13 + Superior Quality K/Oil 1:1. (d) - 40° se - 50° - OX - 13 + Superior Quality K/Oil 2:3.
|
|
|
|
|
| ABHYAS |
Class se kholne jorne ka abhyas karaya jaye. |
| 15 | 66 | Pure class se abhyas karaya jaye |
| BHAG - III
NAMUNA | Aslt drum ko bharna, khali karna, LMG ka bharna, ready, make safe aur khali karna
AMN KI SAFAI Belt ko len aur saaf kapre se saaf karen. Aslt Drum ko bharna NEGEV LMG 7.62 x 51 mm mein belted amn ka estimal hota hai. Aslt drum mein rd ko bharne keliye extracting tool for mechanism housing connector ko drum ke upar lip mein banne hole ke under dale jisse plunger khuljaega. Drum ke side se kholde, saaf kiya huwa belt ko len. Belt ko drum ke ander is prakar se dakhil karen ki rds ke bullet wala bhag aage ki taraf ho. Plunger ke dwara 5/6 rd ko drum ke bahar nikalde aur extracting tool for mech housing connector ko nikalde. Ab rds plunger ne ander girne se rokdega. Abhi belt ko drum ke ander achhi tarah se lapet karke jis tarh dalde ki feeding ke daruan koi rukawat na ho. Is prakar ek aslt drum ke ander 120 rds aata hai aur 120 rds hi bhara jata hai.
Aslt Drum ko khali karna Khali karne keliye extracting tool for mech housing connector ko pahle wala hole mein dalde. Drum ko side se kholde aur belt ko bahar nikalde, ya belt ko upar ki taraf se khinchte hue bahar nikalde.
| LMG, Mag, drill carts | 08 | 74 | Ustad namuna bayan ke sath den |
18
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
| LMG KO BHARNA, READY, MAKE SAFE AUR KHALI KARNA Jab LMG par belt na chada ho, chamber khali ho aur fire selector ki posn ‘S’ par ho to LMG khali mana jata hai. Jab belt chada ho aur fire selector ki posn ‘S’ par ho aur, chamber khali ho to LMG bhari hui mana jata hai. Jab LMG bhar ki halat mein ho aur cock ho, fire selector ki posn ‘Semi Auto’ ya ‘Auto’ par ho. Kalme wali ungli trigger par ho to LMG ready mana jata hai.
(Ek firer kis prakar se bhar, ready aur khali karke karwai karta hai isi karwai ka namuna hathiyar par bayan ke sath dunga aap dekhen aur samjhe. Laying posn se bayan ke sath namuna dena hai)
BHAR KE HUKAM PAR KARWAI Jab firer ko fire karne ki jarurat ho ya trg ke dauran addesh mile bhar, to karwai is prakar karen. Fire selector ki posn ko ‘Safe’ par karen Reciever catch ko dabate huye receiver ko kholde. Belt ko len aur feeding tray mein fit karde, yakin karen ki pehla rd chmber ki shidh mein na ho. Reciever cover ko band kar de. Agle hukum ka intezar karen.
READY Jab firer ko fire karna ho ya trg ke daruan aadesh mile ready to karwai is prakar se karen. Fire selector ki position ko ‘Semi Auto’ ya ‘Auto’ par karen. LMG ko cock Karen. Butt aur kandhe ka milap karen, Kalmi wali ungli trigger per aur agle hukam ka intazer karen.
MAKE SAFE Jab LMG ko bhar halat mein ek jagah se dusre jagah lejana ho ya sqd post trg ke dauran adesh mile “make safe” to karwai is prakar kare - Sabse pahle fire selector ki position ‘Safe’ par kare. Butt aur kandhe ka milap tode. Reciever catch ko dabate hue receiver cover ko kholle. Feeding tray se belt ko bahar nikale aur belt ko saaf jagah par rakhe. Reciever cover ko band karde. LMG ko do baar cock aur trigger press kare. Fire selector ki posn ko ‘Safe’ par karen.
|
|
|
|
|
19
(a) | (b) | (c) | (d) | (e) | (f) | (g) |
|
|
Reciever cover ko khole aur belt ko lagaye yakin Karen ki pahla rd chamber ki sidh main na ho aur receiver ko band kare. KHALI KARNA Make safe aur khali kar mein anter itna hai ki make safe mein akhri mein belt charaiya jata hai magar khali kar mein akhri mein belt nahi charate. |
|
|
|
|
|
ABHYAS |
Yeh tha bhag - IV ka namuna. Abhi hoga issika abhyas. |
| 04 | 78 | Puri class se abhyas karaya jaye. |
7. |
SANKSHEP
|
Shuru shuru ke kaam mein bandobast ki karwai pahele se kardiya gaya hai. Class ki ginti groupon mein bant ho jane ke bad pahla lesson hone ke karan hathiyar aur saman ka nirikshan mere dawara kiya gaya. Dohrai pichhle lesson se kiya gaya. Pahunch sabaq sambandhit saaf chhota aur saral batate hue uddesh ko dohraya gaya. Sabaq se sambandit saman ko kneeling posn se small pointer dwara ek ek karke dikhya gaya. Sabaq tarteebwar chale aur asani se samjhane ke liye sabaq ko chaar bhagon mein chalaya gaya
Bhag - I NEGEV LMG 7.62 x 51 mm ki visheshtayen, tech data aur accessories se jankari.
Q1. NEGEV LMG 7.62 x 51 mm ka kargar rg kitna hai? Ans. 800m.
Bhag – II LMG ko kholna, hisse purjon ke naam, jorna aur safai karne ka tariqa. Q2. NEGEV LMG kitne assy ki bani hui hai ? Ans. 7 assy ka bana huwa hai. Bhag - III Aslt Drum ko bharna aur khali karna, NEGEV LMG ka bharna, ready, make safe aur khali karna. Q3. Bhar ki Aadesh par sabse pahle kya karwai kiya jata hai? Ans:- Yakin kare ki Fire selector ki posn ko safe par ho. Receiver cover catch ko dabate huye reveiver ko khole. Yahan par lesson sankshep ke sath samapt hota hai. Abhi bhi pure lesson mein kisi bhi student ka koi sawal. Aapka aagla lesson NEGEV LMG se pakar, shisht aur fire karne ka tariqa sikhana hai. |
| 02 | 80 | Agle lesson se contact kiya jaye |
Nrikshan:-
1. Yakin Karen ki fire selector ki posn safe par ho. Aslt Drum/Belt ko utare.
2. Fire selectore ki posn ko semi Auto par karen aur LMG ko cock Karen, Cocking handle ko aage jane de.
2. Receiver cover catch ko dabate huye Receiver cover ko khole aur yakin kare ki chamber khali hai. Brl locking catch ko dabate huye brl ko utaren aur brl ka nirikshan Karen. Brl ko laga de. S/Brl ko bhi isi prakar nirikshan kar ke lagaya jaye Receiver cover ko band kare.
3. Brl aur nigah ko surakshit disha mai karte huye trigger ko press kare.
4. Fire selector ki posn ko auto par Karen LMG ko cock Karen, Cocking handle ko aage jane de.
5. Brl aur nigah ko surakshit disha mai karte huye trigger ko press kare. Fire selector ki posn safe par kare
6. Shist aur fire main kaam aane wale hisse-purjon ko check kare.
(a) Jump Compensator/ Flash Suppressor
(b) Bipod
(c) Fore Sight tip aur Fore Sight protector
(d) Gas regulator ki posn ko badly kar ke check Karen.
(d) Rear Singt ko harkat de kar check kare aur 180Digree khada kar ke check Karen.
(e) Rear Sight ko khol de aur beckup sight ko khada kar ke check Karen. Rear sight ko jode de.
(f) Butt ko harkat de kar check kare aur cheek rest ko harkat de kar check kare.
(g) Ejection slot cover ko band kare.
8. Parde par aaye sabhi saman ko check kare.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know