FASLE KA ANUMAN LAGANA
Fasle ka Anuman Lagane par Asar Dalne Wali Baten
1. Fasle ka anuma lagate samay asar
dalne wali do baten hain :-
(a) Zamin ki banawat
(b) Mausami halat.
2. Chahe ham kisi bhi tarike se duri ka
anuman lagaen, mausum ya zamin ki banawat ke karan fasla kam ya jaida lagta
hai. (Pahle ham dekhte hain ke fasla asal se kam dikhai kab deta hai yani lakshya
jitna dur hota hai woh kab kam duri par malum padta hai).
3. Fasla
Asal se Kam Lagane ke Karan.
(a) Jab roshni tej hoti hai ya suraj
prekshak (observer) yani dekhne wale ke pichhe chamkta
hai.
(b) Jab lakshya aas-pass ki chizon se
bara hota hai.
(c) Jab
prekshak aur lakshya ke beech kuch agochar bhumi (dead ground) ho.
(d) Jab neche se upar ko dekhte hain
jaise ke pahadi ilaque mein.
4. Abhi ham dekhte hain ke duri zaida
kyon lagti hai. Yani (Lakshya jitna dur hota hai, usse bhi aage malum padta
hai).
5. Fasla Asal se Ziada Lagne ke
Karan.
(a) Jab roshni kam hoti hai ya suraj
prekshak ki ankhon mein adti padti ho.
(b) Jab laksh aas-pass ki chizon se chota
hota hai.
(c) Jab
ghatti (valley) ke par dekhten hain.
(d) Jab nichhe let ke (Lying position)
dekhten hain.
(e) Jab laksh ko street yani galion,
jungle ki pagdandi jaise tang jagon ke bich se dekhte
hain.
(f) Jab
pahadi ilaque mein upar se niche dekhten hain.
Fasle Ka Anuman Lagane Ke Tarique Aur Mafi Galti
6. Duri napne ke tarique.
(a) Ikai ka tarika (map unit ka tarika).
(b) Dikhai ka tarika.
(c) Awaz
ka tarika.
(d) Bearing ka tarika.
7. Ikai ka Tarika (Unit of Measure
Method). Is tarike se kaam lene
ke liye jawan zamin par 100 gaz tak ki duri ka anuman lagane mein mahir hona
chahiye. Is tarike se 400 gaz tak ki duri asani se napi ja sakti hai. 400 gaz
tak ke target ki duri malum karne ke liye pahle 100 gaz tak ka anuman lagao
phir usse 100-100 gaz ki badotri tab tak karte raho jab tak usse target tak na
pahunch jaye. Isse us target ki duri malum ho jayegi 400 gaz se agge dur ke target
ki duri ke liye is tarah malum karo. Us target ki adhi duri ka upar batay dhang
se andaja lagao phir us duri ko dugna kar do. Isse target ki duri malum ho
jayegi. Is tarike ki kamyabi kewal 1000 gaz tak ke tarangeeton ke liye hai.
8. Laksh Dekhkar Uski Duri Malum
Karna (Appearance Method).
Is tarike mein laksh ki duri ka andaza is baat se lagaya jae ki woh kitna bada
ya uski dusri chizen kitni dikhai deti hain. Is tarike se sahi duri tabi malum
hogi jab jawan ko yah pata ho ki kitni kitni duri par koi chiz kitna bada
dikhai deta hai.
(a) 200 m par - Jawan ka pura sharir saaf
dikhai deta hai.
(b) 250 m par - Ghutne tek position mein
jawan fore sight blade se cover ho jata hai.
(c) 300
m par - Chehra dhundla dikhai deta hai.
(d) 400 m par - Pura sharir dikhai deta
hai, lakin chahra saaf nazar nahin ata. Foresight tip khare admi ko cover karta
hai.
(e) 500 m par - Kandhe se uparwala hissa
patla dikhai deta hai, anng dikhai nahin dete aur
pura sharir patla dikhai deta hai.
(f) 600
m par - Sir, nukta jaisa dikhta hai,ang dikhai nahi dete aur pura sharir patla dikhai deta hai.
(g) 200 m par kneeling position wale
jawan ko INSAS rifle ki foresight cover karti hai.
(h) 350 m par khare jawan ko INSAS rifle
ki fore sight cover karti hai.
9.
Dhwani ka Tarika (Sound
Method). Dhwani yani
awaz hawa mein ek sectionond mein takriban 366 gaz (1100ft) tak jati hai. Isse
duri ankne mein asani hoti hai. Lekin is ke liye goli ka asar ya sound jaruri
hai. Udharan ke liye Jab tum din mein goli dhuan ya dhul ya raat mein chamak
dekho tab fauran ek section mein 4 (char) ke hisab se ginti ginni shuru karo.
Jab dhamaka suno tab ginna band karo. Rukne tak jitne number tumne gine hain
woh utne 100 gaz ko zahir karenge aur wohi range bhi hogi. Agar teen ki ginti
rukoge to range hogi 300 gaz. Agar dhamaka sunne se pahle 8 tak gin liya hai to
range 800 gaz.
10. Shuru shuru mein ek jawan ko sahi
ginti ginne ki raftar nahin aati. Yeh
abhyas se ati hai. Iske abhyas ke liye malum duri se fire karo aur ginti ginne
ka abhyas karo. (Student butt mein gallery ke andar) Jab aap correct supporteed
se count karenge to 5 section mein 10 tak do bar ginti kar sakoge. (Jab 10 se
jaida ginti karte hain to 10 ke bad dubara ginti karen, kyon ki 11, 12, 13
ginne mein timing kharab ho jati hai). Sahi ginti ginne ke liye yadi raftar
dhimi karni padhe to dhimi karao aur agar badhani pade to badao. Achha abhyas
kar lene par ankh se dekh kar duri ankne ke bajae is tarike se jaida duri ank
sakte hain. Raat mein to yeh tarika bahut hi kaam ka hai.
11. Bearing
ka tarika.
(a)
Jis point ka distance nikalna hai uska compass se bearing nikalo.
Bearing ko note karo
aur jis jagah se bearing liya hai use mark karo.
(b) Ab dayen ya bayen target se 9 baje ki
line mein utna chalo ki bearing mein 5 degree
ka farq aa jaye. Jagah ko mark karo.
Pahla nishan aur dushara nishan ke beech
mein duri ko mtr mein napo. Jitni bhi duri aati hai usko 11.4 se guna
karo. Jo bhi yog ata hai woh distance hoga.
Fasle Ka Anuman Lagate Samay Mafi Galti
12. Duri
napne ke abhyas mein kitni galti ki chut hai. Duri ankne mein galti hone par
itni chhut (+ ya - ) mil sakti hai.
(a) 300 gaz tak ki duri ke liye. Sahi
duri se 10% kam ya zaida udharan ke liye agar koi lakshya 300 gaz par
hai to uske liye 30 gaz kam ya zaida ki galti maaf hai.
(b) 300 gaz se adhik duri ke liye. Sahi
duri se 15% kam ya jaida.
13. Waise
to fasle ka anuman lagana kafi asan hota hai lekin jab iska abhyas kiya jata
hai to kafi musklen pesh ati hain. Iska abhyas karte samay un sab baton ko
dhyan mein rakhna chahiye jo anuman lagate samay asar dalti hain. Iska us samay
tak abhyas dena chahiye jab tak anuman lagane wale mafi galti ke andar nahin
pahunch jate.
14. Lakshya
malum karne ke bad use kargar tarike se barbad karna padta hai. Is liye lakshya
ka pata chalte hi apne kisi sathi ya commander ko batana aniwarya hai. Isi ke
liye "Target indication aur Fire Control Orders" ke bare mein jankari
hona zaruri hai jo ki agle lesson ka hissa hai..
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
If you have any questions please let me know