COMBAT SHOOTING DEMO

 


 

 

Introduction

 

1.              

 

2.        Ladai ke halato mei kai bar aise maukey aate hain jab dushman ka khatra bahut jyada hota hai aur hamey wahan operate karna padta hai. Iss prakar ki stithi mein hamein dushman ko barbad karne ke liye uske nazdik se nazdik jana padta hai. In haalaton se nipatney ke liye humein kuch skills mein maharath hasil karne ke awasakta hoti hai, jaise ki, wpn craft, fd craft, team members ka aapsi tal-mel aur bariki se dekhne ki kshmata ityaadi. Parantu is maharat ko hasil karne ke liye behad kade abhyas ki awaskta padti hai.

 

3.        Ladai ke halato mey, bina nuksan uthaye, aakramak tarike se dushman ke nazdik se nazdik jakar usse barbad karne ki karwai ko Combat Shooting kahte hai.

 

4.        Combat shooting me dikhae jane wali tamam skills, bhartiya sena ke dwara lagbhag do dashko se behad intense CI/CT ops vatavaran may ladi jane wali ladai se mile anubhavo ke aadhar par banae gayi hai.

 

5.        Is demo ke dauran jyadatar  fire bina kisi aad ke kiya ja raha hai, jabki asal halat mein aap ground ke anusar aad ka prayog karenge.

 

Uddesh

 

6.        Aaj ke L/D ka uddesh aap sabhi ko combat shooting skills se avgat karana hai.

 

Three Point Sling

 

7.        Combat Shooting me sabse pehle aapko Three Point Sling ka istemal dikhaya jayega. Ek trained jawan apne hathiyar ko three point sling ki madad se kis prakar se carry karta hai isse ka namuna aap ke samne dikhaya gya hai. Kisi bhi halat me ye jawan teji se hathiyar ko firing posn me lane ki kshamta rakhte hain. Dekhen kis prakar. Sath hi three point sling ke istemal se dono kandho se fire kiya ja sakta hai. Isse ka namuna abhi aapko dikhaya jayega jisme ki jawan ek bar dahine kandhe se aur agli bar bayen kandhe se samne lage Fig 12 tgt ko engage karega.

 

8.        Ye tha Three Point Sling ka istemal. Abhi aapko ambidextrous fire ke bare me btaya jayega.

 

Ambidextrous Fire

 

9.        Kisi bhi op ke dauran milne wali aad ke mutabik aapko dahine ya baye kandhe se fire karna pad sakta hai. Issi karan firer ko dono kandho se Standing, Kneeling aur Lying Position me fire karna aana nihayti jaruri hai. Kis prakar se ek firer in sabhi 6 positions se bina samay gawaye fire kar tgt ko engage karta hai, isse ka namuna abhi aapko dikhaya jayega jisme ki firer samne lage Fig 12 tgt ko Ambidextrous Fire dwara engage karega.

 

10.      Ye tha Ambidextrous Fire. Abhi aapko Double Tap Fire ke bare me btaya jayega.

 

Double Tap Fire

 

11.      Automatic fire behad inaccurate hota hai aur isme amn ki adhik barbadi hoti hai. Iss kami ko dur karne ke liye double tap fire ka istemal kiya jata hai. Do single shot teji se fire karne ko double tap fire kaha jata hai. Isse amn ki kafi bachat hoti hai aur sath hi firer ko hamesha iss baat ka andaja rehta hai ki uski magazine me kitne rounds baki hain, jisse ki jawan mag ka last round fire karne se pehle mag ki badly kar sakta hai. Aisa karne se use mag ki badli karne ke baad wpn cock karne ki jarurat nhi padegi. Isse ka namuna abhi aapko dikhaya jayega jisme ki firer samne lage Fig 12 tgt ko Double Tap fire dwara engage karega.

 

12.      Ye tha Double Tap Fire. Abhi aapko ek buddy pair dwara cover ka istemal dikhaya jayega.

 

Cover ka Istemal

 

13.      Op ke dauran kai bar buddy pair ko ek hi cover ke piche se fire karne ki jarurat pad sakti hai. Aise me dono jawan ek hi cover ka kis prakar se istemal kar sakte hain isse ka namuna abhi aapko dikhaya jayega, isme dono firers samne lage Fig 11 tgt ko alag alag firing posn se engage karenge.

 

14.      Ye tha ek buddy pair dwara cover ka istemal. Abhi aapko Alignment Fire dikhaya jayega.

 

Alignment Fire

 

15.      CQB ops ke dauran aise anek mouke aate hain jab ek firer ke pass shisht lekar fire karne ka samay nhi hota. Balki usse bina shisht liye hi kam se kam samay me tgt engage karna hota hai. Aise me ek firer ko mahir banane ke liye usse alignment fire karaya jata hai. Isse ka namuna abhi aapko dikhaya jayega jisme ki dono firers samne lage Hostage Tgt ya ko Allignment Fire dwara engage karenge.

 

16.      Ye tha Alignment Fire. Abhi aapko Disc Tgt Engagement dikhaya jayega.

 

Disc Tgt Engagement

 

17.      Ek firer ke reflexes ko aur bhi behtar karne ke liye aur uske aas pass ke ilake ko jald se jald samajhne ki kshamta ko badhane ke liye is prac ko karwaya jata hai. Aapke samne 2 tgts hain jinme 7-7 rangon ki discs lagayi gayi hain. Issi prakar piche khade instr ke pass bhi discs hain jinpar alag alag rang hain. Whistle bajne par instr, coloured disc firer ko dikhata hai, jisse dekhkar firer usi ke mutabik tgt ko engage karta hai. Aisa karne se firer ke reflexes behtar hote hain aur sath hi firer ki aas pass ke ilake ko jald se jald samajhne ki kshamta badhti hai. Isse ka namuna abhi aapko dikhaya jayega.

 

18.      Ye tha Disc Tgt Engagement. Abhi aapko 6 Sec 5 Tgt Engagement dikhaya jayega.

 

6 Sec 5 Tgt Engagement

 

19.      Kam se kam samay me jyada tgts ko engage karne ki kshamta ko badhane ke liye, 6 secs 5 tgt engagement karwaya jata hai jisme ki ek buddy pair ke dono jawan  samne lage 5 Hostage tgts ko 6 sec me engage karte hain. Abhi isse ka namuna aapko dikhaya jayega.

 

20.      Ye tha 6 Sec 5 Tgt Engagement. Abhi aapko  Pop Up, Flip aur Moving Tgt Engagement dikhaya jayega.

 

Pop Up, Flip & Moving Tgt

 

21.      Ek firer ke reflexes ko aur behtar karne ke liye Pop Up, Flip aur Moving Tgt engagement karwaya jata hai. Op ke dauran aksar militant chupkar fire karta hai, jisme ki wo apne head ya body ko bahut hi kam samay ke liye expose karta hai. Aise me firer ko tgt unhi chand mini secs me engage karna hota hai. Abhi aapko dikhaya jayega ki kis prakar se ek buddy pair Pop Up, Flip aur Moving Tgt ko engage karta hai.

 

22.      Ye tha Pop Up, Flip aur Moving Tgt Engagement. Abhi aapko loop hole Tgt engagement dikhaya jayega.

 

Loophole Tgt

 

23.      Op ke dauran aksar militant chupkar fire karta hai, jisme ki wo apne head ya body ko sirf ek loophole ke zariye hi expose karta hai. Aise me firer ko loophole me hi aim kar tgt ko engage karna padta hai. Isse ka namuna abhi aapko dikhaya jayega.

 

24.      Ye tha Loophole tgt engagement. Abhi aapko Steel Disc Engagement dikhaya jayega.

 

Steel Disc Tgt

 

25.      Steel disc tgt me, ek steel ki disc ko hang kiya jata hai jise ki firer ko dur se hi engage karna hota hai. Yadi firer steel disc ko hit karta hai, to usse awaz se hi miss aur hit ka pta lag jata hai. Iss practise se firer ka apni skill par bharosa badhta hai. Isse ka namuna abhi aapko dikhaya jayega.

 

26.      Ye tha Steel disc tgt engagement. Abhi aapko Pendulum tgt engagement dikhaya jayega.

 

 

Pendulum Tgt

 

27.      Op ke dauran aksar militant chupkar fire karta hai, jisme ki wo samay samay par apne head ko cover se bahar nikalkar dekhta hai. Aise me firer ko tgt unhi chand mini secs me engage karna hota hai. Abhi aapko dikhaya jayega ki kis prakar se ek firer Pendulum Tgt ko engage karta hai.

 

28.      Ye tha Pendulum Tgt Engagement. Abhi aapko Transition Fire dikhaya jayega.

 

Tranisition Fire

 

29.      Transition fire me firer apne pers wpn ke sath lagatar dushman par fire dalte hue uske karib jata hai. Aur jaise hi uski mag ke rounds khatam ho jate hain ya hathiyar me rok aa jati hai, to wo firer bina samay gawaye wpn transition karta hai. Yani apne pers wpn ko piche kar Pistol se tgt ko engage kar barbad karta hai. Abhi isse ka namuna aapko dikhaya jayega jisme ki firer INSAS Rif dwara lgatar Fig 12 tgt ko engage karte hue uske behad karib jayega aur fir Pistol dwara aapke samne lagi 6 matake ko girayega.

 

30.      Ye tha Transition Fire.

 

Sankshep

 

31.      Combat shooting L/D ke dauran dikhayi gayi tamam drills sujhav ke taur par dikhayi gayi hain. Aap isme trn, maujuda halat aur unit tartib ke mutabik jaruri badlav la sakte hain. Yeh drills na sirf aapko ops mein safalta pradan karti hain, balki aapko ek sashakt, chatur aur ghatak sainik bnane mein madad karti hai. Yahan par Combat Shooting L/D smapt hota hai.

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

          


COMBAT SHOOTING

 


टिप्पणियाँ